Website Blog Ke Liye Badhiya Domain Name Kaise Select Kare 7 Tips

Jab aap online bussiness shuru karna chahate ho ho sabse important hota hai apni website ke liye ek most better domain name select karna. Kyuki domain site site ka sabse important (Ahem) feature hota hai. Ek behtar online bussiness ke liye ek better domain name hona bahut jaruri hai.

Deside better domain name for your site

Is article me mai aapko badhiya domain name choose karne ke bare me kuch top tips bta raha hu.Jinki help se aapko apni site ke liye acha domain name select karne me aasani hogi. Websitew ka domain choose karna bilkul wese hi hota hai jaise hum Child (Baby) ke born par uske liye badiya name decide karte hai.

Kyuki wo name lifetime uski pahchan ban jata hai. Same wese hi aapko apni site ka topic bhi bahut soch samajh kar rakhna hai. Har koi chahata hai ki uski site ka name sabse alag or sabse best ho but blog ke liye ek achha domain name decide karna aasan nahi hai. Khas kar newbie blogger ko isme sabse jyada problem hoti hai.

I am back my topic, Ab aapko ye to pata chal gaya hoga ki jis tarah hum baby ka name soch samajh kar rakhte hai, Wese hi hum ko apni website ka name decide karna hai. To chaliye mai aapke is kaam ko thoda easy bana deta hu. I sure niche diye step padhne bad aap apne online bussiness ke liye sahi title choose kar sakoge.

Website Blog Ke Liye Badiya (Great) Domain Name Kaise Select (Decide) Kare

Sabse jyada popupar or common domain name .com, .org or other top level domain hai jo world me sabse jyada use hote hai. Simply hume top-level domain hi choose karna chahiye.

Wese .tk, .mobi, .net jaise domain name bahut hai. But aapko aysa domain select karna hai jo aapke online bussiness me 4 chand laga de or aapki internet par sabse alag pahchan ban jaye.

1. Choose Only Words Don’t Choose Keywords

Domain select karte time keywords ko use karna sabse important thing hai. Mujhe blogging me kafi time ho gaya hai or ab to blogging mera online bussiness ban gaya hai. Mujhe online business ki jitni bhi jankari hai.

Uske hisab se mera kahna hai ki website ke domain me ek top level word hona jaruri hai but domain me keyword use na kare or domain 2 ya 3 words ka hi hona chahiye. Kyuki 3 words se jyada words ke domain ko yaad rakhne me problem hoti hai.

Ab aapko domain me ek badhiya word or total 3 words hi use karne hai. examply aap SUPPORTMEINDIA ko dekh saktew ho, SUPPORT – ME – INDIA. Isme 3 words hai support and india top popular words hai. I mean support or india dono india me fomus hai or sabh in shabdo ke bare me jante hai. Mujhe hindi me blogging karni thi or mai chahata tha ki mera domain sabser alag ho or iska mujhe bahut benefit bhi mila hai.

Bas aapko isi tarah 3 words me hi apna domain select karna hai. Agar aapko isme problem hoti hai to aap Bust A Great Domain Name For Your Site post padhe. Isme aysi site ki jankari di gayi hai. Jisme aapko 2-3 words add karne hai or aapke samne bahut sare domain aa jayenge. Aapko jo bhi pasand ho aap wo select kar sakte ho.

2. Choose Domain Related Your Niche and Interest

Sabse important bat aap jo bhi domain select karo. Wo aapki site par share ki jane wali jankari (Site Content) se related hona chahiye. Domain name se hi ye pata chalna chahiye ki is site par kiske bare me jankari hai.

Yaad rah galat domain select karne se aapko aane wale time me blogging chodni bhi pad sakti hai. Kyuki galat domain ki wajah se future me aapke pas article likhne ke liye koi topic nahi hoga. Natijan aapka interest khatm ho jayega.

Agar aap apne interest se related site banaoge to aap us par lifetime kaam kar sakte ho. Kyuki apni pasand ke kaam me aap kabhi thakoge nahi or na hi aapko kisi cheez ki kami mahsoos hogi. Apne interest se kaam karoge to aapko usme success jarur milti hai. Kyuki jab hum apne interest ke liye work karte hai to paisa or saflta dono aapke piche bhagne lagte hai.

3. Ask Other Success Bussiness Man

Agar aap kisi success blogger ya website owner se apne liye domain choose karne ke liye kahoge to koi bhi aapko iske bare me nahi btayega. Kyuki wo nahi chahata ki kal ko aap apni unsuccess ke liye use galiya do.

So kisi se domain decide karne ke bare me puchna bekar hai. Aapko dusre safal logo se puchna chahiye ki domain select karte time mujhe kin kin bato ko dhyan me rakhna hoga. I promise sabhi aapki help karne ko taiyar ho jayenge.

Is tarah se aap 8-10 ayse person se bat karo jinhe aap apna ideal mante ho. Uske bad un sabhi ki btayi bato se decide karo ki aapke liye kya behtar ho sakta hai. Yakinn aap is trick se ek acha domain choose kar sakte ho.

