YouTube Par Sabhi Videos Ko Ek Sath Monetize Kaise Kare

Kya aap YouTube partner hai or bar bar videos ko monetize karne se pareshan hai and aapko har bar video upload karne par video monetization karna padta hai ? Agar haa to aaj main aapko aesi janakri bta raha hu jisse aap apne YouTube channel ke all videos ko ek sath monetize kar sakte ho or aapko bar bar video monetize karne ki jarurat nahi padegi.

Monetize all YouTube videos

Bahut se YouTube users ko har bar video upload karne ke sath sath video ko monetize karne ki problem hoti hai but agar aap chaho to ek bar me hi sabhi video ko monetize kar sakte ho or fir aapko video uploading ke time videos monetization karne ki jarurat nahi padegi.

How to monetize YouTube all videos in one time in hindi? Iske liye aapke pas 2 option hai ek aap video manager par ja kar sabhi video ko monetize kar sakte ho. Second aap YouTube deafualt uploading setting me ja kar sabhi videos ko already monetize kar sakte ho.

Isse aapko new video upload karne par use monetize karne ki jarurat nahi padegi weo automatically apne aap monetize ho jayega.

Sath hi aap all videos ke liye ek bar me hi video monetization settings, video description and other setting set kar sakte ho. Isse aapko har bar video upload karne par uski setting nahi karni padegi.

Maine iske bare me already Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare post me detailse se information di huyi hai.

Youtube Videos Ko Eb Bar Me Monetize Kaise Kare – Video Monetization

Jaisa ki maine aapko upar btaya hai ki aapke pas iske 2 tarike hai ek aap video manager se all videos ko monetize kar sakte ho second aap video uploading default setting me ja kar sakte ho. Maine dono ke bare me aapko details se bta raha hu.

1. Video Manager Par All Videos Ko Monetize Kaise Kare ?

Iske liye aap YouTube.com par jaye or left side sidebar ke top par menu par click karke My Channel par click kare or Video Manger par click kar ke sahi videos ko monetize kare.

Step 1:

  1. Go to YouTube.com and click on menu icon in left sidebar.
  2. Ab My Channel par click kare.
  3. Ab Video manager par click kare.

video manager

Step 2:

Ab aapke samne aapke sare videos ki list show hogi. Yaha se aap sabhi videos ko ek sath monetize kar sakte ho.

  1. Sabhi videos ko mark kare.
  2. Action pae select kare.
  3. Ab monetize par click kare.

Video manager action

Ab monetization processing hogi or kuch second bad aapke sare videos monetize ho jayenge or “Videos successfully updated” ka message show hoga. Agar aapke kisi video me koi mistake hogi to wo monetize nahi hoga or errors show hoga.

Aapke total kitne videos hai or kitne monetize huye hai se aap pata laga sakte hai. uske bad aap check kare ki kis video ke samne dollar ka green icon nahi hai. Wo videos monetize nahi hua hoga or uske samne copyrighted video ka alert likha hoga.

2. Youtube Channel Me Video Ki Default Monetize Settings Kaise Kare ?

Iske liye aap YouTube channel setting me ja kar sabhi videos ko pahle se monetize karne ki setting kar sakte ho iske bad aapko bar bar new video upload karne par use monetize nahi karna padega.

  1. Left sidebar me channel par click kare.
  2. Upload defaults par click kare.
  3. Monetization ke samne Monetize with ads par tick kare.
  4. Ab ad formats ke samne aapko video par jis type ke ads dikhane hai w ochoose kare. Aap video par Overlay in-video ads, Skippable video ads, Sponsored cards etc. ads format select kar sakte ho.

Monetization Settings

Video uploading default setting set karne ke bad top par jaye or right side me blue color ke save button par click karke settings save kare.

Finally, I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko bar bar video monetization ki problem nahi hogi. Actually, Is tarah se aap apne sabhi video ko ek sath or ek bar me pahle se monetize kar sakte ho.

