Google ek se jyada AdSense account banana allow nahi karta hai. Agar aapke pas 1 se jyada website hai to aap ek hi AdSense account se apni 4-5 site ya blog par ads laga sakte ho or earning kar sakte ho. Iske liye aapko apni sites ka URL AdSense account me add karna padega. Jiski jankari mai aapko is post me bta raha hu.
Agar aap ek se jyada AdSense account use kar rahe ho to yaad rahe google ko jaise hi iske bare me patachalega wo aapke AdSense account ko band kar sakta hai. Isliye ek hi google AdSense account use kare. Jisse aapko future me problem na ho.
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
- Low CPC Sites Block Kar Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye
Aap ek AdSense account se apni 4-5 site par ads laga sakte ho. But aapki sabhi sites differance category ki honi chahiye. Yaha mai aapko kuch important bate bta raha hu. Jinhe follow karne ke bad hi aap AdSense ke ads 1 se jyada site par use kar sakte ho.
- Sabhi sites par alag alag tarah ki jankari honi chahiye. Aap ek hi jankari ko dusri website par publish nahi kar sakte.
- Aap ek hi content ko 2 differance language me 1 se jyada site par share nahi kar sakte. Ye Black Hat SEO mana jata hai. Jiski google bilkul permission nahi deta hai. Or aysi site par AdSense ke ads nahi laga sakte.
- Adsense ke ads lagane ke liye aapki site par kam se kam 500 pageviews per day hone chahiye. Jisse 300 pageviews google search engine se ho. Sath hi aapka blog google webmaster guidelines ko follow karta ho.
- Website par hacking ya kisi bhi parkar ke s*xy or hinshak jankari nahi honi chahiye.
- Adsense bahut si bhashao ko support nahi karta hai isliye website ki language Adsense Support Language me se honi chahiye.
In sabhi terms me sabse jyada jaruri bat hai aapki dusri site par pahli site se matched content nahi hona chahiye. Warna aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai.
Adsense Account Me Website URL Kaise Add Karte Hai
Sabse pahle aap adsense.com site par jaye or apni gmail id se log in kare.
- Right side me setting gear icon par click kare.
- Settings par click kare.
- Site Mnagement par click kare.
- Yaha apni site ka URL (Link) add kare. example – xyz.com
- Ab ADD SITE par click kare.
Bas ab aapki site AdSense se connect ho chuki hai. Ab aap add ki gayi site par bhi ads laga sakte ho or earning kar sakte hai.
Ye bhi padhe:-
- Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips
- Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
- Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2024 – Earn Money
- Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
- Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai
- Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
- Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tips in Hindi
- Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Agar aapko AdSense ke bare me or koi bhi jankari chahiye to aap humari AdSense se related or bhi post padhe. Or agar aap AdSense ke bare me koi sawal puchna chahate ho to niche comment me puch sakte hai. Sath hi is post ko apne friends ke sath share jarur kare.
Sir AdSense m add site m Kya daale konsi website Url kaha s lena padega
sir kya blog aur YouTube me ek ads
lagaa sakte hai
Yes laga sakte ho.
Sir url kise kahte h or ese kaha se kharide
url mean web page link, for example, “domain.com/sample-page”
Kya hum e-commerce ya shopping website ko bhi Google AdSense se connect Kar sakte hai?
hello sir. maine apne blog ka domain change kiya hai. adsense account me domain kaise change karu. ya phir new wala domain bhi add domain me jaker add kr du. purana wala delete kru ya phir usko ese he rhene du. pls explain sir.
is post me btaye tarike se new domain ko add kar do, old domain ko unverified kar do.
Sir mere AdSense account me dusri website add kiya hai.
My site me jakar new website add kiya. fir verify button bhi on kiya.
Uske bad hamne blog theme me ke niche PUB – ID script (jo pahla blog apply karte waqt mila tha) paste kiya. Uske baad sare ads new blog me lagaye hain.
Par AdSense hame ye notification bhej raha hai.
“In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites that you don’t own. To avoid lost revenue, make sure that you add these sites to your verified sites list in My Sites.”
Hame kya karna chahiye ab?
Iski jankari yaha hai, Kisi Site Me Aapke Adsense Ad Code Use Hone Par Kya Kare
Sir your article helpful for my website thank you very much
hello sir mera youtube se bana hua hosted adsense account he ab me isme apni website add karna chahta hoon lekin jab website ka url daalkar submit kar raha hoon to submit ka button work nahin kar raha hai plz meri help karein
Aap top level domain add karke dekho like .com, .org
sir absence ke liye kitna traffic hona chahiye kam se kam
Daily minimum 300 to 500
Hello sir plz guide me meri site 3month purni hai me usme abhi thoda thoda kaam karta hu usme terrific 200ya 300 aa jata hai me adsence ke liye apply karna chahta hu i think 100post me dal chuka hu me chahta hu adsence approve ho jaye kya karna chahiye mujhe plz help me
Apply karo ho jayega.
Muje bhi addsens pe kam karna hai kese kare
Apna url kese banasaka hau
इसके लिए आपको domain buy करना पड़ेगा
Ek approve AdSense account mai apni dusri blogspot blog jisme 3 post hai aur 1 month old hai. Kya mai ise add kar sakta hu
custom domain hai to kar sakte ho.