Aaj ke time me koi bhi internet se paise kama sakta hai bas use online earning ke sahi tarike pata hone chahiye. Is article me main aapko online paise kamane ka aesa tarika bta raha hu jisse koi bhi ghar baithe internet se paisa kama sakta hai. Iske liye use na kisi programming language ki jarurat padegi or na hi Job ki tarah kisi special degree ki. Har wo insan jise computer ki basic information ho or thodi typing aati ho is tarike se income kar sakta hai.
Ek time tha jab internet se paisa kamana bahut mushkil tha kyuki us waqt iske bare me jankari bahut kam thi magar aaj aapko net par is topic par hazaro articles mil jayenge jinme online make money ke bare me btaya hua hai. Aaj internet par money earn karne ke 1000ro ways hai or aap jis tarike se chaho ghar baithe online kamai kar sakte ho.
Agar aap soch rahe ho ki iske liye kya qualification honi chahiye to main aapko bta du ki iske liye aapko koi bhi exam pass karne ki jarurat nahi hai. Man, Women, Girl, Boys, Student, Worker aap koi bhi isse koi fark nahi padta bas aapme kuch alag karne ka junoon or mehanat karne ka hosla hona chahiye.
- Online Ghar Baithe Internet Se Paise Kaise Kamaye
- Internet Se Paise Kaise Kamaye, Online Paisa Kamane Ke 20 Tarike
Internet se paise kamane ke bahut se tarike hai jinse me bahuto ke bare me main is site par bta chuka hu jinhe aap Online Paisa Kamane Ke Tarike - A to Z Guide in Hindi list pagfe par check kar sakte ho. Yaha main aapko khud ki website bana kar internet se paise kamane ke bare me puri janakri de raha hu. Aap chaho to is post ko carefully read karke abhi apna online business shuru kar sakte ho.
Khud Ki Website Banakar Internet Se Paise Kaise Kamaye
Aaj se kuch saal pahle khud ki website banana bahut mushkil tha or iske liye programming language (coding) ki jarurat padti thi magar aaj kuch software and tools ki help se ye kaam bahut aasan ho gaya hai or aap only 5 minutes me apni website bana kar ready kar sakte ho.
Yaha main website bana kar paise kamane ki bat kar raha hu so main aapko 4-5 point ke sath samajhaunga taki aapko sabkuch aasani se samajh aa sake.
1. Create Your Own Website
Website banane ke liye aapko programming language like CSS, HTML, JavaScript, PHP, Jquery etc. coding aati chahiye. Agar aapko coding nahi aati hai to aapke pas 2 option hai.
- Create Website: Kisi Developer Se Site Banwaye.
- Create Blog: WordPress, Blogspot, Joomla etc. software and blogging platform ki help se site start kare.
Sabse achhi bat ye hai ki blog banane ke liye aapko kisi bhi tarah se coding language ki knowledge hona jarur inahi hai. Aap kisi 2-3 steps follow karke apni site start kar sakte ho.
In my case, main wordpress use karta hu or main aapko bhi yahi suggest karunga kyuki ye manage karne me bahut hi aasan hai or humara is par full control hota hai. I mean aap is software par jo chahe kar sakte hai. But iske liye aapko kuch invest karna padega or hosting+domain buy karna hoga.
WordPress par apni site banane ke liye aap humari ye guide read kare. WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari.
Agar aap invest nahi karna chahate hai to aap bina ek bhi paisa kharch kiye bhi apni website bana sakte hai. Iske liye aap blogger.com par jaye or apni site ka name or address type karke 2 minute me apni site bana lijiye. Blogger google ki hi ek service hai jo apne users ko free website banane ki service provide karti hai.
Blogger par website banane ke liye aap humara ye tutorial follow kar sakte hai, Free Website Blog Kaise Banaye - Complete Guide in Hindi.
Agar aapko confusing hai ki wordpress ya blogger me se konsa better hai or kya choose kare to aap ye article read kare BlogSpot Ya WordPress Konsa Blogging Platform Jyada Better Hai.
Website blog banane ke bad aapko use achhe se Design karna hai taki jyada se jyada audience use like kare sath hi aapki site ka speed up hona bhi jaruri hai taki slow internet connection use karne wale users bhi aapki site ko fast open kar sake.
2. Choose Topic & Target
Apni website banane ke bad secon option hai apni site ke liye koi topic choose karna or ek target set karna taki aap achhe se work kar sako or kam time me apni site ko sccessful bana sako.
A. Website Topic
Jab aap site create kar lo to aapko ye tay karna hai ki aapko site par kis topic par likhna hai. For example, jaise ab main is site par website banakar paise kamane ke bare me likh raha hu wese hi aapko kis topic par likhna hai. Aapko kis niche par work karna hai.
