Blog Ke Liye Google Analytics Account Kaise Banate hai

Har blogger ye pata karne ki koshish karta hai ki uske blog ya site ko kitne log chalate hai. or sabse jada kya chalate hai. par kaise pata kare. aaj mai aapko is post me btaunga ki hum kaise apne blog ki traffic jan sakte hai. google ne ek service shuru ki hai. google analytics ke naam se. isme aap apne blog ki puri jankari pata kar sakte hai. isse pahle mai blog ko google search engine se kaise connect kare ke bare me bta chuka hu. agar aapne apne blog ko google search engine se connect nahi kiya to pahle apne blog ko google search engine se jod le.  Blog Ko Google, Bing, Yaahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare Seo Ke Liye

google analytics

Google Analytics Kya Hai?

google analytics google ki hi ek service hai. iski madad se hum apni site ke visitors ki jankari pata kar sakte hai. humari site par is waqt kitne visitors online hai. iski jankari bhi mil jati hai. sath me hume ye bhi pata chal jata hai ki konsa visitor humari site par kya chala raha hai. or wo kaha se hai. loction ka pata bhi chal jata hai.

Google Analytics Me Kya Kya Dekh Sakte Hai?

google analytics blog ke bare me bahut kuch dikhata hai. par jitna mujhe pata hai mai aapko utna hi btaunga:-
1. humari site par is waqt kitne visitors active hai. matlab is waqt humari site ko kitne log chala rahe hai.
2. Jo visitors is waqt online hai wo humari site par kya pad rahe hai.
3. kaha se aaye hai. matlab unhe humari site ka pata kaise chala.
4. kisme chala rahe hai. jaise, computer, tablet, mobile etc.
5. humari site ki konsi post pad rahe hai. ye bhi pata chal jata hai.
6. location me visitors ki city ka pata chal jata hai.
7. jo site chala rahe hai unko kon konsi bhasha (language) aati hai.
8. konsa visitors konse browser me chala raha hai. iska bhi pata chal jata hai.
9. Bounce rate kitni hai ka bhi pata chal jata hai.
10. kon kitni der site chalata raha.
11. total kitne visitors aaye site par iska bhi pata chal jata hai.
12. site par naye visiter or purane visiters kitne hai.
13. konsa page kitni bar dekha gaya.
14. konse desh se kitne visitors aaye hai.
15. konsa keyboard click karke aaye hai.
or bhi bahut si jankari hai. apne blog ko google analtics me add karne ke bad aapko sabka pata chal jayega.

Kin Kin Cheezo Ki Jarurat Padti Hai?

1. Ek Gmail (email) ID
2. Blog jiske liye aap google analytics par account bana rahe hai.

Google Analytics Par Account Kaise Banaye?

Step 1:
1. Sabse pahle aap www.blogger.com par jaye or log in kare
2. ab isi browser me ek windows khol ka kar Google Analytics ki site par jaye.
analytics sign up
Step 2:
 
1. ab ek new windows khulegi usme Sign Up par click kare.
 click sign up button
Step 3
 
Sign up par click karte hi ek new windows khulegi. usme aapko apne blog ki jankari bharni hai.
Note:- agar aapne pahle se is browser me log in nahi kar rakha hoga to aapko pahle log in karna hai. log in usi id se karna hai jis is se aapne blog bana rakha hai.
create analytics account
1. aap kis blog ke liye google analytics par account bana rahe hai.
2. yaha apne blog ka naam bhare.
3. apne blog ka url (address) likhe.
4. site ka topic par select kare.
5. aap kis country ke hai. wo select kare.
6. sabhi par tick kar de. agar pahle se tick huye ho to rahne de.
7. ab Get Tracking ID par click kare.
Step 4
ab ek new popup windows khulegi.
analytics rules
1. apni country ka naam select kare. or google analytics terms of services ko achi tarah pad le.
2. fir I accept par click kare.
Step 5
ab ek or new windows khulegi. usme aapke blog ki Tracking ID hogi. jise aapko apne blog me add karna hai.
analytics tracking codes
1. Tracking id code copy kar le.
aap ctrl+c key buttan daba kar copy kar sakte ho. ab aapka google analytics par to account ban gaya hai. ab bas aapko ye code apne blog me add karna hai.

Google Analytics ke Tracking code ko blog me kaise add kare?

Step 6
Apne blog par jaye agar aapne log in nahi kiya hai to Sabse pahle aap www.blogger.com par jaye or log in kare.
add analytics code to blogger
1. apne blog ki settings me jaye.
2. other par click kare.
3. yaha par apne blog ki tracking id paste kar de.
4. Save setting par click kare.
ab aapke blog me tracking id code add ho gaya. to ab aapka blog google analytics par jud chuka hai. ab aap apne blog ki puri jankari google analytics par dekh sakte ho.

Google analytics par apne blog ki jankari kaise dekhe?

1. google analytics par apne blog ki jankari dekhne ke liye aap www.google.com/anaytics site par jaye.

2. ab Real-time par click kare. fir overview par click kare.
ab aapke samne ek aysi windows show hogi. exap.:- aap meri site ka screenshot dekh sakte ho.

 analytics active user

aap dekh sakte hai ki meri site par kitne visiters online hai. hum second ke hisab se dekh sakte hai. ki kon kitne time tak humari site par rukta hai.

I hope aapko ye post achi lagi hogi. agar ye bat sach hai to is post ko share kar ke aap bhi humari help kar sakte ho. or agar aapko google analytics ke bare me koi sawal puchna ho to comment ke throw puch sakte ho. aap chahe to hume social media facebook, google plus, twitter par bhi follow kar sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 85 )

  1. Sitemap kya hai kya ye blogspot ke account ke liye jaruri hai

    Reply
    • Yes, blogger par by default sitemap hota hai, aap apni site ka sitemap is tarah dekh sakte hai, yourdomain.com/sitemap.xml aur yourdomain.blogspot.com/sitemap.xml

      Reply
  2. धन्यवाद सर, इस पोस्ट के लिए मैंने भी मेरा गूगल एनलिटिक्स का अकाउंट बनाकर उसे अपने ब्लॉग से जोड़ दिया हैं.

    Reply
  3. you given great information about google analytics. thank you so much….

    Reply
    • Bhai maine analytic ke liye apply kar diya hai ab kitna time baad hum apna account analytic me log in karke dekh skte hai

      Reply
      • Aap next day dekh lena.

        Reply

Leave a Comment