Avatar for Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 293 )

  1. sir mere adsence account me adress aur id dono verify ho chuka hai adscence me abhi $13 hai payment method add nahi kar paa rha hu

    kya $100 hone ke baad hi payment method add hoga.

    • Pahle nahi tha, shayad ab ho.

    • Sir ji mai aapse ye janna chahta hu ki
      Kya adsense account banane ke turant bad hi usme apna bank account add karna anivarya hai.?
      Mera Matlab kya aisa nahin ho sakta hai ki abhi mai adsense account bana lu aur uske ads bhi apne blog me laga lu jisse meri earning suru ho jaye bhale hi vo tab tak mujhe na mile jab tak ki mai usme apna bank account add nahi karta. Phir chahe tab tak usme 1000 doller hi kyo na ho jaye?
      Kya aisa possible hai answer jarur dena sir.

      • बिल्कुल आप बाद में भी बैंक अकाउंट जोड़ सकते हो

  2. Sir me pure google me dhund rahu is problems ka solution nhi mila , mene adsense ke liye Apply kia wo name koi our tha ab me bank details name me meta real name add krunga to koi problems nhi hogi, ya mujhe apne gmail name change krke real name rakh du

    • Aap adsense profile me apna name change karo aur bank details add karo payment mil jayega.

  3. Hello sir ek problem hai actually ek nahi thoda jada hi problem hai adsense se related.

    1. Kya Ifsc code bhi usi branch ka use karte hai jaha ka swift code use karte hai ya apne account wale branche ka aur SBI ka kitne anko ka account number wire transfer ke liye dalu 11 digit ka ya pura.

    2. Mujhe adsense se first payment isse hui thi 21 sep. Ko but abhi tak bank me nahi aya hai age kya karu aur mera jis branche me account hai unko swift ka to chodo wire transfer kya hota hai itna bhi nahi pata. Google ka payment receipt lekar gya to mera balance check kar rahe the isse jayda kuch nahi ata unko help me please.....

    • 1. IFSC code apni branch ka use karna hai.
      2. wrong bank details add karne par payment nahi milega, main is bare me already likh chuka hu aap humari adsense wali post padhe.

  4. Sir me aasha karta hu ki aap mere problam ka solve jarur karenge aapse bhut bdi umid h mere 4 month se blogger account h or usme mene 15 post dal di h or abhi bank account details kese bhre payment ka options click hi nhi ho rha h

    • Bank acocunt tabhi add kar paoge jab aap apna address verify kar loge, address verify karke bank detail add karo.

  5. wowwww. Nice Bohat Badiya Article. Bohat ache se btaya ap ne. Thank you so much BHai....

  6. Mera youtube channel already bana hai or mera usse adsense acount add hai ab kya me isi adsense account se 2 channel or bana sakta hoon taki mera paise isi account me aata rahe plz reply

    • Yes bana sakte ho.

  7. sir aapke article padh kat bahut khushi huwi sir ummid haike aap mera bhi sawal ka jawab denge

    sir adsense ke liye
    current account chahiye
    ya saving account

    aur mere paas 850 subscriber hai aur
    135000 minuts play huchuka hai
    kya mai adsense ke liye able hun

    • Dono use kar sakte ho. Nahi after 1000 subscribe and 4000 hours par hi kar sakte ho.

  8. Hello bro!
    Me apna bank details Adsense me ad karna chahta hun. Par meri swift code se related ek query hai. Mera account taluka ke level par hai. Jaha SWIFT-Code ki suvidha nahi hai.
    Par me jananta hun. Ki ham same branch ke neer branch ka code use kar sakate hai. To sir mere district (Aurngabad maharastra) me swift code aviable hai. Aur maine customer care and online code liya hai. Par problem yah hai ki vaha sirf ek hi branch ka code hai. Aur i think vah sirf industial ke hai. Me sure nahi hu. Par vaha code aisa dikhai de raha hai.

    "INDUSTRIAL FINANCE BR AURANGABAD SBININBB359"

    Mujhe lagata hai ki yah code sirf industrial ke liye hai. Kya aisa code hum adsense me add kar sakate hai. Aur Aurangabad me sirf ek hi Swift-code hai. Kya karu? yah add karu?
    Please sir give me an instant replay.

    • Yes kar sakte ho. Swift code sabke liye hota hai.

  9. sir website kaise bnate ha

  10. assalamu alaikum
    respected sir
    1 kya adsense ac ke liye Saving ac chahiye ya current ac

    2 vijaya bank me mera ac hai but inki nazdiki brench kabhi swift code nahi hai kya mujhe dusri bank me ac kholna padega

    3 jo bank me name hai wsisahi name ki email id hona chahiye aur youtube channel bhi usi naam ka chahiye kya sir

    • W/a
      1. Koi bhi account use kar sakte ho.
      2. Nahi aap nearby brach ka swift code use karo.
      3. Email se matlab nahi hai bas name address same hona chahiye.

Comments are closed.