Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap

Google duniya ka number one search engine hai. Or is bat me koi shaq nahi hai ki sabhi google ko pasand karte hai. But kahte hai ki har kisi me achai ke sath burai bhi hoti hai. Theek wese hi google me bhi kuch aysi burai hai. Jinke bare me jan kar aap google se real me nafrat karne lag jaoge. Google ke bare me ye bate btate huye mujhe bhi bura lag raha hai.

Google Ke Bare Me 6 Buri Baate

Internet ne aaj duniya ke bahut se kaamo ko aasan bana diya hai. Jisme sabse jyada google kaam aata hai. Har ek internet user google ko jarur use karta hai. Har koi chahata hai ki kash wo bhi google ke barabar fomus hota.

Google me job milna bahut mushkil hai. Or ye kaam bilkul wesa hi hai jaise 7ve aasman par pahuchna. Kyuki ye duniya me har jagah no.1 hai. Ab shayad hi koi hoga jo world number one ke sath work karna pasand na kare.

Agar aap soch rahe ho ki google me work karne ki sellary kitni hogi to hum india ke Sundar Pichai ke bare me hi jan lete hai. Google ne unhe 2024 me 100 million dollar ka package diya tha. Yani lagbhag (6,600,000,000 indian rupees) 660 करोड़ रुपये banate hai.

Yani hakikat me google ka member banna sapno me raja banna jaisa hai. But google ke bare me aysi kuch bate hai jinke bare me sun kar aapka dimag chakra jayega. Google ke senior member junior member ko chota or apne aapko bada samajhte hai.

Google Ke Bare Me 6 Buri Baat Sun Kar Nafrat Karenge Aap

To chaliye aaj mai aapko bta raha hu google ke bare me 6 secret bate jo wastav me google ka raj hai or google unhe kisi ke sath bhi share karna nahi chahata hai.

  1. Overqualified: Google ke ek member ke anusar google company me “Overqualified” yani bahut adhik padhe likhe or kabil logo ko bhi chote kaam ke liye rakh liya jata hai. Ayse chote work karte huye ek jarurat se jyada kabil or intelligent aadmi ko sharm jarur mahssos hoti hogi.
  2. Office Politics: Ji ha dosto google company me rajneeti bhi chalti hai. Agar aap sahi boss ke under work karoge to aapka promotion tay hai. Or agar aap aysa nahi karte ho to aapke sath sahi व्यव्हार nahi kiya jayega. Or ho sakta hai aapko tang aa kar google hi chodni pad jaye.
  3. Recalcitrant engineer: Recalcitrant ka matlab hota hai अड़ियलऔर घमंडी yani google me ayse engineer bhi hai to bahut jyada adiyal hai or apni bat par ad jate hai. Unhe apne aap par bahut ghamand hai. Wo sochte hai ki wo duniya me sabse jyada hoshiyar hai. Unhe lagta hai ki wo baki logo se kahi jyada behtar hai. Socho ayse logo ke sath work karna kitna mushkil hoga.
  4. Non-Existent: Aap google company ke liye kitna bhi bada or kitna bhi important work karo. But usme aapka koi fayda nahi hai. I mean aapka or aapki mehanat ka koi vajud nahi hai. Aapke kaam or invention se sirf google ka name hoga aapka nahi. Aapko koi prashidhi nahi milegi. Isi wajah se google ke kei karmchari google company ko chod chuke hai.
  5. Middle Management Problems: google me Middle Management Problems problem bhi bahut jyada hai. Yaha par seniors log apne under kaam karne walo ke sath acha bartav nahi karte hai. Unke liye har kaam me unke name or unki reputation jaruri hoti hai. Wo log worker ko inspire karne ki jagah unhe choti choti galti par saja dete hai.
  6. Engineering Degree Important: Google me product engineering degree par bahut dhyan diya jata hai. Fir chahe kisi engineer ko designing nahi aati ho. Isi wajah se google designing me dusro se piche hai or isi ki wajah se bahut se product jaise Wave, Orkut, Knol Friend connect, Google video, Buzz and Dodgeball band kar diye gaye.

To friends ab aap hi btaye ki kaisa laga aapko google ke bare me ye bate sun kar. Kya wakai me aapko bhi google se nafrat ho rahi hai. Agar ha to comment me apne vichar jarur share kare ki aap is waqt google ke bare me kya soch rahe ho.

In bato ko sun kar mai to kabhi bhi google company ke sath work karna nahi chahunga. Kyuki jaha humari kabilat ki izzat na ho or acha kaam karne par name na ho wo kaam mere liye bekar hai. Kyuki mujhe paiso se nahi logo ki duao se pyar hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath shatre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 56 )

  1. Hii jumedeen bhai kya hum blogger me sirf 100 post hi write kar sakte hai …… please bataiye……

    Reply

Leave a Comment