Pro Blogger Kaise Bane Professional Blog Banane Ki 10 Tips

Ek time tha jab lbogging sirf funtime ke liye hua karti thi but aaj professional blogging ka time hai or people blogging ko online business ke roop me dek hrahe hai. Bahut se professional blogger blogging se lakho, million income kar rahe hai. Aap bhi kuch aesa hi chahate ho to aapko sabse pahle apne blog ko professional blog banana hoga or pro blogger ki tarah blog ka look sudharna hoga. Is article me btayi gaye tarike aapke blog ko professional look dilane me help karenge.

Top ways to make professional blog look

Aap ye post padh rahe ho iska matlab aap apne blog ko professional blog banana chahate ho or apne blog ko pro blogger ke jaisa banana chahate ho. Sabse pahle iske liye aapka blog right platform par hona chahiye like WordPress blogging platform, kyuki isse aapko blog ko customize karne me aasani hogi.

Wese aapa chahe to blogspot blog par bhi in tariko ko follow karke blogger blog ko bhi professional blog bana ksate ho. Professional blog look ka simple sa matlab hai visitors ko best se best look face karna taki koi bhi aapke blog ko dekhte hi pasand kare or fir se visit karna chahe.

I sure aapka goal yahi hoga to chaliye jante hai ki kaise hum apne blog ko professional blog ki tarah good looking bana sakte hai or jyada se jyada users ko attract kar sakte hai.

Professional Blog Look Banane Ke Top 10 Important Ways in Hindi

1. Purchase Your Own Domain:

Free blog banane me koi problem nahi hai or na hi ye galat hai. WordPress and Blogger dono hi most popular blogging platform hai or dono hi free blog start karne ki service provide karte hai. Inki popularity ki mai wajah aap in dono par only 2 minutes me blog create kar ready kar sakte ho.

Bas free blog me ek sabse bad iproblem hoti hai extended URL ki jise bahut kam user like karte hai. Like abc.blogspot.com or abc.WordPress.com Is link ko dekh kar koi bhi samajh sakta hai ki ye koi simple blog hai or ise manage karne wala abhi tak domain ke bare me bhi information nahi rakhta.

Sabse pahle hume isi issue ko solve karna hai hume .blogspot.com and .WordPress.com ki jagah own domain set karna hai. Aap kisi bhi domain provder company like Godaddy se ek domain buy karke is problem ko solve kar sakte hai. WordPress or blogspto dono par aap custom domain add kar sakte ho.

2. Buy Brand Theme or Develop Own Design:

Free theme / template ismtemal akrna band kijiye or apne blog kel liye khud ka design develop kijiye ya fir aap aesa nahi kar sakte to ko ibrand theme use kare. Is time WordPress par genesis theme sabse best theme hai. Iske sath aap apni child theme design kar sakte hai.

Visitors aapki site par free theme ko dekh kar kabhi bhi aapko professional blogger ke roop me accept nahi karenge. Achhe content ke sath site par brand design ka hona bahut jaruri hai. Main yaha aapko theme design ke kuch point bta deta hu.

  1. Make Special: Aapke blgo ka design kisi se match nahi hona chahiye or aapka blog sabse alag tarah se design hona chahiye.
  2. Purchase Brand Theme: Agar aapko coding ki thodi bahut jankari hai to aap free theme se bhi brand theme design kar sakte ho or agar aapko coding knowledge nahi hai to main aapko suggest karunga ki aap koi best theme purchase kar le. mere hisab se genesis framework sabse best hai.
  3. You Can Hire a Professional Designer: Agar aapke pas is sabke liye time nahi hai to aap ek professional designer rakh sakte ho jo aapke kahe anusar design develop kar sake. Designer aapki site ko behtar customize kar sakta hai.

Agar aap paid theme buy nahi karna chahate or na hi kisi designer ko pay karna chahate to aap aesi communities join kariye jo free me coding clss offer karti hai. Aap unki help se khud ka design taiyar kar sakte ho. Ye kaam aapko blog banane se kuch day pahle se hi shuru kar dena chahiye.

