Online Shopping Ki Fake Websites Se Kaise Bache – 5 Tarike

Online shopping ko aaj har koi pasand karne laga hai. Kyoki isse hum apna kimti time kharab hone se bacha sakte hai. Aaj hum iske bare me hi baat karenge. India me online shopping ko sabse pahle flipkart company ne start kiya tha lekin aaj aapko internet par online shopping karne ki bahut si websites mil jayengi. Magar in websites me se kuch fraud fake websites aapke sath dhokha bhi kar sakti hai. So main aapko yahi batane wala hu ki online shopping karne ki fake websites se kaise bacha jaye.

online shopping karne ki fake websites se kaise bache

Aaj online shopping har user kar raha hai or aap bhi karte honge par kya aapko pata hai ki online shopping karte time hum dhoka kha sakte hai. Agar nahi pata hai to koi baat nahi. Actually, internet par aaj online shopping karne ki bahut si sites hai jinme kuch fake websites bhi shamil hoti hai jinhe hum pahachan nahi pate. Inhe kaise pahchane or inse kaise bache.

In fake websites me real websites se jyada difference nahi hota or ye real websites se milti julti hoti hai isi wajah se inhe users jald pahachan nahi pate lekin aaj is post me jo tarike main aapko bata raha hu unhe follow karke aap in fake websites ka aasani se pata laga sakte ho or bina kisi problem ke online shopping kar sakte ho.

Is post me bataye tarike follow karke har koi fake websites se bach sakta hai. Agar aap bhi in fake websites se bachna chahate hai to final tak post ko follow kijiye.

Online Shopping Karte Time Fake Websites Se Kaise Bache

Jab bhi aap online shopping karte ho to aapko us product ki details jaise price, Websites URL, Websites coupons etc check kar lena chahiye kyuki jo fake websites hoti hai unke product price me real websites ke product ke price me difference hota hai jinke bare me aapko details se bata raha hu. Aap follow kijiye.

Online Shopping Karne Ki Websites Se Product Kharidne Se Pahale Check Kare Ye Details?

1. Websites URL Check Kare:

Aap sab jante hai aaj internet par bahut si aesi websites hai jo fake hoti hai. Jo kabhi kisi ke bhi sath dhoka kar sakti hai. Isiliye aap jab kisi websites se koi product buy karo to pahle us website ka URL jarur check kare ki wo fake website to nahi hai.

Internet par bahut si fake company hai jo official websites ki copy kar fake websites bana leti hai jo real websites se bilkul milti jhulti hai. Jinhe new users pahachan nahi pate or online shopping karne ki fake websites ka shikar ho jate hai.

Har koi janta hai ki ek domain name se sirf ek hi website bana sakte hai. Jaise agar aap godaddy.com websites internet par pahle se hai or agar koi ab gogaddy.com website banayega to ban jayegi lekin use fake website hi mana jayegi. Aese domain se bani site jyaatar fraud work ke liye hi banayi jati hai.

Isiliye agar aap kisi website ke URL ko koi bhi product purchage karne se pahle check kar loge to aapko aasani se pata chal jayega ki ye site eal hai ya fake or aap online shopping karte time fake websites se bach sakte ho.

2. Website Product Details Check Kare:

Agar aap online shopping kar rahe hai or koi product kharidna chahate hai to pahle uske bare me achhe se jan lijiye ki ye product jyada purana to nahi hai.Uski date kab ki hai. Agar aap kisi bhi product ko bina details dekhe bay karoge to aap jarur dhokha kha sakte ho.

Ye main aapko isliye bata raha hu kyuki bahut se new users koi bhi product bina uski jankari ke or bina details jane hi buy kar lete hai or baad me unhe pata chal pata hai ki ye product hamare kaam ka nahi hai ye fake product hai. Mobile phone me aesa jyada hota hai. Fake sites original company ki jagah local company ka maal provide akr deti hai ya fir karti hi nahi hai.

