Website Se Paise Kamane Ke 10 Best Advertising Programs

Website blog se paise kamane ke bahut se tarike hai. Mostly website owner and blogger Affiliate Marketing and Advertising Programs ke through apni site se earning karte hai. Agar aapki site par high traffic hai or aap apni site ko monetize karne ke liye kisi achhe ad network ki talash me hai to ye post aapke liye hi hai. Yaha main aapko blog se paisa kamane ke top 10 advertising programs ke bare me bta raha hu. Chaliye jante hai website se earning karne ke top 10 best advertising network 2024 ke bare me. Website se paisa kamane ka tarika.

Top Best Advertitsing Program for Make Money from Blog

Mostly, bloggers apne blog se income karne ke liye affiliate marketing ke bad google adsense ka istemal karte hai. Magar adsense ke alawa bhi bahut sare ad networks hai jinse aap adsense ki tarah se earning kar sakte ho. In CPM ad networks ko aap Adsense Alternatives bhi kah sakte ho.

Blogging se paise kamane ke liye aapko blog par kisi high paying CPC advertising network site ke ads lagane honge jisse aapki jyada se jayda earning ho. Yaha main aapko top best and most popular ads networks ke bare me bta raha hu. Aapko apne blog ke liye jo advertising program best lage wo use kar sakte ho.

Website Blog Ko Monetize Karne Ke Liye Top 10 Best Ad Networks

Blog Se Paise Kamane Ke Top 10 Advertising Programs 2024: Ye wo advertising programs hai jinhe log sabse jyada istemal karte hai or jo sabse jyada commission provide karte hai. Jinki CPC sabse achhi hai.

1. Google Adsense:

Adsense

World me sabse jyada famous advertising programs me gogole adsense top me hai. Adsense popular hone ke sath sath sabse jyada truest ad network bhi hai log is par baki ki tulna me jyada wishwas karte hai. Iski main wajah ye google ki ad network service hai.

Mostly, adsense apni high CPC and CPM ke liye mashoor hai. Baki advertising programs ki tulna me adsense jyada pay karta hai.

Magar google adsense se apni site ko monetize karne ke liye aapko adsense approve karna hoga. Adsense approval process thodi hard hai kyuki google adsense ki terms and policy bahut jyada strict hai. Aapki ek galti se aapka adsense acocunt disable ya suspend ho sakta hai.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: None (But agar aapki site par achha traffic hoga to adsense jaldi approve hoga).
  • Ad Type: Text and Display Ads, Video, GIF and Media advertisement.
  • Minimum Payout: $100 (India) and depend on countries.
  • Payment Process: Provide your tax information (not required in all location), Confirm your payee name and address, Select your form of payment, Verify your address, Meet the payment threshold and get payment.
  • Payment Method: Check, Electronic Funds Transfer (EFT), EFT via Single Euro payment Area (SEPA), Wire Transfer, Westren Union Quick Cash.

Or jyada jankari ke liye ye post padhe:-

Google adsense bilkul free hai. Google na sirf ad network provide karta hai balki user ko free site banane ke liye blogger.com service bhi offer karta hai. Aap blogger par free blog bana kar use adsense se connect kar bina investment ke adsense se earning kar sakte ho.

2. Media.net:

Media.net

Google adsense ke bad dusra sabse bada advertising programs media.net hai. But ye adsense ke mukable bahut kam pay karta hai. Jaha adsense per click $0.10 deta hai wohi media.net $0.02 ya $0.03 hi dega. Magar kisi wajah se aapka adsense approve nahi ho raha hai to aap media.net ke through blog se earning kar sakte ho.

Media.net contextual ad network hai isko Yahoo and Bing ne banaya hai. Agar adsense ke bad high paying ad network ki bat ki jaye to media.net first choice hai. Iske ads adsense ads ke similar hi hote hai. Haalnki iske liye bhi aapko approval ki problem hogi but adsense ki tulna me iski process jyada easy hai.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: None
  • Minimum Payout: $100
  • Payment Method: Paypal, Electronic Funds Transfer (EFT).

3. Infolinks:

Infolinks

Infolinks in-text link ad network me sabse best advertising programs hai. Aap ise google adsense ke sath bh istemal kar sakte ho. Infolins various type ke advertiesement offer karta hai. Aap apne hisab se blog me ads laga sakte ho but iska in-text links ad system sabse best hai.

Ye google adsense ke tarah contextual ads offer nahi karta ye intext ads, insearch, inframe and intag ads offer karta hai. Sabse achhi bat ise aap google adsense ke sath bhi istemal kar sakte ho. Agar aapko adsense ke sath extra ad network ki jarurat hai to main aapko infolinks join karne ke liye suggest karunga.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: None
  • Minimum Payout: 50$
  • Payment Method: Paypal, e-check and Western Union.

