Agar aap apne blog me welcome message add karna chahate hai. Or apne visitors ke liye koi notification add karna chahate hai to is post me btaye 2-3 step ko follow kar aap apne blog me pop up welcome message, alert, latest update add kar sakte hai. Is message ko aap apni pasand ke hisab se kisi ke liye bhi use kar sakte ho.
- Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Blog Par Pop Up Welcome Message Kaise Add Kare - Add Alert
Aapko sirf apne blog par niche diya gaya code add karna hai. Or aapki site par welcome message add ho jayega.
Step 1:
Blogger dashboard par jaye or Template option par click kare.
Step 2:
Ab Edit HTML par click kare.
Step 3:
Ab ctrl+f keu button daba kar </body> code search kare.
Step 4:
Ab ye code copy kare.
<b:if cond='data:blog.pageType == "index"'> <script language='JavaScript'>alert("Hello Guys, Supportmeindia.com Par Aapka Swagat Hai.")</script> </b:if>
Step 5:
Ab </body> code ke upar (above) upar diya gaya code paste kare.
Follow this screenshot:
Bas ab aapke blog me pop up welcome message add ho chuka hai. Is message ko aap latest news ki tarah bhi use kar sakte ho. Jaise aap apne blog par koi new features shuru karne wale ho to apne visitors ke liye yaha message add kar sakte ho. Sath hi is message me aap link add karke apne visitors ko apni dusri site ki jankari bhi de sakte ho. Iske liye aap "<a href="https://www.supportmeindia.com/website">Supportmeindia website</a>" code use kar sakte ho.
- Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare
- Google Webmaster Tools Me Targeting Country Kaise Set Kare
Is post me btaye code ko aap blogspot blog ke alawa dusre platform par banaye blog par bhi use kar sakte hai. Aapko sirf </body code se pahle code add karna hai.
Agar aapko is post me btayi trick achi lage to is post ko apne friends ke sath share jarur kare.
Bhai meri website ke bottom bar me copyright 2013 likha aa rha he u-se 2016 me kese change karu ?
Blog template>>edit html par jao ro ctrl+f key daba kar 2013 search karo. ab 2013 ki jagah 2016 set karke settibg save karo.
Thanks !! J.D. Bhaiya
mene kal iske baare me pucha aur aaj aapne bta bhi diya...
.
Mene ek aur que. Pucha tha ki free hosting kaha se lu to apne kaha ki ye post padho...
Us post me to WordPress ke baare me tha lekin me to blogger pe hu ...
Koi dusri Hosting site bataiye....plz
Apne visitor ki help karna hi mera kaam hai. blogger par hosting ki jarurat nahi hoti hai. Wo already google par host hota hai.
meri website k liye hosting chahiye bhaiya..
Nahi aapki site blogger par hai to aapko kisi hosting ki jarurat nahi hai.
Bahut sahi jankari hai bhai
Aapke blog Pe guest post daalna be Daal nahi PA rahahu plz..aap apna email dijiye
Aap mujhe admin@supportmeindia.com par guest post send kar sakte ho. Usse pahle mujhe isi blog ke contact form par contact karo.
bhayi to apne ye to bataya hi nhi ki me apply par click karu ya nhi
Dev kar sakte ho. Isme puchne ki kya bat hai. AdSense ka new feature hai, use karo.
jume deen khan bhai aapne badhiya jankari di hai...
Thanks..
mian aap se puchna chahta hu ki agar website ka content copy ho rha ho to usse content duplicate ho jata hai kya...ya fir jo pahle publish hua hai vahi good content mana jata hai... main isme confuse hu please btaye...
Agar aapka content pahle se publish content se matched hota hai to wo copyright mana jayega. Bhale hi aapne sabkuch khud likha ho. Yes jo pahle publish hota hai wohi original content mana jata hai. Jaise ye post abhi sirf maine publish ki hai. Or is bat ko mai nakkar nahi sakta ki koi isi topic ko share nahi karega. Bas blogging me isi bat ko samjhana sabse jyada important hai. jisko ye bat samajh aa gayi wo blogging me 101% success hota hai.
A Jumedeen bhai.
Apko Phone Laga rahe hai to ye bol raha hai ki "your call Can't be be Connected"
kahi ap ne mera number block to nahi kar diya hai.
Nahi aap 10am ke bad call karo.
bhaiay alexa rank me no data kyu bata rahi hai, aapki bhi site me
Ravi ye alexa ki problem hai aapki nahi. apne aap solve ho jayegi.
bhayi mughe ak offer diya he google AdSense ne ye paddo iska kya matbla he optimation me optin aya he (If appropriate, try including ads from sensitive category "Gambling & Betting (18+)" to increase auction pressure and improve performance.) Apply Now likha hua he kya me apply par clik kardu iska kya matlab he plz jaldi batana
Ye google ka ne feature hai. iske bare me mai details se post karunga. wo pad lewna.
mujhe apni site par aapki site jaisa Hostgator ka Banner lagana he taki me bhi kuck income kar saku iske liye plz aap Hostgator affiliate ki link share karenge..
google me "hostagator affiliate" likh kar search karo