Website Ko Behtar Banane Ke Liye Money Invest Kaise Kare

Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare, Blog Ke Liye Money Invest Kyu Kare? Kya website ko better banane ke liye money invest karne ki jarurat hoti hai, kya site ke liye investment karna jaruri hai.  Apni site ke liye money invest kaise kare, Apne blog ko behtar kaise banaye? Aaj hum isi subject par bat karne wale hai ki kaise hum paisa kharch kar apni site ko behtar bana sakte hai. Website ko behtar banane me kis tarah se paisa lagana hai? Aap apni site ke liye money invest karna chahate hai to ye post aapke liye helpful sabit hogi.

Invest Money in Your Website

Jab hum website banane ke bare me sochte hai to humare man me ek sawal aata hai ki site banane ke liye kitne paiso ki jarurat padegi ya fir ek achhi website banane ke liye kaise or kaha money invest karni chahiye. Is article me hum website ke liye money invest karne ke sahi tariko ke bare me janenge.

Bahut se people apni site ke liye money invest karna chahate hai but unhe nahi pata ki website blog ke liye paisa kaha kharch karna hai. However, agar aap ek professional blogger banna chahate ho to aap apni site ke liye money invest kar use oro se and pahle se jayda behtar bana sakte ho.

Aesa nahi hai ki FREE website success nahi ho sakti bilkul ho sakti hai but agar hum site me money invest kare to hum use ek free site ki tulna me kafi jyada behtar bana sakte hai. So chaliye jante hai ki website ke liye money invest kyu or kaise kare.

Website Ke Liye Money Invest Kyu or Kaise Kare

Big business and brand website banane ke liye money invest karna jaruri hai or without investment ke site ka top level me aana bahut mushkil hai kyuki bahut si good service aesi hai jinke liye hume pay karna hota hai or agar hum inka istemal nahi karte hai to humare online business ko safal hone me jyada time lagta hai.

Agar aap apni site ko badhiya banane ke liye money invest karne ke liye taiyar ho to bas aapko site ke liye paisa kharch karne ka sahi tarika maloom hona chahiye taki aapko achha result mile or money west na ho. Isse aap apna kimti time west hone se bacha sakte ho.

Website Ke Liye Money Invest Kyu Kare

Website me paisa lagane ki bat sun kar apa ye jarur sochoge ki site ke liye money invest kyu kare or iski jarurat kya hai. So main aapko iske bare me kuch important bate bta deta hu. Why Invest is Important?

Invest karne ka sabse bada reason aap jitna paisa kharch kar rahe ho aapko usse jyada benefit hone ki ummid hai. I mean aap ye soch kar invest kar rahe ho ki isse aap jyada kama sakoge. So kisi bhi product ko behtar banane ke liye money invest karna important ho jata hai.

For example, aapne koi new home buy kiya or aap chahate ho ki aap isse achhi kimat par sell kar do. Is bich aapko koi advice deta hai ya fir aap hud jan jate ho ki agar aap ghar ki marmmat me kuch paisa kharch kar do to aap is home ko kahi jayda price me sell kar sakte ho.

Aese me aap 2 kaam karoge ek aap use bina marmmat ke sell karoge jisme kam benefit hoga or dusra aap uski marmmat karke use badiya keemat me bech doge jisme aapko jyada fayda hoga.

Website me bhi bilkul same idea kaam karta hai. Agar aap apni site ko sell karna chahate ho to aap usme kuch paise kharch karke use pahle se jyada behtar bana sakte ho taki aapko jyada benefits mil sake. Simple words me, site me money invest karne se uski value or jyada badh jati hai.

But iski guarantee nahi hai because aap kis tarah se invest karoge ye aap par depend karta hai or kuch tarike aese ho sakte hai jinme aapko invest kiya gaya paisa wapis nahi milta. So smart bano or smart work karo or sahi jagah sahi tarike se paisa invest karo.

Website Ke Liye Money Invest Kaise Kare

Aapki site ke liye kitna invest karna hai ye apake budget par depend karta hai. Agar aapke pas budget kam hai to I think aapko wo paisa sahi tarike se invest karna chahiye. Website me money invest karne ke yaha main kuch achhe or important tarike bta raha hu. Jin par aap money invest kar site ko behtar bana sakte ho.

