Whatsapp Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye – 12 Security Tips

WhatsApp ko India me 20 crore se bhi jyada user istemal karte hai. Aese me whatsapp ki security aur use hack hone se bachana bahut bada issue hai. Is post me main hacking se bachne ki top 10 whatsapp security tips bta raha hu jinhe use karke aap apne android mobile smartphone me whatsapp ko hacker se bacha sakte ho.

WhatsApp Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye

WhatsApp company dawa karit hai ki end-to-end encryption security user ke data ko secure rakhti hai lekin fir bhi bahut se logo ke wahtsapp account hack hote hai aur unka data leak hota hai.

WhatApp ko bhi hack kiya ja sakta hai, hackers ise physical medium se hack kar sakte hai. Lekin whatsapp me aese kai features hai jinka istemal karke aap apne whatsapp app ko secure kar sakte ho.

WhatsApp Ko Hacker Se Kaise Bachaye – 10 Tarike

Whatsapp ko messenger app ko all world me monthly 1.2 million se jyada user use karte hai aur bahut se hacker use hack karne me lag rahte hai. WhatsApp hack kar hackers aapke smart phone ki complete details hack kar lete hai.

Internet world me kuch bhi impossible nahi hai, kisi ka bhi account, site, app hack ho sakta hai. Isiliye agar aap whatsapp chalate hai to niche btaye whatsapp ko hacking se bachane ki tips follow kare.

WhatsApp Ko Hack Hone Se Bachane Ki 10 Tips 2024

Ye 10+ tips follow karke aap apne whatsapp ke sath apne mobile phone ko bhi secure kar sakte ho.

1. 2 Step Verification Enable Kare

WhatsAppko ko secure karne ka sabse achha tarika hai aap whatsapp 2 step verification enable karke rakhe. Isse jab bhi koi aapke account ko login karne ki koshish karega to use OTP code ki jarurat hogi jo sirf aapke pas hoga.

Agar aapne abhi tak whatsapp me two step verification enable nahi kiya hai to is post ke step ko follow karke abhi kar le.

2. WhatsApp App Ko Lock Rakhe

Password, Pin or Pattern se apne phone ke whatsapp app ko lock rakhe taki aapke siwa koi vyakti aapki whatsapp details ko access na kar paye.

Finger sensor hai to uska istemal kare. Strong password use kare, strong password banane ki jankari chahiye to ye psot padhe,

3. Public WiFI Network Use Na Kare

Kabhi bhi whatsapp chalane ke liye public wifi, free wifi ka istemal na kare. Kisi bhi unknown location par free wifi ka istemal aapke lyie khatarnak ho sakta hai.

Hackers WiFi connection ke jariye aapke smartphone ko hack kar sakte hai aur aapke unique MAC address ke jariye aapke whatsapp chats ko access kar sakte hai.

4. Privacy Setting Ko Customize Kare

WhatsApp privacy settings ko apne hisab se set kar le. Jo kuch hide karna hai use hide aur jo public karna ho use public kare.

Sath hi kisi bhi application ko use karne se pahle uski terms and conditions, privacy policy jarur padh le taki apa jan sako ki ye app kya-kya access karta hai.

5. Humesha Updated App Use Kare

WhatsApp me jab bhi koi new update aaye to app ko update kare aur humesha up to date whatsapp messenger hi istemal kare.

20-50 MB ke liye risk na le aur whatsapp ko update na karne ki galti na kare warna hack hone ke bad iski value malum ho jayegi.

6. Third Party App Use Na Kare

WhatsApp online chat karne ka bahut hi achha mobile app hai jo ki android, iPhone, Windows Phone, Windows, Mac etc. ke liye availabe hai.

Lekin ye hume limited featured deta hai aur kuch third party apps hume whatsapp extra features provide karte hai. Unka istemal karna hacker ko invite karne jaisa hai.

I suggest you humesha google paly store se official whatsapp application hi download kare aur kabhi bhi kisi third party app ka istemal na kare taki aapka data secure rahe.

7. Block Unknown Person:

WhatsApp friends, family, relative se baat karne ke liye hai, sirf unhi logo ko add kare jinhe aap jante ho. Agar kabhi koi anjan person aapko dikhe to use turnat block kar de.

8. Unknown File Open Na Kare

Aapne kuch time pahle fake news ke bare me to suna hi hoga, Isi tarah hacker whatsapp users ke pas message kar hack karne ki koshish karte hai.

Aap jaise hi kisi message me send ki gayi file ko open karte ho to malware aapke phone me aa jata hai to aur hacker phone ko hack kar lete hai.

Unknown file hi nahi, mobile me aane wale anjan messages ko bhi open na kare, hacker aapke OTP ko access kar whatsapp hack kar lete hai.

9. Auto Download Ko Off Rakhe

WhatsApp auto download feature ko humesha off rakhe, Isse unknown aur extra files automatically down ho jati hai. Manuall file download kare taki koi problem na ho.

Jaise ki maine 8 point me btaya hai kisi bhi file ko open na kare, auto download feature enable hone se message open karte hi file download ho jati hai.

10. WhatsApp Logout Jarur Kare

Jab kabhi aap computer (desktop/laptop) me whatsapp web ya kisi aur ke mobile device me whatsapp login karo to istemal ke bad logout karna na bhule taki aapko future me koi problem na ho.

Aur ho sake to personal PC me hi whatsapp messenger use kare, otherwise ignore kare. Cyber cafe me to kabhi bhi whatsapp use nahi karna chahiye.

11. Carefully File Send Kare

Jab kabhi aapko whatsapp par Image, Audio, Text, PDF file, Video, Contact, Location, Word file send karni ho to achhe se check kar le ki aap kisko file send kar rahe hai, kai bar jald baji me kisi aur ko message send ho jata hai.

12. Mobile Ko Hack Hone Se Bachaye

Jab aapka mobile hi hack ho jayega to simple hai aapka whatsapp data, all information bhi hack ho jayegi. Isiliye whatsapp ko hack hone se bachane kel iye jaruri hai ki aap phone ko bhi hack hone se bachaye.

Phone ko hack hone se bachane ke liye aapko 1 se jyada tips follow karne honge, uski janakri is post me hai.

In 12 tariko se aap apne whatsapp ko hack hone se bacha sakte ho, hacker se bacha sakte ho. Hacking ko normally na le aur apna 5 minute ka time nikal kar apne mobile ko secure kar le taki aapko koi bhi hacking problem na ho.

Agar aapko whatsapp ke all features ki janakri chahiye to ye post padhe, वॉट्सऐप फीचर्स हिंदी में – WhatsApp All Features List in Hindi.

Agar apa chahate ho ki aapke friend, family, members, relative ka bhi whatsapp secure rahe to unke sath is article ko share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 37 )

  1. Rohit Kumar

    very good sir me aapko 2 saal se follow kar rha hu mene aapse bahut kuch sikha he …thanks

    Reply
  2. akash

    Very interesting and useful article thanks for sharing this article with us

    Reply
  3. Kulwant Singh

    Bhai apne sabhi ke sabhi step badiya bataye hai..kuj ka muje pata tha pr kuj ke bare me abhi pata chal gya …Thanks for sharing

    Reply
  4. Nitish Verma

    Nice Post sir, Aaj sabhi Whatsapp use karte hain. Aapane bahut achhi tips share ki

    Reply
  5. Ahmed Nawaz

    Great Article Bri i Read Your PostS Regularily

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...