Website par likhne ke liye bahut sare topics hai like health, success, holiday, sports etc. I suggest you, aap usi topic ko select kare jiske bare me aapko knowledge ho or jisme aapko full interest ho. Kyuki jis kaam me aapki lagan hogi use aap dusre kaamo se kahi jyada achhe se kar sakoge.
B. Target
Apni site ke liye topic choose karne ke bad aapko target set karna hai ki aapko kitne time me or kya kya karna hai or kin logo ke liye likhna hai. Target set karne se aap behtar business kar sakoge or isme samay bhi kam lagta hai. Wese bhi bina soche samajhe kiye gaye kaam me safalta milni mushkil hoti hai so soch samajh kar shuruat karna samajhadari hogi.
Aapne jo topic select kiya hai us field ke competitor ko dekhe or plan banaye ki aapko kis tarah kaam karke unse aage nikalna hai. Agar aap chaho to iske liye apni chhoti ya badi koi ek team bana sakte ho.
3. Content & Your Talent
Website banane or uske liye topic select karne or target banane ke bad aapko content write karna hai. Content write karne se ye dhyan rakhe ki aap jitna achha likhoge people aapko or aapki site ko utna hi jyada pasand karenge. So aapko dusro se behtar or alag likhna hai taki aapki site ko padhne walo ki sakhya jyada ho.
Content likhne se pahle 3 bate jaan le jo aapke humesha kaam aayegi. Agar aap inhe ignore karoge to aapki site ko success hone me bahut problem hogi.
- Quality Content: Unique and quality content likhe taki jyada se jyada audience use like kare. Agar aap dusro ki copy pasting karoge ya fi useless content write karoge to shayad hi aapki site par koi dubara visi karega. So low quality content likhne se bache or 10 low quality content wali post likhne se achha 1 high quality content wali post write kare.
- Write for Users: Aapki site par jitna jyada traffic hoga aap utne hi jyada safal honge. So sabse pahle users ka khyal rakhe or aesa content likhe jo aapke audience ko easily samajh aaye or wo use like kare. Apne man se nahi apne users ke man se likhe taki aapke pas jyada se jyada support ho.
Aapki site par kitna traffic hoga ye aapke content par depend karta hai or aapki site par kitna achha content hoga ye aapke talent par dpeend karta hai. For example, suppose 2 person ek hi topic par 1000 words ka alag alag article likhte hai unme se ek ke article ko padhne me bahut achha lagta hai r dusre ke me boring feel hoti hai. Aap ek number wale writer ki tarha likhna hai.
Aapke users ko aapke content ko padhte time boring na ho warna ek flop movie ki tarah aapki site bhi flop ho sakti hai.
4. Traffic
Iska jawab aapko three point me hi mil gaya hoga ki aapki site ka traffic aapke content or aapka content aapke talent par depend karta hai. apki site par jitna traffic hoga aapki site utni hi success hogi. So yaha main aapko website par traffic lane ke kuch importnat tarike bta deta hu.
Hum site par traffic lane ki process ko 2 tariko me bantenge. 1. Online and 2. Offline
A. Online Traffic Source
Website par traffic badhane ke bahut sare online tarike hai agar aap google me search karoge ki "Website par traffik kaise badhaye" to aapko is bare me millions results mil jayenge fir bhi main aapko yaha main and top source ke bare me bta deta hu.
- Search Engines: SEO - Search Engine Optimization: Search engine website par traffic badhane ka sabse first and best way hai kyuki search engine se aapko ek bar nahi balki daily traffic milta hai. Bas iske liye aapki site ko google me top me aana jaruri hai. Aapki site google me top me kaise aayegi or search engine se traffic kaise milega iske liye aap humare SEO Tutorials read kijiye.
- Social Media Sites: Social media like facebook, twitter par hum apne friends, family member in sab se jude hote hai or ek dusre se bat karte hai. Aap chahe to iski help se apni website ke bare me bhi logo ko bta kar apni site ka promotion kar sakte ho or traffic kama sakte ho.
- Guest Blogging: Aap apni site se related content likhne wali sites par guest articles likh kar unke visitors ko apni site par visit karne ke liye request kar sakte ho.
- Advertisement: Agar aap apni site par traffic badhane ke liye pay kar sakte ho to aap google adsnesne, adwords, facebook ads etc. advertising program ke through apni site par paid traffic la sakte ho.
- Referral Links & Linking: Aap dusri websites me apni site ke pages ka link karwa kar bhi apni site pa traffic badha sakte ho.
- Other sources: Website par traffic badhane ki adhik jankari ke lyie ye post read kare (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2017.
B. Offline Traffic Source
Online traffic badhane ke sath sath aapko offline bhi apni site ka promotion karna hoga taki aapki site ke bare me adhik se adhik log jaan sake. Iske liye aap ye tarike follow kar sakte ho.
- Tell your friends: Apne friends ko is bare me btaye or unhe unke dosto ko btane ke liye kahe.
- Tell your collage students: Apni school ya collages me ja kar students ko apni site ke bare me btaye.
