Top 10 things to know before domain registration: Jab humara business internet par online hone ke liye ready ho jata hai to hume sabse pahle ek good domain name ki talash hoti hai or hame iske liye kafi searching karni padti hai magar sirf search karne se good domain name buy nahi kiya ja sakta. Domain registration karne se pahle aapko kuch jaruri bato ka pata hona chahiye taki aap brand domain le sako. Is post me main aapko new domain name purchage karne se pahle aapko kya kya pata hona chahiye or ek good domain kaise buy karte hai ke bare me details se btaunga. Without a top domain ke aapka online business successful nahi ho sakta.
Aaj ke time me business ka internet par online hona bahut jaruri ho gaya hai. Business ko online na karna aapki bahut badi galti hai or aap apne 40% customers ko avoid kar rahe ho. Online business karne ke liye brand domain names ki jarurat hoti hai. Ek good domain registration karna easy nahi hai. Aapko domain buy karne se pahle domain name ke bare me kuch important thinks ka pata hona jaruri hai. Tabhi aap brand domain purchage kar sakoge.
- Domain Name Kya Hai or Domain Kaha Se Kharide
- Website Blog Ke Liye Badhiya Domain Name Kaise Select Kare 7 Tips
I know ki aap internet par brand domain register karne ke bare me searching kar knowledge le sakte ho but main ye bhi janta hu ki in sab ke liye aapke pas time nahi hai or aap bina time west kiye bahut jaldi domain registration ke bare me information pata karna chahate ho. So kaisa hoga agar aapko iski ek jagah hi full details mil jaye.
Is tutorial me main aapko “domain name buy karne se pahle kin kin bato ko dhyan me rakhne ki jarruat hoti hai?” ke bare me bta raha hu.
Domain Registration Karne Se Pahle Aapko In Bato Ka Khyal Rakhna Chahiye
Online success business karne ke liye ek good domain ki jarurat hoti hai or ek good domain buy karne ke liye aapko domain registration ki kuch jaruri bato ka pata hona chahiye tabhi aap apne business ke liye brand domain register kar sakoge.
Top thinks to know before buy a new domain name:
1. Check Domain Availability:
Check registered domain names. Domain regiration karne ka ye crucial step hai. Jab aap kisi unique name ke sath online business build karna chahate ho to pahle ye pata kar le ki aapke businesss name wala domain available hai ya nahi.
Ho sakta hai aapki pasand ka domain already kisi ne register kar liya ho kyuki world bahut bada hai or aesa hone apr aap apne online business ko lost kar doge. Iske alawa aap expire domains ko bhi check kar le. kuch log domain register kar use renew nahi narte hai or time out hone par wo expire ho jate hai. Iske liye aap www.expireddomains.net site par expired domains check kar sakte ho.
2. Top Level Domain Name:
Main top level domain names .com, .org, .net, .info hai. Inme se sabse jyada .com domain ka extension hai. Main aapko strongly recommend karunga ki aap .com domain hi buy kare kyuki iska extension sabse jyada hai. All world me aapke business ko search ranking me top par lane ke liye .com domain name sabse best or har business ke liye fit hai.
But agar aapka business local area tak limited hai or aap world ko target nahi karna chahate to aapke liye country level domain perfect hoga. Jisse aap apne areas ko easily target kar sakte hai. Iske bare maine niche 5 point par btaya hua hai.
3. Easy to Type and Remember:
Aap jitni bhi online websites like Facebook, Twitter, Google, Wikipedia, Amazon, Flipkart and other sites ke bare me jante ho un sabhi ke domain name easy, simple, short and eye catching hai. Aap inhe aasani se yaad rakh sakte ho or aasani se type bhi kar sakte ho.
Aapko bhi apna online business inhi ki tarah popular karna hai to aap bhi apne busienss ke liye aesi tarah ka short, simple, yaad rakhne or type karne me aasan and eye catching domain name register kare.
4. Use Keywords:
Search engine optimization (SEO) ki tarf se domain me keyword istemal karna better btaya gaya hai kyuki aap isse apne business point ko easily target kar sakte ho or isse google search engine me aapke domain ki top ranking bhi hogi.
But aapka busienss multiple niche par hai to aap without keyword ka istmemal kiye domain le sakte ho. Domain name me keyword tab jaruri hota hai jab aap ek hi niche par kaam karne wale ho or aapka business ek hi topic ko target karta hai.
5. Target Your Local Area:
Agar aapka busienss local area tak simit hai or aap sirf apne area ko target karna chahate ho to aapke liye Top Country Level Domain behtat sabit hoga. Country level domain se aap apne country areas ko target kar sakte hai. Jaise india ke liye .in, USA ke liye .us and UK ke liye .uk domain register kar sakte ho.
Is tarah ke country level domain se aap kisi bhi country ko target kar sakte ho. Main iske liye aapko tabhi suggest karunga jab aap sirf ek hi country se traffic pana chahate ho. Baki all cases me aapko .com hi try karna chahiye.
6. Short and Fits Domain:
kei bar domain registration ki jankari na hone apr kuch log apne business se unrelated domain buy kar lete hai jo unke business par bilkul bhi fit nahi baithta. Ye bahut badi galti hai aapka domain name aapke business se match hona chahiye tabhi aapka business internet par alag pahchan bana sakega.
Iske alawa long domain se bhi bache. Long domain register karne se user na to use yaad rakh sakte hai or na hi sahi se type kar pate hai. Humesha short and type karne me easy domain name buy kare.