Website Blog Me Money Invest Karne Ke 10 Tarike

1. Invest in Content Creator: Content Writer Ke Liye Invest Kare

Hum sabhi ko time kam hone ki problem hoti hai or website ke liye content likhne ke bad uski spelling check karne, Editing, Customizing, SEO etc. ke liye bhi time chahiye. Aap ye kaam kisi ko hire karke bhi karwa sakte ho. Website ke liye money invest karne me content creator sabse best tarika hai.

2. Invest for Web Design: Website Ke Design Ke Liye Invest Kare

Kon nahi chahata ki uski site ka look achha ho. Har koi website ke design se attract ho sakta hai. So aap chahe to apni site ko design karwane me invest kar sakte hai.

3. Invest In Web Developer: Website Banane Ke Liye Invest Kare

Agar aapko website banani nahi aati hai or na hi iski koi knowledge hai sath hi aapke pas ye sab sikhne or karne ka time nahi hai to aap apne business ke liye site developer ko pay kar site create karwa sakte ho.

4. Invest in Optimizing: Website Ko Optimize Karne Ke Liye Invest Kare

Kisi bhi website ka fast loading hona user or search engine ke liye jaruri hai. Or site ko speed up karne ke liye optimizing jaruri hai. Like worpress, aap chaho to iske liye aap kisi person ko hire kar apni site ke liye invest kar sakte ho.

5. Invest in a Programmer: Website Apps Banane Ke Liye Invest Kare

Agar aapko business online popular hai or aapke pas mobile traffic jyada hai to aap apni site ke liye android apps banwa sakte ho. Isse aapke mobile traffic me benefits milega or apake audience ko bhi fayda hoga.

6. Invest in Graphics Designer: Images and Graphics Ke Liye Invest Kare

Aapne wikihow.com site to dekhi hi hogi jiski har ek iamges alag type ki hoti hai. Agar aap chahate ho ki online world me aapki sabse alag pahchan ho to aap khud ki iamges banane ke liye members rakh sakte hai.

7. Invest for Video Maker: Video Content Ke Liye Invest Kare

Aap chahe to video maker and youtubers ko aapki site ke content ke liye video banane kel iye invest kar sakte ho. Isse aapko double fayda hoga.

8. Invest in Consultant: Guide Ke Liye Invest Kare

Aap ek aese person ke liye invest kar sate ho jo aapke business ke bare me behtar jankari rakhta ho or jo aapko behtar future ke liye achhe idea and advice de sake. I mean aap salahkar ke liye money invest kar sakte ho.

9. Invest in Time: Website Ko Behtar Kaise Banaye

Apni website ko kis tarah se behtar banana hai is sabka pata karne ke liye invest kar sakte ho. Like content ko better banane ke liye tools and service use kar sakte ho.

10. Invest in Promoting and Marketing: Site Promotion Ke Liye Invest Kare

Aap apni site ko promote karne ke liye money invest kar sakte ho. Like social media expert, advertising etc. par invest karke aap apni site par kam time me jyada traffic la sakte ho. Sath hi aap apni site ki marketing ke liye logo ko hire kar sakte ho.

Inke alawa bhi bahut sare tarike hai jinme invest karke hum apni website ko behtar bana sakte ho but ye wo top tarike hai jinme paisa invest karna dusro tariko se jyada achha hoga. But har kisi ke pas itna budget nahi hota hai so aap in top ways me se jo aapko achhe lage unme paisa laga sakte ho.

Note:- Kisi bhi work ke liye invest karne se pahle ye confirm kar le ki aap jis person ko invest karoge wo aapke sath dhoka to nahi karega or aapke liye sahi kaam karega.

Aesa nahi hai ki website ke liye money invest karna 100% jaruri hai but agar apa karoge to aapki website ek free website se kafi had tak behtar hogi or aapke pas usse jyada support hoga.

