Website Blog Ka Loading Time Check Karne Ki 5 Free Tools

Website blog laoding time search engine ranking or user-experience ke liye most important hota hai. Agar aapki website fast loading hoti hai to search engine aapki site content ko jaldi index karta hai or user aapki site par jyada visit karte hai. Aaj is post me mai aapko website ki loading time check karne ki 5 free website speed checker tools ke bare me bta raha hu.

Top 5 tools to check your site loading time performance

Maine inhi tools ke step follow karke apne blog ko fast loading banaya hai. Mujhe kisi or se kaam karana pasand nahi hai. Mai chahata hu ki mai har kaam khud karu. Example, aap meri site ka loading time check kar sakte ho main genesis framework+child theme use karta hu.. Iske bare me maine mozedia.com ek specialy experience article bhi likha hai.

Maine iske bare me or bhi post ki hai. Agar aap WordPress user hai to maine iske bare me How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips complete tutorila write kiya hai. Jise follow karke aapke WordPress blog ki speed 30% increase hogi. Iski mai aapko garantee deta hu. Aap is article ko ek bar jarur read kare.

Mai aapko suggest karunga ki apne blog par fast loading template/theme hi use kare. O r agar aap WordPress user hai to aap W3 Total Cache, WP Super Cache plugin use kar sakte hai. WordPress blog ko speed up karne ki puri jankari ke liye yaha click kare.

Yaha mai aapko jin tools ke bare me bta raha hu. Wo sirf aapko site ki loading speed time ki information nahi deti hai. Balki wo aapko site ko optimize karne ki tips bhi btati hai. Agar aap kar sakte ho to unke step follow karke apni site ko fast loading bana sakte ho.

5 Free Tools Website Blog Ka Loading Time Check Karne Ke Liye

In tools par apni site ka laoding speed time check kijiye or inke diye suggestion ko follow karke apni site ko fast speed up banaye.

1. Google PageSpeed Insights:

Google PageSpeed Insights

Google PageSpeed Insights tool meri sabse favorite tool hai. Mere blog ki loading time kam karne me is tool ne mujhe kafi achi guidelines di hai. Mere alawa baki blogger bhi is tool ko sabse best btate hai. Mai dusro ki nahi apni bat karta hu. Hakikat me agar hum iske steps ko ache se follow kare to khud apni site ko fast loading bana sakte hai.

2. GTmetrix:

GTmetrix Website Speed and Performance Optimization

GTmetrix pahli aysi tool hai jo aapko site ke loading time ko kam karne me sabse better guide karti hai. Aapko is par sabhi webpages error ke solution milenge or har ek kami ki tips milegi. Jo 101% sahi work karti hai. GTmetrix aapko performance report, pagespeed time or yslow score ke bare me details se btati hai ki aapki site kaha kis script par kitne time me load ho rahi hai. Aap chahe to apne worspress blog par GTmetrix plugin bhi install karke apni site ki loading spedd test kar sakte ho.

3. Pingdom Website Speed Test:

Pingdom website speed test tool

Pingdom website speed test Google pagespeed or GTmetrix ke bad tisri sabse best site speed checker tool hai. Ye aapki site ki loading time check karne ke sath sath site ki loading performance bhi btati hai or use better karne ke top suggestion bhi deti hai. Is par aapko ye bhi pata chalta hai ki aapki site ka konsa part load hone me kitna time le raha hai. Upar aap supportmeindia ki loading speed ka screenshot dekh sakte ho. Pingdom tool aapko waterall, parametes, performance grade or page analysis ki information tips btati hai.

4. Sucuri Load Time Tester:

Sucuri Load Time Tester

Sucuri Load Time Tester tool ek or badiya website speed testing tool hai jo aapko global location ke anusar site laoding speed show karti hai. Ye tools aapko ek hi time me bahut sare places par apaki site ki loading speed test karke btati hai. Is tool ki report me “Time to first byte” sabse importa report hoti hai. Iska matlab hai ki server user ke browser me content data kitne time me send karta hai. Mostly ye tools aapki web hosting ki server spedd test karne me better hai.

5. Webpagetest: Test a websiye’s performance:

Webpagetest - Test a websiye's performance

webpagetest tool website ki loading time performance test karne ki ek or badiya tool hai. Iski sabse important bat ye hai ki aap is par location select karke world me kahi bhi apni site ki speed test kar sakte ho. Sath hi isme aap chrome, mozilla firefox and other browser me bhi site speed details me check kar sakte ho.

Finally, Ye thi wo tools jinhe use karke mai apne blog ki loading time kam karta hu. Mai aapko special suggest karunga ki aapki site 4 second se kam time me open honi chahiye. Agar aapki site open hone me 3-4 second se jyada time leti hai to aapko site ko speed up karna chahiye. Isme How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips article me btayi tips aapki 100% help karegi.

Now, To chaliye ab aap bhi mujhe btayiye ki aap apni site ki loading speed better karne ke liye kis tool ko use karte ho. Agar aapko inke alawa kisi or aysi site ke bare me jankari hai jo site speed ke site site speed optimization ki information deti ho to hume comment me jarur btaye.

I hope is article me aapko helpful jankari mili hogi. So plz mai sahi hu to is post ko social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 67 )

  1. Helpful article. Thanks

    Reply
  2. Mostly Usefull information on SMI ,
    1. Jaisa apne apne topic me bataya h ki app free theme ko jada best mante h so can you guide me which free theme best for wordpress.
    2. Mene apne blog ka site map ready karliya h Active ho gya h but jab me new post likhta hu toh vo post google me show nahi ho rha h mene direct blog name type karke check kiya tha. Uskeliye kya karun ?

    Reply
    • 1. Sorry dear main kahi bhi free theme ko best nahi btaya hai.
      2. Apni site ko search console me submit karke verify karo or site content ko promote karo.

      Reply
  3. sir ek post AMP(Accelerated Mobile Pages) per bhi likh dijiye

    Reply
  4. Sir mai blogging blogger pr krta huin to kya mai
    aapkey liye koi post likh skta huin

    Reply
    • Why not but first read guest post policy.

      Reply

Leave a Comment