3. Never Ignore Logo, Favicon and Avatar:

Mostly new blogger ko logo or favicon ki jyada information nahi hoti or bahut kam log blog par favicon site icon or logo set karte hai. Favicon avatar aapki site ke design me 4 chand laga deta hai or koi bhi readers sabse pahle aapki site ki pahchan icon se hi karta hai.

Agar aap iske bare me jyada jankari nahi rakhte hai to aap humari ye post check kar sakte hai. Main already WordPress or blogger dono ke liye guidelines share kar chuka hu.

Sath hi aapko WordPress blgo me avatar set karne ki jarurat bhi hogi. Ye avatar aapki profile or comment author par show hota hai. Iske liye aapko gravatar par profile bana kar apna photo or email address add karna hoga. Uske kuch time bad aapki picture comments me show hone lagegi.

Iske bare me adhik jankari ke liye aap Gravatar Par WordPress Comment Me Apni Image Kaise Show Kare post check kare. Agar aapke pas WordPress blog nahi hai to fir bhi apa ise set kar sakte hai kyuki aap WordPress blogs par comment to karte hi ho.

4. Offer Something That Only You Can Provide:

Main humesha is bat par pressure deta aaya hu ki blogging me success hona hai to aapko kuch aesa karna hoga jo koi or nahi kar sakta. Aesi information share karni hogi jo internet par kisi or blog par nahi hogi. But kuch log ise support nahi karte. Unka kahna hai ki sabhi ek dusre ko sikhte hai.

I know sabhi ek dusre se sikhte hai but visitors ka kya akre jo ek information ko bar bar padhna pasand nahi karte. Unhe to kuch hat kar sabse alag chahiye or aapke readers bhi aapse isi ki ummid karte hai.

Bahut se blgoger hai jo apni brand ke liye famous hai. Unka ek alag tarika hai or wo bhi sabse alag. Online content ki 3 categories bana sakte hai.

  1. Most Useful: Is category me us content ko add kar sakte ho jo content author ke dwara khud likha gaya hai or usme 1% bhi kisi or ka idea ho. Wese aesa content milna mushkil hai.
  2. Interesting: Aesa content jo kisi or place se sikh kar apne talent me likha gaya ho. Mostly content isi category ke hote hai.
  3. Useless: Wo content jo tohda bahut changes akrke direct copy paste kiya gaya ho. Internet par aese bahut se log hai jinhe copy paste karne me itna interest hota hai jaise purane jamane me raja mahatrajao ko yudth jitne me hota hai.

By the way, second quality ka content to har koi lihkta hai par main chahata hu ki aap first category ka content write karo. I sure aap kab great blgoger ki lsit me shamil ho jaoge aapko apta tak nahi chalega. Ye work professional blogger banne se bhi kahi jyada behtar sabit hoga.

I sure aap all content ko branded nahi bana sakte but aapko kam se kam kuch post to first category ki likhni hi hogi. Tabhi aapki or aapki site ki sabse alag pahchan ban sakti hai.

5. Do Get Google Sitelink Search Box:

Hum sabko pata hai ki jin logo ki site ke search results me sitelink search box show hota hai. use hum or baki user kis nazar se dekhte hai. Halanki google sitelink search box kamana mushkil nahi hai but ye itna aasan bhi nahi hai.

Afsos ki google ne sitelink search box pane ki limit set nahi kar rakhi par itna jarur kahunga ki site ke good organic clicks receive karne ke bad aapko sitelink searchbox mil jata hai.

Agar aap ye nahi kar sakte to kam se kam apni site par to badiya or good looking search box add karo. Aap navigation menu, top menu, top sidebar and footer me kahi bhi search box add kar sakte hai.

Kuch bhi ho aap kahi bhi add akro bas uska look pro hona chahiye blog professional blog lagna chahiye. Agar aapki site par ek good looking search box hai to user shayad hi aapke blog ko leave karne ke bare me sochenge. Idea ke liye aap other pro blogger ka look dekh sakte ho.