4. Chitika:

chitika

Chitika ki sabse achhi bat ye hai ki ye relevant ads provide karta hai jisse aapko jyada se jyada ads click milegne or aapki jyada earning hogi. Abhi lagbhag 300k ya isse jyada people chitika ke through apne blog se earning kar rahe hai.

Aap chitika ads text color, URL color, and border color apne blog format ke hisab se customize kar sakte ho. Agar aapke pas approval adsense nahi hai to chitika aapke liye best sabit ho sakta hai. But iski CPC bahut jyada low hai kabhi kabhi to $0.01 ya zero ho jati hai.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: None
  • Minimum Payout: $10
  • Payment Method: Paypal and Check.

Also read:

5. Amazon Advertising Program:

Amazon Advertising Programs

Agar aapki site shopping se related hai to amazon advertising programs ad network sabse best hai. Amazon affiliate marketing ke sath ad network bhi offer karta hai. Jinme se 2 ke bare me main aapko bta raha hu.

  • Amazon Associates.
  • Amazon Advertising.

Amazon Native Shopping Ads, Recommended Ads, Search Ads and Custom Ads 4 type ke ads offer karta hai. Agar aapke pas US & UK country se achha traffic hai to aap isse achhi kamai kar sakte hai.

Dono hi network achhe hai or kisi bhi shopping site ke liye best hai. Amazon ad network par 4% commission deta hai yani koi user agar aapke referral links se $100 ka product buy karta hai to aapko $4 or $1000 dollar ka product buy karta hai to $40 milenge.

Halanki amazon ad network progrma pahle famous nahi tha but is saal 2024 me amazon ad network ko kafi log istemal kar rahe hai. Logo ka isme interest bad raha hai kyuki isme CPC ki problem nahi hoti aapko 4% commission milega ye tay hai isse jyada ho sakta hai but kam nahi.

6. Bidvertiser:

bidvertiser

Agar aapko blog par kam time me ad network ke ads lagane hai to bidvertiser ka istemal kar sakte ho. Iski approval process bahut hi aasan hai. Aapko turant ya kuch time me hi approval mil jayega. Bidvertiser se earning karne ke liye aap direct blog par text and display ads laga sakte ho ya fir aap bidvertiser ka referral program istemal kar commission kama ksate ho.

Mere experience ke anusar bidvertiser referral program publisher program se jyada better hai or isme commission bhi jyada milta hai.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: None
  • Minimum Payout: $10
  • Payment Method: Paypal.

Also read:

7. RevenueHits:

RevenueHits

RevenueHits CPA ad network hai jo visitor dwara kiye gaye action par pay karta hai, Iski sabse achhi khashiyat sign up karne par fast approval milta hai. Jab aapki site par show hone wale revenuehits ads par visitor click karta hai ya koi bhi reaction karta hai to aapko paise milte hai. Revenuehits 8 format ke ad provide karta hai.

  • Banner
  • Popunder
  • Slider
  • Shadow Box
  • Top Banner
  • Button Ads
  • Interestitial
  • Footer

Ye mobile and desktop device ke liye alag alag ad provide karta hai. Iska support bhi bahut achha hai aapko koi bhi problem hone par uska solution support team btati hai. Sath hi iska CPM rate baki dusre ad network se better hai.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: None
  • Minimum Payout: $20
  • Payment Method: Paypal, Ware Transfer.

8. BuySellAds:

BuySellAds

Buysellads advertiser and publisher ke liye ad sell karne and buy karna ka sabse achha online market place hai. But iski approval process thodi hard hai kyuki ise approve karane ke liye aapki website ya blog par kam se kam 15,000 traffic per month hona jaruri hai.

Ek bar aap ise achhe se samajh lo to isse aapke adsense ki tarah achhi earning kar sakte ho.

Requirement:

  • Publisher Traffic requirement: Minimum 15k visitors per month.
  • Minimum Payout: $20
  • Payment Method: Paypal.

9. Adnow:

Adnow

Adnow native advertising network program hai. Isse aap earning karne ke sath apni site ka traffic bhi increase kar sakte ho. Adnow ko lagbhag 107 countries me istemal kiya jata hai or is par 1700+ advertiser activate hai. Daily impressions 2,00,00,00,000 and lagbhag 1,50,000 publisher ise earning karte hai.

Agar aapki site par high traffic hai or aap use or jyada promote karna chahate ho to aap adnow try kar sakte hai. Site promotion ke sath isse aapki earning bhi hogi.

