Blogspot par free blog banane ke bad jab hume WordPress blogging platform ke bare me pata chalta hai to hum apne blog ko WordPress par transfer karna chahate hai. But newbie blogger ko iske bare me bahut kam information hoti hai ki “WordPress par blog migrate karne ke bad kya kya karna hota hai.” So is post me mai aapko iske bare me details se step by step full information bta raha hu.
Blogger blog ko WordPress par move karne ke bad aapko kuch jaruri optimizing karni hoti hai. Jinke begair aapka blog adhura hi rahega. Blog ko complete set up karne ke bad aapko search engine or reader dono ka better support milega. Sath hi aapke blog ki search rank bhi bani rahegi or traffic bhi kam nahi hoga.
Maine jan apna blog WordPress par swift kiya tha to mujhe bhi apne blog ki sabhi setting karni padi thi. But agar aapko pahle se pata ho ki WordPress platform par blog create karne ke bad kya kya changes karne hai to aap ye kaam kam time me kar sakte ho.
Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Bad Kya Kare | Full Information
Agar aapne apna blogger blog WordPress par transfer nahi kiya hai or aap karna chahate hai to Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare article me aapko iski full janakri milegi. Isi se related maine ek or post Blogger Blog Ko WordPress Par Import Kaise Kare me WordPress migrating ke bare me kuch important tips btayi hai.
Now, I suppose aapne web hosting le kar apna blog WordPress par move kar liya hai or ab aap use set up karna chahate ho to aap ye tips follow kare.
1. Redirection:
WordPress par blog transfer karne ke bad sabse important kaam hota hai blogger blog ko WordPress par redirect karna. Blogger or WordPress par differance post link hote hai. So jo aapke old blogger post link search engines me index hai un par user ke click karne se error 404 page not found issue show hota hai jisse aapke reader ko unki jarurat ka page nahi mil payega or aapke blog ki traffic low ho jayegi. Agar aap blogger blog me redirection code add kar doge to reader ke blog ko open karne se wo aapke WordPress blog par redirect ho jayenge. Iske bare me adhik jankari ke liye ye post padhe Blogger Blog Me Redirection Code Kaise Add Kare.
2. Post Permalinks:
Blogger blog or WordPress blog me post permalink alag alag type ke hote hai. Isliye post permalinks change karna jaruri hota hai. Aap WordPress par post permalink ko chahe jaise customize kar sakte ho.
Blogger: https://www.supportmeindia.com/2016/06/google-adsense-ads-ko-optimize-karne-ki-10-tips.html
WordPress: https://www.supportmeindia.com/google-adsense-ads-ko-optimize-karne-ki-10-tips
Actually, Aap WordPress Blog ki post ke permalink ko manually full customize kar sakte ho. So aap post permalink me se date or last me add html ko hata de. Isse search engine me post ka pura link show hoga or aapko jyada organic click milenge.
Iske liye aap WordPress dashboard >> Settings >> Permalinks par jaye or custom stucture ke samne /%postname%/ add kare ya fir aap apne hisab se permalinks set kar sakte hai.
3. Edit Internal Links:
Blogger par aapne post me jo apni site ki dusri post and pages ke link (Internal links) add kiye hai un sabhi me date or html code add hai unko open karne par error 404 page note found error show hoga. Isiliye aapko sabhi articles me se internal links edit karne honge.
In links ko aap jitni jaldi ho sake resolve kar le taki aapke reader ko post read karne me problem na ho warna new user aapki site ko leave karna shuru kar denge.
4. Post Images:
Blogspot blog ke backup ko WordPress blog me import karne se kuch post ki images transfer nahi ho pati hai. Wo sabhi images aapko post edit karke manualy upload karni hogi. Photos content me major role play karte hai so aapko un sabhi post ki image fir se upload karni karni jaruri hai jinki image crack ho gayi thi ya fir move hi nahi huyi thi.
Agar aapki bahut sari images import nahi ho rahi hai to aap another Blogger importer plugin try kar sakte hai.
5. Set up Yoast SEO plugin:
Blog ko Google, Bing, Yahoo and other search engines me submit karne ke liye aapko google webmaster tool, bing webmaster, yandex webmaster tool and other webmaster tools ka verify code blog me add karna hota hai.
WordPress par SEO set up ke liye Yoast SEO plugin most popular plugin hai or lagbhag 90% WordPress user is plugin ka istemal karte hai. Iski help se aap blog me webmaster tools verify code add kar sakte ho or blog ki baki SEO setting bhi kar sakte ho. In my case, I like this plugin or maine iske bare me ek article How To Set Up Yoast SEO Plugin For Higher Search Ranking bhi likha hai jo aapki iski setting karne me help karega.
Yoast SEO plugin aapko WordPress blog ko complete SEO setup karne ke features offer karta hai. I sure ise ache se install karne ke bad aapko all search engines se behtar results milega or aapki site par jyada organic traffic aayega.
