Har din bahut se log website launch karte hai unme se adhiktar log student hote hai ya fir aese log jo extra money earn karne ke liye blogging website banana chahate hai. Unme se kuch free domain aur free web hosting le kar site create kar lete hai lekin bad me unhe bahut si problems hoti hai. Is post me hum Free Domain Name Kyu Istemaal Nahi Karna Chahiye iski kya wajah hai ke bare me details se janenge.
Bahut se webmasters ke pas domain name register karne aur web hosting buy karne ke liye paise (enough money) nahi hote hai to wo google me free domain name or free hosting search karte hai.
Dukh ki baat ye hai ki free domain name or free web hosting provide karne wali bahut saari website hai. Adhiktar free domain name wali sites .com, .net, .org top level domain dene ki bajaye dot tk .tk, .ooo, .ml, .cf, .ga, .gq jaise domains provide karti hai.
Free Domain Kyu Use Nahi Karna Chahiye
Free domain two type ke hote hai. Jaha ek me aapko koi product purchase karna padta hai wohi dusra bina kisi commitments ke mil jata hai. free domain use kyu na kare?
Free Domain with a Paid Product
Godaddy jaisi big company apne products ki sell badhane ke liye free domain offer karti hai. Isme aapko product buy karne par apni pasand ka top level domain free me mil jata hai.
Kai bar aap TLDs domain ko bahut kam price me buy kar sakte hai lekin next year doman renew me aapko jyada pay karna hota hai. Godaddy aksar aesa karta hai.
Free Domain without Any Commitment
Kuch companies bina kisi commitment ke free domain provide karti hai lekin wo top level domain dene ki bajaye .tk, .ml, .ga, .cf, .gq etc. deti hai.
In dono types me se first wale free domain me koi problem nahi hai aur agar aapko top level domain mil jata hai to bhi koi problem nahi hai lekin .tk jaise free domains ka istemal nahi karna chahiye.
Isi free ke lalach me aa kar log sochte hai ki jab hum free me sabkuch mil raha hai to payment karne ki kya jarurat hai. Lekin ek sach main aapko bta du aesi koi site pata karo jo free domain ke sath successful hai. I think nahi milegi.
Jara sochiye web server or domain name management me register, registry, ICANN etc. charge lagte hai or office expenses, salary ka bhi cost lagta hai to koi company aapko kaise free domain de sakti hai.
Chaliye ab main aapko free domain name use na karne ke reasons btata hu, why not use free domain in hindi. free domain istemal nahi karne ki wajah.
Free Domain Use Na Karne Ki 5 Badi Wajah
Free domain use karne ka fayda yani benefit ye hai ki aapko domain name registration karne ke liye pay nahi karna hota lekin nuksan bahut hai, aese bahut se reasons hai jo clear karte hai ki hume free domain name istemal nahi karna chahiye. Free domain use karne ke nuksan.
1. Domain Ownership
Usually, jab aap koi domain register karte hai to aap us digital assets ke owner hote hai. Aap us domain ko renew kar sakte hai, koi bhi contact detail change kar sakte hai, domain ko kahi bhi host kar sakte hai, apni marzi ke anusar domain renew and transfer kar sakte hai.
Lekin jab aap kisi company se free domain buy karte hai to aap technically domain owner nahi honge. Iska matlab ye hai ki company kabhi bhi aapse domain wapis le sakti hai, kisi aur ko transfer kar sakti hai ya fir aapki sahmti ya permission ke bina domain ko delete kar sakti hai.
2. People will not Trust You
Har ek business mostly online business ke liye user trust bahut hi important hai. Free domain name yani disposable domain business brand ke liye better nahi hai.
Bahut kam log .ooo domain par believe karne, wo iski bajaye kisi .com site par visit karna pasand karenge aur gar aapke target visitors educated hai to wo sabhi iski knowledge rakhte hai matlab aapka business success nahi hona wala.
3. Free Domain Name Affect SEO
Search engine bahut smart hai, wo aasani se pata laga lete hai ki aap free domain name use kar rahe hai jo ki technically disposable domain name hai. Agar aao low level domain extension like .ooo use karoge to google usse jyada top level domain ko rank dega.