- Print Ads: Apni site ke print ads bana kar top place me laga sakte ho.
- News Paper: Apne local news paper ya other papers me apni site ke bare me news dila sakte ho.
- Events: Apne area me ya jaha tak aap manage kar sako event rakhe or logo ko apni site ke bare me btaye.
Aap se jitna ho sake online ya offline aap utna jyada apni site par traffic kamaye taki aapki site ki rank jyada se jyada better ho sake. Without traffic site kuch bhi nahi hoti jitna jyada traffic hoga log or search engine utni hi aapki site ko value denge.
5. Earnings:
Humara final point hai apni website se paise kamaye? To ab aapne upar btaye sare steps follow kar liye hai or main man leta hu ki aapki site par achha traffic hai or ab aap apni site se earning karna chahate ho. So chaliye ab main aapko website se paise kamane ke bare me bta deta hu.
Internet par bahut se aesi companies hai jo apne products and services ka promotion karne ke liye website owner or bloggers ko commission deti hai. Ye hume 2 taike se paisa deti hai.
- Pay Per Click (PPC): Yani jab koi humari website se advertiser ki site par visit karta hai to hume kuch commission leta hai. ye commission advertiser ki tay ki gayi rate par depend karta hai.
- Pay Per Sell (PPS): Iske anusar jab koi user aapki site ke through advertiser ki site par ja kar unka koi product ya service buy karta hai to aapko uski price ka kuch percent commission milta hai. Yani iske anusar sirf product sell hone par earning hogi.
Isi wajah se in dono type ki companies yani advertiser ( Jo hume ad privde karte hai) ko hum 2 category me bant lete hai. 1. Advertising and 2. Affiliate Market
A. Advertising Ads:
Ye PPC yani pay per click kar kaam karti hai or ads dekhne ya ad par click karne ke paise deti hai. But iske liye hume har ek company se bat karne ki jarurat nahi hai. Internet par kuch aesi service available hai to bahut sari companies se deal kar hume sabhi companies ke ads provide karti hai.
Jinme se kuch top service providers is parkar hai.
- Google Adsense
- Media.net
- Adnow
- Chitika
- Bidvertiser
But in sab me google adsense sabse better hai kyuki ye dusre sabhi advertising program se jyada truest or jyada commission dene wala ad network hai. Google ko advertiser jo bhi commission dete hai wo usme se 68% apne publisher yani hume de deta hai or baki apne pas rakhta hai.
Aapko bas iske liye ek bar registration karna hoga uske bad adsense se aapk oad code milega jo aapko apni site par lagana hai. Uske bad aapki site par aapke content se related company ke ad show honge or jab koi un par click karega to aapki earning hogi.
But first aap advertising program ke bare me achhe se jan le like iski terms kya hai, ise kaise use karna hai or isse kamai kaise karni hai. Is sabki jankari ke liye aap humari Advertising program se related posts read kar sakte hai.
B. Affiliate Marketing
Affiliate program PPS yani pay per sell par work karta hia or jab koi humari site ke through inki site par ja kar koi product buy karta hai to hume uska kuch commission milta hai. Ye commission 5% se lar 20% ya isse bhi jyada ho sakta hai.
Iska sabse achha fayda ye hai ki aapko kisi or ko commission dene ki jarurat nahi hogi. For example, aap adsense use karoge to aapko sirf 68% hi milega or baki google apne pas rakhega but affiliate market me aapko milne wale commission ka 100% aapko hi milega. Isiliye isse aap jyada earning kar sakte ho.
Iski adhik jankari ke liye aap humari Affiliate Marketing wali guidelines read kare. Agar apa soch rahe hai ki aapke visitors advertiser ki site par kyo jayenge or unke product kyo buy karenge to main aapko bta du ki aap apni site me advertiser ke diye gaye banner, images, display and text ads ko apni site me add karoge.
Ye ads bilkul aapke content se matched honge or users apne interest se hi in par click karenge. Aap chahe to affiliate program products par article likh kar apne visitors ko uske bare me bta sakte ho.
Conclusion,
Ye the website bana kar online paise kamane ke 5 simple steps, I sure in tariko ko follow karke koi bhi person online internet se paise kama sakta hai. Iske liye aapko kisi bhi tarah ki koi degree ki jarurat nahi hogi bas aap jis topic par likhoge uske bare me aapko achhi jankari honi chahiye taki aap dusro se behtar kar sako or apni site par visit karne ke liye logo ko attract kar sako.
Website se earning karne ke liye traffic chahiye or traffic aapko tabhi milega jab aap dusre logo or apne competitor se kuch alag or naya karoge. Aap jitna behtar karoge log aapki site ko utna hi jyada like kaenge. In simple words, bas logo ke pas aapki site par visit karne ka koi reason hona chahiye.
