Youtube Par Video Upload Karne Ki Default Setting Kaise Kare

Youtube par videos upload karte time aapko har bar video ko monetize, video ke bare me (Video description), tags and other bahut si setting karni padti hai. But aap chahao to ye sabhi setting ek bar kar sakte ho or jab aap new video upload karoge to aapko video me ye sab setting nahi karni padegi. Is post me aapko isi ki jankari milegi ki sabhi video ko ek sath monetize kaise kare.

How To Set Youtube Video Upload Default Settings

Hello sir kya mai YouTube par sabhi videos ko ek sath monetize kar sakta hu. Ya fir mujhe har bar new video upload karne par monetize karne padenge.” Ye sawal mujhse last day akhil ne puch tha. Akhil ke alawa is bare me mujhse bahut log puch chuke hai. So aaj mai is article ki help se aap sabhi ko iske bare me bta raha hu. Jisse aapko YouTube par bar bar new video ki setting nahi karni padegi.

Aap YouTube par ek bar monetize setting kar donge to aapki new video automaticlly monetize ho jayegi. Monetize ke alawa aap or bhi bahut si setting default rakh sakte ho. Jo video ypload kartne par aapko already set huyi milegi. Is article me aapko nimn sawalo ke jawab milenge.

  • Kya mai apni sabhi videos ko ek  bar me monetize kar sakta hu?
  • Kya mai apni all videos ke liye ek bar me description add kar sakta hu?
  • Kya mai videoss title me permant koi words add kar sakta hu?
  • Mai apne videos ke liye default setting set kar sakta hu?
  • Mai YouTube channel par video setting kaise kar sakta hu?

Agar aap YouTube se paise kamane ke bare me vistar se janna chahate ho to aap YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post padhiye. Isme aapko YouTube ki or YouTube se paise kamane ki puri jankari milegi.

Youtube Par Video Upload Defaults Setting Kaise Set Kare

Youtube par video upload karne time jo setting karni hoti hai. Aap use already set kar sakte ho. Iske liye aapko YouTube setting me ja kar Upload defaults setting me information bharni padegi. Jiske liye aap niche diye step follow kar sakte ho.

Sabse pahle aap YouTube site par jaye or apni gmail ID se log in kare. Uske bad Left side sidebar me My Channel >> Video Manager par jaye. Ab left sidebar me Channel > Upload defaults par click kare. Ab jo form khule usme niche diye step ko follow kar ke sahi information set kare.

