Online Digital Transaction Karte Time Safety Ke Liye 10 Jaruri Tips

Kya aap ne kabhi online transaction kiya hai? Kya aap Internet Banking se online payment karte hai? Kya aap E- wallet application istemal karte hai? Ya fir aap kisi bhi tarah ka digital trasactions karte hai to sawdan ho jayiye. Aaj kal cyber crime bahut badh gaya hai or bahut se logo ke account hack ho rahe hai upar se cashless transaction. Aapke sath bhi online digital transaction me dhoka ho sakta hai. Hackers ki badhti huyi power ko dekhte huye main aapko digital transaction ki security liye kuch important bate bta raha hu jo aapko online payment karne ki safety ke liye jaruri hai. Aap inhe humesha yaad rakhe.

Online Digital Transaction Security Tips

Government ne jab se cashless transaction ki abt kahi hai bahut se log online cashless payment kar rahe hai. But main aapko bta du ki ye fully  secure nahi hai or isme kisi ke sath bhi kuch bhi ho sakta hai. So aapko kuch jaruri bato ko dhyan me rakhna chahiye jinse aap online cyber crime se bach sake or online transaction ki safety badha sake.

Aapki ek choti si galti se aapka bahut bada nuksan ho sakta hai. Sirf ek galti se aapko bahut se paiso ka nuksan ho sakta hai. Online transaction ya digital transaction kuch choti choti or jaruri baaten hai jinhe dhyan me rakhna jaruri hai. Unhi me se kuch most important thinks ke bare me main aapko yaha bta raha hu.

Ummid hai aapko inse online net banking se payment karne ki security badhane me help milegi or aapko online payment karne me aage se koi pareshani nahi hogi.

10 Baaten: Jinhe Online Digital Transaction Karte Time Security Ke liye Yaad Rakhna Chahiye

Halanki bank already online money transfer karne ki process par security deti hai but ye security 100% safe hai kah nahi sakte. Internet par kabhi bhi kisi ke bhi sath kuch bhi ho sakta hai. Aapne suna bhi hoga ki kei celebrities ka socail account hack ho gaya tha.

1. Don’t Use Public PC & Cyber Cafe:

Online payment karne ki process bahut hi easy hai or hum only kuch hi minutes me ye processing complete kar elte hai. Kuch log to cyber cafe ya kisi ka bhi computer, desktop, mobile and other device ka istemal kar online payment kar lete hai.Jaise online railway ticket, bus ticket ke liye apne ATM debit card, credit card ka istemal karna.

But ye safe nahi hai or aapko isse nuksan ho sakta hai. Kabhi bhi public PC, cyber cafe apr net banking ka istemal na kare.  Aesa karne se koi aapki details chori kar sakta hai or aapke account ke sath chedchad kar sakta hai.

2. Don’t Create Loose Password:

Online transaction me hone wali ye sabse badi mistake hai. Lagbhag 60% user simple or loose password istemal karte hai. 123,@45 jaise easy password ko hacker badi aasani se hack kar lete hai. Isiliye jaruri hai ki aap strong passwod ka istemal kare.

Internet banking ke liye kabhi bhi kamjor password ka istemal na kare. Humesha long and strong password ka istemal kare. Agar aapko password yaad rakhne me problem hoti hai or aap strong password nahi bana sakte to aap humari Strong Password Kaise Banaye, Majbut Password Banane Ki 8 Best Tips post read kare. Isse aapko sabhi probelms solve ho jayegi.

3. Don’t Have Antivirus:

Aapke desktop laptop me antivirus ka hona jaruri hai. Antivirus ke bina kisi bhi tarah ka online trasaction karna danger ho sakta hai. Bahut se log paise bachane ke chacker me apne PC me Free Antivirus install kar lete hai. Actually free anti virus me se bahit se antivirus hackers ke hote hai or aapke use PC me install karne ke bas hacker ko aapka data churane me aasani ho jati hai.

Kabhi bhi interent se kisi bhi tarah ka antivirus istemal karne se bache ye hackers ka ho sakta hai. Hacker inhe aapke PC me jane ke liye banate hai or jab koi inhe use karta hai to wo badi aasani se uska personal data chura lete hai.

Digital transaction ke liye hi nahi aapke PC ki security ke liye antivirus jaruri hai. So humesha apne PC, laptop and mobile me bhi koi na koi licence wala antivirus istemal kare.

4. Don’t Use Public WiFi:

Digital transaction ke istemal ke liye bahut se log free internet ke lalach me aa kar free internet ya public Wi Fi ka istemal karte hai. Public Wi-Fi ya free interent connection par hacker aasani se aapka data hack kar sate hai. Kyuki us par ek sath bahut se users online hote hai.

Jab aap thousands rupees ka transaction kar rahe ho to aap 10 to 20 rupee ka internet data bhi kahrch kar sakte ho. Aapko digital transaction ke liye only personal PC ya apna mobile hi istemal karna chahiye.