Ye tips un new YouTube user ke liye bahut important hai jo bar bar video uploading ke time video monetization se pareshan hai or jinko YouTube ki is settings ke bare me pata nahi hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 53 )

  1. 1 Sir maine 10 mahine pahale youtub ac khola kucha video monetization hai kuch kiye nahi lekin view 13000 se jada he our apaka blog padhkar hi khola tha lekin aage kya karna chahiye samaz me nahi aaraha he 2 muze our video aplod karna he sabko pahale our naye sabko ak sath monetization karu kya muze bar bar na karna padhe 3 monetization adsense veryfit in sabko no se pahale dusare tisare no se batao o mai karu 4 wiev 13000 he kya muze income hue hogi agar hogi to bank account no kaise ad karu 5 mai naye videos ke liye Internet se photos leke meri avaz me videos bana sakata Hu kya 6 1000 wiew pe andase kitani income hogi

    Reply
  2. Sir, aap photo me number dene ke liye konsa software use karte ho.
    aur computer ki screen kaise record kare

    Reply
    • Photoshop

      Reply
  3. Bro please help me
    1) videos ko share karne ke liye WhatsApp or Facebook page par kewal videos ke url link likh Kar bhejenge ya uske sath kuchh or likhe
    2) yadi hum ek video WhatsApp Facebook par bhej diye or log us ek video ko bar bar Dekhenge or bar bar agar click bhi ho to kya wase me claim lag sakta hai. To fir views kaise bdhaye
    3 ) bro Maine abhi pin verify nhi ki hai to Kya ek do(1, to 2) channel or bna sakte hai?
    4) bro Mobile se multiple channels kaise manage Karte hai
    5) Kya affiliate, blog, PayPal, Dailymotion etc. Par account website par n jakr balki unke mobile application install karke bna sakte hai
    Bro sawal ki jawaab jarur dijiyega please help me bro ignore mat Kare .

    Reply
    • 1. Video link ke sath ye bhi likho ki video me hai kya.
      2. no probelm koi bhi bina interest bar bar click nahi karega.
      3. Yes.
      4. same process hai. Main iske bare me article share kar chuka hu.
      5. yes.
      6. Bilkul dunga par jab koi galat rasta apnata hai to dukh hota hai. Aap youtube par traffic badhao uske bad affiliate ke bare me sochna tha but aap bahut jald kamana chahati ho problem hogi. ye sab chord kar video banane or un par views badhane me dhyan do adsense se hi bahut kama logi.

      Reply
      • Sorry bro!
        Mai abhi affiliate account ke bare me padh Kar or sawal Kar confirm ho Rahi thi taki aage koi problem n aye. Bro aapki marji se hi bnaungi.
        1) bro mere channel par 300 subscriber hai prantu 100 hi active hai Baki unsubscribe ho gaye to mai Alag Alag category ke liye Alag Alag channel bnana chahti hu to kya ek sath 4 or 5 channel bnakar Adsense se connect Kar Sakti hu ya channel bnane ke bich kuchh samay ka antral hota hai Kya koi niyam bhi Lagu hai jaise ki koi problem hoga. Aagar samaye antral hota hai to kitne din ka?
        2) abhi pin verify nhi hui hai to kya purane wale channel ki name or icon change Kar sakte hai koi problem hoga?

        Reply
        • 1. No problem bana sakti ho.
          2. kar sakte ho no problem.
          Jaldi se $10 earn kar address verify kar le.

          Reply
  4. Sir maine new YouTube channel bnaya hai , sb kuch kiya hai jaise aapne btaya BT ye ni samj aaraha ki kaise pta chalega ki mere YouTube channel know praise milenge ya nai

    Reply
    • Milega apa jitna achha kaam karogi utna praise milega. Apne aap par wishwas rakh kar kaam karo.

      Reply
  5. Mere video k same green $ that lekin ab apne aap hat gaya phir se green $ kaise laye , monetization disable bats raha h mai google AdSense se jod chuka hu please help

    Reply
    • Video manager par jao or koi video ke samne copyright warning ho to us video ko delete kar baki videos ko monetize karo ho jayega.

      Reply
  6. sir
    1mai YouTube pr upload karta hu
    to atomic monetize ho jata hai esse koi problems to nai hogi
    2 AdSense approve ho gaya lekin
    $ icon green kyu nahi hota
    3 sir apka coment Ka javab dene Ka
    time kya hai

    Reply
    • Aap chaho to autmatically monetize band kar sakte ho iske bare me maine Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare
      Aap channel>> monetization option par jao or check karo ki channel AdSense se connect hai uske bad adsense.com par log in karke dekho AdSense par log in kar pate ho ya nahi. kar pate ho to video manager me jao or sabhi videos ko fir se monetize karo.

      Reply

Leave a Comment