  1. Privacy: Aap video ko public, private or inlist kar sakte hai. Public ka matlab aapki video ko sari duniya dekh sakti hai. Private ka matlab aapki video ko sirf aap dekh sakte hai. Unlist ka matlab video aapki list me show nahi hoga.
  2. Category: Aap YouTube par kis tarah ki video upload karne wale hai. Uske liye apne video se related category select kare. Mai blogging or logo ki help ki video upload karta hu. Isliye maine “People & Blogs” select kiya hai.
  3. License: Agar aapke pas koi license hai to uski information yaha set kar sakte hai. Or agar aapke pass koi license nahi hai to aap Standard YouTube License Select kare.
  4. Title: Apne new video ke liye koi bhi title choose kare. Yaha aap wo words likh sakte ho. Jise aap apni har video ke title me add karna chahate ho. Example: Apne channel ka short name.
  5. Description: Apne channel ke sabhi videos ke liye ek description banao. Kyuki yaha aap jo bhi information bharoge wo aapki har new video ke ke liye hogi. Mai aapko suggest karunga ki aap yaha apne channel ke sabhi videos ke liye description set kar sakte hai. Jaise aap yaha par kis tarah ki video upload karte ho. Aapki kisi website ya blog ki details ya fir aapki social media profiles ki infomation jisse log aapko follow kar sake. Examply aap mere videos par information dekh sakte ho.
  6. Tags: Koi important tags jo aapki har video se related ho. Aap yaha par set kar sakte ho. (Aap maximum 5-7 tags hi use kare.)
  7. Comments and ratings: Agar aap chahate ho ki aapke videos par log comment kare or aapke video ki rating bhi byate to aap comment and ratings ke samne tick kare.
  8. Moderation: Yaha par two options hai all and approved. All yani aapki videos par sabhi comment kare or wo sabhi comments show ho. Approved yani only aapke approved karne par comments show ho.
  9. Allow view rating: Kya video dekhne wale aapke video ki rating dekh sakte hai.
  10. Monetization: Agar aap new video ko automatically monetize karna chahate hai to is par tick kare.
  11. Ad formats: Yaha Overlay in-video ads, Skippable video ads or Sponsored card teen tarah ke ad format hai. Aapko videos par kis kis type ke ads dikhane hai wo select kare.
  12. Automatic mid-roll ads: Agar aap YouTube par long videos upload karte ho to aap ye option select kar sakte hai. Isse aapki videos ke beech beech me bhi ads show honge. Aapne movies or badi videos ke bich me ads dekhe bhi honge. Automatic mid-roll ads tabhi show hote hai jab aapki video 10 minutes se jyada ki ho.
  13. Language: Aap kis bhasha ki video upload kar rahe ho. Apne videos ki bhasha choose kare.
  14. Allow viewers to contribute subtitles and closed captions: Log aapki videos or uske title ko dusri language me convert kar sakte hai or aapki video ko dusre logo ke sath sahre kar sakte hai. Mostly agar aap chahate hai ki people aapki video ki language yani transtate kar sake to aap ye option select kar sakte ho.
  15. Caption certification: Yaha aapko ye select karna hai ki aapka video aapka banaya hua hai or copyright nahi hai. Or ise aapne banaya hai. Jiska aapke pas proof hai.
  16. Suggest video improvements: Agar aap chahate hai ki log aapko videos me sudhar ke liye suggest kar sake to aap “Suggest video improvements” select kare ya fir “Never Suggest video improvements” select kare.
  17. Video Location: Agar aap apne new videos ke liye location set karna chahate ho to yaha par kar sakte ho.
  18. Make video statistics on the watch page publicly visible: Agar aap chahate ho ki aapke vides YouTube watch page par publicly yani sabko dikhayi de to yaha select kare.
  19. Save: Aapne abhi jo settings set ki hai. Use save karne ke liye save par click kare.

Youtbue Upload Defaults

Ab jab bhi aap apne YouTube channel par koi video upload karoge to aapko upar ki gayi setting pahle se huyi milegi. Jisse aapko bar bar new videos par full information nahi bharni padegi. By the way agar aapko meri koi bat samajh nahi aayi ho ya fir aapko YouTube ke bare me koi or jankari chahite to aap comment section me sawal puch sakte ho.

I hope is articles ko padhne ke bad aapko bar bar video ko monetize karne or bar bar all setting karne nahi padegi or aap is post ko jarur pasad karoge. Agar aapke past video uploading default setting ke bare me koi or informtion hai to aap comment me apni jankari share kar sakte ho.

Agar aapko ye information better lage or aapke liye helpful ho to is post ko social media par share or post ke bare me comment jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 58 )

  1. anuj gupta

    mera upload kiya video koi download nahi kr sake iske liya kya kru…

  2. Lokesh FAGNA

    Sir ji me sb kuch steup krke video upload krta hu to( there was problem with network )batata h kya kru

    • Jumedeen Khan

      Aapko network problem hai kisi aur internet connection ya device se try karo.

