Agar aapke pas smart phone hai to aapko pata hona chahiye ki usse aap kya kya kar sakte hai. Is article me mai aapko bta raha hu ki aap calling, messaging, chatting, internet ke alawa apne smartphone se kuch or bhi kaam kar sakte hai. Smart phone me kuch ayse features bhi hote hai jinke bare me aap shayad hi jante ho. Jaise photo khichna, movie banana, remote ko check karna, multiple panoramatic shouts, High quality lens bana kar big cinema banana and other bahut kaam kiye ja sakte hai.
Aaj ke time me har ek aadmi ke pas android mobile, iOS, iPad, wondwos phone, apple smartphone mil jayenge. Mai yaha par aapko smartphone ke kuch top features ke bare me bta raha hu agar aapne ye feature try nahi kiye ho to aap try kar sakte hai.
- 1 Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge
- 1.0.1 1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:
- 1.0.2 2. Use Your Smart Phone as a Projector:
- 1.0.3 3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:
- 1.0.4 4. Earphone Se Photo Shout Kare:
- 1.0.5 5. Lens Ki Quality Badhana:
- 1.0.6 6. Android Device Manager:
- 1.0.7 7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:
- 1.0.8 8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:
- 1.0.9 9. Set Mobile Data Limit:
- 1.0.10 10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:
Smart Phone Kar Sakta Hai Ye 10 Kaam Shyad Aap Inke Bare Me Nahi Jante Honge
Smartphone ne aaj bahut se kaam aasan kar diye hai. Aaj computer par hone wale kaam online internet se smart phone par hi ho jate hai. Aayiye inme se kuch ke bare me hum bhi jante hai ki Smartphone kar sakta hai ye 5, 7, 10 kaam, jinke bare me har koi nahi janta hai".
1. TV Ya Kisi Or Remote Ko Check kare:
Bahut bar humare sath aysa hota hai ki TV, Music player, DVD ka remote kaam karna band kar deta hai to hume bahut problem hoti hai. Ye problem shayad aapko bhi aayi hogi. Ayse time me hum remote ki battery, sell change karke remote ke sahi hone ka pata lagane ki koshish karte hai.
Jab battery, sell change karne ke bad bhi remote kaam nahi karta to hume ye confusing rahti hai ki remote sahi hai ya kharab ho gaya hai. Magar aapka smart phone is is problem ko 1 second me solve kar sakta hai yani ab aap apne android phone se remote ke sahi ya kharab hone ka pata laga sakte hai.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Remote Sahi Hai Ya Kharab Kaise Pata Kare?
Smart phone se kisi bhi remote ka sahi ya kharab hone ka pata lagana bahut hi aasan hai. Meri btayi ye trick follow kare.
Apne smart phone ka camera on kare or remote ke sensor ko camera ke samne kar ke remote ka koi bhi buttan dabaye. Agar remote sahi hoga to remote ke sensor ki light blink karti huyi nazar aayegior agar sensor light blink nahi hoti hai to aapka remote 100% kharab hai.
2. Use Your Smart Phone as a Projector:
Projector ke bare me to aap jante hi honge. Projector ka kaam hota hai zooming karna. Cinema hall me aap bade parde par jo seen dekhte ho use projector se hi bada kiya jata hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jiski madad se aap apne smart phone ko projector ki tarah istmal kar sakte ho or apne ghar ki kisi bhi diwar par parda laga kar bade parde par movies dekh sakte hai.
Smart Phone Ko Projector Ki Tarah Istmal Kaise Kare?
Ji ha dosto ab aap apne smart phone ki madad se apne ghar me hi cinema hall bana kar movie dekh sakte hai. Iske liye aapko bas ek shoes cartoon or Magnifying glass ki jarurat padegi. Follow below step:-
- Magnifying lens ko shoes box ki ek side me rakh ke mark kare or mark kiye gaye cartoon ko blad se kat kar holl bana le.
- Box me holl karne ke bad lens ko us me fit kar ke gond ki madad se chipka de.
