Blogger Ki Post Me Google+ Plus Comments Enable Kaise Kare

Is post me mai aapko bta raha hu ki blog ki post par google+ comment kaise enable karte hai. isse humari site ke visitors hume direct google profile par contect kar sakte hai. blog ke liye ttraffic pane ka facebook ke bad google plus dusra sabse bada social networking platform hai. in my case mujhe google+ se sabse jyada visitors milte hai. agar aap blogspot par free blog user ho to aapko ek bat btana chahunga ki aap apne blog par google+ comment enable karke blog ki traffic badha sakte ho.

get traffic to google plus

Blog me google+ comment enable karne se jab bhi koi visitors aapki post par comment karega to uski comment ki notification uske sabhi google plus friends ko milegi. jisse unhe bhi aapke blog ke bare me pata chalega. so wo bhi aapke blog par aana pasand karenge.

Blog Post Me Google+ Comments Enable Karne Ke Fayde?

1. jab bhi koi visitors aapki post par comment karega to uske sare friends ko iski notification milegi. isse wo bhi aapki site par aa sakte hai.

2. aap bhi apne visitors se google+ comment karke baat kar sakte ho.

3. isse aapki site ka promotion hone me madad milti hai. anjan logo tak blog ki suchna pahuch jati hai.

4. aap apni blog ki post or comment me google+ friends ko mention kar sakte ho.

5. aap jis friens ko chaho apni new post ki suchna de sakte ho.

Blog Post Me Google+ Comments Enable Karne Ke Nuksaan?

  1.  aapke blog par sirf wohi log  comment kar sakte hai. jinka googl+ par account hai.
  2. google plus comment enable karne se aapke blog par pahle se ki gayi comments show nahi hogi.
  3. iska comment box load hone me thoda time leta hai. so visitors comment ignore bhi kar sakte hai.

Blogger Post Me Google+ Comment Enable Kaise Kare?

1. www.blogger.com par ja kar log in kare.

2. apne blog ke dashboard me jaye.

enable google plus comment in blogger

1.  ab Google+ par click kare.

2. Automatically share after posting par tick kare.

3. Use Google+ Comments on this blog par tick kare.

Note:- google+ comments bahut si  cusomize template me kaam nahi karta hai.

ab aapki site par google+ comments enable ho chuki hai. agar aapko koi problem ho to mujhe comment karke btaye. sath post ke bare me bhi comment me apne vichar jarur likhe.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. aage bhi aysi hi post padne ke liye humari site ko abhi subscribe kare. sath hi aap social media par bhi humse content kar sakte hai.

Agar aapka blogger ya internet se related koi or sawal hai to humari site ke Sawal Jawab Forum me post kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 18 )

  1. Sir mein ek bahut achhi writer banna chahti hu mera sapna h blogger ki bajah se mujhe moka mila h me ye gabana ni chahti mujhe blog me bahut kuch samajh ni aa ra mene 2,3 blog post kre h lekin mujhe koi coment ni mil ri or na viewr pata chal re plz help me plzzzzz

    Reply
    • कंपटीशन बहुत ज्यादा है, आप मेहनत करो 2-3 महीने में आपको सफलता मिलना शुरू हो जाएगी

      Reply
  2. Sir blog me lable kaise lagate hai

    Reply
  3. sir aapki aapki har post achhe hote hai..aaj mai apna guest post aapko email kiya hu. mujhe ummid ki aap mere post ko jarur publish karenge. thanks sir

    Reply
  4. sir thanks for sharing nice article. sir mera ek question hai.

    1- sir mera blog blogger par hai aur mere blog me Disqus comment box add hai aur usko open karne ke liye ‘add a comment’ button add hai. mujhe wo comment button remove karke comment box ko automatic open karna hai wo kaise kare me wo comment button to remove kar lunga but Disqus comment box ko auto open karne ka tarika bata dijye agar koi coding add karni ho to wo bata dijiye.

    Reply
    • Sorry bro is bare me aap kisi disqus comment system sue karne wale person se bat kare.

      Reply
  5. Bro mere blog ke dexbord me Google +show nhi ho raha h.
    Aur Maine apne blog par search engine lagaya h jo view bavsiti karne par hi show hota h. M view phone me dekhana chata hu.
    Please please jabab jaldi dena

    Reply
    • Iske liye aap apne blog ko analytics me add karo or analytics ka app apne phone me install karo.

      Reply
  6. Helo sir m apne blog pe website banaya pkmasti.com m jab Facebook par page banata hu pkmasti.com se to nahi ban pata apne aap pkmasti.com ban jaata h kya sir usse website ka prachar ho paayega ya nahi plz reply sir. Aur Jo website banaya hu Google pe nahi dikh raha h website yesterday ko banayabanaya kab take dikhega Google pe

    Reply
    • Koi problem nahi bina www ke bgi work karega.

      Reply
  7. Bai m new bloging start krna chahta hu aap ye btaye ki m apna blog kis PR bnau blogger PR ya WordPress PR jisse mujhe jyada fayda ho or jldi success ho sku plz hlp me

    Reply
    • Shuruat me aap blogger par hi banao. jab aapko blogging ki achi jankari ho jaye to WordPress par bana lena.

      Reply
  8. Bhayi thoda bahut to copy ho jata h but sir kya ham kisi ki writing skills yani ideas to copy kar skte h isme koi pbblm to nahi hogi.

    Reply
    • aap kisi se idea le sakte ho but uske talent yani post likhne ke tarike ke copy nahi kar sakte.

      Reply
  9. This piece of writing about SEO offers clear thought designed for new SEO viewers that how to do SEO, thus keep it up. Fastidious work

    Reply
  10. Sir hm android mobile me blog bnakar bloging kr skte he kya

    Reply
    • Kar sakte ho. but screen choti hone ki wajah se bahut problem hogi. mai aapko yahi advice dunga ki bina desktop ke blogger manage nahi kar sakte.

      Reply

Leave a Comment