  3. Shah Ishraque Afgaar

    Sir main net pe naya ho aap please mujhe guide kajiye sir main chal nahi sakta ho main shairy karta ho youtube se earning karna chahata ho maine youtube channel bhi banaya hai mere pas sirf mobile hai kya mobile se sab hojainga sir meri in problems ka solution bataye
    1 verify your contact emaile to get security updates and news about the google products that you use ye notification mili mujhe kya karna honga please step by step bataye
    2 channel kis liye banaya hai ye jankari dene ke liye channel ka about option kaha Milenga
    3 kya mai mobile se monetoze karke youtube channel ko adsense se jod sakta ho
    4 kya swift code lene ke liye mujhe hi jana hoga ya kisi ko bhej ke mangwa sakta ho
    sir please aapka whatsapp number dijiye mujhe aap se baat karni hai sir please
    reply jald kare please

    • Jumedeen khan

      1. Apna email inbox open karo usme verify mail hoga usme ek link diya hoga us par click kar mai lverify karo.
      2. channel ke home par jao waha aapko about likha mil jayega.
      3. yes.
      4. Swift code jankari yaha hai swift code ki puri jankari
      Aap humare articles read karo sabki jankari milegi or jo na mile wo puch lena.

      • Shah Ishraque Afgaar

        Sir email box me koi bhi verify email nahi hai sare faolder chack kiye ab kya kare aap email verify link dijiye ya step by step bataye kya karna hai please Sir kya channel about channel discribtions hota hai
        sir maine Aap se Whatsapp number manga tha PLEAS SIR whatsalp number dijiyen

        • Jumedeen khan

          Youtube verify link open karke verify karo. Main whatsapp par chat nahi kar sakta.

          • Shah Ishraque Afgaar

            Sir youtube verify link open kiya to waha show horaha hai your youtube account is allready verified jab ke mujhe bar bar aisi notification ati hai verify your contact email to get security updates and news about the google products that you use aaj bhi ayi please kaise verify kare bataye

          • Jumedeen khan

            Aap mujhe wo email send karo.

          • Naresh sura

            Bhai shahb mere chenal ke 10000 view 1 week pahle ho chuke h jbki mere id par koi bhi e-mail nhi ayi h or me chenal ke andar montinze option me jakar dekhta hu to ye likha milta h (1. bhut badiya apke 10000 view ho gye hum apko ek week k ander nirnye suna denge 2. Hum apka samanye se jyada samay le rhe h iske liye apke dhery ka sukriya ) jbki week pura hogya kya kru koi rasta dikhao

          • Jumedeen Khan

            Naresh ji aapke pas wait karne ke siwa koi rasta nahi hai.

          • Naresh sura

            Week se jyada time hone k bad bhi muje addsens mil to sakta h na ya nhi

          • Jumedeen Khan

            Depend on google.

  4. Atahar rehman

    Jnaab,
    Mai jab apne youtube channel se vedio upload icon pr click kar media files par jata hun to wahan only folders show krata hai.usme jo files hain sb empty dikhata hai..file show nhi krta kya krun.
    Mai direct gallary se bhi upload try kr chuka hun tab bhi Nhi ho paa rhi..
    Plzz suggest me..

    • Jumedeen Khan

      Video format sahi se karo.

  5. Mouni

    Bhai sahab aap mujhe srf itna bta do k youtube pr aisa kon sa setting kre k upload kia gya video ko koi save na kr ske..

    • Jumedeen Khan

      NIske liye apako youtube red ki jarurat padegi jo india me available nahi hai.

  6. ayush

    sir my question is this
    ki agar Hum apne YouTube channel ke liye koi music select karna chahte hai.
    jisse YouTube channel grow kare aur har uSer ko lage ki ye channel high Fi channel hai.
    to hum apne YouTube channel ke liye MUSIC kaha se DOWNLOAD kare taki hum usse apne YouTube channel ki alag pahchan bana sake aur.
    YOUTUBE par copyright bhi na aaye
    hum without copyirigh claim music kaha se DOWNLOAD kare.
    please answer

    • Jumedeen Khan

      Aap channel ke liye khud music banao ya youtube par di huyi music list m se koi ek choose karo.