Aesa karne se hamare paise kharab jate hai or agar aapne koi bad product buy kar bhi liya hai to koi bat nahi. Agar aapne us product ko use nahi kiya hai or aapko pata chal gaya hai ki ye fake product hai to aap use replace bhi kar sakte ho magar dhyan rahe aap kisi bhi product ko ek bar hi replace kar sakte ho.

To guys isiliye aap jab bhi koi product kharidna chaho to jaruri hai ki aap ek bar uski complete details check karo or uske bare me puri jankari lo uske bad hi us product ko buy karo. Tabhi aap fake websites se online shopping karne se bach sakte ho.

3. Websites Coupons & Discounts Check kare:

Har websites apne product ko promote karne ke liye apni websites ke product ka coupons banvati hai or usme har product ka price and usme se discounts add hota hai. Isliye aap jab kisi websites se koi product buy karo to us websites se coupons le taki aapko apne product ka discounts pata chal sake.

Waise to har websites apne users ke liye apne product ka coupons deti hai magar jo fake websites hoti hai wo apni websites ke product ka coupons aapko nahi dengi kyoki agar dengi to aapko pata chal jayega ki ye product par kitna discounts hai.

Aesa karne se wo fake websites aapse kisi bhi product par discounts na karke jyada paise leti hai or aapko pata bhi nahi chal pata. Jisse aapko nukshan hi hoga koi benefit nahi hoga. Iska ulta kuch fake sites bahut jyada discount ka lalach de kar product sell karti hai.

Isiliye jab bhi kisi websites se koi bhi product kharide to us sites ke dwara diye gaye discount ke bare me pata kar le agar discount bahut jyada hai to aapko problem ho sakti hai.

4. Website Product Price Check kare:

Online shopping karne ki fake websites se bachne ka sabse achha tarika koi bhi product kharidne se pahle product price check karna. Internet par online shopping karne ki bahut si websites hai jinke product price alag alag hote hai or jo fake websites hoti hai unke price me difference jarur hota hai.

Har websites ke product ka price alag alag hota hai but jo fake websites hoti hai unke price me bahut jyada difference paya jata hai. Wo apne simple product ko bhi jyada paise me sell karte hai. Jo jyada paise kamana chahate hai.

Bahut se new users dhyan nahi dete hai or product ke price ko bina dekhe hi buy kar lete hai jab unhe pata chalta hai to wo bahut pachtate hai ki humne kisi fake website se product buy kiya hai

Isiliye Agar aap in fake websites ke product kharidne se bachna chahate ho to koi bhi kisi bhi websites se product kharidne se pahle uska price jarur check kare.

5. Website Par HTTPS Security Check Kare:

Hum jab kisi website blog ko apne browser me open karte hai to hamare browser tab me us website ke URL ke aage https:// with sitelock security lagi hoti hai. Jaise https://example.com aapne bhi kisi site par ye security jarur dekhi hogi. Agar kisi site par https ssl certificate nahi ha ito usse kabhi bhi shopping na kare.

Ek tarah se kaha jaye to ye tarika fake websites se bachne ke liye sabse simple and achha hai or ye galat sabit nahi hoga kyoki aapne aksar dekha hoga ki is tarah ki security online money transfer karne wali website par lagi hoti hai. Jis site par ye nahi hai wo fake website ho sakti hai.

To jab aap online shopping kar rahe ho or kisi website se koi product buy kar rahe ho to sabse pahle uske aage https and http security jarur check kare.

Ye bhi ek achha tarika hai online shopping karne ki fake websites se bachne ka fir bhi internet par roj lakho log new aate hai jinhe in sab ki jankari nahi hoti par aap ye bate jarur dhyan rakhe.

6. Websites Privacy Policy & About Page Check Kare:

Aapne aksar dekha hoga har website blog, news website, company and other etc sabhi websites ka apna ek page hota hai jisme us website ke bare me likha hota hai ki is website me kya hai or iske feature kaise hai.

