Kuch website or blog par advertising itni jyada hoti hai ki user ko bina chahe bhi ad par click ho jata hai. Aaj main aapko ek aese browser ke bare me btane wala hu jiska name hai “Brave Browser” ye browser na sirf aapko ad free browsing karne deta hai balki privacy safety jaise aur bhi kai saare achhe features provide hai.
Normally, google chrome, firefox, opera etc. internet browser me hum jo kuch search karte hai, website open karte hai wo sab track hota hai. Browser humare ip address, history, password save kar leta hai.
Kuch website earning ke liye aese ad network bhi istemal karti hai jinme malware hota hai ya fir wo ad network hacker ka banaya hota hai. Aesi site par visit karne se aapke device me virus aa sakta hai or hacker aapki details chura sakte hai.
Aese me aap Brave Browser ka istemal kar apne data ko hacker se safe rakh sakte ho ye browser aapko ad free hone ke sath track free browsing provide karta hai. Matlab aapka data track nahi hota aur na hi hacker aapke ip address ko trace kar sakte hai.
Brave browser kya hai aur iska istemal kaise kare ki jankari ke liye aap ye post read kare, Brave Browser Kya Hai Aur Isko Use Kaise Kare Hindi Jankari.
Brave Browser Ko Use Karne Ke 10 Bade Fayde (Benefits)
Brave borwser istemal karne ke fayde is prakar hai.
1. Super Fast Browser
Brave browser ko use karne ka sabse pahla aur ahem karan ye hai ki ye browser bahut hi fast hai, isme browsing bahut hi fast hoti hai. Ye chrome aur firefox browser se dekstop me 2x and mobile device me 8x fast hai.
2. Ad Free Browser
Brave browser me hum chahe jis site par ad allow kar sakte hai aur chahe jis par disable kar sakte hai. Iske liye hume kisi extra ad blocker extension ki jarurat nahi hai.
Is bare me main already Brave Browser Ko Use Kaise Kare article me with screenshot bta chuka hu. Aapko is bare me janna hai to is post ko padh lijiye.
3. Safe Browsing
Brave browser me aap secret browsing kar sakte ho aur sath hi apna data ko save hone se bhi bacha sakte.
Matlab aap iska istemal private browser ki tarah kar sakte hai jisme aapka koi bh data save nahi hota hai na hi uski history banti hai.
4. It’s Free for All
Brave browser ek free open-source web browser hai jiska istemal koi bhi kar sakta hai. Lekin iska premium version bhi available hai jisme kuch extra features milte hai.
Aap chahe to iska paid plan le sakte hai lekin mere hisab se iska free version hi kafi hai. Isme wo sabhi features hai jo hume chahiye.
4. Include Automatic HTTPS
Brave browser me all websites me automatically HTTPS enable karne ka feature deta hai. Yani aap galti se bhi unsafe site ko open nahi kar paoge.
Is feature ka istemal aap kisi ek specific site ya all sites ke liye kar sakte ho. Iska option aapko shield settings me mil jayega.
5. Prevent by Malware Attacks
Brave browser ek tarah se antivirus ki tarah kaam karta hai. Ye humare device ko malicious, phishing, hackers script, Malware, toreent downloading, Ransomware, Cryptojacking and other virus attack se bachata hai.
6. Blocking Scripts and Save Data
Bahut si website aesi hoti hai jinka file size to bahut kam hota hai lekin un par bahut sari extra script istemal hoti hai. In script ki wajah se humara bahut sara data bekar ho jata hai.
Brave web browser me aap kisi specific website ya all websites ke liye script ko block kar sakte ho aur apna data save kar sakte ho.
7. Block Website Trackers
Bahut si websites me trackers istemal hota hai jo user ki personal detail (Ip address, email address, password) ko track larte hai aur fir us data ka galat istemal karte hai.
Brave browser website tracker ko by default block kar deta uske bad aapki koi bhi activity trach nahi hoti hai.
8. Block Unwanted Websites
Kuch website aesi hoti hai jinme virus script hoti hai. Aapke aesi site par visit karne se virus automatically aapke device me download ho jata hai aur aapke data ke sath chedchad karta hai.
