Ek Successful Blogger Kaise Bane – 15 Blogging Tips 2024

Blogging ki shuruaat karna aur blog banana bahut aasan hai, aap ek domain buy kar blog start kar sakte hai lekin ek successful blogger banna utna aasaan nahi hai. Success blogger banne ke liye aapko content likhne ke alawa bahut kuch karna hoga. Toh chalo jante hai ki, Ek Success Blogger Kaise Bane? – Become A Successful Blogger in Hindi.

Become A Successful Blogger

Newbie blogger jo blogging karna chahate hai google me search karte hai ki Blog kaise bnaaye, blog se paise kaise kamaye, blog banane ke kitne din baad kamai hoti hai? etc.

Aur sabse jyada search kiya jata hai “How to Become Blogger or How to Become A Successful Blogger?” yani successful blogger kaise bana jaye jo blogging se achhi earning kar sake.

Successful blogger banne ke liye aapko important points par work karna hoga, apni writing skills improve karni hogi, bahut saare blogs padhne honge, dusre blogger se commenting ya forums ke jariye baat karni hogi aur top blogging formulas follow karne honge.

Blogging karne ke fayde aur nuksan ko samajhna hoga aur professional blogger ki tarah blogging karni hogi. Sabse best blogging technique and strategies follow karni hogi.

Aap ye bhi padhe, Blog Kya Hai? Blogger Kya Hai? Blogging Kya Hai? Full Gudie in Hindi.

Chaliye ab main aapko successful blogger banne ke 15 tarika btata hu, aap inko follow kar blogging se paise kamane wala success blogger ban sakte hai.

Successful Blogger Banne Ki 15 Tips – Become Success Blogger

Apne blog par regularly high-quality content wali posts pulish karna, successful blogger banne ke liye sabse jyada jaruri hota hai.

1. सबसे अच्छा लिखे (Write the Best)

Apni writing skills improve kare aur behtar se behtar content likhe, aapka content aapke competitor se jyada best hona chahiye.

Iske liye aap ye article padh sakte hai,

2. आकर्षक बने (Be Attractive)

Aapko apne blog par visitors ko attract karne ke liye kuch effective karna hoga, taki log aapke bare me social media par dusro ke sath baat kare.

Jaise ki aap bahut achhe blogger ho, aapki site ka design best hai, aap bahut achha likhte ho, aapki site par unique, clear,useful aur aasani se samajh aane wala content milta hai.

3. अपने ज्ञान को साझा करे (Share your Knowledge)

Aap jo kuch jante hai ya fir aap jo kuch naya sikhte hai, use apne audience ke sath share kare. Apne experience, skills and ideas ko apne reader ke sath share kare taki unki help ho sake.

4. भावुक ब्लॉगर बने (Become Passionate Blogger)

Sirf ek blogger nahi, balki passionate blogger bane. Kuch aesa likhe jisse pata chalta ho ki blogging aapka passion hai aur aap isse pyar karte hai aur aap readers ko kuch alag sikha sakte hai.

Apni alag pahchan banaye taki aapki site par visitor ek reason ke liye visit kare aur aapka regular reader ban jaye.

5. अतुलनीय बनो (Be Matchless)

Agar aap baki sabhi bloggers (aapke competitors) ke samaan ho to aapke blog ko kaun pasand karega. Isiliye ek brand ke roop me apne blog ko build karo.

Baki blogger se behtar likho bhale hi aapka topi same ho, humesha apne readers ke liye likhe SEO ke liye nahi.

6. अद्वितीय सामग्री प्रदान करें (Provide Unique Content)

Aapko khud ko sabit karne ke liye aur top me aane ke liye best se best content likhna hoga aur ye sabit karna hoga ki aap baki se behtar sikha sakte hai.

Humesha unique content share karna hoga, bekar ki post likhne se bachna hoga taki har ek user aapke content ko read karna chahe.

7. मददगार बने (Be Helpful)

Achha content share karne ke sath sath aapko apne readers ki unki problems solve karne me help bhi karni hogi. Help karne wale blogger ko sabse jyada user like karte hai.

Iske liye aap apne blog par comment enable kar sakte hai ya fir apna koi community forum run kar sakte hai.

8. अच्छा डिजाईन करे (Good Design)

Inertner par 1000ro themes or templates available hai, aapko koi ek best design theme karni hogi, jo desktop ke sath sath mobile device me bhi properly work kare.

Isse bhi behtar hoga ki aap apni alag brand banane ke liye custom design kare, iske liye aap kisi developer ko hire kar sakte hai.

Isme ye post aapki help karegi, Website Ko Behtar Banane Ke Liye Money Invest Kaise Kare.