Adnow par aap apni site ki category ke hisab se ad format select kar sakte ho. Ad text, links sabkuch apni jarurat ke anusar change kar sakte ho. Sath hi aap ise adsense ke sath bhi istemal kar sakte ho.

10. VigLink:

VigLink

VigLink pay per click par work nahi karta ye pay per sell par kaam karta hai. Ye affiliate marketing related hai but jin logo ke pas adsense nahi hai unke liye best sabit ho sakta hai. Mostly, Viglink business and e-commerce categories ki sites ke liye best ad network hai.

Ye affiliate sales ke paise deta hai. Agar aapki site fashion and amazon product se related hai to aap isse achhi earning kar sakte ho. Mobile gadget se related blog ke liye bhi ye best hai. Iske through aap amazon, eBay, Udemy, walmart etc. bahut sari website se earning kar sakte ho.

Inke alawa aap Adcash, Advertising.com, Clicksor, Madadsmedia, Adfly, Skimlinks, Adversal, ProplellerAds, UberCPM, Conversant Media, Criteo etc. ad networks ka bhi istemal kar sakte ho.

Conclusion,

Ye the blogging se paise kamane ke top 10 Best Advertising Programs jinke through aap apne blog and website se earning kar sakte ho. Agar aapka adsense account disable ho gaya hai, approve nahi hua hai ya google ne aapki site ko block kar diya hai to aap inme se kisi ek ad network ka istemal kar apni blog se income kar sakte ho.

Agar aapki nazar me inke alawa koi or adsense alternative and best advertising program ad network ho to aap uske bare me jarur btaye sath hi inme se aap jo jo ad network istemal kar rahe ho uska review comment me jarur likhe.

Best advertising prograns ki ye post pasand aaye to ise social media par apne friends and other bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (36)

  1. Avatar for Tarun kumarTarun kumar

    Lekin sir ye revenue hit bahut hi low cost deta hai, mai ese ek bar use karke dekh chuka hun.
    En me se sabse best kon sa hoga AdSense ko chhor kar.

  2. Avatar for KamaKama

    बहुत बढ़िया ज्ञानवर्धक आर्टिकल हैं ,इससे बहुत से लोगो को फायदा होगा ,और शेयर करे!

  3. Avatar for Yuva thakurYuva thakur

    Brother Maine aapse kuch din pahale Request ki thi ki aap ek RevenueHits add network ki ek badi si post likh do lekin abhi tak apne vo post nahi likhi hai please Khan sahab post likh do please

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Dear thakur abhi main kuch time busy hu fre hote hi likhunga.

      • Avatar for Yuva ThakurYuva Thakur

        ok thank you but please likh dena brother main aapki post ka besabri se intazaar kar raha hoon

  4. Avatar for Suraj yadavSuraj yadav

    Thanks for sharing wonderful information but mujhe taboola ke baare me janna hai.

  5. Avatar for RaviRavi

    bahut acchi baat share ki aapne … thanks

  6. Avatar for bhartibharti

    सर आपके ब्लॉग इंडिया की नंबर 01 ब्लॉग है आपके ब्लॉग में सभी इन्टरनेट,seo और जानकरी पूर्ण रूप से आप बताते है.भुत ही अच्छा सर

  7. Avatar for ShivamShivam

    Jdk bhai, kya blogger platform par adsense CPC kam deta, aur WordPress platform walo ko CpC jyada milti hai kya yah sach me aisa hai…

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi is bat me 1% sachhai nahi hai.

  8. Avatar for GoldiGoldi

    Hello Jumedeen Bhaijaan

    ek baat puchhna chahta hu
    sach sach batana
    aapne jab apna blogging ka safar shuru kiya to hindi+english me likhna start kiya tha

    fir beech me aapne hindi me likhna shuru kar diya

    aur ab aapne dubaara pahle ki tarah hindi+english me likhna start kar diya .

    to Jumedeen Bhaijaan aapke hisaab se kaunsi language badhiya rahegi

    hindi
    ya hindi+english

    seo ke hisaab se aur traffic ke hisaab se bhi

    sach sach batana

    kyonki maine blog to bana liya par ek bhi post nahi likha abhi

    to sach sach bataye kaun si language me likhna sahi rahega

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Very good qustion. Aapke is question ka main koi jawab nahi de sakta. Kyuki google or humne ne hindi ko hinglish or hinglish oko hindi me mila diya hai. Dono apni jagah best hai. Aap khud decide kar le ki aapke liye kya behtar rahega.

  9. Avatar for Abhishek kumarAbhishek kumar

    aise blogger jinka adsense account band ho jaata h unke liye bahut hi useful jaankari di aapne. sir aap aise hi logo ko jagaruk karte rahiye ek din bharat ki bahut barejogari dur ho jaayegi.