  7. bilal ahmad

    Sar men NY chainal ko monitizaishan kar k AdSense k sath jod diya he ur 3 din tk videos monitize ho rahi thi ur monitize ka option bi a raha tha …us ky bd Àb monitize ka option bi ni a raha ur na hi videos monitize ho rahi hen ur pehly Jo videos ky $ ky nishan par green collar tha WO bi khatm ho giya he ur $ par kanty ka nishan lag giya he ur men NY uplod default ki Jo sitting hen WO dekhi to wahan bi monitize ka option ni aya plz mehar bani kar k bata den k Àb kis Tara videos monitize ho sakti hen

    • Jumedeen Khan

      Google ne aapke YouTube channel ko block kar diya hai aap ne YouTube par copyright video upload ki hogi. Agar aapko koi mail aaya ho to wo mujhe dikhao.

  8. RUBY SINGH

    Ha dekh sakti ho aap YouTube video manager par ja kar apni sabhi video dekh sakti ho but apne video me show hone wale add par click mat karna.yah maine apka reply copy kar ke dala hai mujhe ye bataye ki mujhe apne video ma show hone wale add per kaya click nahi karna hai skip ya aur kucch

    • Jumedeen khan

      So sad, skip par click karke se koi problem nahi hai bas ad par click mat karo.

  9. RUBY SINGH

    Sir jab mai koi bhi video dekhti hu tam skip click karti hu kya skip per click nahi karna mujhe btaye kyo ki mai new hu es karan technical bate samjh nahi pa rahi hu

    • Jumedeen khan

      Agar aap ads video nahi dekhna chahti to bilkul use skip kar sati ho. Isme koi problem nahi hai.

  10. RUBY SINGH

    Sir jab mai apna video lord karne ke liye chip computer se connect kiya to mera video dikhai nahi de raha hai kahi kisi software ki kami to nahi kaya mai apana lord kiya hua video dekh sakti hu YouTube per dekhne se mera YouTube channel blok to nahi kar denge pls mujhe bataye taki mujhse asi koi galti na ho ki google mere channel ko band kar de kya kay sawdhani rakhni hai bataye

    • Jumedeen Khan

      Ha dekh sakti ho aap YouTube video manager par ja kar apni sabhi video dekh sakti ho but apne video me show hone wale add par click mat karna.

  11. uttam

    सर आज मैने मेरे आवाजमें एक गाना रेकार्ड किया, जो पूर्व युट्युबपर माैजूद है. मैने मेरा रेकार्ड किया हुवा गाना युट्युबपर डाल दिया तो वह गाना काॅपीराईट होगा?

    • Jumedeen Khan

      Nahi nahi ohga kyuki wo tumhari aawaz hai.

  12. shorab

    Hlo sir. Kya hum kisi another site Se video download kr ke YouTube pr upload kr skte h kya..yha world4u.com Se download kr ke YouTube pr upload kr skte h kya. Tell me plzzz

    • Jumedeen Khan

      Nahi bilkul nahi kar sakte.

  13. mustafa

    kya me ek se adhik channel monetize kar sakta hu, ek hi google id se, kya google allow karega or pay karega

    • Jumedeen Khan

      Nahi aap ek hi YouTube channel monetize kar sakte ho.

  14. vijaysingh

    nhi, jume deen bhai Maine kaha he kabhi show hote he or kabhi nhi aap din me 3-4 Baar dekhna alag alag samay me aapko bhi pata chal jayga. or ha mobile ke browser me to aa rahe he lekin pc me ye wali problem aa rahi he..

    • Jumedeen Khan

      Maine kei bar open karke dekh liya ads har bar show ho rahe hai. Aapko internet slow connection ki wajah se ye problem ho rahi hai.

      • shikh azeem

        Aap ko contact kaise karu. Aap apni contct detail nhi de skte to plz mjhe cntct kariye YouTube ke bare me baat karNi hai bhai aap se kuch seekhna hai. Plz cntct me

        • Jumedeen Khan

          Aap facebook par contact kar sakte ho.