- Ab aapko image ke anusar box me dusri taraf apna smart phone rakhne ke liye stand banana hai. Aap koi bhi cheez ki madad se stand bana sakte hai.
- Apne smartphone me koi bhi movie ya video chala kar stand par rakhe. Mobile ki screen Magnifying lens ki taraf karni hai.
- Aapke mobile ke focus ko cutch kar Magnifying lens use zooming kar output nikalega. Ab mobile ko aage piche kar ke aapko jis size me video dekhna hai set kare.
- Mobile ki video brighttness 100% kar le taki video full clear dikhe.
3. Panorama Shouts Me Kai Bar Dikhna:
Aap panorama apps se ek sath apne kei pose shoot kar sakte ho. Agar aapke smart phone me panorama app nahi hai to yaha se download kar le. Hum jab apna photo lete hai to usme aas pass ke log bhi dikhayi dete hai magar panorama apps ki madad se aap sirf apna hi photo sout kar sakte ho.
Panorama Se Sirf Apna hi photo Shoot Kaise Kare?
Agar aapko ek hi photo me apne kei pose shoot karne hai to ye bahut aasan hai aapko bas photo shoot karte waqt photographer ke piche se dusri taraf bhagna hai. Is tarah aap ek hi photo me kei jagah aa sakte ho.
4. Earphone Se Photo Shout Kare:
Aap apne smart phone ke earphone ko kya kaam me lete ho Music, FM sunne me. Magar kya aapko pata hai ki aap earphone ki madad se photo bhi le sakte ho. Chalo aaj mai aapko btata hu ki earphone se photo kaise khich sakte hai.
Earphone Se Photo Kaise Khich Sakte Hai?
Aap jab new smart phone kharidte ho to lagbhag sabhi ke sath earphone aata hai. Earphone sirf music sunne ke kaam hi nahi aata hai balki isse hum photo bhi khich sakte hai.
Actually, earphone me jo play / pause ka buttan hota hai usse aap smart phone ko bina touch kiye photo khich sakte ho sath hi aap value kam jyada wale buttan se camera ko zoom in and zoom out kar sakte ho. Apne aap ka photo khichne me ye trick bahut kargar hai. Yaad rahe ye trick extra liye gaye earphone me kaam kam karta hai isliye extra earphone lene se pahle check kar le.
5. Lens Ki Quality Badhana:
Humare smart phone ka camera acha hone ke baad bhi kei bar hum usse or bhi acha photo lene ki sochte hai. Ye aadat lagbhag sabhi smart phone user ki hoti hai. Wo sochte hai ki kash mai thoda or acha photo khich sakta to mai aapko ek tips bta raha hu apne smart phone ke camera ki quality se bhi jyada better photo lene ki.
Smart Phone Ke Camera Ki Qulity Kaise Badhaye?
Jab aap apne smart phone se photo shoot karo to smart phone ke camera par pani ki ek jara si boond dal kar photo shoot kare or result dekhe photo kitna better aata hai. Isse bina zooming kiye kafi had tak zooming me photo shoot hota hai yani aap is trick ki madad se photo ko or bhi jyada zoom kar sakte ho. (Dhyan rahe mobile ke andar pani nahi jana chahiye sirf jara si ek boond hi use karni hai.)
6. Android Device Manager:
Android device manager ek aysa apps hai jo aapke khoye huye phone ka pata laga sakta hai. Iski madad se aap apne khoye huye phone ke password bhi change kar sakte ho or phone ke sare data bhi mita sakte ho. Jisse phone dead ho jayega or chor ke koi kaam ka nahi rahega. Wese internet par phone ki location btane wale bahut se apps hai par ye apps sanse alag hai. Phone location pata karne ke liye aap ye post read kare Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare
Android Device Manager Kaise Kaam Karta Hai?
Sabse pahle apne smartphone me android device manager apps download kar le. Aap yaha se bhi download kar sakte hai.
- android device manager apps ko apne phone me install kare.
- Ab apps ko apne google account se connect kar le.
