10 Jhuthi Bate Jinki Wajah Se Log Antivirus Use Nahi Karte

Malware and cyber threats attacks ab pahle se kahi jyada badh gaye hai. Security ke liye antivirus use karna achha hai but abhi bhi kuch log mante hai ki humare computer ke liye anti-virus unnecessary hai or iska sitemal karne se problem ho sakti hai. Iski wajah kuch jhuthi baatein hai jinme se 10 ke bare me main yaha bta raha hu.

Myths that Stop People from Using an Antivirus

Kuch common myths galatfahmiyo ki wajah se people apne PC desktop computer, laptop ya mobile me antivirus use karna sahi nahi mante, wo mante hai ki isse kuch nahi hota ulta computer me virus aate hai. Antivirus use karna danger hota hai.

Iski wajah kuch aesi bekar ki bato par wishwas karna jo antivirus ke istemal na karne ke liye kahi jati hai, In galat bato ki wajah se kai sare log apna personal data lost kar dete hai.

10 Myths Jinki Wajah Se Log Antivirus Use Nahi Karte

Chaliye jante hai 10 important myths ke bare me hum yaha janenge. Shayad aap bhi inme se kisi bat par wishwas karte hai.

1. You only visit Safe Websites

Aap sirf safe websites par visit kar sakte ho. Kuch logo ka manna hai ki agar aap apn PC me anti virus use karoge to aap sirf secure websites ko hi open kar sakte ho other all sites ko antivirus block kar dega.

Reality: Antivirus automatically kisi bhi websites ko block nahi karte hai. Agar aap kisi aesi website par visit karte ho jo aapke personal information ke liye danger hai to antivirus warning show karega. Aap us warning alert ko skip kar site par visit kar sakte ho.

Fact: Aaj ke time me koi bhi site safe nahi hai. Aaj cyber crime itna badh gaya hai ki kabhi bhi koi bhi site hack ho sakti hai.

2. You don’t have Useful Data

Aapke device me useful and important data nahi hai. Kuch log mante hai ki mere PC me koi jaruri jankari nahi hai isiliye mujhe antivirus ki jarurat nahi hai.

Reality: I know aapke pas hacker ke liye useful data nahi hai but agar aapke pas new PC hai to hackers aapka PC kharab kar sakte hai. Jisse aapko paiso ka loss hoga.

Fact: Har internet user ke pas PC me kuch na kuch useful information hoti hai. Example, uske social media acount, and othr account ke password. Ek bar aapke kisi account ki log in details mil jaye fir aapki baki personal details bhi mil jayegi.

3. Security Software Slow Down System

Security system like antivirus computer ki speed slow kar dete hai. Kuch log mante hai ki antivirus use karne se computer ki speed slow ho jati hai. Kyuki antiviruses har ek file ko scan karte hai.

Reality: Aesa kuch bhi nahi hai, anti-virus se aapke PC ki speed slow nahi hogi. Agar aapka computer slow work karta hai to uski wajah anti virus nahi kuch or hai.

Fact: Aaj ke time me antivirus ko is tarah se design kiya gaya hai ki wo kam se kam system resources use karte hai.

4. You are Own Security Expert

Aap khud apne PC ko secure karna jante ho. Kuch logo ko galatfahemi hoti hai ki wo apne personal data ko khud secure rakh sakte hai unhe kisi tarah ke antivirus ki jarurat nahi hai.

Reality: I know aap expert ho but risk nahi leni chahiye. Anti-virus use na karne ka matlab. Attackers ko invite karna hai ki aao or mere jaruri jankari chura kar le jao.

Fact: Insan galatiyo ka putla hai usse kabhi bhi galti ho sakti ho. So apne aap par jarurat se jyada believe mat karo.

5. You do not Use Internet

Aap internet use nahi karte or na hi aapko internet istemal karne ki jarurat hai. Kuch log mante hai ki jab me net use nahi karta hu to mujhe antivirus ki kya jarurat kyuki virus to internet se hi aate hai.

Reality: Bahut se virus aese hai jinko internet hone na hone se koi fark nahi padta. Kisi device like memory card, mobile, pen drive etc. ko PC se connect karne par uske virus aapke PC me aa sakte hai.

Fact: Aapke pas PC hai to aapko use mobile, Pen derive, memory card, and internet se connect karna hi padta hai.

6. Antivirus is a Scam, It’s Useless

Anti-virus software ghotala hai or ye kisi kaam ka nahi hai. Sadly, bahut se log mante hai ki antivirus useless hai or iska upyog karne se koi fayda nahi hai.

Reality: Jab bhi aapke PC par koi virus attack karta hai to antivirus uski information deta hai. Jisse aap us virus se bach sakte ho.

Fact: Typically, jo people virus infections ki problem face karte hai wo adhiktar without antivirus protection ke hote hai.

7. Antivirus can’t Protect Against New Viruses

Antivirus software new virus ko handle nahi karte ya nahi kar sakte. Kuch logo ka manna hai ki new virus challenging hote hai or unka samna karne me pahle se PC me install antivirus able nahi hai.

