Google duniya ka sabse bada search engine hai ye bat sabhi jante hai par sirf kuch log hi google ke bare me puri jankari rakhte hai. Baki jyadar log google ko search engine ke name se hi jate hai magar google ki search engine ke alawa bhi 200+ or bhi services and products hai. Aaj is post me main aapko google ke bare me 10 interesting facts bta raha hu jinke bare me aap shayad hi jante honge.
Mostly google search engine ke name se famous hai par google company ke iske alawa bhi bahut sare product aur services hai. Inme Gmail, Google Plus, Google Drive, Google Photos, Docs, Google Maps, Youtube, Chrome, Cloud Print, Play Store, Android Operating System etc. shamil hai.
- Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap
- Google Par Apne Name Ka Search Engine Page Kaise Banaye
Aaj main aapko google se judi kuch rochak baten btane ja raha hu. Jinke bare me aap jaan kar sachmuch hairan rahe jaoge or sochoge ki wakai hume google ki in bato ke bare me to pata hi nahi tha.
10 Interesting Facts About Google You Should Be Know in Hindi
Kya aap jante hai ki google ka Google name kisi ne nahi rakha or ye sirf galti se ho gaya bad me ise google meaning ka roop de diya gaya. So aayiye jante hai google ka name mistake me kaise pada or iska asli name kya tha.
1. Galti Se Pad Gaya Google Ka Name
Google search engine ke name ki spelling uske founders ke dwara ki gayi galti ka natija hai. Unki mistake se hi google ka name google pad gaya warna pahle iska real name GOOGOL tha. Jiska matlab hota hai 1 ke bad ek lakh zero.
Google ke founder ne ise galti se google likh diya or bad me faisla kiya gaya ki ab iska name google hi hoga kyuki ye googol se jyada simple tha.
2. Google and Companies
Google ke bare me or intereting facts ye hai ki goole ne 2010 se lagbhag har hafte (week) ek new company me investment kiya hai. 201o me google ne Google Energy ke sath apna pahla investment shuru kiya tha.
Iske bad google ne Next Era Energy Resources me dusra nivesh kiya. Isi sal googne ne Global IP Solution jaisi bahut si companies ko pane sath mila liya.
Iske bad android Motorola, Quickoffice jaisi company ko google ne apne sath mila liya. Wese ab motorolo company ko lenovo campany ne kharid liya hai.
3. Dessert and Alphabet Par Android Name
Andoird operating system market me sabse jyada istemal kiya jane wala mobil os ban gaya hai. Number one operating system hone ke sath sath is operating system ke name ko le kar aapke man me ye khyap jarur aata hoga ki aakhir iska name mithaiyo par kyu rakha jata hai, jaise Jelly bean.
Is bare me company ne aaj tak kuch nahi btaya hai. Google ke ek employee ke anusar ye team work ke reason ki wajah se hota hai.
Google ke android operating systep ko ABCD alphabet ke hisab se name diye gaye hai. Jaise Cupcake, Donut, Eclair, Froyo, Gingerbread, Honeycomb, Ice Cream Sandwich, Jelly Bean etc.
4. Google Doodle
Google ka first doodle 1998 me Burning Man Festival banaya gaya tha. Isme google ka search page change kar diya gaya tha. Uske bad may 2012 me googne ne apne doodle ka new look diya jo ki ek game ke roop me tha.
Aesa pahli bar hua tha ki users google doodle ke sath game khel sakta tha. Ye game Pac – Man video game ke 3o year pure hone ki khushi ke me banaya gaya tha.
Isi sal google ne apna pahla animated ( cartoon ) doodle update kiya tha. Ye john lennon ke 70th birthday ke karan banaya gaya tha.
5. Larry Page and Brin Want Sell Google
Starting me google ke founder larry page or sergey brin google ko bechna chahate the. Wo google ko sell karne ke liye excite company ke CEO ke pas gaye the.