So aapko meri bate kaisi lagi or kya aapko lagta hai ki hume in sabke liye invest karna chahiye ye sab bate aap comment me humare sath share kare.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

84 Comments

Comments ( 84 )

  1. Bhayi mughe apse janna h ki meri website news type ki h to mughe one by one header se footer ki taraf level set krne h plz bhai aap bata skte ho ye kaise hota h

    Reply
    • Coding se apa thodi html and CSS sikh lo.

      Reply
  2. It was really inspirational Article . I loved it!

    Reply
  3. Bhai mai aapse ek website banwana chahta hun..jo paisa lagega mai dunga kya aap mera website bana sakte hai

    Reply
    • Contact me on admin[at]supportmeindia.com

      Reply
  4. Great post khan bro , you are inspiration for hindi blogger . Hope in future you will post more tutorial .

    Reply
  5. Blog ke liye content writers kaha se find kare Kam kimat par??

    Reply
    • Join online communities.

      Reply
  6. Mere ek sawal hai. Mere pass mera khud ka ek adsense account hai. Mere friend ke pass uska apna adsense account hai.

    Friend ki site par mujhe as admin work karana hai. To kya isse mere adsense par khch effect padega.

    Reply
    • Isse koi problem nahi hai.

      Reply
      • Dost ka mere village ka address same hai, to google ko yesa to nahi lagega ki ye ek hi vakti ka adsense account hai.

        Lekin real me 2 alag alag adsense account hai. Par village ka address same aayega. Sirf uska naam alag, bank account details alag aayegi.

        Aur mai uski site ko admin ke role me operate karunga.

        Reply
        • No problem bro aap agar 2 bhai bhi ek hi computer par sath kaam karoge to bhi no problem.

          Reply
  7. very nice post muje koi badiya hindi content writer chahiye aap koi site ke bare me bateye jo trusted ho.

    Reply
  8. sir aap mere comment ka jawaab kyu nahi diye mai baar baar to aap ko pareshan nahi karta hu

    Reply
    • Main har comment ka jawab deta hu aap sahi se check kiya karo.

      Reply
  9. Ok aap wordpress dashboard me jao or settings>> general setting me WordPress Address (URL) and Site Address (URL) me example.com set karo. Uske bad aap .htaccess file me ja kar sabkuch delete kar do or sirf ye code add karo.

    # BEGIN WordPress

    RewriteEngine On
    RewriteBase /
    RewriteRule ^index\.php$ - [L]
    RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-f
    RewriteCond %{REQUEST_FILENAME} !-d
    RewriteRule . /index.php [L]

    # END WordPress

    Reply
  10. Aap cpanel>> phpmyadmin par ja kar wordpress and site url me sahi example.com url add karo.

    Reply

Leave a Comment

AdSense

Adsense Ads Lagane Ke Liye Kya Blog 6 Month Purana Hona Jaruri Hai?

kya adsense ke ads lagane ke liye blog 6 mahine purana hona jaruri hai.
Blogspot par jo hum free blog banate hai. india me us blog ko 6 month se pahle connect nahi kar sakte hai. blog dashboard me iska option disable rahta hai. jab maine blogging starting ki thi to maine bhi blogger par free blog bana kar starting ki thi. or jab…
Continue Reading
Blogging

Blog Par Without SEO Ke Traffic Kaise Badhaye - 5 Tarike

Increase website traffic without SEO
Hum sab jante hai ki SEO website ki traffic increase karne ka shandar tarika (brilliant way) hai. But ye 100% true nahi hai hum bina search engine optimizing content ke bhi blog par traffic badha sakte hai. I mean aapki site par SEO friendly articles ke bina bhi high traffic…
Continue Reading
Blogging

Alexa Rank Kya Hai Blog Ko Alexa Me Submit Kaise Kare

Blog Me Alexa Ranking Widget Kyu Add Kare
आज मैं आपको google analytics की तरह ही एक और service के बारे में बता रहा हूँ जिसमे हम अपनी website या blog की ranking देख सकते है मतलब हमारी website को future में कितने लोग use कर सकते है। Alexa rank इस पर हम website के उन futures का भी…
Continue Reading
t20 win
x