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
- Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye, Best Earning Tips
Jaise hi aapki site par achha traffic hoga or aap achha kama rahe honge to aapko pata bhi nahi chalega ki aap kab success ho gaye. Iska khyal aapko tab aayega jab duniya wale aapke bare me bat karenge. Jis din log dusre logo ko aapki mahanta k bare me bta rahe honge samajho us din aap successful person ban chuke honge.
Finally, agar aapko is bich meri koi bat samajh na aaye ya fir aapko is article se related koi question puchna ho to aap comment section me puch sakte hai.
Agar aapko ye jankari pasand aaye or isme useful and helpful information mili ho to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Satish Kumar Pandey
Hello Sir, Which hosting company you are using for this blog and which plan? I see your blog is fast. Please tell me.
जुमेदीन खान
इस वेबसाइट के लिए मेडिकल अबॉर्शन का ऑप्टिमाइज प्लान उपयोग करता हूं।
Rakesh Yadav
sir main blogging me apna career banana chahata lekin mujhe, html,ssl kisi ki bhi jankari nahi hai, kya profetional blogger banane ke liye in sbhi chijo ka knoladge hona jaruri hai, please tell me sir
जुमेदीन खान
पूरी नॉलेज की जरूरत नहीं है, बस आपको इनके बारे में थोड़ी बहुत जानकारी होनी चाहिए
yudhveer singh
क्या समझाया है सर आपकी पोस्ट बहुत ही शानदार है मस्त मस्त मस्त
Vishvender Gurjar
bhai muje meri website DJ vishvender Gurjar .wapka .in ke nam se banana h kese bnegi pls aap link send or do bhai
amjad khan
very good Artical bro keep it up
Aaj sara doubt clear hogaya website ke baare may thanks again bhai
aayushi
aapki Fb par account h kya?
mujhe kuch website ke baare me discuss karna tha.
Jumedeen khan
Aap ask.supportmeindia.com forum par discuss kar sakte ho.
Yogendra Dhirhe
bahut hi acchi jankari
Jumedeen khan
Please read guest post policy.
kailash rawat
wordpress men apki tarah subscriptin blog kaise lagana hai juemdeen bhai
Jumedeen Khan
Blog Ke Liye Top 5 Email Subscribe Widget
Rashvinder
Amazing ....
Thank You for this great info.
Neha
Sir kya hum internet se joke,sayri lekar app ya website banakar use monetize Kar sakte hai kya or aisa Karne par copyright to nhi hoga
Jumedeen Khan
Agar apa use apne tarike se likh kar video banaoge to koi problem nahi hogi.
Yogesh
Veru nice post sir
Sir maine ek android app banaya hai kya aap bata shakte hai ki android app ko apni khud ki website pe upload kar publish kaise kar shakte hai .
Jumedeen Khan
Website par nahi google play store par publish karo or website par uska link share karo.
gautam
sir mere google console m ek bhi url index nhi hue fir bhi m google m (site:gyaaniguruji.com) likh kar dkhta hu toh ek hi uro double baar dhikhte hai ppz help me
maine ek post 26 ko likh par abhi tak google search result m nhi hai
plz rply jarur kare
Jumedeen Khan
Search console me site submit kar verify oar or check karo ki aap robots.txt file sahi use kar rahe ho.
Himanshu kumar
आपने बहुत ही अच्छा पोस्ट लिखा है....मेरी तरफ से आपको पुरे दिल से धन्यवाद..इसी तरह का पोस्ट लिखते रहे...
Raj Chouhan
Bhai kya aap ek baar mera Blog Check karke bta sakte ho k Maine kaisa bnaaya hai. Mai Chahta hu k aap use dekh k uski kamiya mujhe btaao pls..
Jumedeen Khan
Sabse badi kami aap custom domain use nahi karte. Use karo.
sushil pandey
Kya hum apni website ki speed 100% kar skte hai? meri website ki speed abhi 70 desktop hai or 50 mobile par hai
Jumedeen Khan
yes kar sakte ho.
Rajesh sha
1. Sir me jaanna chahta hu Ki me blogger m ya WordPress me bass YouTube video ko ambed kar ke paise kamana chahta hu Kya me esa kar sakta hu Agar ha to kese
2. Blogger me ya WordPress m thime kon sa lu template or kese
3. Ya Blogger m bane GA ya WordPress
Jumedeen Khan
1. Yes kama sakte ho but first aapko kuch articles likh kar blog par adsens approve karna hoga.
2. wordpress is best.
manoj
shaandar jabarjast jindabad
gautam
sir jab maine google m site submit ki thi tab ek mail aaya tha jise open kiya toh
choose a targeting countary
is type ke 5 option open hui toh contary konsi slect karu
and mujhe sitemap submit kiye 3 din hogye par ek bhi url index nhi hua
Jumedeen Khan
Jis country ke logo ke liye aap likh rahe ho wo select karo. India walo ke liye to india select karo.
gautam
mera sitemap ka page aapke jaisa shiw nhi hota kyo
Jumedeen Khan
Aap yoast seo plugin use karo.
gautam
sir main yoast hi use karta hu fir bhi maine unistaal karke vapas install bhi kiya
saleem khan
sorry sir topic se realted nahi hai but please help me.
sir per day hum kitne comment karsakte hai..!
mean backlink keliye hum per day kitne comment karsakte hai ab maine aap ke site me comment kya second be karo aisa kitne blog me hum kitne se zyada comment nahi karsakte hai for seo.