6. Hold Regular Business and Care Your Blogging Family:

Janta hu aapke pas time nahi hai aap busy rahte ho or aapko humesha work karta padta hai. Mere sath bhi kuch aesa hi hai. But main tab sochne ko majbur ho jata hu jab mujhse kahi jyada kaam handle karne wale apne customers ke sath free ho kar chat kar rahe hote hai.

Yakin maniye unki shalinta mujhe sara kaam chord kar apne readers se bat karne ki or attract karti hai. Ek tarah se pro blogger me ye gun hona chahiye. Blogging uski family ki tarah hota hai or use usko apne valualbe time me se kuch ghante apne readers ko dene chahiye.

Yaha main aapko kuch option bta raha hu jin par aap apne reader se connect rah sakte ho or apni site ke readers ko apna kimti time de kar value increase kar sakte ho.

  1. Create a Question & Answer Forum: Apni site par ask.example.com or forum.example.com jasi service offer kijiye or ek aesi community banayiye jaha par user aapse sidha contact kar sake. user ke kuch aese sawal hote hai jo wo apase comment system ke through nahi puch sakte or jin logo ko aapke forum par help milegi wo aapko or aapke blog ko kabhi nahi bhool sakte.
  2. Host a Chat on Social Media: Agar ho sake to 1 -2 hours ka time nikal par apne readers se social media ya kisi or method se live chat kijiye. Isme twitter chat or facebook chat aapki help kar sakte hai. Facebook group chat iske liye achha option hai.
  3. Respond Comments Before 24 Hours: Humesha user aapke blog par comment karna pasand nahi karte or jab karte hai to wo aapse bahut jaldi reply pane ki ummid ke sath karte hai. Maine bahut se blogger ke bare me suna hai jo is kaam ke liye famous hai ki unke blog par comment ka respond bahut jaldi milta hai. Agar aap jaldi ye nahi kar sakte to maximum aapko 24 hours me sabhi comments ka reply karna chahiye.

Ye 3 way follow karo aapke blog ko professional blog banane ke sath aapko inse or bhi benefits milenge. Blog par traffic bhi badhega or aapko kei or tarah se bhi benefits milenge.

7. Remove 0r Delete All Annoying Stuff Content:

Apne blog par se aese content ko remove kar do jo user experience me badhak ho or user par bad effect dalta ho. Starting me mistakes sabhi se hoti hai aap se bhi huyi hogi. So jis content me aapki newbie glance dikhayi de use delete kar do ya fir use update karke pro banao.

Aapke blog par koi negative content hai to use delete kar do. Isme bahut sari videos, photos and text content shamil ho sakta hai. Visitor engagement ke liye ye bahut jaruri hai.

Main iske bhi aapko kuch point bta deta hu. Warna ye aapke blog ke professional blog banne me badha ban sakte hai.

  1. Many Videos, Photographs: Blog par se extra videos and images ko delete kar do. Isse user ko confusing hoti hai or blog ka home page simple rakho.
  2. Many Advertisement: Agar aapne blog me jarruat se jyada advertising ki huyi hai to use kam karo. Pro blog par per page maximum 2-3 advertisement kafi hoti hai.
  3. Auto Play Music or Videos: Agar aapne blog me auto play music or videos add kiya hua hai to use delete ya change kar do. Isse na sirf loading time slow hota hai balki kafi user ise bilkul bhi pasand nahi karte.

Iske alawa apni site par se extra popups ko remove kar de. Kuch blog par to post ko open karne par har bar pop up subscribe box show hota hai.  Ye pro blogger ki pahchan nahi hai. Ha aap ek pop up subscribe feature use kar sakte ho but jyada nahi.

8. Warn Clear Terms, Conditions and Copyright Notice:

Har blogger apne blog content ke liye copyright build karta hai. Jab aap unique content write karte ho to copyright terms bhi aapki honi chahiye or kisi ko bhi aapki permission ke bina content copy karna allow nahi hona chahiye. Sabhi yahi chahatw hai or shayad aap bhi ye hi chahate hai.

