Duniya me sabse jyada mobile me internet istemal kiya jata hai or aksar logo ko smartphone me high speed internet service na milne ki problem hoti hai. Best cable and internet provider ya best sim isp internet provider hone par bhi phone user ko slow interent connection ki pareshani hoti hai. Today, main aapko mobile me high internet speed nahi milne ki wajah bta raha hu. Aap in galtiyo ko sudhar kar phone ki internet speed fast kar sakte ho.
Airtel, idea, vodafone, reliance comapny hume best internet service provide karte hai but top high speed internet providers hone ke bavjud kei bar 2G hi nahi 3G or 4G se bhi utni internet speed nahi mil ati jitni milni chahiye. Actually, iski wajah user ki ki gayi mistake hoti hai user apnjane me kuch aesi galti karte hai jinki wajah se phone internet speed slow ho jati hai.
- Airtel Sim Me Free Internet Kaise Chalaye 3G 4G Speed Se
- Idea Sim Me Free Internet Kaise Use Kare 2G/3G Speed Se
Wese to users bahut sari galtiya karte hai but main yaha aapko un galtiyo ke bare me bta raha hu jo mostly har kisi smartphone user se hoti hai. In galtiyo ko sudharne ke bad aapko mobile me high speed internet service milne lag jayegi.
Smartphone Me High Internet Speed Service Nahi Milne Ki 10 Wajah
High speed internet connection hone par bhi aapko in wajah se mobile me fast internet speed nahi mil pati hai. Agar aap bhi inme se koi galti kar rahe hai to use avoid karke dekhe i sure aapko internet serivce high speed se milne lag jayegi.
1. Network Setting Sahi Set Na Karna:
Mobile me slow high internet speed na milne ki ye sabse badi problem hai. Actually, aapke auto internet connection mode select karne yani mobile ki networking default use karne se phone ko bar bar network search karna padta hai.
Examples, aapne default yani 2G, 3G ,4G sabhi network choose kar rakhe hai or aapki location par kisi bhi ek network ki range sahi sahi nahi hai to aapka phon system bar bar kabhi 2G kabhi 3G search karta rahega. Agar aap ek mode like GSM, WCDMA select kare to net speed me sudhar hoga or phone ko bar bar searching nahi karni hogi.
2. Auto Update Off Nahi Karna:
Mobile application update available hone par jab aap internet chalu karte ho to background me automatically update hoti rahti hai. Aap ise phone ki update setting me ja kar band kar sakte ho.
3. Ad Blocker Istemal Nahi Karna:
Bahut si websites par jyada hi advertising hoti hai. Jiski wajah se na sirf aapke mobile me internet slow chalti hai balki aapka bahut sara data bhi khatm ho jata hai.
Aap playstore se ad blocker apps download kar install kar sakte hai. Ya fir aap UC Browser ka istemal kare isme already ad blocker hota hai. Iski adhik jankari ke liye aap Mobile UC Browser Me AdBlocker Visibility Disable / Enable Kaise Kare post read kare.
4. Extra Apps Install Rakhna:
Shayad hi koi hoga jo apne mobile me game nahi khelta hai. Aaj smartphone me aese aese game available hai ki har kisi ka man karta hai. But kya aapka pata hai inme se kuch apps aese bhi hote hai jinhe play na karne par bhi jab aap internet on karte ho to background processing activate ho jati hai.
Isse na sirf aapki internet speed slow hoti hai balki aapka bahut sara data bina wajah ke hi khatm ho jata hai. Un apps ko mobile se unitsall kar de jinka aap bahut time se istemal nahi kar rahe ho. Main aapko suggest karunga ki aap sirf jaruri apps hi mobile me use kare.
5. Memory Clean Nahi Karna:
Android mobile me internet istemal karne par cache files ban jati hai. Iski wajah se aapke phone ki ram ka space badh jata hai or phone systep ko work karne me problem hoti hai. So time to time cache memory ko clear karte rahe ya fir sike liye aap clean master jaise apps install karte rahe jo phone ki ram full hone par aapko alert kar dete hai.
