Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare, Blog Ke Liye Money Invest Kyu Kare? Kya website ko better banane ke liye money invest karne ki jarurat hoti hai, kya site ke liye investment karna jaruri hai. Apni site ke liye money invest kaise kare, Apne blog ko behtar kaise banaye? Aaj hum isi subject par bat karne wale hai ki kaise hum paisa kharch kar apni site ko behtar bana sakte hai. Website ko behtar banane me kis tarah se paisa lagana hai? Aap apni site ke liye money invest karna chahate hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi.
Jab hum website banane ke bare me sochte hai to humare man me ek sawal aata hai ki site banane ke liye kitne paiso ki jarurat padegi ya fir ek achhi website banane ke liye kaise or kaha money invest karni chahiye. Is article me hum website ke liye money invest karne ke sahi tariko ke bare me janenge.
Bahut se people apni site ke liye money invest karna chahate hai but unhe nahi pata ki website blog ke liye paisa kaha kharch karna hai. However, agar aap ek professional blogger banna chahate ho to aap apni site ke liye money invest kar use oro se and pahle se jayda behtar bana sakte ho.
- Website Blog Design Me Hone Wali Top 5 SEO Mistakes
- Website Ya Blog Design Me Hone Wali 10 Common Mistakes
Aesa nahi hai ki FREE website success nahi ho sakti bilkul ho sakti hai but agar hum site me money invest kare to hum use ek free site ki tulna me kafi jyada behtar bana sakte hai. So chaliye jante hai ki website ke liye money invest kyu or kaise kare.
Website Ke Liye Money Invest Kyu or Kaise Kare
Big business and brand website banane ke liye money invest karna jaruri hai or without investment ke site ka top level me aana bahut mushkil hai kyuki bahut si good service aesi hai jinke liye hume pay karna hota hai or agar hum inka istemal nahi karte hai to humare online business ko safal hone me jyada time lagta hai.
Agar aap apni site ko badhiya banane ke liye money invest karne ke liye taiyar ho to bas aapko site ke liye paisa kharch karne ka sahi tarika maloom hona chahiye taki aapko achha result mile or money west na ho. Isse aap apna kimti time west hone se bacha sakte ho.
Website Ke Liye Money Invest Kyu Kare
Website me paisa lagane ki bat sun kar apa ye jarur sochoge ki site ke liye money invest kyu kare or iski jarurat kya hai. So main aapko iske bare me kuch important bate bta deta hu. Why Invest is Important?
Invest karne ka sabse bada reason aap jitna paisa kharch kar rahe ho aapko usse jyada benefit hone ki ummid hai. I mean aap ye soch kar invest kar rahe ho ki isse aap jyada kama sakoge. So kisi bhi product ko behtar banane ke liye money invest karna important ho jata hai.
For example, aapne koi new home buy kiya or aap chahate ho ki aap isse achhi kimat par sell kar do. Is bich aapko koi advice deta hai ya fir aap hud jan jate ho ki agar aap ghar ki marmmat me kuch paisa kharch kar do to aap is home ko kahi jayda price me sell kar sakte ho.
Aese me aap 2 kaam karoge ek aap use bina marmmat ke sell karoge jisme kam benefit hoga or dusra aap uski marmmat karke use badiya keemat me bech doge jisme aapko jyada fayda hoga.
Website me bhi bilkul same idea kaam karta hai. Agar aap apni site ko sell karna chahate ho to aap usme kuch paise kharch karke use pahle se jyada behtar bana sakte ho taki aapko jyada benefits mil sake. Simple words me, site me money invest karne se uski value or jyada badh jati hai.
But iski guarantee nahi hai because aap kis tarah se invest karoge ye aap par depend karta hai or kuch tarike aese ho sakte hai jinme aapko invest kiya gaya paisa wapis nahi milta. So smart bano or smart work karo or sahi jagah sahi tarike se paisa invest karo.
Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare
Aapki site ke liye kitna invest karna hai ye apake budget par depend karta hai. Agar aapke pas budget kam hai to I think aapko wo paisa sahi tarike se invest karna chahiye. Website me money invest karne ke yaha main kuch achhe or important tarike bta raha hu. Jin par aap money invest kar site ko behtar bana sakte ho.
Website Blog Me Money Invest Karne Ke 10 Tarike
1. Invest in Content Creator: Content Writer Ke Liye Invest Kare
Hum sabhi ko time kam hone ki problem hoti hai or website ke liye content likhne ke bad uski spelling check karne, Editing, Customizing, SEO etc. ke liye bhi time chahiye. Aap ye kaam kisi ko hire karke bhi karwa sakte ho. Website ke liye money invest karne me content creator sabse best tarika hai.
2. Invest for Web Design: Website Ke Design Ke Liye Invest Kare
Kon nahi chahata ki uski site ka look achha ho. Har koi website ke design se attract ho sakta hai. So aap chahe to apni site ko design karwane me invest kar sakte hai.
3. Invest In Web Developer: Website Banane Ke Liye Invest Kare
Agar aapko website banani nahi aati hai or na hi iski koi knowledge hai sath hi aapke pas ye sab sikhne or karne ka time nahi hai to aap apne business ke liye site developer ko pay kar site create karwa sakte ho.