5. Don’t Log Out:

Jab bhi hum internet banking se online payment karte hai to hume log in karna hota hai. Net banking, mobile banking, wallet app ya fir kisi bhi process me sign karna jaruri hota hai. Kei bar user transactions complete hone ke bad log out karna bhool jate hai.

Halanki aapke process complete hone ke bad site ko off ya leave karne ke bad autuomatically log out ho jata hai but risk lena jaruri nahi hai. Safety ke liye jaruri hai ki aap kisi bhi tarah ka online payment karne ke bad sign out karna chahiye warna aapka nuksan ho sakta hai.

6. Notification Alert & Messaging Service:

Internet banking, phone banking ya koi or tarika sabhi me notification alert option hota hai or humare koi bhi online payment karne par message ya email ke through bank hume uska notification alert send karti hai. Jisse hume pata chal jata hai ki humare account se kitne paise cute hai.

Agar aapke account par notification alert feature activate nahi hai to ye aap sabse badi galti kar rahe ho. Aapko abhi apni branch ja kar ye option active karwa lena chahiye. Uske bad hi online payment kare. Taki aapke sath koi bhi problem hone par aapko pata chal sake or aap uski report bank ko kar sako.

7. Don’t Check Account Regularly:

Bahut se log kafi time tak apne bank account ko check nahi karte. Na hi entry karwate hai or na hi account ke bare me koi detail check karte hai. Iski wajah ye ho sakti hai ki wo sochte hai ki unka account safe hai or unka koi nuksan nahi ho saktai ya fir kuch or main nahi janta.

But jo log online transaction karte hai unka regularly account details check karna jaruri hai. Aap internet banking par har ek transaction ki details check kar sakte ho so aapko time to time apne account ki detail check karte rahe. Agar aapko kisi bhi transaction par shaq ho to uske bare me bank branch ko alert kare.

8. Keep Browser Security:

Digital transaction karte time user ko teste browser ka hi istemal karna chahiye. UC browser jaise third party browser ka istemal bilkul bhi na kare. Browsing security se related main aapko kuch jaruri point bta deta hu.

  1. Private Browsing: Humesha online transaction ke liye private browser ka istemal kare. Aap google chrome, Opera, Mozilla sabhi apr Ctrl+shift+N key button daba kar private browser open kar sate ho.
  2. Check https: Humesha jab bhi online net banking ka istemal karo to browser URL bar me check karo ki site https:// SSL certificate security ke sath open ho rahi hai ya nahi. https me s ka matlab hota hai security or agar link me https na ho kar only http hai to uska istemal na kare.
  3. Check www: Agar site www ke sath open hoti hai to ye bhi check kar le. Kei bar hacker www3.xample jaise URL se user ko dhoka de sakte hai.

Mostly aap chrome, Opera or Mozilla Firefox browser ka hi istemal kare ye baki sabhi internet browser se jayda secure hai. Safe net banking ke liye browser security jaruri hai.

9. Don’t Change Password:

Kuch user kafi time bad bhi apne password change nahi karte hai or mostly ek hi password istemal karte hai. Ye ek bahut badi galti hai. Aesa karna bhi danger ho sakta hai kyuki isse hacker ko aapka ccount hack karne ke liye kafi time mil jata hai.

Password ko time time badalte rahe or new password pahle se jayda strong banate rahe taki aap cyber crime se bache rah sake. Is process se online transaction ki safety bani rahti hai.

10. Don’t Open Phishing Mail:

Hum sabhi ke gmail account par aksar lottery and other big offer ke phishing mail aate rahte hai. Actually, is tarah se hacker humari personal data churane ki koshish karte hai. Kuch mail me to aapko lalach de kar aapki personal information puchi jati hai.

First to aese mail ko open hi na kare or kar bhi le to kabhi bhi uska reply kar apne usrname, password ya kisi bhi tarah ki koi personal details share na kare. Online digital transaction karne walo ke liye ye bahut hi jaruri tips hai warna aapka account hack ho sakta hai.

Inke alawa kabhi bhi apna debit card ya credit card apne kisi friend ya kisi or ke sath share na kare. ATM card par card number or CVV number likhe hote hai. Jo hacker ke hath lag gaye to aapko problem ho sakti hai.

Agar kisi hacker ko aapke card ke ye 2 number mil jaye to wo easily aapke account se money transfer akr sakta hai. Iske liye card ka hona jaruri nahi hai. So safety ka dhyan rakhe taki aapke sath koi problem na ho.

I hope online digital transaction ki safety wali ye tips aapke liye useful and helpful sabit hogi or ab aap safe net banking kar sakoge. So is article ko social media par baki logo ke sath bh ishare kare taki unko bhi iske bare me pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 50 )

  1. abitha kumari

    Thank a lot for this post that was very interesting. It’s really helpful for all of us. Keep posting like those amazing posts, this is really awesome.

    Reply
  2. anusha

    Thank you for sharing. This is very useful and good information. I got more information from your site. Glad to see more post from you.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...