Mobile phone khone ya chori hone par usme lock kaise lagaye ya block kaise kare taki pane wala uska istemal na kar sake or aapki personal data na dekh sake. Android mobile me day dy day new feature aate rahte hai. Ab aap apne smartphone ke khone ke bad bhi use lock kar sakte ho or usme apne mobile number bhi add kar sakte ho taki jise bhi wo mile wo aapko call kar sake. Kyuki agar wo aapko phone nahi karega to wo mobile uske kisi kaam ka nahi. So aayiye jante hai lost phone device me screen lock kaise lagate hai or apne contact number kaise add karte hai.
Mobile phone khone ya chori hone ke bad aap usme apne mobile number add karke screen lock laga kar password set kar sakte hai. Uske bad jisko bhi wo milega use lock kholne ke liye password ki jarurat hogi or password sirf aap jante hai. Wo bina password khole sirf aapke pas call kar sakta hai.
- 10,000 Price Me Best Battery Backup Wale 10 SmartPhones
- Mobile Se Paise Kaise Kamaye, Paisa Kamane Ke Best Android Apps
Main already Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare 5 Jaruri Bate post me android phone ke khone ke bad kya karna hai ke bare me bta chuka hu. Aaj main aapko aesa tarika btaunga jisse aapka phone khone par wapis milne ke 100% chance honge or agar koi wapis nahi karta hai to wo phone ko istemal bhi nahi kar sakega.
Android Mobile Me khone Ke Bad Lock Lagane Se Kya Fayda Hai?
Android phone me khone ya chori hone ke bad usme lock lagane ya phone number add karne se kya fayde hai. Agar aap aesa soch rahe hai t don’t worry main aapko iske fayde bta deta hu.
- Lock lagane ke bad wo aapke smartphone ka istemal nahi kar sakta.
- Phone ke useless ho jane ke bad uske pas sirf aapko call karne ka option bachta hai to ho sakta hai wo aapko call karke bta de.
- Phone lock hone se phone ka sara data secure ho jata hai. I mean aapke photos, videos, documents and other personal information koi nahi dekh sakta.
- Aap lost phone me alert message kar user se phone wapis karne ke liye request kar sakte ho.
I sure agar aapka phone khone ke bad kisi ko mitla hai to wo 100% aapko call karega kyuki block hone ke bad wo phone usk kisi kaam ka nahi rah jata to aayiye jante hai lost phone device ko lock kaise kare.
Mobile Khone Ya Chori Hone Ke Bad Usme Screen Lock Kaise Lagaye
How to lock your device , lost android mobile and add your mobile number in hindi: In step ko follow karke aap aasani se pane phone me lock laga kar use block kar sakte ho or phone me mobile number add karke screen lock laga sakte ho taki jisko bhi wo mile to wo aapko call kar sake.
Step 1:
- Sabse pahle aap apne Android Device Manager par jaye or apni us gmail ID se log in kare jisse aapne lost phone me sign in kiya hua hai.
- Ab aapse password confirm karne ke liye kaha jayega. Ek bar password confirm kare.
Step 2:
- Ab aap Android Device Manager google map par pahuch jaoge.
- Thodi der me google aapke phone track kar laga or uska name shhow hoga.
- Phone model number check karne ke bad Lock option par click kare.
Step 3:
Ab ek pop up forum open hoga. Jisme aapko new password, alert message or apne mobile number add karne hai.
- New password add kare.
- Alert message add akre. (Ye message phone ki screen open karne par show hoga.
- Apna mobile number add kare jis par user aapko call karke inform kar sake.
- Finally Lock par click kare.
Done, Ab aapka khoya hua ya churaya gaya phone lock ho chuka hai. Ab koi bhi uska gaalt istemal nahi kar sakta. Wo sirf uske liye ek dabba ban kar rah jayenga. Ha ho sakta hai ki wo aapko call karke phone ke bare me bta de. Lost device me is tarah ka alert warning message show hoga.
Is tarah se aap apne lost android mobile me lock laga kar use block kar sakte ho or usme phone number add kar sakte ho. Google ki is android device manager ki service se aap kisi bhi lost device ka pata laga sakte hai.
Agar aap kahi par apna smartphone bhool gaye hai to aap uski location bhi apta kar sakte hai. Iske liye aap humari Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post ke step follow kare. Is post me maine mobile ki location pata karne ke bare me step by step details me jankari di huyi hai.
- Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah
- Jio SIM Ka Barcode Chori Ho Gaya Hai to In 4 Tariko Se Mil Sakta Hai
Agar aapko khoye huye phone ko lock karne me ya mobile number add karne me koi bhi problem ho to hume comment me bta sakte hai.
Siraj alam
Mera mobile indara post adri jila mau me mela me jate samaye mer mobile ghum ho gya use lock Karne hai plese requst
vijay
redmi Note 5 pro mobile kho gya h
Redmi note 5 pro mobile kho gaya hai, sir please help me.
Pradeep aswal
सर जी फ़ोन खो गया एंड्रॉयड लेनेवो का जिसको emi nambur se band karne ka tarika batao
Ashish Kumar
Sir chori hua phone ko Lock kaise kare bataiye please
Gumansingh
Sar mera smart phone chori Ho gaya h kase phone ka pata karu
Vibek
Bhai mera khoya hua mobile mil gaya lekin mene usko lock kar diya tha ab problems y h ki Uska lock kaise tore please aap ko malum ho to bataiye ga
Yug
Sir Usme password ka option nhi a rha Usme gps bhi on nhi hai
kailash shete
Mera phone Koi istemal kar raha ha
Nikk
Mere dost ka phone kal khi gir gya he or vo kisi ne utha liya or num band krdiye ab usko uski Gmail yaad nahi to vo kese usko uska phone milega plzzz AAP btaye
Vivo ka phone he
Ravi
Mera kal redmi6A chor chori kar liye kaise milega
Shivank Dixit
Sir mera Samsung simple phone chori ho chuka h kya kre bataye please
Kuldeep
Sir Mera mobile kho gaya hai kal aur usme data off hai to use lock kar sakta hu kya
N.mishra
Jab mai apke btaiye method ke anusar apna phone lock kar deta hu,to kya use hard reset kar ke vo chor use use nhi kar sakta.
Jumedeen khan
Yes, nahi kar sakta.
Krishnandan Kumar
Sir main apne phone ka pasward bhool Gaya hu aur usme email I’d bhi nehin hai abhi phone lock nehin khul Raha new phone hai vivo Y15 security me Kya tha pata nehin chal Raha Mobile no hai usea khul sakta hai kya
जुमेदीन खान
mobile number से email id recover कर लो
niki
Sir Mera Iphone 6 Chori HO gya hai usme Meri Gmail id open hai abhi 2 din hue hai or meri gmail id logout nhi kur raha voh banda jiske pass phone hai mai kese gmail logout kru pkz help me
MAHENDRA SINGH
Sir mera kal mobile kahi gir gya he
To kese pta chle ga kuch bta sakte he ap……plizzzz
Samsung galexy j7 nxt
Rafeeque Khan
sir, mera phone khoye jyada din ho gya ab us phone me dusri gmail id use ho rhi hai to uske liye mujhe kya karna hoga ki mera phone lock ho jaye
Dhruw upadhyay
Sir hamara mobail chori ho gaya hai id pata nahi hai imi nambar malum hai us ko kees tarah se block karu please sir
Romiyo maran
Sir mene apke bataye anusar mobile ko lock kar diya he agar mobile milta he to uska lock kese kholna he please sir help kare. Usme vahi password dalna he jo mene abhi activat kiya he uspe
Jumedeen Khan
Yes.
Raju Hembram
Our woh sim ko mobile se nikal lega to kaam karega yeh trick
Jumedeen Khan
Nahi.
Sagar Sahu
Sir ji mera mobile kho gaya hai Mai use hamesa ke liye block karna chahta hu taki koi bhi uska upyog na kar sake… Aur koi uska lock tod bhi na sake usake liye upay bataye no
shivam
sir meri mobile gionee p5 kal saam ko gyab ho gya hai usme net bhi offf hai .mai kya karu plz tell
Vikas
Mera mobile Kho gya h jiska mjhe imei no pta h bs Qki bill h mere Paas Usae block kaise krae
deepak
sir mera samsung j2 2016 model phone gayab ho gya h.. lekin jab hum google se lock karte h phir wo khul jata h kya kare
anjar
Sir mera mobile chori ho gaya hai 25 July ko. Maine try kiya per pata nahi chal saka .sir mera email id – (anjar.alam92@gmail.com )
Please sir ap locketion pata karke bataye …thank u