Jumedeen Khan
No limit aap jitne chahe comment karke backlinks banao.
gautam
Ek question mere google console m ek aur problem hai main photo facebook par bhj du kya
Jumedeen Khan
Aap mujhe contact forum mail mail karo.
gautam
maine aapko direct mail kar diya
1.jab main gtmetrix par site anaylis karta hu toh lavrege browser caching ki grade F show hoti hai vo kaise shi kare
Jumedeen Khan
Gtmetrix ki guideline follow karo.
gautam
google webmaster meri post ki image aur featured image ,related post wali image dono ko index kar rha hai
1.m yh chaata hu ki google only post ke andar ki image ki index kare baki nhi
2.m kya kru jisse phele wali index photo hat jaaye
mujh dar hai ki koi copyright content na ho
Jumedeen Khan
1. Aap jis image ko index karna nahi chahate usme rel="nofollow" tag use karo ya fir post image ko hi feature image ki tarah use karo. Nahi koi copyrighting nahi hogi.
Deepak
Bro aap pls mujhe yeh bata degiye ki agar ek adsense account se hamare 4 websites connected hai. Or agar ek site par koi galat activity hoti hai ,, to kebal us site ka adsense disable hoga ya pura account disable ho jyega.
Or agar 2 sites par koi ese activities hoti hai jisse adsense permanently baned ho jaye. To kya charo sites se adsense disable ho jyega ya only un 2 sites par hoga jin se galat activity huye hai.
Jumedeen Khan
Dono ho sakta hai agar adsense us site ko ban karta hai to sirf us site ka nuksan hoga or agar adsense disable hota hai to sari sites ka nuksan hoga.
Jitender Singh
sir apne mere comment ka reply nhi diya hai maine apse pucha tha ki maine apki wesbite kuch din phle kholi thi toh uss main this is not private connection dikha raha tha usko apne kasie remove kiya tha
Jumedeen Khan
Main aapki comment ka reply kar chuka hu ki wo error ssl ke work na karne par aata hai.
vicky
bhai maine apni site ki sub domain create ki hai , kya mujhe use search console aur analytics me add karna padega...?
Jumedeen Khan
Yes karna chahiye.
deep shikha
Mujhe Blogger ke liye khud temeplate bananihai aur mujhe CSS HTML & JS bhi aati hai. But mujhe yenahi pta hai ki Kis IDE par Blogger templae banate hai
Jumedeen Khan
Iske liye aap kisi template developer se contact kare.
Anuj Mishra
Hello bhai,
Jab mai blog ka post link facebook par share karta hu to post ka image nahi aata uske jagah blog ka image ata hai
Maine post ke image ko kai tarah se set ( 360*440)karke dekh liya hai nahi ho raha hai,
aap mere blog ko chek karke iska solution batadijiye
Jumedeen Khan
Iski wjaah aapke blog ki template hai jo ki default feature image hi show kar raha hai koi or template use karo ya template me feature template feature add karo.
Anuj Mishra
Mai template chang nahi karna chahta hu.
Feature template kaise add kare thoda detail bata dijiye
Jumedeen Khan
Google me apni query search karo solution mil jayega.
Sant kumar
Sir kya Google pr dali gyi sari post 100% shi Hoti h ye btana ji
जुमेदीन खान
नहीं इसकी कोई गारंटी नहीं है
gautam
1.Main cloudflare ke name server use karta toh html, css, JavaScript ko minify kar du kya, isse koi issue toh nhi hota hai na.
2.and jab cloudflare ka free ssl certificate expire Ho jaaye toh.
3.and mere google console m kuch problem bta rha hai.
4.sitemap submitted hone ke baar maximum kitna time lagta hai indexed hone m
Jumedeen Khan
1. Yes kar sakte ho.
2. Expire nahi hoga usse pahle wo renew ho jayega.
3. problem kya hai wo btao.
4. No time limit.
gautam
mere google image me 2 same photo index hai toh mai kya kru
1.image- jo feartured image hai
2.image -jo post ke niche show hoti hai related post wali image
aap google par gyaaniguruji search karke image dekho
Jumedeen Khan
Image ko hi feature image ki tarah use karo alag se feature image mat lagao.
gautam
Iske liye mujhe coding karni hogi jisse image automatic feaipar bhi aaye
I am right
And Jo index Ho gyi unko remove kaise karr
Jumedeen Khan
Yes right jo index ho gayi unme aap nofollow tag use karo like rel="nofollow"
Ashish
Hamesha ki tarah bahut he accha post likha hain aapne
Umesh
Mind Blowing article.
arvind
great article very use full for me please keep it..!