Brave browser aesi sabhi sites ko block kar deta hai. Aap is browser me completely free ho kar browse kar sakte ho. Aapki security ka khyal browser rakhega.
9. It’s Care Your Privacy
Main already bta chuka hu ki ye browser aapko malware attacks se bachata hai. Jisse aapki privacy improve hoti hai. Is browser me aap har site ke liye HTTPS enable kar sakte ho.
Brave browser fingerprinting protection feature bhi provide karta hai jo aapko kisi bhi website par track hone se bachata hai. Browser fingerprinting ek tarah ka crime hai jisme user ki identity trace ki jati hai.
10. Earn Money from Brave Browser
Yes, brave browser surf karne ke paise bhi deta hai. Iska apna khud ka ad network hai. Aap browser ka istemal kare aur brave ads enable kare. Lekin ye bitcoin me payment karta hai.
In sabke alawa brave browser hume bahut sare features provide karta hai un sabki janakari ke liye aap Brave Feature page par visit kare.
Brave browser ke in benefits ke bare me jan kar aap ek bar is browser ko try karne ke bare me jarur sochoge. Main aapko suggest bhi karunga ki ek bar is browser ko check karke dekha bahut hi interesting browser hai.
Brave Browser Download Kaise Kare ?
Brave browser ko download karne ke liye sabse pahle aap Brave Browser ki website par jaye. Ab aapko red color ka ek download button dikhayi dega, is par click karke aap brave browser download kar sakte ho.
Ye browser windows 7, 8, 10 computer, android mobile, iOS, Mac etc. sabke liye available hai. Main apne mobile me humesha brave browser ka istemal karta hu.
Agar aapko brave browser ko download and install karne ke bare me aur adhik jankari chahiye to aap ye guideline read kare, Brave Browser Ko Download and Install Kaise Kare.
Agar aap brave browser se paisa kamana chahate ho to uski jankari yaha hai, Brave Browser Se Paise Kaise Kamaye – Hindi Me Jankari.
Agar aapko ye article pasand aaye to ise share jarur kare.
Kya isme koi country boundaries hai.
Ya koi bhi kahi bhi use kr skta hai?
Yes kar sakta hai.
Sir mere blog ki traffic http se https enable karne par 1500 se 500 tak ho gai hai kya karna chahiye jaldi bataye plz kya mujhe fir se use disable karna chahiye
Aap search console me site ko http and https dono version aur www use karte ho to www aur without www total 4 version submit kar verify karo, sabhi ka verify code samne hoga show aapko bas ek bar verify code blog header me add karna hai. Uske bad aap apne blog kwe sare links me http https replace karo, aur http to https redirection sahi se karo, at last confirm kar lo ki aapki site ka ssl sahi se work kar raha ahai uske bad wait karo kuch time bad traffic recover ho jayega.
sir hum blog/go/link eesa link kaise generate kare apne website ke affiliate link ke liye ?
Iski janakri yaha hai Affiliate Link Cloak Kaise Kare
But Bhai.
Market me aise bahut se aur bhi Browser hai..unke bare me bhi batao..
Best browser I think thnx jumedeen sir please keep it up you are the best blogger
Thank you sir aapne meri ek problem solve kardi muje ye jankari bahut achchi lagi,
Mobile me Google chorme browser par jab blogger blog theme ke HTML code me agar kuch changes karne jate hai, to wo bahot slow work karne lagta hai, aur kabhi kabhi pura browser hi hang ho jata hai muje aaj head section me ek code paste karne me 20 minutes se jyada time laga tha, code ke ek word ko delet button press karne ke bad delete hone me 3 se 4 seconds lagte hai,
Shayad aapne kabhi ye nahi kiya hoga, me mobile se blogging karta hoo to ab ye bowser me blogger theme ki html asani se changes kar sakta hoo,
Vaise mera ek saval bhi hai kya ham isme adsense aur blogger account login karke use kar sakte hai?
Yes kar sakte ho.
aapne bahut hi badhiya article likha hai sir i use this browser
Aise important topics ko share ke liye apka bahut bahut Dhanyawad. vastav me ye browser internet users ki kafi help karega.
बहुत सी अच्छी जानकारी दी आपने
सर brave browser किस country ने developed किया है