Search Engine Optimization (SEO) ke liye blog post URL customize kar targeting keywords add karna or extra words ko remove kar short URL banana important hota hai. Blogger par post publish karte time aap post URL ko custom kar sakte ho or custom URL set kar sate ho but post publish karne ke bad post link edit karna mushkil hota hai. So aaj main aapko blogspot blog par published post ka URL change kaise kare ke bare me btaunga taki aap apni old post ke URL edit kar unhe SEO friendly bana sako.
Blog post permalink customize karna SEO ke liye most important hai. Blogspot par hume post write karte time custom permalink istemal kar sakte hai or apni post ko google m top par la sakte hai. Blogger post permalink kaise use karte hai is bare me main already Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post me bta bhi chuka hu. Agar aapko is bare me pata nahi hai to ye post check kar le.
Blogger paor post publish karne ke bad permalink ka option disable oh jata hai or user easily post URL edit nahi kar sakta but ek trick se aap blogger post ka link post publish hone ke bad bhi edit kar sakte ho or custom URL use kar sakte ho.
Yaha main aapko iske steps screenshot ke sath bta raha hu. Isse aap aasani se blogger par post publish karne ke bad bhi uska URL permalink change kar automatic permalink ki jagah custom permalink istemal kar sakte ho.
Blogger Me Post Publish Hone Ke Bad Permalink URL Change Kaise Kare
First aap blogger.com par jaye or apni kisi bhi pahle se publish post ke samne Edit option par click kare or right side sidebar me Permalink par click kare.
Aap dekhenge ki permalink par click karne se sirf URL show hoga or Done option aayega but edit karne ya custom permalink ka option nahi aayega. So ab aap ye step follow kare or pahle se publish ki huyi post ka link edit karna sikhiye.
Steps to Change Blogger Published Post Permalink URL:
Step 1:
First aap blogger.com par jaye or apni log in ID se log in kare. Uske bad aapko jis blog ki post ka URL edit karna hai wo blog select kare or Posts par click kar jis post ka URL edit karna hai uske samne Edit par click kare.
Step 2:
- Ab left side me top par Revert to Draft option par click kare.
Step 3:
Aapke “Revert to Draft” button par click karte hi Post settings ke options change ho jayenge. Ab aap easily post permalink ko edit kar sakte ho.
- Post settings par click kare.
- Permalink par click kare.
- Custom Permalink select kare.
- Ab apni post ka URL edit kare. (Aap jo bhi URL update karna chahate hai.)
- URL link edit karne ke bad Done par click kare.
- Finally, sab setting karne ke bad Publish par click kare.
Bas in simple methods ko follow kar aap easily apne blogger ki published post ka permalink URL edit kar custome kar sakte hai or aapko URL me jo bih update karni hai kar sakte ho. Yaad rahe URL change karne ke bad publish jarur kare warna aapki post draft me save ho jayegi.
Is tarah se aap blogger par post publish hone ke bad bhi uska URL change kar sakte ho. Agar aapko is process me koi problem aaye to aap niche comment section me apne sawal puch sakte ho.
I hope aapko ye post pasand aayegi or blogger published post URL kaise change kare ki achhi jankari mili hogi so please ise social media par other blogger ke sath share jarur kare.
Mere blog ki speed kam ho gayi hai, photo ka url jyada aa raha hai aur post ka bhi, kaise sab set karu, jarur batayein, ho sake to is par post kare aur pahale post ho to mujhe mention de.
Ye post padhe Blog ko Speech up kaise kare
Bahut Bahut Shukriya. Bahut Achhi Jankari.