Google Par Apne Name Ka Search Engine Page Kaise Banaye

Google ke search page par aap google likha hua dekh dekh kar bore ho gaye hai to ab aap apne name ka search page bana sakte hai. Iske liye google ne Goglogo name ka new feature add kiya hai. Jis se aap apni pasand ka background, logo or name wala own search engine create kar sakte ho. Google ne ye feature isliye launch kiya tkai user ko boring mehsoos na ho.

Create your own search engine on google

Google duniya ka number one search engine hai or log is par sabse jyadfa searching karte hai or shayad aap bhi internet par kuch bhi search karne ke liye sabse pahle google ko hi open karte ho. Aese me aap bar bar google logo ko dekh kar boring feel kar rahe hai to aap apne name se bhi search en gine create kar sakte ho.

Google apne users ko attract karne ke liye naye naye feature add karta rahta hai. Isi ki wajah se google ko world ka no. 1 search kaha jata hai. Is bar google ne apne name ka search page banana ka new feature add kiya hai.

Iske liye bas aapko goglogo.com site par jana hoga or apne name or email ID se register akrna hoga uske bad aap apne hisab se google search logo or background ko design kar sakte ho. Ye bhi padhe Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap

How to Make Your Own Search Engine on Google

Google par apna search page create karne ke liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Aapko bas khud ka logo ya name or background set karna hai. Iske liye aap ye step follow kare.

Step 1:

  1. Sabse pahle goglogo.com aap site par jaye.
  2. Ab box me apna name type kar ke enter button dabaye ya “Create My Search Page Now” par click kare.

Create your own name search engine

Step 2:

Bas ab aapka khud ka search engine ready ho chuka hai. Ab jo page khulega wo kuch is tarah se hoga. Jisme google logo ki jagah aapka name hoga. Ab aapko ye search page apne browser ke homepage par set karna hai.

  1. Top sidebar me yeloow color me likhe huye “Set As Home Page” par click kare.

Make your own name search engine

Step 3:

Ab ek pop up page open hoga. Jisme own search engine ko home page par set karne ke step btaye honge. Aayiye main inhe hindi me bta deta hu.

  1. Right side top me menu arrow par click are.
  2. Setting par click kare.
  3. Ab appearance me “Show home button” par click kare.
  4. Ab new tab page ke samne change par click kare.
  5. Ab ek popup windows open hogi.
  6. Isme open this page par select karke niche image me btaya gaya link add kare.
  7. Finally ok par  click kare.

Set goglogo to yuor home page

Ab jab aap browser ko open karoge to aapke name ka search page open hoga. Aap chahe to isme name ke alawa logo images or backgorund image bhi add kar sakte hai.

Agar aap google search page ko fully change karna chahate ho to goglogo ke alawa kuch website or bhi hai. Jo aapko custom search engine design karna offer karti hai inki help se aap google search page ko change kar sakte ho.

1. Mydailysearch

Mydailysearch

2. Shinysearch

Shinysearch

Inke alawa or bhi bahut si websites hai but aapko unki jarurat nahi padegi kyuki aap inhi se google search page ko chahe jaise design kar sakte hai or apni pasand anusar badal sakte ho.

So ab aapko google ke homepage se boring nahi hogi or aap jab chahe google search engine page ko change kar sakte ho. Agar aapke pas iske liye koi or tarika hai google ko design karne ka to aap uske bare me comment me mention kar sakte hai.

Agar aapko ye post achhi lage to ise apne dosto ke sath social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 50 )

  1. HOmlal

    Google Search par site ka all page show kaise kare
    Jaise aapka hua hai,

    ब्लॉग
    Support Me India All Income …
    पैसा कैसे कमायें
    Submit Guest Post
    ब्लॉगिंग
    हमारे बारे में

    Reply
    • जुमेदीन खान

      आप सिर्फ पेजेज बना लो गूगल अपने आप इंडेक्स कर लेगा

      Reply
      • Arvind rana

        Carpenter ka kaise kare

        Reply
    • Baijnath

      Google search me carpenter kaise kare

      Reply
  2. Anand kumar

    Sir mujhe Meri company k name ki id bnane k liye Kya krna chahiye jo Google search engine pr name likhne se show ho jaye…
    Help me sir

    Reply
    • Jumedeen khan

      usi ke name ki ID banao.

      Reply
    • Sanjeev Kumar

      Mujhe apna naam dalna hai Google per

      Reply
  3. Helpnagaruntari

    Sir
    Mere blog ke home page par blog title h1 tag missing hai ise kaise add karu

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Aap kisi widget ka title h1 tag me add kar sakte ho like

      widget title here

      Reply
    • Ankit Maurya

      Sab kuch to okk hai but homepage me url fill karke save la options hi nahi aa raha

      Reply
  4. shital kumar

    sir, mere blog ke sitemap me pahle 50 post index dikha rah tha lekin ab 43 post hi infex dikha raha hai. ye aisa kyon hota hai

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Don’t worry next day baki post bhi index ho jayegi.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...