  10. Avatar for Shahid AfrideeShahid Afridee

    JDK Bhai maine aapke email admin@supportmeindia.com par ek guest post send kiya tha.Please aap us guest post ko check karke bataye ki us post ke bare me aapka kya irada hai. 2 din pahle hi maine post send kiya tha PLz….. bhai jarur batana mai aapka wait kar raha hu.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sahid guest post sirf backlink ke liye nahi samne wale blog ke benefit ke liye bhi likhi jati hai. Aapne sirf apne fayde ke liye post likhi hai sorry main accept nahi kar sakta. Aap guest policy follow kare.

  11. Avatar for aryanaryan

    1 number Article sir …yah post padkar vakahi me Hume bahoot sikh mili hai Aap esi tarah blogging krte rahe aur Indian blogger Ka nam Roshan kare – sir me bhi Government blogger hu .plz 1 bar mere site ko dek kr bataye .meri site aap ko kaise lagi

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Awesome.

  12. Avatar for Ravi SharmaRavi Sharma

    Hello Jumedin Sir 🙂

    Ultimate Post Likhi Hai Apne Es Post Se Newbie Blogger ko Kaafi Kuch Sikhne Ko Mil Sakta Hai!

    Sir mai Support me India par Guest Post Likhna Chahta hu Or mane Apko Mail Kiya Hai Aap Please Cheak kare 🙂

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Ok main mail check karke aapko jaldi hi reply karunga.

  13. Avatar for zainzain

    sir mera blog ka liya ek achi theme ka bare aur bathlya kounsi theme better rahati

    gensis ka free theme kaise download kartha bathlaya na

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Genesis best hai but ye paid hai aap mythemeshop ki free theme like ribbon use kar sakte ho.

  14. Avatar for Dhanraj KumawatDhanraj Kumawat

    sir your comment is awaiting moderation iska means Kya hota Hai ?
    tell me please
    reply please
    or sir Kya Mai ab AdSense ke liye try Kar sakta hu Kya . Kya muje ab bhi blog kp edit Karne ki jarurat Hai. sir me apse har post ke bare me puchhana chahata hu par ye likha hua aata Hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Iska matlab hai ki site admin aapki comment check karke approve karega.
      Agar aapki site par 1000+ traffic hai to kar sakte ho.

  15. Avatar for Abhinav Ranjan JhaAbhinav Ranjan Jha

    Awesome article bro.. keep it up

  16. Avatar for RUSHEEKRUSHEEK

    Nice post achi jankati share ki he

  17. Avatar for Deepika BishtDeepika Bisht

    Google adsense and infolinks my favorite and best ad network for all bloggers. Aur aapke dwara list me diye gaye sabhi ad network ko me ek baar jarur try karungi. Thanks for sharing this list!

  18. Avatar for niteshnitesh

    Adnow pe koi category nhi hai hindi me

    bs helth or Aduilt ke Ads hai
    wo bhi badlte nhi hai

    check my blog plz

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      You are right adnow par bekar ke ads jyada show hote hai.

  19. Avatar for Qasim ButtQasim Butt

    Sir Bohat achi post he !!! English blog pe buysellads kaise lagayen ?

  20. Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

    1. Yes bilkul ksi bhi theme ko edit karne ke liye aapko thodi coding aani chahiye.

  21. Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

    Sabhi ad network ko ek sath use nahi kar sakte. Aap adsense ke sath infolinks, adnow use kar sakte ho.

  22. Avatar for Shahid AfrideeShahid Afridee

    Bahut hi badiya jankari di hai aapne jdk Bhai mujhe bhi itna advertising program ki jankari nahi tha aur isse sabse bada fayda hai ki jiska Google Adsense approved nahi hota hai wo dusra network bhi use kar sakta hai.

  23. Avatar for Mohammad JalalMohammad Jalal

    Mujhe v aap k jaisa blogger banana h
    Kya Karna hoga?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Jalal mere jaisa kyu mujhse bhi behtar ban sakte ho bas achhe se work karo.

  24. Avatar for MD SabanMD Saban

    Bahut Badhiya jankari hai. Khaskar jinka adsense disable ya approve na ho.
    But bro BuysellAds hindi Bloggers ke liye achha hai??
    I mean kya Usme ads mil jate hain? Aur hindi blog ko approval mil Jata hai?
    Thanks
    Warm regards:- Saban 🙂

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi hindi blogger ke liye BysellAds best nahi hai. Hindi blog par adnow, chitika, bidvetiser use kar sakte ho.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...