Google Ke Bare Me 10 Interesting Facts, Amazing Information Hindi Me

Google duniya ka sabse bada search engine hai ye bat sabhi jante hai par sirf kuch log hi google ke bare me puri jankari rakhte hai. Baki jyadar log google ko search engine ke name se hi jate hai magar google ki search engine ke alawa bhi 200+ or bhi services and products hai. Aaj is post me main aapko google ke bare me 10 interesting facts bta raha hu jinke bare me aap shayad hi jante honge.

Interesting Facts About Google ke

Mostly google search engine ke name se famous hai par google company ke iske alawa bhi bahut sare product aur services hai. Inme Gmail, Google Plus, Google Drive, Google Photos, Docs, Google Maps, Youtube, Chrome, Cloud Print, Play Store, Android Operating System etc. shamil hai.

Aaj main aapko google se judi kuch rochak baten btane ja raha hu. Jinke bare me aap jaan kar sachmuch hairan rahe jaoge or sochoge ki wakai hume google ki in bato ke bare me to pata hi nahi tha.

10 Interesting Facts About Google You Should Be Know in Hindi

Kya aap jante hai ki google ka Google name kisi ne nahi rakha or ye sirf galti se ho gaya bad me ise google meaning ka roop de diya gaya. So aayiye jante hai google ka name mistake me kaise pada or iska asli name kya tha.

1. Galti Se Pad Gaya Google Ka Name

Google search engine ke name ki spelling uske founders ke dwara ki gayi galti ka natija hai. Unki mistake se hi google ka name google pad gaya warna pahle iska real name GOOGOL tha. Jiska matlab hota hai 1 ke bad ek lakh zero.

Google ke founder ne ise galti se google likh diya or bad me faisla kiya gaya ki ab iska name google hi hoga kyuki ye googol se jyada simple tha.

2. Google and Companies

Google ke bare me or intereting facts ye hai ki goole ne 2010 se lagbhag har hafte (week) ek new company me investment kiya hai. 201o me google ne Google Energy ke sath apna pahla investment shuru kiya tha.

Iske bad google ne Next Era Energy Resources me dusra nivesh kiya. Isi sal googne ne Global IP Solution jaisi bahut si companies ko pane sath mila liya.

Iske bad android Motorola, Quickoffice jaisi company ko google ne apne sath mila liya. Wese ab motorolo company ko lenovo campany ne kharid liya hai.

3. Dessert and Alphabet Par Android Name

Andoird operating system market me sabse jyada istemal kiya jane wala mobil os ban gaya hai. Number one operating system hone ke sath sath is operating system ke name ko le kar aapke man me ye khyap jarur aata hoga ki aakhir iska name mithaiyo par kyu rakha jata hai, jaise Jelly bean.

Is bare me company ne aaj tak kuch nahi btaya hai. Google ke ek employee ke anusar ye team work ke reason ki wajah se hota hai.

Google ke android operating systep ko ABCD alphabet ke hisab se name diye gaye hai. Jaise Cupcake, Donut, Eclair, Froyo, Gingerbread, Honeycomb, Ice Cream Sandwich, Jelly Bean etc.

4. Google Doodle

Google ka first doodle 1998 me Burning Man Festival banaya gaya tha. Isme google ka search page change kar diya gaya tha. Uske bad may 2012 me googne ne apne doodle ka new look diya jo ki ek game ke roop me tha.

Aesa pahli bar hua tha ki users google doodle ke sath game khel sakta tha. Ye game Pac - Man video game ke 3o year pure hone ki khushi ke me banaya gaya tha.

Isi sal google ne apna pahla animated ( cartoon ) doodle update kiya tha. Ye john lennon ke 70th birthday ke karan banaya gaya tha.

5. Larry Page and Brin Want Sell Google

Starting me google ke founder larry page or sergey brin google ko bechna chahate the. Wo google ko sell karne ke liye excite company ke CEO ke pas gaye the.

Ye dono founder google ko 1 million dollar me bechna chahate hai par excite company ki taraf se google ko sirf 75000 dollar ka hi offer mila jiski wajah se deal pakki nahi ho saki or sauda bigad gaya.

Uske bad google ne vishal roop le liya or dunia ka sabse bada search engine ban gaya jo wo aaj bhi hai.

6. Google Chef Have 150 People Team

Google ki taraf se november 1999 me ek faisla liya gaya jisme chalie ayers ko starting me 40 members ko khana banana hota tha. Uske work ko media me kafi saraya gaya.

2006 me charlie ne google ko chord diya. Is time tak google ke is master shef ki team me most 4 shef or 150 logo the. Ye team ek din me 4000 dinner aur lunch parosti thi.

7. Google Ka First Tweet

Kya aap jante hai ki google ne apna pahla tweet kab kiya tha or usme kya likha tha. Shyad nahi to main aapko bta du ki google ne apne pahle tweet me computer ki language 0 to 1 ka istemal kiya tha or ye tweet binary me kiya gaya tha. Ye tweet is type ka tha.

"I'm 01100110 01100101 01100101 01101100 01101001 01101110 01100111 00100000 01101100 01110101 0110001 01101011 01111001 00001010."

Ab aap soch rahe honge ki iska matlab kya hota hai to main aapko bta du ki english me iska matlab "I am feeling Lucky" hota hai.

8. Gmail Starting

Google ki e - mail service gmail 16 december 2005 me launch ki gayi thi. Is service ko 50 different languages me release kiya gaya tha. Aapko btana chaunga ki gmail ka idea rajan seth ne diya tha.

Unhone ye idea google ko tab diya jab wo google ko interview dene gaye the. Is idea ke bad me paul buchhe ne asli aakar diya.