4. Don’t Copy and Other Related Domain

Newbie blogger se sabse badi galti ye hoti hai ki wo dusro ki copy karke ya dusro ke domain se rleated domain regiter kar leta hai. Isme 1 to 10 number par wo apne hi ideal ko shikar banata hai.

Examply jaise kisi ko aapke blog ke bare me pata chala or use blogging ke bare me jyada jankari nahi hai to wo to bas aapke jaisa bannna chahata hai. So wo sabkuch aapke jaisa hi karne lag jata hai. Ye tarika bilkul galat hai or us ne user ko bad way par le jata hai.

Man lijiye aap ne mere blog supportmeindia se related domain jaise supportmeyou.com, supportmeblog.com and other koi bhi domain buy kiya hai. Ab aap mere hi idea se blogging karoge to ye bat to tay hai ki aapke blog me mere post likhne ke tarike ki jhalak jarur hogi.

Ab problem ye hai ki google user ko uski pasand (User activity) ke hisab se search result dikhata hai. Ab jab aapka koi visitors aapke koi post search karega to use aapki post ke sath meri bhi post mil jayegi. Jiska natija ye hoga ki aapke sare visitors dheere dheere meri site par aa jayenge. Sirf ek galat domain choose karne ki galati se aapki sari mehanat kharab ho jayegi.

So kisi site se related domain kabhi bhi select na kare. Aapka domain aapki sabse badi property hai. So aapka domain sabse alag or sabse better hona chahiye. Jisse internet user aapko sabse alag nazaro se dekhe or wo aapke fan ban jaye.

5. Easy To Remember

Apne chilhood ko yaad kijiye or sochiye bachpan me aapko long meaning ko yaad karne me kitni problem hoti thi. hoobasiatiuam.com kya aap is domain ko ek bar padhne ke bad fir se bol sakte hai. Nahi, to apne blog ke liye bhi aysa domain banao jo ek bar read karne se hi sabko yaad ho jaye.

Isliye domain jitna ho sake short domain hi choose kare. Jisse aapke old reader aapki site par return aa sake or aapki site par traffic bana rahe. Domain ki spelling kuch aysi choone jo yaad rakhne me bahu aasan ho. Examply aap supportmeindia ko dekh sakte ho.

6. Choose Top Level Domain

Puri duniya me sirf ek hi domain sabse jyada popular hai, .com. Jab bhi kisi site ki bat hoti hai to uske piche .com hi yaad aata hai. Or 90% internet user .com type karne me expert hote hai. Wese .org and some other domain bhi is time kafi popular hai. but mai aapko .com hi suggest karunga.

Agar aap sirf apni country ke liye site banana chahate ho to aap country level domain select kar sakte ho. jaise india ka country level domain .in hai.

Aapko bahut sare domain milenge. But jaha tak ho sake “.com” hi use kare. agar .com available na to to hi aap other domain choose kare.

7. Sabse Alag Sabse Hat Ke

Agar aapko internet par apni pahchan banani hai to mai aapko kahunga ki aap apni site ke liye aysa domain select kare jo sabse alag or sabse hat kar ho. Jisse related koi bhi other domain na ho. Kyuki kisi dusre domain me 1-2 words kam jyada karke domain lene se internet user aapko copy cut samajhane lag jayenge.

Or jaise hi unhe aapki site se related site ka pata chalega Internet par aapki image kharab ho jayegi. So agar aap real me online bussiness karna chahate ho to logo ka dil jitna jarury hai.

Or log aapko tabhi pasand karenge jab aap unke liye sabse alag kaam karke btaoge. Agar aap sabse alag hoge to aapke audience aapki new post ka besabri se intjar karenge. So jitna ho sakr copyrighting se bache or apne aapko dusro se hat kar sabi kare.

Ummid karta hu aapko new domain select karne me is post se help milegi. Or agar aap fir bhi apne liye acha domain decide nahi kar pa rahe ho to apne aapko tenyion mat do.

Aap khud ko thoa waqt do or dusre kaam par dhyan do. Kuch din bad aapke dimag me apne aap ek better domain ka name aa jayega. Ya fir aap iske liye domain search karne, domain name banane wali online site Bust A Name, Impossibility, Domjax jaisi online website ki help se good domain pata kar sakte ho.

I hope aapko ye article pasand aayega. Agar ha to is article ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 52 )

  1. ADarsh Beck

    Sir may .ooo ka domain liya hai kya ye google me rank karega

    Reply
  2. Lalit gajare

    Sir mene wordpress se 1 free website banai hai.
    Lalitsweb.wordpress.com

    Agr muje ye website custom domain (letsfitme).com se join karne hai to hoga k nhi plz bataona sir

    Domain connect karne me problem auegi?
    Subdomain ko customs se connect krne ko

    Reply
    • Jumedeen khan

      Ho jayega no problem, aap koi bhi domain connect kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...