4. Invest in Optimizing: Website Ko Optimize Karne Ke Liye Invest Kare
Kisi bhi website ka fast loading hona user or search engine ke liye jaruri hai. Or site ko speed up karne ke liye optimizing jaruri hai. Like worpress, aap chaho to iske liye aap kisi person ko hire kar apni site ke liye invest kar sakte ho.
5. Invest in a Programmer: Website Apps Banane Ke Liye Invest Kare
Agar aapko business online popular hai or aapke pas mobile traffic jyada hai to aap apni site ke liye android apps banwa sakte ho. Isse aapke mobile traffic me benefits milega or apake audience ko bhi fayda hoga.
6. Invest in Graphics Designer: Images and Graphics Ke Liye Invest Kare
Aapne wikihow.com site to dekhi hi hogi jiski har ek iamges alag type ki hoti hai. Agar aap chahate ho ki online world me aapki sabse alag pahchan ho to aap khud ki iamges banane ke liye members rakh sakte hai.
7. Invest for Video Maker: Video Content Ke Liye Invest Kare
Aap chahe to video maker and youtubers ko aapki site ke content ke liye video banane kel iye invest kar sakte ho. Isse aapko double fayda hoga.
8. Invest in Consultant: Guide Ke Liye Invest Kare
Aap ek aese person ke liye invest kar sate ho jo aapke business ke bare me behtar jankari rakhta ho or jo aapko behtar future ke liye achhe idea and advice de sake. I mean aap salahkar ke liye money invest kar sakte ho.
9. Invest in Time: Website Ko Behtar Kaise Banaye
Apni website ko kis tarah se behtar banana hai is sabka pata karne ke liye invest kar sakte ho. Like content ko better banane ke liye tools and service use kar sakte ho.
10. Invest in Promoting and Marketing: Site Promotion Ke Liye Invest Kare
Aap apni site ko promote karne ke liye money invest kar sakte ho. Like social media expert, advertising etc. par invest karke aap apni site par kam time me jyada traffic la sakte ho. Sath hi aap apni site ki marketing ke liye logo ko hire kar sakte ho.
Inke alawa bhi bahut sare tarike hai jinme invest karke hum apni website ko behtar bana sakte ho but ye wo top tarike hai jinme paisa invest karna dusro tariko se jyada achha hoga. But har kisi ke pas itna budget nahi hota hai so aap in top ways me se jo aapko achhe lage unme paisa laga sakte ho.
Note:- Kisi bhi work ke liye invest karne se pahle ye confirm kar le ki aap jis person ko invest karoge wo aapke sath dhoka to nahi karega or aapke liye sahi kaam karega.
Aesa nahi hai ki website ke liye money invest karna 100% jaruri hai but agar apa karoge to aapki website ek free website se kafi had tak behtar hogi or aapke pas usse jyada support hoga.
- Khud Ki Website Bana Kar Paise Kaise Kamaye
- Blog Ko Acha Design Karne Ki 20 Important Tips Janiye Hindi Me
So aapko meri bate kaisi lagi or kya aapko lagta hai ki hume in sabke liye invest karna chahiye ye sab bate aap comment me humare sath share kare.
Khan Saab mai apna blog banana chahta huu urdu me…. Kaisa rahega… Urdu language se?? Please reply
बिलकुल बना सकते हो
Sir aap ne bahut hi achchi jankari share ki hai
Nice information Sir Thanks A lot for this
sir mai ribbon lite theme use kar tha or usame mene kuchh changes bhi kiya hai ab usaka new virsion aya hai usame bola hai ki ise update karunga to jitni bhi mene edit ki thi sab remove ho jayega kya karun sir
Aap first theme ka backup le lo uske bad update karo, fir aap old theme se code le kar new theme me add kar sakte ho.
Sir Organic Traffic Blog Pe kaise laye please Help me..sir…nd this is very nice article….
Read our SEO articles.
Hello jume deen,
Ap ne apni aik post main copy paste ko disable karne ke liye JavaScript ke use ka btaya aur is code ko add karne ka kaha jo niche likha hai , Maine aisa hi kiya jesa ap ne btaya aur computer pe check Kiya to copy paste disable hogya lakin smartphone aur iPad pe check kiya to wahan copy paste disable nei hua. Ab ap batain kya krna hai ke har device aur har browser pe content copy paste na hoske
if (typeof document.onselectstart != “undefined”) {
document.onselectstart = new Function(“return false”);
} else {
document.onmousedown = new Function(“return false”);
document.onmouseup = new Function(“return false”);
}
Hum kuch had tak copy pasting ko rok sakte hai but 100% nahi.
Yeh bat to apki bilkul theek hai keh hum copy pasting ko 100% nehein rok skte Lakin jis had tak rok skte hain us had tak to rok lain jesa k ap ka contene maine check kiya keh na sirf computer pe copy pasting disable hai balkeh mobile phone aur iPad pe b copy pasting disable hai jab keh mera content ki copy pasting sirf computer pe disable hai mobil phone aur iPad pe disable nei. Ap mje wo triqa btain jo ap ne kiya hai, jis trah ap ne kiya us trah btain. Main apki help ka bht shukar guzar rahunga
Shukriya
Iske bare me aap Blog Post Content Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye post me bta chuka hu.