Google Disavow Tool Ke Bare Me 8 Galat Baatein

Google chahata hai ki hum google disavow tool ka istemal karke bad backlinks ko disavow kare taki wo unhe humari site ke backlinks me count na kare lekin kuch google disavow myths se confusing hoti hai. Is post me main google disavow tool ke bare me top 8 myths ke bare me btane wala hu. Google Disavow Tool Myths in Hindi.

Google Disavow Tool Myths

Google disavow tool ke bare me bahut kam log jante hai aur iski kam jankari hone ki wajah se webmasters ko confusing hoti hai lekin kuch expert bhi hai to is tool ke bare me experience rakhte hai.

Agar aapko google disavow tool use karne ki step by step guide chahiye to aap humara Google Disavow Tool Se Bad Backlinks Ko Remove Kaise Kare article read kare.

Google Disavow Tool Myths in Hindi – Guide for 2024

Is tool ke bare me knowledge rakhne wale experts easily in common google disavow myths ko solve kar dete hai. Aayiye jante hai google disavow tool mys hindi me.

1. Google Disavow Tool Ab Kaam Nahi Karta

Bilkul galat, google disavow tool aaj bhi pahle ki tarah properly work karta hai, bas aapko iske kaam karne ka tarika sahi se samjhna hoga.

Iske bare me main already Google Disavow Tool Real Me Work Karta Hai Ya Nahi? post me discus kar chuka hu.

2. Disavow Karne Ke Bad Rank Recover Na Hona

Ye confirm nahi hai, ye current situation par depend karta hai. Jaise ki agar google ne aapki site par manually action liya hai ya fir aapki site fully unnatural links se connected hai to rank recover ho jayegi kah nahi sakte.

Becase aesa ho sakta hai ki in unnatural links ki wajah se hi aapki site google me top rank kar rahi ho to google penalty milne ke bad uski rank disavow tool se bhi recover nahi hogi.

3. Humesha Domain Level Disavow Kar Dena

Humesha domain level link disavow nahi karna chahiye, agar aap kisi high authority site se mile backlink ko remove karna chahate ho to uske sirf page links ko disavow karna better hai.

4. Disavow Tool Use Karne Se Site Ki Rank Down Ho Jayegi

Ye bilkul galat hai, google disavow link tool ka istemal karne se aapki site ki rank hurt nahi hogi balki aapko benefit milega.

Haa agar aap iska sahi tarike se carefully use nahi karte ho to aapki site ki rank affected ho sakti hai.

5. Disavow Tool Link Hatane Ka Pryas Hai

Bilkul nahi, disavow tool se aap bad links ko remove nahi kar sakte. Isse sirf aap google search engine ko bta sakte ho ki ye bad links aapki site ke links me count na ho aur inse aapki site ki search ranking par asar na pade.

6. Links Disavow Karne Se Google Spammer Man Sakta Hai

Bilkul nahi, google aesa kabhi nahi karega aap tension free ho kar bad links ko disavow kar sakte hai. Ye sirf ek myth hai.

Agar aap paid backlinks ka istemal karte hai aur google se aapko penalty milti hai to baat alag hai.

7. Disavow Tool Manual Penalty User Ke Liye Hai

Bilkul nahi, google disavow tool sirf penalty users ke liye nahi ai balki all websmasters jo apni site ke bad links ko disavow karna chahate hai, is tool ka istemal kar sakte hai.

8. Links Disavow Karne Se Better Hai Na Kare

Kuch log mante hai ki bad backlins ko disavow karne se better hai disavow na kare aur aese hi rahne de.

Aesa karne se google jaise hi aapki site par spam links ko read karega to aapki site ko penalyze kar dega aur next algorithms update me aapki site ki rank down ho jayegi.

Conclusion,

Google disavow tool ka istemal karne se pahle iske bare me achhe se jan le ki Google Disavow Tool Se Bad Backlinks Ko Remove Kaise Kare taki aapko koi problem na ho.

Bad backlinks ko site ki search rank affect karne se rokne ke liye liye ye bahut hi achha tool hai aur main humesha iska istemal karta hu.

Aap bhi iska istemal kare aur koi issue ya question ho to niche comment section me puch le.

Sath hi is article ko toher bloggers ke sath share jarur kare taki wo bhi is tool ke bare me jhuthi baato ko jan sake.

In: Categories SEO
Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Leave a Comment

I need help with ...