Ye dono founder google ko 1 million dollar me bechna chahate hai par excite company ki taraf se google ko sirf 75000 dollar ka hi offer mila jiski wajah se deal pakki nahi ho saki or sauda bigad gaya.
Uske bad google ne vishal roop le liya or dunia ka sabse bada search engine ban gaya jo wo aaj bhi hai.
6. Google Chef Have 150 People Team
Google ki taraf se november 1999 me ek faisla liya gaya jisme chalie ayers ko starting me 40 members ko khana banana hota tha. Uske work ko media me kafi saraya gaya.
2006 me charlie ne google ko chord diya. Is time tak google ke is master shef ki team me most 4 shef or 150 logo the. Ye team ek din me 4000 dinner aur lunch parosti thi.
7. Google Ka First Tweet
Kya aap jante hai ki google ne apna pahla tweet kab kiya tha or usme kya likha tha. Shyad nahi to main aapko bta du ki google ne apne pahle tweet me computer ki language 0 to 1 ka istemal kiya tha or ye tweet binary me kiya gaya tha. Ye tweet is type ka tha.
“I’m 01100110 01100101 01100101 01101100 01101001 01101110 01100111 00100000 01101100 01110101 0110001 01101011 01111001 00001010.“
Ab aap soch rahe honge ki iska matlab kya hota hai to main aapko bta du ki english me iska matlab “I am feeling Lucky” hota hai.
8. Gmail Starting
Google ki e – mail service gmail 16 december 2005 me launch ki gayi thi. Is service ko 50 different languages me release kiya gaya tha. Aapko btana chaunga ki gmail ka idea rajan seth ne diya tha.
Unhone ye idea google ko tab diya jab wo google ko interview dene gaye the. Is idea ke bad me paul buchhe ne asli aakar diya.
Shuruati time me gmail ko only google me employees ke liye banaya gaya tha but bad me ise officially duniya ke sabhi logo ke liye shuru karne ka announcement kar diya gaya.
9. गूगल के शेयर ने बनाया कईयों को करोडपति
Google ke share bechne par company ke lagbhag 1000 karmchari crodpati yani millionaire ban gaye. Jab 2004 me company neapne shares aam logo ke liniye nikale to unme se ek bonnie brown 1999 me 450 dollar per week ki sallary par work karte the.
10. Bich Me Nahi Tha Google Ka Logo
Agar hum search engines ke design ke bare me bat kare to google ka logo sabse jyada attract lagega par pahle google ka koi logo nahi tha. Bich me google ka search engine tha or upar google likha hua rahta tha.
Starting me google ka logo left side me hota tha jise 32 march 2001 me badal kar center me kar diya gaya. Aaj bhi google ka logo bich me hi show hota hai.
Sir post to Amazing thhi,,, really i enjoyed it ..
Sur aap meri site ko chek kr k btyn ki ab mujhe kya krna hoga ?
Aapki site open nahi ho rahi hai.
Hello bhai, desh ke hazar hazar nou jawano me se ek mai bhi tha,jisne english nahi aane ki wajah se HINGLISH me ek blog bana kar kuch paisa earn karke apne pariwar ko kuch rahat dene ka faisla kiya tha. Par baat eisi ho gayi ki, bandar biryani ka swad kaise le sakta hai,jab use biryani banani aati hi na ho.chori kar ke khaye wo baat alag hai.mera halat kuch isi tarah ka tha. Maine apna blog ka subh naam soch liya,ek demo post bhi likha,hamare adaraniya rohit mewada bhai ka template download karke add kar diya.iske baad mera problem shuru ho gaya.mai template ko proper sajane me fail hua.aur iske baad aap samajh hi sakte hai kaisi kaisi problem ho sakte hai. Mera blog chalane ka sapna sishe ki tarah bikhar gaya. Iske baad aur kya,pitaji ka cancer hua,mumbai gaya,nasib accha tha bade bhai ki noukri ki wajhah se treatment ka kharch company ne uthaya.nahi to hamare jaise family ki bas ki baat nahi. Dukan ka bojh mujh par aa gira. Ab 6 mahine se laptop apni jagah se hil bhi nahi pa raha.mai rehta hoon thaka hara.