- Ek bar google account se connect hone ke bad jitni bar aapka phone activate hoga utni bar aapke google account par uski jankari bhej di jayegi.
- Sabse khas baat ye hai ki aapke phone ke chori hone ke baad aap apne phone ke password change kar sakte ho.
- Aap chaho to is apps ki madad se phone ke sare data delete / remove kar apne chori huye phone ko dead kar sakte ho.
7. Smart Phone Ki Soud Quality Badhana:
Bahut se phones me high volume speaker na hone ke karan adhik sound nahi hoti magar aap chahe to is trick se apne smartphone ki sound ko kafi had tak badha sakte ho. Iske liye aapko seese ke ek khali zaar ki jarurart padegi.
Smart Phone Ki Soud Quality Kaise Badhaye?
Apne smartphone me music on kar ke phone ko khali zarr me rakh de or result dekhe phone ki aawaz kafi had tak badh jayegi. Zaar me phone rakhne se speaker ke sound idhar udhar nahi failti or zaar ke upari khule hisse se ekdam bahar aati hai, isliye phone ki sound badh jati hai.
8. Use Your Phone as a Wireless Hotspot:
Ji haa, dosto aap apne smart phone ko modem, wireless ki tarah bhi use kar sakte ho. Bahut se logo ko iski jankari nahi hoti or wo apne computer ke liye new modem, wireless kharid lete hai. Mai unse kahna chahunga ki agar unke pas smart phone hai to unhe modem lene ki koi jarurart nahi hai.
Smart Phone Me Wireless Hotspot Kaise Use Kare?
- Apne phone ki setting me jaye.
- More option par click kare.
- 'Tethering & portable hotspot' par click kare.
- Portable WI-FI hotspot ko on kare.
- Ab Portable WI-FI hotspot ko left side par click kare or apne WI FI ke password set kare taki koi or aapke wi fi se net na chala sake.
- Ab apne PC me network search kare waha aapke phone ke wi-fi ka naam aa jayega. Apne password set kar ke connect kar le.
9. Set Mobile Data Limit:
Apne android mobile me aap ne ye option jarur dekha hoga par ise kaise use kare iski jankari shayad hi kuch logo ko hogi. Kei bar kya hota hai ki hum internet chalate rahte hai or jyada internet pack istmeal hota hai or jab MB khatm ho jati hai to humare sare paise bhi kat jate hai. Ye bat aap bhi jante hai ki net pack na ho to internet chalane par kitne adhik paise kat'te hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jiski madad se aapka ek bhi rupees nahi katega.
Mobile Data Limit Set Kar Ke Paise Kaise Bachaye?
Aap mobile data limit option par ja kar orange color ki line se data limit set kar sakte hai.
Man lo aapki sim me 200 MB hai or aap internet chala rahe hai. Isliye bar bar apna internet pack check karte rahte hai ki kahi pack khatm na ho jaye or aapke paise na kat jaye. Is problem ko khatm karne ka tarika smart phone me pahle se hota hai. Bas aapko data limit set karni hai.
- Agar aapke phone me 200MB hai to aap phone ke data limit setting me ja kar orange line se 190MB par data limit set karo.
- Ab jab aap 190mb use kar loge to smart phone data connection ko automatic band kar dega.
- So agar aap ye bhi set kar sakte hai ki aaj mujhe kitni mb use karni hai TO isse aapke paise nahi katenge or aapko smart phone pahle hi alert kar dega.
10. Use Multiple Google Account in One Smart Phone:
Agar aap apne smart phone me ek hi google account use karte ho to mai aapko bta du ki aap ek se jyada google gmail account bhi smart phone me ek sath use kar sakte ho. Isse aapko bar bar dusri id se log in karne ki jarurat nahi padegi or aapko 2-3 email ID manage karne me aasani hogi.
Smart Phone Me Multiple Google Accounts Kaise Use Kare?
- Apne phone ki setting me jaye.
- Ab account>> Add account par click kare.
