Google Adsense Kya Hai Kaam Kaise Karta Hai Aur Isse Kamai Kaise Hoti Hai, Main Adsense Se Paise Kaise Kama Sakta hu or Kitne Kama Sakta Hu? Aaj main aapko iske bare me details se btaunga. Agar aapko abhi tak google adsense ke bare me puri jankari nahi hai to is post ko padhne ke bad aapko adsense ke bare me sabkuch malum ho jayega or aapke pas google adsense ki full information hogi. Adsense se earning karne se pahle aapko adsense kya hai or ye work akise karta hai ke bare me achhe se jan lena chahiye taki aap ise sahi se use kar sako or paise kama sako.
Whait is a Google Adsense, How Does it Work and How Can I Earn from Adsense? is sawal ka jawab har wo internet user janna chahata hai jise internet se kamayi karni ho magar is bare me aapko internet par bahut kam jankari milegi. Isiliye aaj main is topic par likh raha hu taki newbie adsense publisher ko problem na ho or wo adsense ka sahi se istemal kar sake.
Agar aap blogging ya online world me new ho to aapne google adsense ke bare me jarur suna hoga ya aapne apni favorite website par adsense ads jarur dekhe honge. Internet se earning karne ka ye most popular program hai. Aaj main aapki isi ke bare me detail se btane wala hu ki google adsense kya hai or work kaise karta hai.
- Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye
- Online Blogging Kar Ke Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye
Main pahle bhi google adsense ke bare me bahut se articles likh chuka hu iske liye aap humari Google Adsense category wali posts read akr sakte hai. Agar aapko adsense ke bare me jankari nahi hai to aap bahut jaldi adsense policy violation kar baithoge or aapka adsense banned, deactivate ya suspend ho jayega.
Isi liye main aap sabhi ko suggest karunga ki aap adsense ka istemal karne se pahle iske bare me achhe se jaan le ki ye kya hai, work kaise karta hai or isse income kaise hoti hai? Google adsense hume paise kyu deta hai or kisliye deta hai? In sabhi sawalo ke jawab aapko isi article me mil jayenge aap bas ise carefully read kare or achhe se samajh le.
Google AdSense Kya Hai? Ye Kaam Kaise Karta Hai? Isse Se Kamai Kaise Hoti Hai?
Main is post me aapko google adsense kya hai or ye kaam kaise karta hai ke alawa adsense se paise kamane ka tarika or adsense se kitne paise kama sakte hai ke bare me bhi bta raha hu. Aap post ko carefully read akre taki aapko har point achhe se samajh aa sake.
1. Google AdSense Kya Hai?
Google adsense CPC (cost-per-click) advertisement program hai jise google ne banaya hai. Google adsense ke through adsense publisher ki website and blog par audience ko target kar automatic text, image, video, and interactive media advertisements ads show karta hai.
Google mostly sites content and audience ko target kar ads serve karta hai. Adsense publisher apni site ke pages and posts me add display kar earning kar sakte hai. Google adsense se aap per click and per impression revenue generate kar sakte ho.
Ab aap sochoge ki jab google hume paisa deta hai to google ko paise kaun deta hai. Actually, google ko wo log paise dete hai jinhe apni company, product, website, business etc. ka promotion karna ho I mean advertiser google ko paymwent karte hai. Google us revenue me se 68% commission adsense publisher me bant deta hai or baki 32% commission apne pas rakhta hai.
For example, google content ads par 68% or search content par 51% revenue publisher ke sath share karta hai. Agar apa janna chahate hai ki adsense kitna percent revenue pulisher ke sath share karta hai to iski jankari ke liye aap Adsense Revenue share page par visit kar sakte hai.
Google har type ke ads offer karta hai. Aapko lagbhag har tarah ke content ke liye ads mil jayenge. Aap kisi bhi topic wali sites par adsense advertisement ka istemal kar sakte hai. Isiliye ye advertising program me sabse best network hai.
Google adsense ke alawa media.net, bidvertiser, chitika, adnew etc. bahut sare program hai magar in sabhi me adsense sabse jyada pay karta hai or isi waja hse ye sabse jyada popular programs hai. Sabse jyada people isi ka istemal karte hai.
2. AdSense Work Kaise Karta Hai?
Humara second point hai adsense kaam kaise karta hai? Adsense cost per click kar kaam karta hai or per click publisher ko commission share karta hai.
Suppose kijiye main ek advertiser hu or aap ek adsense publisher hai or apni site par adsense ads display karte hai. Ab main apne product ko promote karne ke liye google adsense par ads serve karunga or uske liye google ko per click $5 pay karunga.
Ab jab aapki site par mere product ka ads show hoga or aapka koi user us ad par click karega to google mere diye $5 me se aapko 68% yani $3.4 dollar commission aapko share karega or baki 32% yani $1.6 commission apne pas rakh lega.
Is tarah se adsense work karta hai or adsense publisher ki earning hoti hai. Agar aap is point par thoda care karoge to ye aapko aasani se samajkh aa jayega.
3. Google Adsense se Earning Kaise Hoti Hai?
Humara tisra question hai adsense se kamai kaise hoti hai? Is bare me aap point 1 and 2 ko padh kar samajh gaye honge ki adsense se kamayi kaise hoti hai. Fir bhi agar aapko samajh nahi aaya hai to main aapko yaha details se bta deta hu.
Jiasa ki maine upar btaya hai ki google adsense 68% revenue adsense publisher ke pas share karta hai or baki 32% apne pas rakhta hai. Adsense cost per click yani CPC par kaam karta hai.