Agar aapka domain country level domain hai jaise ki .ml mali country ka domain jo ki free hai. Ab agar aap .ml domain le kar site banate ho aur us par hindi content share karte ho to socho wo rank kaise karega.
4. Free Subdomains
Free sub domain ek aur trcik hai jo companies use karti hai aur newbie ko bevkoof banati hai. Newbie ko sub domains aur domains ka difference pata nahi hota aur wo subdomain ko hi domain name samajh lete hai.
Halanki kuch subdomain website service better bhi hai jaise google ki blogger.com service lekin sabhi nahi, bahut si websites sub domains par website banane ke name par cheating karti hai.
5. Free Domain Real Cost
Free domain name ke sath website bana kar kaam karna matlab kisi anjan par believe kar bharosha karna wo bhi bina kisi registration ke, jiska koi bharosha nahi ki wo kab aapka sath chhod de. Ek din iski keemat chukani padti hai.
Main aapko ek example ke sath samajhta hu. Mohn ek student hai aur use technology ka achha experience aur knowledge hai. Wo online earning aur apne interest ke liye ek blog shuru karna chahata tha.
Usne free domain le kar website start ki aur us par kaam shuru kar diya. Agle 1 saal me uski site par thousands articles hai jo ki usne hard working kar likhe hai aur wo google adsense ke sath achhi earning bhi kar raha hai.
Ek din use ek mail aata hai jisme likha hota hai ki “uska domain name kisi aur ko transfer kar diya gaya hai ya use delete kar diya gaya hai”
Mohn mail padhte hi apni site ko browser me open karke dekhta hai to use site par apne content ki jagah domain company ka ad dikhayi deta hai. Mohn ki saari mehanat par pani fir chuka tha, ab uske pas kuch bhi nahi tha, income 0 ho gayi.
Ab mohn ko samajh aa gaya ki company ne uski 1 year ki mehanat ko cheen liya aur ab wo usse hone wali earning ka fayda utha rahe hai. Ye hoti hai free domain name extension ki real cost.
Conclusion
I know bahut se users ke sath free domains ke sath koi problem nahi hoti hai. Actually, free domain ke sath bahut kam website succssful hoti hai aur failed site domain se domain company ka koi fayda nahi hone wala. Matlab wo successful websites ko nishana banate hai.
Ye 5 badi wajah hai jo sabit karti hai ki free domain name istemal nahi karna chahiye. Mujhe lagta hai ki agar aap online website bana kar earning karna chahate hai ya aapka site banane ka purpose jo bhi ho better future ke liye aap 1k-2k ka investment to kar hi sakte hai.
Agar aapke pas itna budget nahi hai to aap koi aur work karke budget banaye aur paid domain name and good web hosting purchase kar website run kare taki future me koi problem na ho.
Ye bhi padhe,
- Khud Ki Website Bana Kar Paise Kaise Kamaye – Hindi Jankari
- Domain Flipping Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye – Puri Jankari
Free domains aur fee web hosting service ko avoid kare aur domain name purchase karke hi site bananye, aap godaddy se under 500 me domain le sakte ho.
Agar aapko ye jankari achhi lage to is post ko dusre blgogers ke sath share jarur kare.
Sir mene domain name change kiya hai 1 month ho gaya hai lekin meri blog post google mai index q nahi ho rahi ?
Godaddy se hosting or domain dono lene chahiye ya only domain….
Hosting bluehost se
Ek se dono lene m kya problems h and kya benefit
Please help me dear
Problem kuch nahi hai, bas agr aap India traffic site ke liye hosting le rahe hai to aapko India based hosting leni chahiye.
Thanks sir aapka post read karke kafi help hua me .in domain purchase kiya hu
jdk sir apne acha samjaya mujhe yeh aricle pad kar acha laga apka sir waise sir short term ya kisi event bloging ke lye domain use karna toh bura nhi hai naa sir
total 5 disadvantage hai, sabko care karo.
Thanks bhai aapne ye post share ki,
Kyoki mera hi ek dost hai jisne kuch din pahle hi free domain us kiya hai, aur ye bat me janta hoo ki usne free domain ke sath work karna shuru kiya hai,
Wo abhi blogging ke bare me research kar raha hai hai, me jald hi use ye post share karle free domain par kaam karke koi paid domain lene ko samjaunga,
Ye jankari newbie ke liye bahut helpful hai,