  15. vijaysingh

    Sir, Maine meri site par Adsense ke ads lagaye he or Adsense se fully approved mail bhi aa gaya he lekin abhi tak ads show nhi ho rahe he 2 mahine ho gaye he or iska reason abhi tak mail nhi aaya. or sir kabhi kabhi ads show hote he.

    • Jumedeen Khan

      Vijay aapke blog par ads show ho rahe hai. Aap ek page par 3 display or 3 links ads se jyada use mat kiya karo.

  16. PRADIP

    Bhah maine you tube pe video upload kiya usme jo title likha wo me you tube me search me likhta hu to bhi video nahi aata chanle ka nam likhata hu to video search me aata hai to me kya karu ke mera video search me top par aaye…

    • Jumedeen Khan

      First to aapke video ka title sabse alag hona chahiye. second video par view badhao. Jab aapka video viral hoga to apne aap search me first page par aayega.

  17. Altaf

    YouTube Channel pe apna Khud ke Videos hee Upload Karen bhai logo agar pesa kamana hai to kisi doosre ka ek bhi video upload kar diya or usne Strike Bhej di To aapka channel 6 mahine ke liye bad standing me aa jayega ya fir Account Susspend Bhi ho sakta hai.

  18. Vijaypal Singh

    jume deen bhai..
    Aapke likhne ka tarika bahut hi acha he. Maine sab kuch aap se sikha he or ushi ki wajah se aaj me Blogging kar paa raha hu. maine socha he q na me meri starting story mere visitors ko batao uske liye me meri ek post me aapki site ka link daaluga or ek or site he jisse me bahut jyada kuch sikh paaya hu.. To me aapse ye permission lena chahta hu ki link daalu ke nhi?

    • Jumedeen Khan

      Why not, Aap mere blog ka link apni site par dal sakte ho.

  19. Manish

    Sir link ads ko post ke bich me kaise lagaye hai

  20. Chandan

    Ye Jo 99 Rs. Me hum WordPress par blog banane ke liye suru
    me ek saal ke liye karidate
    Hai to kaya hum domain
    Name ka paisa dete hai
    Ya hosting ka aur agar
    Domain name ka dete hai
    To hosting ka kya hua

    • Jumedeen Khan

      Aapko domain or hosting dono ke paise dene padte hai.

  21. BAIJNATH SHARMA

    (1)Bro key ham education se sambandhit video/mp3 banakar YouTube par dal sakte hi ya nahi jo pahele se uspar upload na ho

    • Jumedeen Khan

      Ha dal sakte ho.

  22. BAIJNATH SHARMA

    Sir key ham YouTube par video/songs ko remix karke dal sakte hi ya nahi

    • Jumedeen Khan

      Nahi, Copyright video mana jayega.

  23. Ankit Jha

    Bro pata ni kya problem hai mere kuch post 1 minute mein index ho jate hai aur 3-4 days jabki mere post internet pe bohot kam hote hai aur main 700+ se leke 1000 words tak post likhta hu aur mera blog 1 month old hai

    • Jumedeen Khan

      Post kitni jaldi index hogi. ye post content par depend karta hai. Aapki post jitna content new hoga. utni jaldi inex hogi. agar aap pahle se internet par mojud jankari par post kaeoge to time lagta hai.

  24. Rajesh Rathod

    Youtube ne mera Account block kar diya hai ab vo wapis chalau ho sakta hai….

    • Jumedeen Khan

      Iska koi solution nahi hai.

  25. Sahil kumar

    Jumedin bhai aap ke Youtube wale section ke bare me maine apne cousin Brother ko bataya tha.

    [Bhai WordPress me kisi aase plugin ka name to batao jisse Home Page par jo 5-7 posts images or summary ke sath show ho]

    • Jumedeen Khan

      Thanks sahil,
      nahi aysa koi plugin nahi hai. iske liye aapko theme edit karna padega.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...