- Apni email id se log in kare.
- Is tarah aap kei email id se log in kar sakte ho.
Apne phone 3-4 google account se jyada account se log in na kare warna aapki email id block bhi ho sakti hai. So main aapko yahi kahunga ki aap ek phone me kam se kam account se log in kare ya fir ek se sign out karne ke bad dusre se sign in kare.
Ummid hai aapko meri ye post pasand aayi hogi. Agar ye bat sach hai to is post ko share karke aap bhi humari help kare or agar aapko internet se related koi sawal pchna hai to mai aapko comment karne ko suggest karna chahunga.
Hi sir me mi 4 use kar raha hu.jab me earphone use karta hu to phone automatically work karta hai.
Is problem ko solve kese kare....?????
Bgai aap jb earphone mobile me lagate to earphone shot krta h kisi mobile repair ko dikhao
Sir assalawalekum apka y post bht hi acha hai ..
last m apne btaya ki hm ek hi phn m 2 3 gmail accont bna skte hai sir mene 2 account bnaye or muje apna account remove krna hai to me kese kruga ...
ek quotion or h or kya apne gmail account mai password set nhi kr skta...
plzz sir reply must..
W/a aap settings me jao or account par click karke google account select karo yaha jis account ko delete karna hai us par click karke right side three menu icon par click karke delete par click karo. Yes kar sakte ho.
thanks bro ho gya jese apne btaya tha mene wesa hi kya ab ap plzz muje y bhi bta de ki password kese set krte h or ha google derive k ander jo folder hote h inho pr bhi password kese lga skte h plzzz sir y bhi bta de...
Iske liye aapko play store par kai apps mil jayenge wo use karo.
Sir mere play store mai app download nhi hora is not available your country deklara sir pls help
Aap 9apps se download kar lo.
Hello colleagues, how is everything, and what you wish for
to say regarding this piece of writing, in my view its in fact amazing for
me.
Aap ne bahut Badiya janakari diya hai, aap ka artical muje pasand aaya,
Brother me fb messenger se bahar rahta hoo jub bhi mera messenger on show hota hai ophr mujhe majboran data off karna parta hai jis se sms ya koi call karta hai mere mesenger per to wo miss hojata hai phr me jese hi data on karta hoo mera messenger mere dosto ke pass on show hojata hai kiua problem hai koi solution bataye iska kia karo
Facebook messenger ki settings me jao or "Turn on chat for all friends except" option ko enable karo uske bad aapke friends ko aapki online status show nahi hogi.
Headphone se baat karna achha rahta h ya mobile kaan me sata k,
Samsung j5 me kis app se vidio call karte samay front flash jalega
Dono tarike se kar sakte ho.
Inme se jo best lage use karo.
ooVoo
Skype
Hangouts
Viber
Camfrog
Bhai Jan
Gmail Account ka profile
Photo kaise set kare
Account setting me jata hun
Lekin photo set nahi hota
Google plus profile par apni photo upload karo gmail, YouTube sab par show ho jayegi.
भाई जान मेने कई एंड्रॉएड फोन लिए पर उनमे से कोई भी ब्लूटूथ में गाने नहीं सुनते सिर्फ कॉलिंग ही कर सकते है कोई एषा सेलुसन्न बताओ जिससे सांग्स भी सुन सके धन्यवाद
Aap bluetooth me song bhi sun sakte ho. Bas ek achha ear bluetooth le lo.
Bhai sahib app ya to china made blutooth lo ya phir gane sunne ke liye ek app ata hai bluetooth router oske jariye gane sun sakte ho
Hello sir maine apni video phone se bnae hy maine isko power director se edit kia hai.or maine ise YouTube pe dala hai.or video pe powerdirect likha hua watermark aa rha hai.kya ye powedirector ka watermark copyright ka issue ban skta hai.
please mjhe guide kre.agr ban skta hai to mai phone pr kon c application use kru.
Thanks
Nahi watermark se copyrighting nahi hogi but aapke viewers ko ye kam pasand aayega.