Aaj main aapko google AdSense ke block, banned, disable, deactivate hone ki policy violation warnings ke bare me bta raha hu jo aapke AdSense account ka common pitfalls yani nuksan hone se bachayegi. Agar aapke pas pahle se AdSense nahi hai to aap humari Adsense se related posts padh kar pahle google AdSense account bana le.
Agar aapka AdSense account kafi time se approved nahi ho raha hai ya aapka account kisi wajah se disable ho gaya hai or ya google ne aako AdSense use karne ke liye bann kar diya hai to aap iski wajah jarur janna chahate honge.
Aaj main aapko google AdSense ki policy violation ke bare me bta raha hu jo google team ne October 20, 2024 ko update ki hai. Is policy triggers me google AdSense team ne kuchpoints ko highlight kiya hai ki kis tarah ke content par AdSense ads allow nahi karega.
8 Big Reason: Google Adsense New Policy Violation In Hindi
Google only unique content like karta hai or google ne iske iye bahut sari algorithms bana rakhi hai. Google AdSense policy ke bare me main pahle bhi post likh chuka hu.
Now 20 october 2024 ko google AdSense ke new policy violation update huyi hai. Agar aap AdSense user ho to aapko inke bare me jarur jan lena chahiye or aapko future me AdSense disable jaisi problem na ho.
Google un pages par ads show karna allow nahi karta hai jinme copyrighted material hota hai. Kabhi bhi copyrighted or kisi or ke content ko monetize karne ki koshish na kare.
Agar aap copyright content par ads laga bhi lete ho to AdSense india me $100 hone par pay karta hai so aapke account me $100 se pahle hi AdSense team ko aapke bare me pata chal jayega or wo aapke AdSense account me $100 hone se pahle hi use disable kar dega.
2. Explicit Text
Sirf post title or headlines use karne par bhi AdSense ads allow nahi karta hai. Kuch log sirf kuch words use karke post ko khali ho chod kar usme ads laga dete hai or uske liye description use nahi karte to aesi site par bhi AdSense account deactivate ho sakta hai.
Iske alawa google profanity or erotic stories, jokes or discussions me me bhi ads alawa nahi karta kyuki ye AdSense policy ke virudh hai.
3. Mislabeling
Resources ki tarah under misleading headings me AdSense ads add karna bhi policy violation hai. User ko mislead karna or ads par click karne ke liye uksana bhi AdSense policy violation hai.
Acceptable header or sponsored links me advertisement placing karna bhi AdSense ki policy koa ullaghan hai. Simple words me AdSense ads ko site content me milane se google ki policy ka ullaghan hota hai. So clear or irght place par AdSense ads placement kare.
4. Deceptive Layout
Actually, users aapki site par content read karne ke liye aate hai bajye advertisement dekhne ke so users ko site content or AdSense ads ko samajhane me aasani honi chahiye or wo easily pata kar sake ki ad kona hai or content konsa hai.
Content me milte huye ads par invalid clicks activity hoti hai jiski wajah se AdSense aapka account suspend kar deta hai. Agar aapki site par is type ki activity hoti hai to google advertisers ki purti karne ke liye aapke ads click number kam kar denge.
Aapne kei bar dekha bhi hoga ki AdSense report me automatically clicks kam ho jate hai. Uski wajah yahi hai.
5. Sexual Content
Content jo s*xually explicit hai or suggestive without being explicit hai. Is tarah ke content par google AdSense use karna allow nahi karta hai.
Agar aap is tarh ka content share karna band nahi karte hai to future me google aapko humesha ke liye aapko AdSense advertisement dikhana band kar dega.
6. Unnatural Attention
Adsense ads par logo ka dhyan lane ke iye alert message add karna or unnatural tarike se AdSense se jyada earning karne ki koshish karna bhi aapki site par se AdSense ko banned karwasakta hai.
7. Violent Content
Featured blooshed, fight scenes, call about jaise violent content par bhi google AdSense ads show karna allow nahi arta hai.
I mean is tarah ke violent content par AdSense ads allow nahi karta or agar aap aesa kar rahe ho to or aako fkr karne ki jarurat nahi hai.
Jo blog webmaster guidelines ko follow karke content nahi likhta hai to uska bhi AdSense account disable kar sakta hai. Webmaster guidelines ke anusar user ko original frsh content share karna chahiye.
Original quality unique content na sirf readers ke liye better hota hai balki google search engine bhi frsh content ko like karta hai or isse aapki site ki search rank increase hoti hai.
Google ne is warning ko highlight kiya hai or is par jyada focus kiya hai agar use kisi AdSense user ki site ya blog par copyrighting content milta hai to wo jaldi hi uske AdSense account ko banned kar sakta hai.