9. अनुकूल (Optimize)

Sirf SEO ke liye hi nahi balki aapko apni site ko readers ke liye bhi optimize karna hoga. Aapki site all devices me proper open honi chahiye aur SEO settings complete honi chahiye.

10. समय निर्धारण (Scheduling)

Blog par post share karne ka ek fix time table banaye aur regular fix time par post publish kare. Iske liye aap post scheduling ka istemal kar sakte ho.

For example, aap daily online nahi rah sakte, So iske liye hum post ko future time par schedule set kar sakte hai, isse post automatically publish ho jayegi.

11. अतिथि पोस्ट करें (Do Guest Post)

Apne blog ki search rank badhane ka aur backlinks banane ka sabse achha tarika hai guest posting. Apne blog ke content se related blog aur websites par guest post kare aur dofollow backlink banaye.

Isse na sirf aapke blog ko top rank milti hai balki aapa blog ka promotion bhi hota hai, aap jis blog par guest post karoge uske audience ko aapke blog ke bare me pata chalta hai.

12. अपनी गलतियों से सीखें (Learn from Mistakes)

Har kisi se mistakes hoti hai, aapse bhi ho sakti hai. Blogging me mistakes karna aapko fail kar sakta hai, isiliye regular mistake na kare.

Apni galtiyo se sikhe aur fir dubara us galti ko repeat na kare. Isse aapke visitors me aapke liye trust badhega.

13. सीनियर्स से सीखें (Learn from Seniors)

Important aur top blogger par focus kare aur bade bloggers ke blog read kare, pahle se success blogger se sikhe aur jane ki wo kaise success bane hai.

Seniors se hum bahut kuch sikh sakte hai, puch sakte hai aur mistakes karne se bach sakte hai.

14. प्रेरित बने (Be Motivate)

Har ne manne ke liye jaruri hai ki apne aapko motivate rakhe. Iski jarurat tab hoti hai jab aapka kaam ke mutabic achha result nahi milta hai.

Maine is bare me ek detailed article likha hai, ek baar jarur padhe, Blogging Ke Liye Khud Ko Motivate Kaise Kare 12 Best Tips.

15. धैर्य रखे (Be Patient)

Blogging me success hona ek din ki process nahi hai, isme time lagta hai. Aapko regular kaam karna hoga aur sabra karna hoga.

Isme kuch months ka time lagta hai, baki aapke kaam aur aapke kismat par depend karta hai ki aap kitni jaldi success bloggers ki list me shamil hote hai.

निष्कर्ष (Conclusion)

Blogging me success hone ke liye aapko achi habits bana kar blogging karni hogi tabhi aap ek success blogger ban sakte hai. Jab aap sahi tarike se kaam karoge to aapka work aapko khud-be-khud manzil tak pahucha dega.

Apne readers ke likho aur apne aapko motivate rakh kar kaam karo, yaha main kuch articles ke link de raha hu jo aapki help karenge.

In tips ko follow karke aap kam samay me successful blogger ban sakte hai. Abhi se start kar de, fir dekhna aane wala time aapka hoga.

Agar aapko ye article pasand aaye to apna 2 second ka time de kar ise dusre bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 36 )

  1. salman Ahemad

    जुमेदीन खान sir, आपने काफी अच्छे से बताया है ब्लॉग शुरू करने का प्रोसेस जो मुझे बेहद पसंद आया है. आपकी अगली पोस्ट का इन्तिज़ार रहेगा.

    Reply
  2. Behtreen Khabar

    बहुत ही अच्छी जानकारी है जो आपने इस आर्टिकल के जरिये दी है , आपका ब्लॉग बहुत ही अच्छा ब्लॉग है , इसपर जो सामग्री आपने डाली है वह समझने योग्य है , इस महत्वपुर्ण जानकारी को हमारे साथ साँझा करने के लिए शुक्रिया ,आशा करता हूँ के ब्लॉग्गिंग से जुड़ी सभी जानकारियां आप जुटाते रहेंगे और हमारे साथ साँझा करते रहेंगे , और हमें सिखाते रहेंगे

    Reply
  3. Om

    वाह भाई गजब आप के वेबसाइट पर इतना माल है कि कही और जाने की जरूरत नही मैं आप के साइट पर जब से आया हु कही और जाने की जरूरत ही नही पड़ती सारि जानकारी यही पे मिल जा रही है बहुत मजा आ रहा है thank you so much bro…

    Reply
  4. Dev Joshi

    Jumedeen Sir अगर हम कोई पुराना High Authority वाला Domain अपने New Blog या फिर Website से Connect करते है, तो उससे हमारे इस नए Blog को क्या-क्या फायदे हो सकते है।

    Reply
    • जुमेदीन खान

      agar aap forward karte ho to sirf uska traffic milega.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...