Fir iske liye jayda big policy banane ki kya jarurat hai. Aap apne words me or simple tarike se copyright notice create kar sakte hai. Aapki terms conditions clear honi chahiye.

But sirf itna hi karna kafi nahi hai kyuki copy paste karne wala aapka content padhne se pahle aapka copyright notice read anhi karega. So aapko chahiye ki blog par aesa feature istemal karna chahiye jisse kisi ke aapka content copy karne par use warning alert mile or wo aapka copyright notice padhne ko majboor ho jaye.

Simple words me aap use kaho ki ye aapka content hai or theft bina aapki permission ke ise copy nahi kar sakta. Pro blog banane ka ye good idea hai or koi bhi aapka content chori nahi kar payega.

Ye legal work hai or newbie or first time blogger ki nazar me aapke blog ko professional blog banane ke liye kafi hai. Iske sath hi jo log aapkearticle par abuse comment karte hai unki comment ke liye automatically spam feature istemal karo. Isse un logo ko shabk milega jo aapko or aapke readers ko bekar ki comment karke pareshan karte hai.

9. Customize Post Title, Headline and URLs:

Content blog ka sabse important part hota hai. Aapki site par content achha hoga to hi log site ko like karenge. Professional blog tabhi bana sakte ho jab aapko achha content likhna aata hoga. Iske liye jaruri hai ki aapko attractive headline, title create akrna aana chahiye.

Jab bhi new post publish karo to uska URL customize jarur karna chahiye. Customize URL address professional blog ki pahchan hai. Agar aapki post ka title long hai to shaayd hi jyada log aapki post ko share karenge.

Mai iska review kar chuka ek long URL post ki tulna me short URL post ko jyada shares milte hai. Ya fir aap kabih post ka title change kar rahe ho or error ki wajah se link ko nahi to ye bhi aapki galti ho sakti hai.

WordPress custom URL feature provide karta hai. Usme aap apni marzi jaise page URL use kar sakte ho. but main aapko post structures URL hi istemal karne ki advice dunga. Kyuki jyadatar pro blogger isi type ke URL ka istemal karte hai.

10. Share Something About Your Success:

Maine bahut se professional blog par dekha hai ki un par author ki success story share ki jati hai or user ise pasand bhi karte hai. Aakhir me maine paya ki aapka har ek reader aapki success story janna chahata hai or aap use iske abre me bta kar uski man ki khwahish puri kar dete hai.

Iska sabse bada fayda ye hai ki aapko follow akrne walo ko aapki story me se success ki sikh milti hai or aapki life story se unhe success hone me help milti hai. Unhe bhi aapki tarah mehanat karne ki parena milti hai.

Isme kuch galat nahi hai par iske piche real me aapki success honi chahiye. Agar aapke pas proof nahi hai or log ye nahi mante hai to aapko aesa anhi karna chahiye. Success to aapke kaam se khud pata chal jayegi. Us din aap apne bare me likh kar apne readers ko motivate kar sakte hai.

Jab bhi aap success ke naye mukam tak pahuchte ho to us khushi ko apni family or dosto ke sath share jarur karte ho. Kyo na is matter ka aapke audience tak bhi pahuchaya jaya. Fir dekhna un par aapka kya effect padta hai. Wese bhi aapko jo kuch mil raha hai ye unhi ki to meharbani hai.

Finally, yaha btayi gayi bate aapke pro blogger banne or professional blog banane me aapki help jarur karegi. Ha professiona blog banane me time jarur lagta hai. But jis din aap is muka tak pahuchoge us din aapki khushi kuch or hi hogi.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 122 )

  1. Suriyayadav

    Hello bhai me blogger par blog Banavu ya wordrees par

    Reply
    • Jumedeen khan

      WordPress par.

      Reply
  2. aditirai

    this is cool blog please update more

    Reply
  3. Dhirendra Rathor

    भाई: हमे ये पेज (Terms, Conditions and Copyright Notice:) बना कर ब्लॉग में डालने होतें हैं तो अगर कोई पाठक शर्तों का उलंघन करता है तो उसपर कारवाही क्या गुगल करेगा ???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi aap karoge.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...