So humesha badhiya or original content write kare or only useful content hi apni site par share kare. Agli post me main aapko btaunga ki AdSense policy violation ke bad kya kare.
bhaiji website pr 7-8 ad unit use krne se kya nuksan ho sakta hai pehle mene sabhi posts pr ad laga diye the fir change nahi kiye
Kya bhai comment hta bhi diya replay bala aur answer bhi nahi diya pehle comments ka aap delet hi kr dete sabhi comment kya aap ye chahte hai ki hum bar bar yahi page open krte rhe
Vaise aap do din na laga ke usi time answer de dete to fir doosre page pr visit krte pta nahi apki gentleman wali soch ko kya ho gya aap aisa krne lage hai comment dekh kr bhi response nahi dete
Yadi aap kisi ki help kr sakte hai to krna chahiye aur apke to paise bhi nahi lag rhe answer dene ke
Aap in do Line ke question ka answer 10 second me de sakte the
Aap ke pass in cheezo ka experience hai achcha is liye hm apke pass aye
Vaise hm bhi samajh sakte hai pr hmara kaam doosra hai isliye in cheezo pr bilkul dhyan nahi depate
Aapko bhai samjhte hai isliye dil ki bat keh di
Ye sab apke reply kro mera comment delet krne ke bad dimag me aya so likh diya bura laga ho to sorry pr kya sach hai ye apko pta hoga
Ya fir sb meri galat Femi hai
pr reply kro comment delet kr diya yAr ye bat dil pr lag gai so apse keh diya
Me apki site pr nahi au isse apko koi fark nahi padega pr hme padega kyuki hme apki jaroort padti hai
Me apni site ki link add nahi krta apki sitr pr kyuki meri site pr google panalty lagi thi ya ab bhi hai kyuki hme bhi SMI ki fikr hai pr please aisa mat kiya kro kher ye khne ka mera koi hk ni banta
Ye meri galat Femi ho to me abhi sorry bolta hu aut aap bhi maf kr dena kyuki hm apki respect krte hai pr ayad aap change ho gaye ho
Me apne comment ka apse reply krne ke liye 30-40 bar dekh chuka tha
Dear Nitesh,
Main jaisa pahle tha wesa hi aaj hu kuch bhi nahi badla hai, Bas kuch problem ki wajah se busy tha. Are nahi visitors ke bina main kuch bhi nahi. Mere liye har ek visitor important hai aap bhi ho.
Maine aapki comment delete nahi ki wo automatically spam ho gayi hogi. Aap ab apna sawal puch sakte ho. Late ke liye I am sorry. Please keep visiting and ask questions.
Google jyada ads ki wajah se aapki site ko penalize kar sakta hai.
sir mere blog pr add show nhi ho rhe hain jaha add coding ki hai vaha blank space aa rha hai 2 days phle add lgaye the pr space hi dikh rha hai please help me
thoda sabr karo AdSense approved hone ke bad ads show hone lag jayenge.
Thank you bro, am glad I visited your blog today.
I finally got AdSense on my blog!!
apne blog ki post ko uc news main kaise dikhaye ??
kya iska kuch charge dena padta hai?
agar han to kitna????
oi charge nahi hai cu news team khud hi aapke blog ko index kar show karti hai.
Sir Main Apne Blog Par Regular New Post Karta Hu Lookin Jo Post Maine Abhi Ki Hai Usmai 404 Ka Error Msg Aa Raha Hai , Blog Ke Andar Se WO Post Khul Jati Hai Agar Is Post Ko Google Se Search Karne Par Post Show Hai Lakin Jab Google par Se merit post Ke Ander Aana Chahe To 404 error msg Aa Jata Hai . Sir Koi Upay Hai To Bataiye
Aap blog ki template change karo or blog ko google webmaster tool me fir se submit karo.
bhai maine es site ( dot.tk/en/index.html?lang=en ) se free domain liya hai,,,,
lekin mai domain ko blog me nhi laga pa rha hu so aap.mughe bataeye ki mai es domain ko blog me kaise use kru,,
check this link Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain kaise Use Karte Hai
hi sir maine AdSense account create kiya hai waha abhi new likha aa raha hai wo activate kitne din mai ho jata hai
to 19 day me iska aapko message mil jayega.
Hello Jumedeen,
Maine ek blog banaya ye celebrity biography par ab main usme post hindi me likhu ya hinglish me aur agar hinglish me likhta hu to jab mai AdSense ke liye apply karunga to language me hindi select karna hai ya english, please bataye
Jo aapko pasand ho us bhasha me likho hindi choose karna.
sir mere blog ( helpfulbook.16mb.com ) ke home page par kisi bhi post me image show nahi ho rahi hai. jabki har post me image hai. kya karu. maine kaei themes bhi use kar li hai. sab me ek hi problum hai. filhal mai. filhal mai ribbon theme use kar raha hun.
Aapke blog ke homepage par images show ho rahi hai. check again now.
bro mujhe apne pc mein internet chalana hai apne sim se lekin mera phone 3g support nahi karta lekin mere sim mein 3g pack activate hai toh kya main bina phone ke pc mein internet chala sakta hu apne sim se ? Agar ha toh kaise plz help
bilkul aap pc me dongle me sim laga kar net chala sakte ho.