Blogging se paise kamane wese to bahut tarike hai. magar hindi blogger ke liye AdSense sabse better hota hai. magar india me AdSense ko approved karana or save rakhna bahut mushkil hai. kyuki india me bahut jyada fake account hone se AdSense rules bahut shakat hai. or bahut se hindi blogger ka AdSense account ban ho jata hai. so ma iek bar fir hazir hu AdSense ke bare me nasyi jankari le kar ki AdSense ke ads blog ya website par kaha kaha par nahi lagane chahiye.
Mai apni pichli post Affiliate Marketing Vs Adsense Hindi Blog Ke Liye Kounsa Behtar Hai bta chuka hu ki AdSense hindi blogger ke liye kyu better hai. aap pahle wo post pad sakte ho or aap chaho to AdSense se related baki post bhi pad sakte ho. aapko supportmeindia par AdSense ke bare me kafi kuch hindi me janne ko mil jayega. to ab mai topic par aata hu. ab hume ye janna hai ki website ya blog par kis kis jagah par AdSense ke ads lagane nahi chahiye. or aysa karne se kya kya ho sakta hai.
- Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare
- Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks
Adsense Ke Ads Kahi Bhi Lagane Se Kya Hota Hai
Adsense ko use karne ke liye hume AdSense ke rules follow karne padte hai. agar hum aysa nahi karte hai to ya to humari income hi bahut kam hogi ya fir hume adsesne ki taraf se ban kar diya jata hai. dono me hi humara nuksan hai. so mai aapko sughest karunga ki agar aap AdSense user hai t oadsesne ki policy jarur follow kare. agar aapko AdSense block nahi bhi hoga to aapki cpc$0.02 se $0.10 se jyada nahi hogi. jisse aap kitna paisa kama sakte ho soch sakte ho.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
Website Blog Me Kaha Kaha Adsense Ke Ads Nahi Lagane Chahiye
Hum AdSense ke ads apni site ya blog par apni marzi se use nahi kar sakte. iske liye bhi hume AdSense ki ads placemet policy follow karni hogi. agar aap nahi jante ki aap blog me kitne ads laga sakte ho to aap humari Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai post pad sakte hai.
1) Don’t Show Below Menu Bar
Blog ke menu bar ke niche AdSense ke ads nahi laga sakte. AdSense ye allow nahi karta hai. iske alawa play buttons, download buttons, navigation buttons, game windows, video players, drop-down menus, or applications ke aas-pas ads nahi laga sakte. blog post ki photo ke upar niche bhi ads lagane se aapki income kam ho sakt hai.
2) Don’t Show unnatural attention
kabhi bhi AdSense ke ads ke sath click here jaise word use na kare. aysa karne se aapko click to milenge par aapki income nahi hogi. or aapka AdSense account ban bhi ho sakta hai.
3) Don’t Add Ads Recommended Content
Kabhi bhi recommended content ki jagah AdSense ke ads na chipaye. AdSense nahi chahta ki koi galti se ads par click kare. AdSense chahata hai ki visitors apni marzi se ads par click kare.
4) Don’t Show Ads Formating Content
Adsense ke ads photos ke bich ya sath me nahi laga sakte. bahut se log photo ke upar niche ya 4-5 photo ke bich me AdSense ke ads lagate hai. jinse inko ads par click to milte hai. but income na ke barabar hoti hai.
5) Don’t Show Dual Ads In One Place
Ek jagah par ek sath do ads use na kare. aysa karne se aapka AdSense account aapki site ko ban kar sakta hai. so AdSense ek sath 2 ads show karna bhi allow nahi karta hai.
6) Don’t Show Ads In Center Images
blog post me related post ke niche AdSense ke ads nahi laga sakte. isse user ko post content or ads ko samajhne me confusing hoti hai ki konsa ads hai or konsa content.
7) Don’t Offer For Adsense Ads
kabhi bhi AdSense ads ke liye visitors ko offer na kare. AdSense aysa karne ke liye bilkul bhi allow nahi karta hai. aysa karne se bhi aapka AdSense account block ho sakte hai.
8) Don’t Show Ads On 404 Page Not Found
apni website ya blog ke 404 error page not found page par AdSense ke ads use nahi kare. AdSense iske liye bhi allow nahi karta hai. iske alawa thank you, exit, log in page par bhi AdSense ke ads use nahi kare.
Post Summary:
Ummid hai is post ko padne ke bad aapko blog me ads kaha nahi lagane chahiye ke bare me pata chal gaya hoga. or ye bhi pata chal gaya hoga ki aysa karn se aapka kya nuksan ho sakta hai. or ab aap apne blog ya website par sahi jagah par AdSense ke ads laga sakoge. by the way mai ye ummid karta hu ki ab aapka AdSense account ads sahi nahi lagane ki galti se ban nahi hoga. or aap aane wale time ke success blogger banoge. jisse mai samajhunga ki mera aapki help karna safal raha or meri wajah se kisi ko kamyabi mili. i means agar mai kis ek ko bhi success blogger bana saka to mai use apne kam ki sabse badi keemat samajhunga.
maine is post jo bhi tarike btaye hai. wo sab google AdSense ke btaye huye hai. agar aapko english aati hai to aap iske bare me AdSense help page par ja kar jankari pata kar sakte ho. i suggest you AdSense se achi income karne ke liye AdSense ke rules 100% follow kare.
- Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye
- 20 Common Mistakes Jinki Wajah Se Google Adsense Block Hota Hai
It’s your turn ab aapki bari hai post me ye btane ki, ki aapko ye post kaisi lagi or aapko isme kya new sikhne ko mila hai. post pasand aayegi to aap comment to jarur karoge. sath hi agar aapke pas mere liye 30 second ka time hai to is post ko share bhi kar sakte ho. agar aap chahe to humare google plus page par hume follow kar sakte ho.
Sir maine ek blog par adsense ka approval le rakha hai usi google account se bane 2nd blog par adsense ke ad show kara sakta hu ya eske liye us domain par bhi approved karana padega. Sir plz reply me
Aap ek hi adsense se apni sabhi site par ad laga sakte ho, look Google Adsense Me New Website URL Kaise Add Kare
Mere blog k ads sirf uc browser me show hote hai chrome ya mobile me kahi open nhi hota please help me
all browser me show ho rahe hai.
Ye baat to theek hai but apke header me 728×90 ka ad to apne apne menu bar ke neeche lagaya hai.
Google 1-2 mistakes ko maaf kar deta hai. Lekin ye adsense policy ke against hai. Aap bhi apni risk par laga sakte ho.
Sir aaj meri site par ads placement violation ka message aaya hai.
Sir please ek baar iss page ko dekhe. taaki me ads placement sahi kar saku.
Aapko adsense se jo warning mili hai wo mujhe mail karo.
Thanks sir. For clearing my doubts..
Sir kya adsense ke ads site ke mobile apps per bhi lga skate hai. ya nhi
Yes laga sakte ho uske liye Admob use karo.
Bhai ye bata do many apnay AdSense may 3 ads code genrtae kar liye kya mai un ads code ko jitni bar chao apnay blog may add karsakta ho sirf un 3 ka hi use kar kay
Yes aap jini bar ya jitni jagah par chaho ek hi adsense code ko use kar sakte ho.