Aapke phone me kam se kam 300 MB ka space humesha bana rakhna chahiye. Achhi internet speed pane ke lyie ye jaruri hai. Aap phone setting >>storage me ja akr easily cache files ko delete kar sakte hai. Iske alwa aap apps manager me ja kar us apps ki cache file bhi delete kar de jise aapne abhi abh iistemal kiya hai.
6. Mobile Ko Humesha On Rakhna:
Jis tarah insan ko kaam karne ke bad aaram ki jarurat hoti hai or wo bina aaram kiya lagatar achhe se work nahi kar sakta theek wese hi huamra phone bhi lagatar work nahi kar sakta. Aapko ye sun kar hasi jarru aayegi but ye sach hai phone system ko bhi kuch time rest ki jarruat hoti hai.
Aap mostlyr nite me sote time phone ko switch off rakh sakte hai. Aap phone ko off karke fir se open karoge to aapko sachmuch internet speed me badlav dikhenge. Yakinn aapke phone ki internetspeed high hogi.
7. Memory Card Ka Istemal Na Karna:
Agar aapke phone me memory card hai to aap phone ke kuch extra apps ko card me move kar sakte ho. Jisse phone memory increase hogi or mobile system achhe se work karega.
8. Facebook App Use Karna:
Shayad aapko yakin na ho but ye bat sach hai ki facebook app aapke mobile ki na sirf internet speed slow karta hai balki aapke mobile ke pure system ko hi slow kar deta hai. Actually, iska size already 50MB se jyada hota hai or isme big sizes ki cache files create hoti hai.
Jiski wajah se kuch hi time me aapke mobile ki ram full ho jati hai. I suggest you facebook app ki jagah facebook lite use kare ya kisi other browser me facebook ka istemal kare.
9. Bluetooth On Rakhna:
Sab jante hai ki virus mobile ho ya computer sabke liye danger hote hai or bluetooth on rakhna virus ko invite karne ka sabse achha tarika hai. I mean bluetooth chalu hone par koi bhi virus aapke mobile par aasani se attack kar sakta hai.
Bluetooth on hone ki wajah se phone me virus aa jate hai jo phone internet connection ko slow karte hai balki mobile ke pure system ko hi dhima kar dete hai or ho sakta hai aapke mobile ke system ko hi khatm kar de.
10. Phone Reset Nahi Karna:
Android Smartphone or toher sabhi me settings reset karne ka option hota hai. Jisse hum phone ko fir se new product bana sakte hai. Jab hum mobile ko reset karte hai to uska sara data deelte ho jata hai or sirf company ke diye apps software hi baki rahte hai.
Ye option isiliye hota hai taki hum phone me koi mistake hone ya virus attack hone par use reset kar remove kar sake. But bahut se mobile users long time tak pphone ko reset nahi karte ya fir karte hi nahi hai.
Aap weekly monthly phone ko reset karte rahe taki phone ki quality pahle jaisi bani rahe or wo good work karta hai. Phone ki safety ke liye ye jaruri bhi hai.
- Jio 4G Sim Se Kis Time Kitni Aur Sabse Jyada Speed Kab Milti Hai
- Jio 4G Sim Se Computer Laptop Me Free Internet Chalane Ki Best Tips
Iske aalwa aap mobile phone play store or play store service ko bhi update kar le isse bhi phone ki internet speed increase hoti hai.
Finally, main aapko yahi kahunga ki phone better work kare iske liye jaruri hai ki phone me extra apps install na kare or jinta ho sake phone ko clean rakhe. Mobile ki high internet speed ki ye jankari apko kaisi lagi comment me jarur btaye.
I hope is post me btayi tricks se aap apne phone ki internet speed high katr sakte ho. Agar ha to apna 2 second ka time nikal lar is post ko share jarur kare.
Mere yaha to internet speed bohot hi kam hai. Mai apke diye hue tricks ko jarur apply karunga. Thanks for sharing & Apka new logo aur font style mujhe bohot pasand aya.
sir meri post do teen din search me rehti hai fir search se out ho jaati hai kya karan hai.
SEO ke bare me achhe se sikho ye kya hai kaise kaam karta hai or kaise use karte hai.