Post Summary,
Ye 5 tips WordPress par blog transfer karne ke bat aapko follow karni hai. Ye main or bahut jaruri hai agar aap inhe ignore karoge to aapke blog ke reader or search rank par bad effect padega. So blog ko transfer karne ke bad complete set up karna bahut jaruri hai.
Sabhi setting karne ke bad ek bar apne blog par broken link jarur check kar le kyuki agar aapse galti se blog me koi dead link choot gaya hai to isse aapke blog ki search rank down ho sakti hai. Sath hi ye bhi check kar le ki aapki sabhi post proper open ho rahi hai bahut si posts me html coding add hone ki wajah se wo crack ho jati hai or ache se open nahi hoti hai.
- WordPress Ki Puri Jankari Hindi Me – WordPress Full Guide
- WordPress Blog Me Bina Plugin Adsense Ad Code Kaise Add Kare
Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath sahre jarur kare. Mostly un logo ke sath jo apne blog ko blogger se WordPress par migrate karna chaahte hai.
sir mere pass 2 blog hai , abc aur xyz dono run kar rahe hai jaise aapka smi aur mozedia tha mujhe apne xyz blog ko abc me mearge karna without traffic loss to kaise hoga please aap details me bataye taki hum achhe se samajh sake thank you
First aap wp dashboard >> tools >> export option se blog ka backup le aur use wp dashboard >> tools >> import method se dsure blog par uploa kare. uske bad domain ko dusre domain par forward kare ye aap domain site par domain dns setting me ja kar kar sakte ho uske bad google search console me jaye aur property select kar domain ko dusre domain par forward kare.
mera hindi blog hai blogger se wordpress pr transfer krne ke baad permalink change ho gae hai .
aap ne es post me jo btaya hai mene wese permalink ki setting bhi ki pr kuch nhi hua kya kru plzzz help
Please do carefully again.
……. सर, क्या WordPress Site को Offline कर, उस पर हमारे द्वारा कोई Post/Article… Published करने पर उसे Google द्वारा Crawl/Robot/Index करता/किया जाता है या नहीं।
……. मैं अपनी Blog Online site को WordPress में Offline कर बनाना चाहता हु (क्युकी मेरे Blogger साइट के सभी Post/Article Url Cusomized किया गया है) (Blog, Switch/Migrate करने पर Blog के सभी Port URL प्रॉब्लम आ रही है)
……. कृपया कर जानकारी देवे।
I am not understand your matter.
सर, क्या WordPress Site को Offline (Maintenance Mode) कर,
उस Site पर हमारे द्वारा कोई Post लिखा जाता है तो Google Robots द्वारा उसे Crawls किया जाता है या नहीं।
Aapke post publish karne ke bad hi google use crawl karega.
Sir blogger blog ko wordpress par migrate kar liya hai par google par jo post rank Ho rhi hai uske url par click krne ke baad mere blog par to redirect Ho jata hai par blog par jakr “Opps! That page can’t found” show Ho rha sir vah page open nhi Ho rha hai. Sir ji kya karu.
Read some other comments on this post, main already bta chuka hu.
Hello sir
1. mai bahut tension me hu sir problem meri yah hai ki mujhe traffic nahi mil raha hai mere blog ka traffic 0% hai yoast seo plugin ki settings aapke dwara bataye step by step ki hai
2. blog ko mene Gbt,bing,yandex teeno me add kiya hai or sitemap bhi submit kiya hai Gbt and bing me target contry india select kiya hai or post ko social sites par bhi share karta hu
3. Aapne jo is post me settings batayi hai wo bhi mene ki hai
4.mere blog par 42 post upload hai wordpress par sift hue mujhe 1 month ho gaya hai isse pahle me blogger par tha us time bhi traffic nahi mil raha tha
Sir mene socha ki wordpress par sift hone ke bad sayad traffic increase ho lekin nahi ho raha hai treffic badae ke liye jo bhi mujhse bana kiya mera blog lag bhag 5 month old hai ab mujhe aisa lag raha ki sir blogging band kar deni chahiye ya sir traffic badane ke liye aap hi koi solution bataye.
1. Aap only old topics par likh rahe ho new and aese topic par likho jin par kisi ne post nahi likhi ho.
2. Content achha nahi likhoge to kuch bhi karne se koi fayda nahi hai.
Same answer. Vijendra aap jitna achha content likhoge utna achha traffic milega.
Sir mera website blog WordPress per transfer Kar dijiye
hello sir,achhi jankari di aapne thanks..
mera swal ye hai ki mera blog blogger..com pe hai aur maine esme custum domain set kr rkha hai, agr mai apne blog ko WordPress pe transfer krna chahu to mujhe fir se domain buy krna hoga ya fir esi domain ko transfer kiya ja skta hai,, maine domain bogrock se liya hai….
Nahi isi domain se ho jayega.
Hello sir muze apki wabsite or hindi me help sabse achi lagti he me apki wabsite par gaust post kese kar sakta hu…
Or me apni wabsite me adsoptimal ke code dal rha hu html/javascript se lekin adds aa hi nahi rhe
Aap guest policy read kare or second aap AdSense use kare.