I hope aap sabhi ko SMI hindi blog ki traffic and income report ka intjar hoga or aap eagerly supportmeindia blog ki earning report ka wait kar rahe hoge. Agar haa to aaj ka din aapke liye baki se behtar ho sakta hai. Because main is post me aapko apni september 2016 ki blogging earnings report ke bare me btane ja raha hu.
Maine july 2016 ke bad koi earning report share nahi ki bahut se logo ne mujhse iske bare me sawal puche but maine unhe sirf itna kaha ki kuch wajah se abhi income report share nahi kar pa raha hu but aane wale time me apni earning report share jarur karunga.
Aaj is article me aapko mere earnings report share na karne ke reason ka bhi pata chal jayega or shayad aap iske bare me janna bhi chahate honge ki main kyu earning report share nahi karta tha.
Table of Contents
Actually, kuch bloggers ka manna tha ki hindi blog se jyada earning nahi kar sakte the but main is bat ko nahi manta kyuki maine blogging ki starting hindi blog se hi ki thi or maine shuru se hi blogging se badhiya kamayi ki hai. Main already old income report posts me iske bare me bta chuka hu.
Maine social media and kuch other hindi blog par iske bare me suna tha ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. So maine iske bare me pata kiya or finally main jan gaya ki only kuch hi hindi blogger hai jo blogging se lakho kama rahe hai.
Jaha tak mujhe pata hai aaj hindi blogging me lakho blogger hai or daily bahut sare log blogging ki duniya me entry kar rahe hai. Inme se kuch fail ho jate hai or kuch sucessful blogger ban jate hai. Maine isme ek bat note ki hai ki isme time value nahi rakhta. Kyuki kuch logo ne jo salo me kia wo kuch blogger ne ek sal se bhi kam time me kar dikhaya.
- $1155: SMI Blog Monthly Traffic and Earning Report April 2016
- Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips
Jaha tak mujhe pata hai aaj bhi kuch aese blogger hai jinhe blogigng me 5 year se jyada time ho gaya hai but no success. Jab mujhe unke bare me pata chalta hai to mujhe bahut dukh hota hai. Main aaj tak samajh nahi paya ki aakhir ye log itne time tak karte kya hai.
Is bare me bat karenge to shayad post khatm hi nahi hogi so main apne topic par aata hu. Maine bahut sare hindi blog ka review kiya or mujhe pata chala ki sirf kuch hi log positive feeling rakhte hai baki sabhi ki soch hai ki blogging se lakho nahi kama sakte or ye imposible hai..
Actually, main easily apne reader ko bta deta tha ki meri earning kitni hai but kuch logo ne meri soch badal di unka kahna tha ki aapki earning itni nahi ho sakti or hindi blog se itni kamayi nahi ki ja sakti.
Us time maine soch liya tha ki logo ko jaban se nahi waqt se jawab dena behtar hoga aur me usi din earning report share karunga jis din meri earning dauble ho jayegi.
Aaj wo din aa gaya hai un sabhi logo ke liye ek edification le kar jo kahte hai ki hindi blogging se lakho nahi kama sakte. Yes, hum kama sakte hai or shayad ek nahi kei lakh kama sakte hai.
Support Me India Traffic and Earnings Report September 2016
Hum hindi blog se bhi achhi earning kar skate hai. Main is bare me aapko kisi or ka example nahi dunga balki main aapse kahunga ki aap mujhe hi dekh sakte ho main ek graduate student hu jisne apni study chord kar blogging me apna career banaya.
Agar main blogging se itne paise kama sakta hu to aap kyu nahi, aap bhi kama sakte ho or shayad mujhse bhi jyada kama sakte ho. Bas aapko hard work karne ki jarurat hai.
SupportMeindia Traffic Report September, 2016
Main pichle kei month se soch raha tha ki aakhir kab main blogging se dauble earning kar paunga or wo kounsa month hoga or shayad september ka mahina mere liye lucky raha hoga tabhi main aaj aapke sath apne traffic report share kar raha hu.
Yaha par aap SMI hindi blog ki traffic report ka screenshot dekh sakte hai.
I know aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai. Mujhe blogigng me 1 year se jyada time ho gaya hai or jaha tak mujhe pata hai ek sal me ye traffic bahut kam hai but main isse satisfied hu or mere liye ye kafi hai, halaki main chahata hu ki main abhi or progress karu.
Traffic Source:
Supportmeindia par mostly search engine and direct traffic adhik aata hai. Wese bhi mera main source yahi hai kyuki sabhi jante hai ki main apni posts ka social media ya other way se jyada promotion nahi karta user apni choice se meri site par visit karte hai.. Baki idea aap is image se laga sakte ho.
Screenshot me aap clear dekh sakte hai ki smi blog par 80% organic search traffic hai or blog par sabse jyada traffic search engines se hi aata hai. Jyadatar traffic google search engine se aata hai.
April, 2016 ki tulna me blog par referral or social traffic kam hai. Shayad iska reason mera social sites par active nahi rahna hai. Agar main social sites par apne visitors se connect rahta to shayad mujhe isse adhik traffic mil sakta tha.