RASHID
Sir maine apne Blog me 5 ad laga liye hai. kya main apni har post me aur ad laga sakta hu jaise apne apni post me btaya hai
Jumedeen Khan
Yes but jyada d lagane se site ki loading speed hogi.
Deepak sahu
ads ko responsive banane ke liye width:100% rakh sakte hai? isse adsense disable to nahi hoga na?
mujhe 728x90 ad unit ko responsive banana hai.
Jumedeen Khan
Adsense ye allow nahi karta so main iski advice nahi de sakta.
Hajari Prasad
Hello sir abhi recently hi mera AdSense account approve hua hai. Aaj muje AdSense ki tarf se ek mail aaya jis me likha hua tha.
Kya abhi me un ads ko remove karke ush post ko phir se publish kar skta hu. Kyunki mere all pages ke header aur sidebar me 1-1 ad hai
Jumedeen Khan
Aap us post par ad mat lagao ya fir use post ko delete or private kar lo warna adsense ko problem hogi.
Hajari Prasad
Hello sir
Me ush post ke ander ads nhi lagaunga aur pulish kar deta hu. But mere blog ki sabhi post ke header aur sidebar me 1-1 ad hai.
1. To inse bhi problem ho skti hai kya ?
2. Kya ush post me se header aur sidebar wale ads ko bhi remove krna hai ?
3. Ager ha to kaise remove kru ? Kyunki muje koi options nhi mil rha. Wo ads to sabhi posts me dikhai dete hai.
Jumedeen Khan
Yes bilkul hogi. Agar apa nahi chahate ho ki aapka adsense disable ho to aap us content ko hata de. Baki aapko us page ke sath sidebar, header ya koi bhi ad show nahi karna hai.
kalpavriksha charitable trust
Nice post
Zishan Ali Gulzar
Sir.. Mai apne website me adnow company ka native ads use karta tha.. Maine jab $300 earn kar liya to usne mera website blocked kar diya bina reason bataye.. Ab mai kya karu?? Jab is bare me complaint kiya to kuch nhi reply nahi aya... To sir is website ka complaint kaha Kare.. ..kaise refunds PAYE... Government me kahi complaint kar sakte he??
Jumedeen Khan
Adnow aesa bahut se logo ke sath kar chuka hai. Aap hindisoch and achhikhabar ke owner se contact karo wo iska istemal karte hai or unhe iske bare me behtar jankari hogi.
pk soni
hello bhai mere WordPress blog ki comment me reply ka options off ho gaya hai kaise theek karu
Jumedeen Khan
WordPress settings >> discussion option me ja kar " Allow people to post comments on new articles" option ko enable karo.
Jitender Singh
sir subha mai apki site ko khola tha toh khul nhi rahi thi " your connection is not private" dikha raha tha toh uss problem ko apne kasie thik kiya q ki mujhe bhi 2 baar hua tha cloudflare ki baja se toh apne kiya kiyaa zara uske bare mai bataye
Jumedeen Khan
Ye error ssl ke work na karne par show hota hai./ Actually, maine cloudflare account setup kiya tha to ssl ko work karne me thoda time lag gaya.
ritesh
ACCHA LIKHA HAI AAPNE
ritesh
mai kaise kama sakta hun blog se koi idea ? de sakte ho aap
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Se Paise Paise Kamane Ke Tarike
gautam
maine google m sitemap submit kiya hai,sitemap ka url (sitemap-index.xml) kya yh shu hai kya.yoast seo se genrete kiya hai. and kitne time baad index hoge google webmaster tools m
Jumedeen Khan
Wrong aap sitemap-index.xml nahi sitemap_index.xml se submit karo.
Kavya
Hi sir Maine apny WordPress blog mey first time table banai hai vo table leptop aur tablet mey Shi khul rhi hai par mobile phone mey half dikh rhi hai maine size be chota kiya par fir be mobile mey thik nhi aarhi Kya aap bta skty hai kese Shi kro please help me sir.
Sir jis blog par Maine table lagai hai vo ye blog hai customertollfreeinfo.in ek baar aap be check kry.
Jumedeen Khan
Aap tablwe ki widget 100% rakho fir wo mobile me bhi sahi se open hogi.
raj
mein ek aisi website banana chahta hun.
http://www.freepik.com/index.php?goto=2&searchform=1&k=png+light
koi advise do bhai ish site pe jo content he bo mein create kar sakta hun or isse acha bhi par mein aisi website nahi bana pa raha hu . please help
Jumedeen Khan
Raj its not big aapko aese type ki bahut si wordpress theme mil jayegi.