Jise padhkar har koi us website ki puri details jan sakta hai or ye pata laga sakta hai ki is website par kis tarah ka product sell hota hai or kya milta hai. Kis chiz ki website hai. ye website kab bani hai or kitne log isse par shopping karte hai etc. bahut kuch.

Par bahut se new internet users ko to privacy policy page and about page ke bare me pata hi nahi hota aese me wo fake websites se bhi product buy kar lete hai or unhe tab pata chal pata hai jab wo kisi or jagah apne product ko try karte hai.

Sirf onlinbe shopping hi nahi kisi bhi websites ka upyog karne se pahle uske bare me pata kar le. Mostly aap har site ke footer me jaruri pages ke links mil jayenge.

Isiliye agar aapko online shopping karne ki fake website se bachna hai to aap jis kisi websites se bhi online shopping kar rahe to uska privacy policy page jarur read kare. Aesa karne se aap kafi had tak fake websites se bach sakte ho.

Final Words,

To dosto agar aap is post me bataye tarike online shopping karte time follow karoge to yakinn online shopping karne ki fake website se aasani se bach sakte ho or agar aapko is post me bataye tariko ke alawa online shopping karte time fake website se bachne ke dusre tarike pata ho to comment me apne vichar jarur share kare.

Agar aap online shopping karte time in bato ko follow karenge to aap fake websites ko aasani se pahachan sakte ho or dhokha khane se bach sakte ho.

I hope aapko ye post achhi lagi hogi agar lagi ho to ise social media par apne sabhi friends ke sath share jarur kare taki koi or bhi fake websites se bach sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 10 )

  1. Saddam Khan

    thank you bhai or mere browser me ek software hai jo fake website me jane se rokti hai

    Reply
  2. Abhinav Ranjan Jha

    Awesome article Sir, Thanx for Sharing

    Reply
  3. Rajesh Sharma

    bro mujhe aapse kuchh help chahiye main ek domain buy karna chahta hun jiska .com premium hain or uska price ₹190245/- hain. Agar main .com ko ignore karke uska .in buy karu to kya koi problem ho skti hain kya ?
    Help Me Bro.
    Thanks!

    Reply
    • Jumedeen Khan

      No problem.

      Reply
      • Rajesh Sharma

        Agar koi us premium .com domain ko buy karle mere .in lene ke bad to problem ho skti hain kya?

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Koi problem nahi hai. Agar kisi ko problme hai to use .in buy karna chahiye. Ha agar .com wala aapse achha work karta hai to google use jyada rank dega. India me aapko jyada rank milegi.

          Reply
  4. Chakradhari Kumar

    Sir mera blog, blogger par hai aur ab mai usse WordPress par karna chahta hu to mujhe ab sabse pahle Kya karna chahaiye….

    1. Mujhe lagta hai sabse pahle Hosting lena chahiye..

    2. Hosting ke baad WordPress install karna padega.

    3. Uske baad Blogger ka bekup WordPress par upload karna chahiye…

    Aur Blog ka bekup WordPress par sift karte time adsense ka ads blog se Sirf side baar ka Remove karna padega ya saBhi post ke Ander ka bhi Ads Remove karna hoga…..???

    Jo mai bataya hu same aise hi karna padega ya kuch alag bhi karna padega …???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      3 steps bilkul sahi hai. Adsense ads code ko sabhi posts se remove kar do. WordPress par aap plugin ke through sabhi posts me ek sath ad laga sakte ho.

      Reply
  5. RUSHEEK

    Nice and helpful post share ki he

    Reply
  6. HindIndia

    बहुत ही उम्दा लेख …. शानदार प्रस्तुति …. ऐसे ही लिखते रहे और मार्गदर्शन करते रहें। :
    Thanks for sharing this!! 🙂 🙂

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...