Ab itne dino baad thode time nikaal kar aapse kuch sawal karna chahta hoon.
Bhai, kya blog chalana itna kathin hai? Jitna kathin mujhe laga.
Kya aapke paas aisa tutorial video hai jisse a to z malum par sake?
Kya aap jaise blogger apne reader se 100 percent share karte hai? Ya kuch secret rakhte hai? Secret to rakhna padra hi hai.agar aapki jagah mai hota toh mai bhi yahi karta sayad. Phir bhi aapse mera gujarish hai ki aap mujhe itna layak bana dijiye ki,mere blog par reader aaye ya na aye,kam se kam itna keh sakoon ki maine blog toh chalaya hai. Aur bhai,maine padha hai ki blog earning karne ke liye nahi, apne gyan,telent ko share karne ke liye chalana chahiye.is baat se mai agree karta hoon.but aisa koun hai jo sirf apne talent share karne ke liye blogging karega.paisa toh sabko jarurat hoti hai.mai toh ye kehta hoon ki aaj ki date par money hi sab kuch hai.iske bina apne bhi padaye hai. Philoshophy ki baat alag hai.
Bas bahut likh liya.aaj se pehle maine itna lamba sayad kabhi nahi likha. Lunch ka time ho raha hai. Ummeed hai aap mere help karenge.
Very sad bro,
Hum koi bhi kaam kanra chahe agar hume uski jankari nahi hai to hume wo pahad jaisa lagta hai. Blogging hard hai but itna bhi nahi ki aap kar hi na sako kar sakte ho but iske liye aapko iske bare me sikhna hoga.
Upar btayi bato ke anusar aapne blogging ke bare me bahut kam sikha hai. Agar aap apne 1-2 month blogging sikhne me laga to to aap aasani se blogging kar sakte ho.
Yes har koi paise ke liye karta hai but yaha isiliye kaha gaya hai kyuki aap sirf paise ko dekhoge to kaam nahi kar paogoe. Aapko paise ke sath dusri or dhya ndena hoga. Aapki mehanat se kabiliyat se paisa aapke piche aayega.
Agar aapko blogging kanri hai to aap apne 2 mahine ise sikhne me laga do or jaha bhi aapko blogging ki janakri mile use padh lo.
In 2 mahine ke bad apako koi sawal karne ki jarurat nahi padegi.
sir, me aapka har likhe gaye post ko youtube me video banana chahta hu. taki aapki kaam aur v simple ho jaye. aur mjhe ecprience ke saath idea v mile. Kya aap ko kuchh kehna hai iis baare me.
Dear ashutosh agar aap aesa karoge to jab main video banaunga to kis par banaunga. Sorry main ye allow nahi karta. Aap apne blog ke topic par video banao.
Google par Maine ek E book banai hai Hi I am Google. Google 180 Products and Services. Ye E Book Ek dum Free Hai. Sir aap bhi ek baar jarur padhna. Isko download karna bilkul free me. I hope ye book aapko bahut acchi lagegi. Plz sir ek baar aap bhi jarur padhna I hope you like it.
Why not main but ebook ka link to mention karte.
Namaste rohit sir ,
Mere pass ek blogspot blog he jis par AdSense already active he , mene ek new WordPress website banayi he kya me us par apne already AdSense account ke add laga sakata hoon , ya phir mujhe kuch or karna hoga , ya phir me kese apply karoon apni website ke liye
Yes aap old AdSense account se WordPress blgo par ads laga sakte ho. but aapke pas custom domain example.com wale domain se AdSense approved hona chahiye. kyuki blogspot.com wale blgo se only aap usi blog par ads laga sakte ho. agar aesa hai to WordPress blog ke liye aapko AdSense account ko fully approved karana hoga. Iske liye aap AdSense setting me ja kar site management me apni site ka link add kare.