Generally, hum jab bhi google, bing and yahoo jaise popular search engines me searching karte hai to we humare dwara search ki gayi bato ko track kar lete hai. Taki humari choice and activity se related advertisements dikha sake. So agar aap chahate hai ki search engine aapki history store na re or aap jo search engine me search karte ho us content ko track kare to aap private search engine istemal kar sakte hai. I n this post, yaha mai aapko 12 private secure search engine ke bare bare me bta raha hu jo na to apaki history ko store karte hai or na hi aapki searching ko track karte hai.
Actually, Internet use karne ke liye hum sabse jyada google chrome browser, opera browser and mozilla firefox browser ka istemal karte hai. Ye sabhi search engines humari searching activities ko track karke usi ke hisab se ads show karte hai or usi ke anusar results show karte hai.
- Blog Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare
- Blog Ko Hackers Se Kaise Bachaye 100% Working Security Tips
Aap chaho to security ke liye chrome browser par Ctrl+Shift+B key button daba kar private browsing kar sakte ho. But fir bhi aapki activity track hone ka dar bana rahta hai. Isiliye mai aapko suggest karunga ki secure browsing karne ke liye private search engine use kare. Internet par ayse bahut se search engines hai jo na to aapki history ko bookmark karte hai or na hi aapki searching gatividhi ko trace karte hai.
Google Se Bhi Jyada Secure Hote Hai Ye 12 Search Engines
Internet par kuch ayse bhi search engines hai jo aapki privacy ke sath security ka bhi khyal rakhte hai. Mai manta hu ki aapko ye dekhne me shayad hi pasand aaye par security chahiye to ye aapke liye behtar sabit ho sakte hai.
1. DuckDuckGo
Ye sabhi private searchengines me popular or secure search engine hai. Ye superior search experience ke sath smarter answer show karta hai. Ye aapke dwara search ki gayi cheezo ko kabhi bhi track nahi karta hai or turant result show karta hai. Isme ek day me 10 crore search hote hai.
2. Startpage
Startpage proxy server ke jariye browsing ka option deta hai. Jisse koi bhi website aapki location ya IP address track nahi kar pati hai. Ise aap apne browser me add kar sakte hai or apni pasand se colot theme bhi choose kar sakte hai.
3. WolframAlpha
WolframAplpha ek Computational Knowledge Engine hai. Jo bilkul satik jawab deta hai. ye aapke dwara search kiye gaye content ko store nahi karta or na hi kuch track karta hai. Ye private search engine Inbuilt algorithms se calculation karta hai or health, fitness, music and movies etc ke bare me expert knowledge show karta hai.
4. Gibiru
Ye bhi puri tarah se uncensored magar ancripted search engine hai. Jisme kisi bhi third party data leak hone ki gunjaish nahi hai. Iski sabse achi bat ye other baki search engines se fast chalta hai. I mean tej work karta hai kyuki ye google custom search engine ka istemal karta hai. However, ye google dwara istemal ki jane wale script tracking method ko hata deta hai.
5. Yippy
Iski help se aap results ko manually filter kar sakte hai or kisi kharab result ko flag kar sakte hai. Is par aap we, images, pictures, photos, news, blogs or government deta etc ko search kar sakte hai. Is par aap google ki hi tarah chached page bhi dekh sakte hai.
6. Privatelee
Privatelle ka main kaam top search results me se best results show karta hota hai. Is par https ki security bhi available hai. Isme aap powersearch commands se aap apna search source aur other product choose kar sakte ho. Iska ek or name Qrobe.it bhi hai.
7. MetaGer
Yeh ek metasearch engine hai. Ye search engine bhi aapki private search ko protect karta hai. ye proxy server ko use karta hai or destination server se aapke IP address ko hide rakhta hai. Ye germany se based hai or iski default language german hai.
Ye search engine google, bing, yahoo or ask jaise big search engines se madad leta hai. magar aapke online ya IP address or location ko track nahi karta. Ye un sabhi invisible websites ko visualize and block kar deta hai jo aapke IP address, location and browsing history ko track karte hai. Isse aap location ke aadhar par searching kar sakte hai.
9. Oscobo
Ye search engine kisi bhi type ka data store nahi karta hai or na hi kisi third party ko karne deta hai. Ye aapki personal information kisi bhi other sites ko share nahi karta hai. Mostly ye UK me istaml kiya jata hai.