Reality: Ek good anti-virus ko is tarah se banaya jata hai ki wo kisi bhi new virus ko stop kar sake. Bhale hi us virus ko pahle kabhi nahi dekha gaya ho.

Fact: Antivirus ko aap time to time update kar sakte ho. Update karne se usme new viruses se ladne ke features add kar diye jate hai.

8. Free Antivirus is Good as Paid Anti-virus

Free antivirus paid anti-virus ki tarah achha hota hai. Kuch log mante hai ki free or paid antivirus same hote hai so invest karne se achha free anti-virus hi use kare.

Reality: Free antivirus use karne se aap 2 mistakes kar rahe hai poor support or no support and paid support. Aapko kisi bhi tarah ki problem hone par bad support mil sakta hai ya fir aapko support hi nahi milega. Second aapko support ke liye $100 to $50o dollar pay karne ke liye kaha jayega.

Fact: Free and paid anti-virus me bahut se differences hai. Free wala antivirus apne aap me ek virus ho sakta hai.

9. Antivirus is only for Security

Antivirus sirf security ke liye hota hai. Kuch log mante hai ki anti-virus only security ke liye hota hai yani iska istemal sirf virus se bachne ke liye karna chahiye iske alawa iska koi fayda nahi hai.

Reality: Aap antivirus ka istemal security ke alawa Cleaner scanner, File Scanner, Email protection, Spam protection etc ke liye bhi kar sakte ho.

Fact: Antivirus se aap sabkuch nahi kar sakte but I sure aap security ke alawa antivirus ko or tarike se use kar sakte hai.

10. Windows come with Antivirus, So You don’t need Antivirus

Windows ke sath already antivirus hota hai isiliye aapko koi anti-virus software use karne ki jarurat nahi hai.

Kuch log mante hai ki windows me pahle se Windows Defender Antivirus hota hai. So extra anti-virus ki jarurat nahi hai.

Reality: Windows 8.1 se le kar windows 10 me security ke liye windows defender antivirus hota hai but jab tak apa third party anti-virus PC me install nahi karoge ise enable disable nahi kar sakte or na hi ise upgrade ya update kar sakte hai.

Fact: Windows defender antivirus best hai but isme less features hai jabki premium antivirus me bahut se features hote hai jo aapke PC ko jyada secure banate hai.

Conclusion

Aesi hi or bhi bahut si jhuthi bate hai jinki wajah se log anti-virus use karna pasand nahi karte hai. I suggest you in bato me na kar koi na koi achha antivirus use kare or apne PC and personal data ko secure kare.

Ab cyber attacks itne badh gaye hai ki kab kiske sath kya ho kuch nahi kaha ja sakta. Agar aap apne device me internet use karte hai to aapko ek achha antivirus use karna hi chahiye.

Agar apa is article ko useful mante hai to ise facebook and twitter par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 16 )

  1. Haseeb Alam

    Mere Laptop Me Genuine Windows Installed Hai. Windows Defender Bhi Achhe Se Work Karta Hai.

    Toh Kya Mujhe Kisi Third Party Antivirus Ki Jarurat Hai?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Yes, aapko ek achha antivirus lena chahiye.

      Reply
  2. Ajay singh

    mai bhi antivirus use krunga ab se thnks bhai

    Reply
  3. Sachin

    Ab aapne itni badhiya jaankari diya hai to koi badhiya Antivirus bhi bata dijiye .

    Mere laptop me windows 10 aur Ubuntu installed hain lekin mai internet ke liye Ubuntu hi use karta hu .

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Quick heal is best antivirus.

      Reply
      • सचिन

        क्या मुझे एंटीवायरस से साथ internet security भी install करना होगा या बस एंटीवायरस से ही काम चल जायेगा ?

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Total security wala use karo usme internet security bhi milti hai.

          Reply
  4. Ashish

    aapke article hamesha sab se alag aur informative hote hain. shukriya bhai

    Reply
  5. Umesh

    antivirus is very necessary for every computer user.

    Reply
  6. Akash Rajak

    Sir kabhi kabhi koi Game ya file download krne per Automatically Virus Download ho jata hai, New folders Create ho jate h ese virus koi hacker banata h ya ye automatically kisi error ke karn generated hote h

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Automatically bhi generate ho sakte hai or koi virus bhi ho sakta hai. Aap antivirus use kare.

      Reply
  7. Ranjot singh

    Very Nice article brother aur mera ek swal hai WordPress se related main apni site me https enable nhi kar pa rha hu plz kush btaye

    Reply
  8. Anand Kumar

    Bahut hi achchhi jankari hai, main khud paid antivirus software use karta hoon.

    Reply
  9. Satyam Patel

    Wow helpful information. Thank for tell us

    Reply
  10. Gautam koli

    aap humesha hi kuch naya likhte hai. aapki post mujhe bhaut achi lagti hai sir ji.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...