7. Avoid Matched Domain:
Dusre business websites se milta julta domain buy karne se bache like example.com or examples.com, halanki ye illegal nahi hai but aesa karne se hum usi website ke hanger ban jate hai. Jabki hume to alag business karna hai jiska name, work sabse alag or different ho.
Other domain se related domain lene se achha hai ki aap sabse alag domain buy karo. Isse aapki pahchan usi website ke name hogi or aap humesha uske pichhe chalne wale mane jaoge. So jitna ho sake sabse alag domain registration kare.
8. Avoid Hyphens and Numbers:
Agar possible hai to domain name me hyphens and numeric ka istemal karne se bache like blogtips12.com. lession1.com, Is tarah ke domain unique nahi hote or sabse badi problem is type ke domains ko audience bahut kam pasand karte hai.
Ek without numeric domain hyphens and numbers wale domain se better work karta hai. Halanki main is matter par jyada pressure nahi dunga. Aapke liye ye jaruri hai or aapki choice hai to aap aesa kar sakte ho.
9. Protect Your Brand:
Jab aap apne business ke liye .Com ya other koi bhi brand domain register kar le to aapko apne brand ko protect karna hoga. Kyuki jab aapka business successful ho jayega to aapke competitor aapke domain name se similar domain names register kar aapke audience ko misrepresentation karne ki koshish karenge.
Is se bachne ke liye aap apne brand domain ke sath baki important local domain, country level domain ko bhi register kare or un sabhi ko apne main domain par redirect kar de. Jaise aapne example.com domain buy kiya to aapko example.in, example.us jaise jaruri domain le kar unhe main domain par forward karna hai.
10. Expanding Capability:
maine five and four step me btaya tha ki aap apne local area ke liye country level domain le sakte ho or better search ranking ke liye aap domain name me keywords istemal kar sakte ho. Is point ko kuch newbie galat tarike se follow kar lete hai.
- Aapko world wide businss karna hai or aap country level domain le lete ho.
- Domain me ek se jyada extra keywords ka istemal karna.
- Less popularity wale single product wale keyword use karna.
Hume sirf tabhi keywords ka istemal karna hai jab huamra keyword famous or top searches me ho. Local or less traffic wale keyword ko domain name me add karna bahut badi galti hai. Agar aap future me big business karna chahate ho or world wide audience ko target karna chahate ho to country level domain registration na karke aapko brand .com domain hi buy karna chahiye.
I hope upar btayi gayi domain registration se pahle jaruri bate aapki brand domain buy karne me help karegi. Ek good domain buy karne ke liye aapke pas koi or best tips ho to aap comment box me uske bare me bta sakte hai.
Aap domain registration ke bare me or bhi janna chahate hai to ye post bhi read kare Blog Ke Liye Konsa Domain Name Best Hota Hai Free Ya Paid.
Yadi koi company apna traidmark li ho aur uska domain dot in khali ho to use ham lekar publish kar sakte hai wo legally ham par traidmark hone ke wajah se case to nahi kar sakti hai n ?
case to nahi kar sakti par isse aapko koi fayeda nahi hai.
hello sir, mere pass ek domain tha jo ki godaddy se liya hua tha. ab expire ho gaya hai. ab mai naya domain lena chahti hu. sir me janna chati hu ki naya domain ko apne blog me add kar sakti hu. ya mujhe naya blog banana chahiye?
Yes kar sakte ho no problem.
Hi sir
Mene Ek domain liya hai godaddy se lene ke baad pata chala ki vohi Domain ka Subdomain name Dusre blogger par par pahle se hi Majud hai To kya ye Domain illegal hai
नहीं, illegal नहीं है
sir trandemark domain ko log kaise use karte hai kya vo log VPN use karte hai and kya ye krna illegal hai
trademark domain use karne ka legal tarika yahi hai ki aap uske owner se domain buy karo, baki tarike illegal hi honge.
Sir mann lijiye ki maine custom domain add kar dunga to kya majhe labh hoga,
agar sir ham apne blog ko wordpress par install kar denge to kya hoga
Look here Blog Ke Liye Custom Domain Name Kyu Jaruri Hota Hai
Kya sir blogspot me custom domain lagana jaruri hai kya
Jaruri nahi hai but better hai.
Sir google console me jo warnings aate hai agar unhe remove na kre to us se kya problem ho skte hai
Remove nahi karoge to aapki site ki search rank down hogi.
Sir aaj us pe 34 ho gye total clicks. Sir please btao na kya problem ho skte hai ye
Ye koi problem nahi hai ise ignore karo.
Sir kya aap mujhe Bt skte hai ke agar mene kuch smye phle ek domain buy Key Tha kumarfamil. Info ab me use kumarfamil. Com ke naam se buy kr lu to jo phle vale site domain pe jo data tha use. Com vale site domain pr kese lau
First aap new domain par blog banao or usme old blog ka data import karo.
Bhai Maine Serprank.com Se Free Privacy Policy Banai Thi Serprank.com Se Privacy Policy Page Banane Mein Koi Dikkat To Nahi Hai Jaise Blog Ko Google AdSense Se Approved Karate Wakt
Aap apni site ke liye khud privacy policy banao to behtar hai.
Brother Mera Account Godaddy.com Par Nahi Ban Raha Hai Baar Baar Dusra Password Daalne Ke Liye Bol Raha Hai Kya Karu
Aap mozilla browser me cache delete kar try karo.