Prabhjit singh
bshut hi badia article hai. bloggers ko kafi help milegi apke is article se. thanks sharing this article. and more more like this
Lucky
hello Brother aap ne ye Genesis Theem khud customized kiya hai ya kisi other developers se karbaya hai
Jumedeen Khan
Look here SupportMeIndia Par Konsi Hosting Aur Plugins Use Hote Hai
Abdul Waheed
bhaai mere blog per adsense approve howa hai lekin adds ki income bhut kam hai
aik add click per mujhe $ 0.01 doller milta hai aor 11 click per mujhe only 0.08 doller milay hain
kia wajah hai
Jumedeen Khan
Aapke content me jitne high paying keyword milenge aapko utni hi CPC milegi.
Abdul Waheed
ok,agr mein high keyword use kron phr bhe mera post google search mein na ae Social se share kron Phr log wahan se link per click ker ke post read krain gy aor add click per cpc 0.01 milay ga ya us se zayada hoga
Jumedeen Khan
Aapko kitni CPC milegi ye aapke ad keyword and ad par click karne wale user pe depend karta hai agar wo ad me interest leta hai or require process complete karta hai to CPC jyada hogi.
Nedhi Sharma
Sir WordPress ki post ko chori hone se kaise bachaye ?? plzz help
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Post Content Ko Copy Pasting & Chori Hone Se Kaise Bachaye
fawad ch
Another awesom article about make money online...!!!
sir ik wesite se backlink kab milta hai aap ke site per meri 20 se zyada comment hai but SMALL SEO TOOLs backink cheaker me ik be backling support me india ke nahi hai.
jab kih smart me india per maine 3 comments ke hai aur muje 2 backlinks show karte hai...!
help me please aur muje support me inda se backlink kaise meliga...!!!
Jumedeen Khan
Check this post Dusre Blog Par Comment Kar Ke Backlink Kaise Badhaye
Ankit
Nice post.
Read this SupportmeIndia mentioned in this.http://www.supporthindi.com/2017/07/top-indian-hindi-blog-list.html
nishaant
sir hi aaj subha se main apna blog Google me search karke use open Karne ki koshish Kar Raha Hoon.
search results me blog show ho raha hai lakin jab bhi us par click Karta Hoon toh aisa error show ho raha hai.
error - "this site can't be reached"
Jumedeen Khan
Aapki site me DNS problem hai aap DNS setting me name server sahi se add karo.
gautam
Please sir,Maine aap se ek personal question pucha hai plz mail dekh kar bato
Jumedeen Khan
Ok contact forum me mail karo.
Ankit Anand
hello sir,
aap please ek baar mere blog ko check kijiye aur koi kami ho to bataiye...
and sir kya blog homepage par posts title me h2 heading tag use kar sakte hain ya h3 karna chahiye??
Jumedeen Khan
Koi kami naih hai yes kar sakte ho.
Sanjay
Sir kya post likh kar use chek karna hota hai? mene aisa suna hai ki hamare content kitne % original hai use chek karna hota hai to please bataye kya aisa karna hota hai agar hota hai to kaise karna hota hai??
Jumedeen Khan
Check karna behtar hai kyuki isse apa usme huyi mistakes ko theek kar sakte ho.
Kavya
Hi sir Kafi achi jaankari di gai hai ess post key sir Mujhe aapse ek help chaiye.
1. Sir mujhe apny toll free number key blog key liye video banani hai mey vo video kese banao please help kry
Jumedeen Khan
Camtasia software use karo.
ANIRUDDHA CHOUDHURY
great post bhai... waise internet par aise bahut se articles hai LEKIN ye thoda hatt ke hai... briefly explained...
vicky
bhai aapke affiliate link me kuch aisa likha aata hai
https://www.supportmeindia.com/go/hostgatorindia
aise link aapne kaise create kiya hai
Jumedeen Khan
Look here Affiliate Link Cloak Kaise Kare
vicky
bhai maine puri post padhi.....or same settng bhi waisy kar li but mere me
https://www.mysite.com/go/hostgatorindia aisa nahi ah raha h,
1. isme kya time lagta h kya?
2.ya fir aur kuch setting karni h...?
bhai plz help
Jumedeen Khan
Vicky link cloaking ko thoda samajh lo or sath hi .htaccess file ko edit karna bih uske bad aap sab kar sakoge.
Deepak sahu
sir w3 total cache par post publish kar dijiye plz.. mai kaafi dino se aapke is article ka wait kar raha hu.
Jumedeen Khan
Ok jarur karunga.
Ayush Singh
Bahout Accha Post Likha Hai... Mene Webiste Bna Li Hai ..
lekin mera ek sawal hai Kya Free Nulled WordPress ke Kya Nuksaan Hai?
Jumedeen Khan
Nulled wordpress themes plugins use karne se aapki site ka data lost ho sakta hai.
Ayush Singh
Thanks Jumedeen Bhai
Raj
Bahut hi kam ki post apne likhi hai dhanywad. kya aap mujhe kisi online trusted web developer ke bare me bata denge please
gautam
Sir mere blog par fix content error hai,jis Ki wajh se padlock show nhi Ho rha,do post m only yh problem hai,
Aap yeh bta do Ki m manually kese Shi kru.
