Mobile phone khone ya chori hone par usme lock kaise lagaye ya block kaise kare taki pane wala uska istemal na kar sake or aapki personal data na dekh sake. Android mobile me day dy day new feature aate rahte hai. Ab aap apne smartphone ke khone ke bad bhi use lock kar sakte ho or usme apne mobile number bhi add kar sakte ho taki jise bhi wo mile wo aapko call kar sake. Kyuki agar wo aapko phone nahi karega to wo mobile uske kisi kaam ka nahi. So aayiye jante hai lost phone device me screen lock kaise lagate hai or apne contact number kaise add karte hai.
Mobile phone khone ya chori hone ke bad aap usme apne mobile number add karke screen lock laga kar password set kar sakte hai. Uske bad jisko bhi wo milega use lock kholne ke liye password ki jarurat hogi or password sirf aap jante hai. Wo bina password khole sirf aapke pas call kar sakta hai.
- 10,000 Price Me Best Battery Backup Wale 10 SmartPhones
- Mobile Se Paise Kaise Kamaye, Paisa Kamane Ke Best Android Apps
Main already Mobile Phone Chori Hone Ya Khone Ke Bad Kya Kare 5 Jaruri Bate post me android phone ke khone ke bad kya karna hai ke bare me bta chuka hu. Aaj main aapko aesa tarika btaunga jisse aapka phone khone par wapis milne ke 100% chance honge or agar koi wapis nahi karta hai to wo phone ko istemal bhi nahi kar sakega.
Android Mobile Me khone Ke Bad Lock Lagane Se Kya Fayda Hai?
Android phone me khone ya chori hone ke bad usme lock lagane ya phone number add karne se kya fayde hai. Agar aap aesa soch rahe hai t don’t worry main aapko iske fayde bta deta hu.
- Lock lagane ke bad wo aapke smartphone ka istemal nahi kar sakta.
- Phone ke useless ho jane ke bad uske pas sirf aapko call karne ka option bachta hai to ho sakta hai wo aapko call karke bta de.
- Phone lock hone se phone ka sara data secure ho jata hai. I mean aapke photos, videos, documents and other personal information koi nahi dekh sakta.
- Aap lost phone me alert message kar user se phone wapis karne ke liye request kar sakte ho.
I sure agar aapka phone khone ke bad kisi ko mitla hai to wo 100% aapko call karega kyuki block hone ke bad wo phone usk kisi kaam ka nahi rah jata to aayiye jante hai lost phone device ko lock kaise kare.
Mobile Khone Ya Chori Hone Ke Bad Usme Screen Lock Kaise Lagaye
How to lock your device , lost android mobile and add your mobile number in hindi: In step ko follow karke aap aasani se pane phone me lock laga kar use block kar sakte ho or phone me mobile number add karke screen lock laga sakte ho taki jisko bhi wo mile to wo aapko call kar sake.
Step 1:
- Sabse pahle aap apne Android Device Manager par jaye or apni us gmail ID se log in kare jisse aapne lost phone me sign in kiya hua hai.
- Ab aapse password confirm karne ke liye kaha jayega. Ek bar password confirm kare.
Step 2:
- Ab aap Android Device Manager google map par pahuch jaoge.
- Thodi der me google aapke phone track kar laga or uska name shhow hoga.
- Phone model number check karne ke bad Lock option par click kare.
Step 3:
Ab ek pop up forum open hoga. Jisme aapko new password, alert message or apne mobile number add karne hai.
- New password add kare.
- Alert message add akre. (Ye message phone ki screen open karne par show hoga.
- Apna mobile number add kare jis par user aapko call karke inform kar sake.
- Finally Lock par click kare.
Done, Ab aapka khoya hua ya churaya gaya phone lock ho chuka hai. Ab koi bhi uska gaalt istemal nahi kar sakta. Wo sirf uske liye ek dabba ban kar rah jayenga. Ha ho sakta hai ki wo aapko call karke phone ke bare me bta de. Lost device me is tarah ka alert warning message show hoga.
Is tarah se aap apne lost android mobile me lock laga kar use block kar sakte ho or usme phone number add kar sakte ho. Google ki is android device manager ki service se aap kisi bhi lost device ka pata laga sakte hai.
Agar aap kahi par apna smartphone bhool gaye hai to aap uski location bhi apta kar sakte hai. Iske liye aap humari Mobile Phone Khone Par Mobile Ki Location Kaise Pata Kare post ke step follow kare. Is post me maine mobile ki location pata karne ke bare me step by step details me jankari di huyi hai.
- Mobile Phone Me High Internet Speed Nahi Milne Ki 10 Wajah
- Jio SIM Ka Barcode Chori Ho Gaya Hai to In 4 Tariko Se Mil Sakta Hai
Agar aapko khoye huye phone ko lock karne me ya mobile number add karne me koi bhi problem ho to hume comment me bta sakte hai.
Imei se fon lock krna h
Mere phone Redmi 9 chori ho gya h kaise lock kare
Mera phone vivo y20 chori ho gya hai
My mobile chori ho gya hai use lok karne ke liye me majboor ho
Oppo a5 chori ho gaya hai mobile phone ko band karne ka hai kaise hoga