Support Me India Income Report September 2016
Income:
- Affiliate Marketing: $309.17
- Google Adsense: $1836.85
- Infolincs: $87
- Services: 17,800 rupees
- Other work: $117
Total Earnings: $2350 (1,56,800) + Rs 17, 800 = 1,74,600 Indian Rupees
Ye earning with expenses hai yani sabkuch less karne ke bad bhimeri september 2016 ki earning 1 lakh se jyada hai yani logo ki ye bat yahi par khatm ho jati hai ki hindi blogging se 1 mahine me ek lakh nahi kama sakte. Maine blogging ki starting passion ke liye ki thi par mujhe isse bahut kuch mila hai or main kah sakta hu ki wakai blogging se hum lakho kama sakte hai.
Main aaj bhi blogging paise ke liye nahi logo ki help karne ke liye karta hu. Bachpan me maine apne teacher se sikha tha ki paise ke piche mat bhago uske kabil bano or jab tum iske layak ban jaoge to wo khud be khud tumhare pas aayega.
Main bhi aap sabhi se yahi kahunga ki kisi ke piche mat bhago or mehanat karo yakinan ek din aapko aapki mehanat ka fal jarur milega.
- Also read: Jumedeen Khan: My First Year Blogging Journey
- Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye, Best Earning Tips
Agar aap ek blogger ho or blogging me career banana ho to main aapko suggest karunga ki imandari se wok karo or hard work ke sath smart work ko apnao aapko saflta jarur milegi.
Maine aapke sath yaha apne blogging ke experiences ke sath earning report share ki hai, ummid karta hu isse na sirf aapko success ki sikh milegi balki ek din aap isse bhi better kar ke dikhaoge or mujhe us din ka intjar rahega.
Good luck guys!!!!!!!!!
Sir mera cpc lagbhag 0.08 rhta hai, lekin india se 50 clicks pr bhi sirf 0.40$-0.50$ hi aata hai aisa kyon hai.
aur perday mere site pr 4-5 clicks american aur arab countries se aate h jisse mujhe lgbhag 5$ aajata h, to aakhir india k clicks pr cpc se bahut km kyo aaraha hai
Check report carefully and understand it.
Assalamo alaikum bhai jaan aap kaun sa theme istemaal karte hain. Bahut achhi theme hai..
Genesis framework+self designed child theme.
SIR AAP JANUARY 2018 KI INCOME REPORT AUR OTHER MONTH KI BHI HAMARE SATH SHARE KARE TAKI BLOGGER KO MOTIVATE KARTI HUYI BLOGGING KE PRTI AAKRSHK KARE
Sir mere ek question hai ki agar maine domain se wordpress ki install kr liya to uske baad use remove kr diya to domain pr koi affect to nhi hoga
No effect.
Sir meri website ki puri article copy ho gai hai. mere ek post ka article 50 se jayada website owner ne copy ki hai. aur maine 75 post likhe hai jo ki ab sab copy ho chuka hai. Please help me mai kya kru. page view bhi daily 3000 thi ab 100 ho gai hai. Please Help me sir
Sabki DMCA forum me report karo.
Sir jo log wordpress par mehnat karke kama rahe hai wo kya google ke blog par utna nahi kama sakte hai kya or blog or wordpress me kya fark hai dono me kya kya faayda hai?
Yes kama sakte hai.
sir meri income adsanse par 100 $ ho gyi hai and ab bo bad rahi hai ab google muhe mere account me 100 $ hi tranfer karega ya badi huyi income ke sath tranfer karega jaise agar meri income last date tak 150 $ ho jati hai tho adsanse 100$ tranfer karega ya 150 $ karega
150 dollar, aapki jitni earning hogi sab send kar dega bas minimum $100 honi chahiye.
thanks sir for reply mera ek or sawal tha aapse adsanse income par koi tax lagta hai jab account me tranfer karte hai
Yes money convert and some other tax lagta hai wo bank wale cute kar lete hai.
Hello sir,
jaisa ki mai jaanta hu ki aap ek sacche insaan hai nd apne viwers se kuch bhi ni hide karte hai.mai aapse dil se ek request karta hu ki aap aajke time me monthly kitna earn kr rahe hai sirf google adsense se pls sir pls.
Sorry bro “Google Adsense Page Level Ads Use Karne Ke Fayde or Kuksan” iska time gaya ab main kuch bhi share nahi karta.
Sir mera blog pe Adsense chal raha hai per traffic nahi aa raha hai kya aap mujhe kuch tips de sakte hai traffic gain kerne ke liye.
Ye psot padho (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2017
आपकी income report देखकर अच्छा लगा। सर मेरे पास एक सवाल है, जो हम युट्युब पर विडियो देखते हैं, उसमे जिसका चैनल होता है उसका फोटो विडियो मे लगा होता है या जिस चीज के बारे मे विडियो होता है वह लिखा होता है, तो उस तरह से विडियो बनाते कैसे हैं?
Ye thumbnail hota hai. Yani hum kisi bhi video ke liye featured image bana kar set kar sakte hai tak ibta sake ki is video me kya hai. Ye aap photo editor se bana sakte ho or video me photo ya kuch bhi aap video editor se kar sakte like camtasia