10. Gigablast
Ye ek small independent web search engine hai jo New Mexico se based hai. Inme billion web pages indexed hai or ye aapki online search ko track kiye bina fast results show karta hai. Ise bhi best private search engines me se ek mana jata hai.
11. Hulbee
Hublee bhi aapki search ko track nahi karta hai or intelligent information show karta hai. Yeh aapke search ko ancript karta hai.
12. Lukol
Lukol search engine google ke customized search result dikhane ke liye proxy server istemal karta hai. Ise top private search engine me se ek mana jata hai. ye online froud karne walo or spammers ko dur rakhta hai or aapke search ko bhi private rakhta hai. Isme aapke search ka track hona na ke barabar hota hai.
Finally,
Generally aapko apne personal PC (computer or laptop) me secure search engine ki itni jarurat nahi hoti hai but agar aap cyber cafe ya kisi or ke desktop par internet use karte ho to humesha private search engines me net istemal kare. Isse aapka persoanl data chory hone ka dar kam hoga or koi bhi aapki private details pata nahi kar payega.
- Google Gmail Account Ke Password Secure Kaise Kare
- Facebook Account Block Kyu Hota Hai Most 11 Karan (Reasons)
I hope is post se aapko apni internet activity ko other people and trtacking sites se bachane me help milegi. So is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.
pramod
pure blog par bhai... na logo na post me dale wali image na feature image kuch bhi show nahi hopbn1raha ..
Jumedeen Khan
Aapke blog ki post me image show ho rahi hai. Aap kam size ki image use kar rahe ho thodi badi image use karo.
Himanshu
Bro ye data entry job kya hota h isme kya karna hota he maine paper me ek add padha tha jisme likha tha data entry job ke jariye 20000 se 40000 tak kamaye is job me humko kya krna pdta h or kya sch me itni salary milti h ya nhi ager nhi milti to kitni tak milti h please iske bare me btaye bro.
Jumedeen Khan
Mai iske bare me aapko currect information nahi de paunga. aap kisi or se connect karo jo is field me work karta hai.
Vivek Choudhary
Data entry ka matlab hota hai computer me kisi bhi prakar ka data enter karna. example- form fill karna, aur aapne jaisa bataya ki shuru me hi 20,000-40,000 rs. payment to ye froud hai. kyoki data entry ki shuru me 2000 se jyada se jyada 8000 ho sakti hai.
Sanjay Singh Rawat
Lakin bro jo bhi ho Google No. 1 Search Engine hai kyu ki google hame bahut saari free service provide karta hai.
pramod
nahi sir maine template change karke dekha aur dusre logo ke blogger blog ko chek kiya sabhi ke image show nahi ho rahe hai
Jumedeen Khan
Pramod aap mujhe ye btao ki image kaha par show nahi ho rahi hai.
kishor
Mai apke liye qyality post likhuga to kya aap mujhe paymate doge...
Jumedeen Khan
Aap guest policy padh lo.
pramod
sir blogger blog ke images kyo show nahi ho rahe hai.. kabhi hote hai kabhi nahi hote aaisa kyo ho raha hai aur maine baki logo ke bhi blogger blog chek kiye sabhi ko yahi problem aa rahi hai kyol
Jumedeen Khan
Aap blog ki template change karke result check karo.
Harpreet Kumar
Bahut usefull tips bataye hai apne bhai. Cyber cafe jaise jagah par apni privacy ke liye secure search engines ka use bahut acha rasta hota hai. Isse ek toh hamare personal information chori hone ka khatra nahi hota dusra koi hacking problem ka dar nahi rehta.
Manish
Sir maine aapko guest post bhej diya hai please ek baar check karle.
Jumedeen Khan
k ma icheck karke aapko reply kar dunga.
Sandeep Jinagal
Bhai sirf tor browser use karo. Full privacy hai usme
yash
Bro m jese google p home p ata hu to muje post half half dikte h niche scroll krne par, fir unpe kisi ek p click kru to pura post dikta hai... Esa mje bi aone WordPress m add karna h plz btaiye apne ye kese kia???
Jumedeen Khan
Yash aap apne blog ki theme change karo sari problem solve ho jayegi.