Maine aapko ek mail kiya hai please reply
Jumedeen Khan
Aap apne blog ke links me http ki jagah https set karo.
Dilip
agar ham apne blog par kisi k blog ka photo use kare or uska credit photo k caption me de sakte h ya link se credit dena jaruri hai
Jumedeen Khan
Yes jaruri hai taki us image ke owner ko problem na ho.
yasir khan saqlaini
Bhai mujhe amp lagana tha blog me kaise lagau. ek bar lagaya tha to usme ads show nahi ho rahe the.
Jumedeen Khan
Iske bare me aap ye article read karo AMP Kya Hai & Ise Kaise Install Karte Hai ?
Dharmendra Yadav
धन्यबाद Sir आपने बहुत ही अच्छी जानकारी दी है जिसके लिए मै कई दिनों से परेशान था sir एक question आप से पूछना चाहता हु की वेबसाइट या ब्लॉग पर facebook fan पेज की लाइव plugin कैसे लगते है जिसमे हमारा कमेंट और इन्फोर्मेशन दिखाई दे . sir कृप्या मेरा हेल्प कर दीजिये मै आपका ये ऐह्शान कभी नही भूलूंगा .
Jumedeen Khan
Aap wordpress dashboard par jaye or plugins >> add new par click karke search box me facebook comment likh kar search kare yaha bahut sare plugins milenge aapko jo better lage wo install kar activate kar lo.
AFRIDEE
Bhai mai apne blog post me 3 link ads use karta hu,Lekin kuchh dino se mere har ek post me tino link adsshow nahi karte hai, kabhi upar ke 2 link ads show hote hai tyo kabhi niche aur kabhi bich ke 2 lekin tino link ads ek baar me nahi show karta hai kya aap hame bata sakte hai ki aisa Q ho raha hai.
Jumedeen Khan
Aapke blog par 3no text ad show ho rahe hai. Aesa network problem ki wajah se hota hai jab page load nahi ho pata to pure ad show nahi hote hai.
Jumedeen Khan
Aap W3schools ke tutroial read karke ye kar sakte ho.
kumar
Internet se paise kamane ki tricks vakai kafi badhiya h. Lekin jab ham low quality content par likh rahe hote h to earning kaise kare. Mera blog jis topic par h vo spiritual h or low quality bhi to me kya karu
Jumedeen Khan
No matter aapki site par traffic hai to aap achhi earning kar sakte ho high quality content traffic badhane ke liye hai.
Rupendra
hello Jumdeen
aPKI ye post bahut hi helpfull hai. aaj ke yis time me har koyi yesa chahta hai NICe post bhai
Chunesh choudhary
Sir, Mai new blogger hu. Mere blog mai categories change nahi ho rahi hai. Theme mai jo categories hai wahi so ho rahi hai, change nahi kar pa raha hu. Please help me, mera blog dekh sakte ho
Jumedeen Khan
Aap wordpress dashboard >> posts >> categories option par jao or jis category ko cahnge karna hai uske samne edit option par click karke kar sakte ho.
Chunesh choudhary
Sir Mai blogger par blog likhta hu. WordPress pr nahi. Blogger mai kaise karu??
Jumedeen Khan
Ok blogger me category nahi labels hoti hai aap blogger dashboard >> posts par jao or post ke samne edit par click karke right sidebar me label folder se aapko jo delete karni hai wo delete kar do. Aesa aapko un sabih posts me karna hai jinme wo lable add hai.
Rahul yadav
bhai Maine ek blog banaya hai teckyfruit.blogspot.in ise ek bar cheak karo koi galti to Maine nhi ki aur ek question hai is blog me meta tag Mai Jo bhi dalta ho wo show hi nhi hota kya isi wajah se maine domain bhi .nhi kharida bhai please reply Kar do yr
Jumedeen Khan
Good blog aapko jaldi hi domain le lena chahiye, google apen hisab se meta data show karta hai. I mean user jo search karta hai google use huamri post ke paragraph or meta data dono dikha sakta hai.
Asween
Online internet se paise kamane ki yah tips bahut hi achche tarike se or vistrut rup se samajai gai he jise koi bhi vykti aasani se samaj sakata he or jise internet ki basic jankari ho vah apni website bnakar easily achche paise kama sakate he.
Altaf Hussain
wow amazing Good Supper Mind Blowing Fantastic Wonderfull Historic Aapne itna achese bataya itni lamba post likhataki har koi samaj sake isliye to aap sabse alag wrighter ho sir and ,17July to khatam hogyi Smi Par Aap Post Nhi Karenge Smi 2 Year Celebrating Ki Kab Karenge In Waiting For Your Post Plz Tell Me
Jumedeen Khan
After meetup 23 july ke bad.
Bhagraj choudhary
Affilmative work