OpenLinkProfiler ek online free backlinks checker tool hai. Ye aapko kisi bhi domain ke backlinks btane ke sath great solution bhi btati hai. website par kaha kaha se backlinks mile hai. Sabhi backlinks ka details se pata chalta hai. Or sabse achi bat ki is tools me hum unlimited backlinks check kar sakte hai.
Kisi bhi domain ya website ke backlinks check karne ke liye OpenLinkProfiler tools best no.1 tools hai. Jo aapko kuch hi second me kisi bhi domain ke Backlinks ki jankari de deti hai.
OpenLinkProfiler tools par aap unlimited backlinks check kar sakte ho. Or kisi bhi website ki 1000 links ko .CSV format me download bhi kar sakte ho.
Unlimited Backlinks Check Karne Ki Best Free Tools – OpenLinkProfiler
Yeh tools aapko domain backlinks check karne ka sabse acha offer deti hai. Aap kisi bhi website ke unlimited backlinks check kar sakte ho. Jisse aapko apni site ke liye backlinks pane ka idea milega or aap bhi un site se backlinks recieve kar sakenge. Openlinkprofiler sirf trusted top level domain ka hi result show karta hai jinka LIS score hota hai. LIS ka matlab link influence score of any page. Ye tools 0% to 100% result show karti hai.
- Link Age: Is section domain age yani yearly backlinks details show hoti . Aapko kis sal kitne backlinks mile hai. Uske liye ye option bahut hi acha wayi.
- Country: Is section me coutry by country backlinks show hote hai.
- Link Alert: Agar aap chahate hai ki aapko new backlinks email notification mile to aap linkalert enable karkte hai.
- LIS distribution: Is section me aap high lis or low lis domain links dekh sakte hai.
- Pages: Jis site se backlinks mile hai usme kis kis page or post me aapki site ka link add hai. Is section me isi ke bare me jankari milti hai. Means site ke kis page me aapki site ke kis page ka link add hai.
Mujhe is tool ke bare me abhi abhi pata chala hai. So aap jyada jankari ke liye OpenLinkProfiler tools par visit kar sakte hai. But ek bat jaru hai, Backlinka pata karne ki ye ek bahut hi badhiya tool hai.