Shuruati time me gmail ko only google me employees ke liye banaya gaya tha but bad me ise officially duniya ke sabhi logo ke liye shuru karne ka announcement kar diya gaya.

9. गूगल के शेयर ने बनाया कईयों को करोडपति

Google ke share bechne par company ke lagbhag 1000 karmchari crodpati yani millionaire ban gaye. Jab 2004 me company neapne shares aam logo ke liniye nikale to unme se ek bonnie brown 1999 me 450 dollar per week ki sallary par work karte the.

10. Bich Me Nahi Tha Google Ka Logo

Agar hum search engines ke design ke bare me bat kare to google ka logo sabse jyada attract lagega par pahle google ka koi logo nahi tha. Bich me google ka search engine tha or upar google likha hua rahta tha.

Starting me google ka logo left side me hota tha jise 32 march 2001 me badal kar center me kar diya gaya. Aaj bhi google ka logo bich me hi show hota hai.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

50 Comments

Comments ( 50 )

  1. Hitesh

    bro personaly ky aap shared host par ky aap 2 websites run krte ho...ky isse koi nuksan hota hai SEO me

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Kar sakte ho isse koi nuksan nahi hai.

      Reply
  2. bhavesh

    sir kisi post ka short description kese set kare

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Blog post edit option me ja kar right side ke sidebar me dekho post description ka option hoga. usme kar sakte ho.

      Reply
  3. Aryan

    Sir WordPress blog me logo set karne ke liye koi post ho to please btaiye

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap WordPress dashboard open karo or appearance par click karke customixe par click karke logo set karo.

      Reply
  4. Shivani Sharma

    Sir me aapse kucch pucchna chahahti hu mera blog हिंदी me hain. to mujhe apne blog ka title kis trah daalna chaiye
    Example: 1. What is Focus Keyword in Hindi
    Example: 2. Focus Keyword Kya Hain
    Example: 3. Focus Keyword क्या हैं ?

    inme se konsa title choose karu jisse search se bhi accha result mile aur blog ka passion bhi bana rahe ???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Example: 3. Focus Keyword क्या हैं ? sahi hai.

      Reply
  5. Pawan kumar

    Sir mobile screen ko record karke use mobile ke sath kaise dikha sakta hu jaise ki baki YouTuber karte hai?
    matlab unke video me mobile kaise aata hai plz btaye.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      mobile screen recorder app use karo.

      Reply
  6. Naveen Poonia

    Q.1 bro Genesis theme se footer link kaise edit kare ya remove kare ?

    Q.2 Post se Tag or Categories ko Hide kaise kare ?

    Q.3 Aap Featured Image Ke Liye Kis Size Ka istemal karte ho ?

    Answer all as soon as possible. i known you can ...

    Reply
    • Jumedeen Khan

      1. sike bare me aap google me search karo kuch engish blog par iski jankari mil jayegi.
      2. CSS code se .entry-footer { display: none; } code use karo.
      3. 700x380

      Reply
  7. Raman

    bhai hostgator shared hosting kitna traffic handle kar sakta hai ?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      10k to 20k daily

      Reply
  8. Deepak

    hii big bro,

    aapse ek swal tha reply jarur de.

    bhai ji maine apne blog par AdSense account 2 month pahle banaya tha aur pichle mahine 1 tarik ko usme 100 $ complete ho gye the aur maine usne apna bank account bhi ad kar liya but mera koi payment aaya nahi. is month bhi mere balance 150$ ho gya hai. kya is bar mere paise aayenge ya fir ye bhi hold ho jayenge. maine saara chek kara hai paise hold par bhi nahi hai.. is month mujhe mere balanc mujhe milega ya mujhse koi galti ho rahi hai. aapna answer jarur de.

    thanx

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Is month aapko payment mil jayega.

      Reply
  9. shaikh muneer

    google ke bare me itna details se mai nhi janta tha khas karke uske naam ko leker.

    Reply
  10. Raj

    Brother meine apko Facebook par ek screenshot send kiya he ap ushe dekh karo mujhe plz reply kardo

    Reply

Leave a Comment

Internet

Mobile UC Browser Me AdBlocker Visibility Disable / Enable Kaise Kare

Disable and enable AdBlocker in uc browser
A lot of people know, bahut sare log jante hai ki mobile UC browser me google AdSense ads and other media advertisment show nahi hote hai. Uc browser google AdSense and other advertisment ko allow nahi karta hai. UC browser nad opera mini browser me AdBlocker hota hai ise disable…
Continue Reading
Internet

गूगल से भी बेहतर है ये सर्च इंजन, जरूर ट्राई करें?

Search Engine for Private Browsing
हम सभी जानते हैं कि Google दुनिया का सबसे ज्यादा पॉपुलर सर्च इंजन है। लेकिन सिर्फ गूगल ही दुनिया का इकलौता सर्च इंजन नहीं है, बल्कि इसके अलावा भी और भी कई सारे बढ़िया Search Engines है। उनमें से कुछ Search Engine गूगल से भी ज्यादा बेहतर है। इस पोस्ट…
Continue Reading
Internet

भारत में सबसे ज्यादा इस्तेमाल होने वाली 10 वेबसाइट

भारत में सबसे ज्यादा इस्तेमाल होने वाली 10 वेबसाइट
आप और मैं हम सब इंटरनेट का इस्तेमाल करते है पर क्या आपको पता है की भारत में सबसे ज्यादा कौन कौनसी वेबसाइटें इस्तेमाल होती है। अगर आप नहीं जानते है तो इस पोस्ट में मैं भारत में सबसे ज्यादा उपयोग होने वाली टॉप 10 वेबसाइटों के बारे में बता…
Continue Reading
x