Ab agar aapko daily 500 ads click mil jate hai or aapko google per click $0.50 pay karta hai to apaki CPC hogi $0.50 or 500 click se aapki earning hogi $250 dollar. Yani agar aap indian user hai to apako $250 ke 16,000+ rupees milenge.
Ab agar aap soch rahe hai ki adsense se kamaye gaye paise hume kaise milege to google wire transfer ke through direct aapke bank account me payment send karta hai. Google har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai. Adsense se payout karne ke liye aapke adsense account me minimum $100 earning honi chahiye. Iski jyada jankari ke liye ye post read kare.
- Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
4. AdSense Se Income Ke Liye Mujhe Kya Karna Padega?
Agar aap adsense se earning karna chahate ho to uske liye aapke pas website or blog ka hona jaruri hai. Agar aapke pas website nahi hai to aap 5 minute me apni site bana sakte ho wo bhi free me. Iskel iye ye post read kare.
- Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi
- WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Website ya blog banane ke bad aapko apni site par post likhni hai aap apne interest ke anusar kisi bhi topic par post likh sakte hai. Jab aapki site par daily 1000 to 2000 traffic aane alg jaye to aapko google adsense ke liye apply karna hoga. Iski jankari ke liye ye article read kare.
Adsense ke liye apply karne ke bad 1-2 week me aapka adsense account approve ho jayega uske bad aapko apni site par adsense ads lagane hai. Uske ba aapki site apr ads show hone lag jayenge or aapki earning start ho jayegi.
5. Google Adsense Se Kitne Paise Kama Sakte Hai?
Agar aap soch rahe hai ki google adsense se kitne paise kama sakte hai to main aapko iske bare me bhi ta deta hu. Main is post ko jyada badi nahi karna chahata isiliye short me bta deta hu.
Google adsense kya hai isse aap kitna kama sakte ho ye nimn points par depend karta hai.
- Aapki site par traffic kitna hai
- Kis type ka or kis location se traffic milta hai
- Aap site par kis niche par content likhte ho
- Aap content me kitne high paying keywords use karte ho
- And aap adsense placement kaise karte ho
In 5 bato par aapki adsense earning depend karti hai. Ek person jiski site par 1,00,000 traffic hai or dusra person jiski site par only 10,000 traffic hai to wo 1 lakh traffic wale se jyada kama sakta hai. Beshak use adsense ki jyada knowledge honi chahiye.
Finally, ab aapko samajh aa gaya hoga ki google adsense kya hai work kaise karta hai or isse income kaise hoti hai. Sath hi aap isse kitne paise kama sakte ho. Agar aapko is bare me koi sawal puchna ho to aap comment me puch sakte hai.
- Google Adsense Se 10,000 Traffic Par $20 Se $50 Kaise Kamaye
- Google Adsense Payment Address Verification – Full Information in Hindi
Friends agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Thank you sir aapne google adsence ke bare me jankari dekar mere sabhi questions ka answer de diya hai
Wish you wealth
Nice post aapne adsense se related choti se choti cheez explain ki hai thanks for sharing
thanks for the helpful information
Bhai Jumedeen bhai ek help chaiye tumse bhai..
mere ko blogspot.com pr AdSense approval mil gya tha fir mne 1 month bd .com buy kia godaddy se or register kia apni Website par or verify kia register krte he sabhi ads gayab ho gyi automatic fir mne costom domain par AdSense approval ke liye again rqstt kiya .. AdSense ne 3 din ka time dia tha ki 3 din meh apko approval mil jyga lekin aj ek month ho gya koi response ni aya AdSense ki or se.. dobara bhi request kia approval ke lia fir bhi koi response ni aya ab tak dobara rqst kia bhi 17 din ho gye… ky kru mai Jumedeen bhai
1 month se jyda ho gya koi ads show ni hori blog par rukha sukha pda hai sb or Demotivated bhi hone lgra hu mai Blogging ko lekr AdSense ko dekhte hua.. btao bhai ky kru mai.. please
Aap blog me adsense ad code laga kar karo, google ke review complete karte hi ad show hone lag jayenge or koi tarika nahi hai. Isme kitna time lagega iska koi fix time nahi hai.
सर मेरी नयी जो भी पोस्ट है उसमे एडसेन्स के एड प्रोपर दीखाय दे रहे है लेकीन मेरी पुरानी जीतनी भी पोस्ट है उसमे एडसेन्स के ए़ड नही दीखाइ दे रहे है… तो इसका कुछ सोल्युशन हो तो बताये सर प्लीझ….
Google ke pas jis content se related ad honge usi content me ad show honge. Agar aapki sabhi posts me ad show nahi ho rahe hai to aap iske liye adsense forum me contact karo.
sir, mera blog job update niche par h… maine jb adsense ke liye apply kiya to ye msg aa raha h…
“Thank you for your interest in Google AdSense. After reviewing your application, our specialists have found that it does not meet our program criteria. Therefore, we are unable to accept you into our program”.
mere hisab se shayd .com domain ke liye 6 month old blog jaruri ni h but C-TLD ke liye 6 month old domain hona jaruri h isliye shyd mera blog accept ni kiya ja raha h….. but mera saval h kya m youtube ke jariye adsense approvel krau to mera .in domain accept kar liya jayega.. ?
Yes aap youtube ke through adsense approve kara sakte ho.
salam bhai actualy maine bina domain name adsense par sign up kiya hai to ek code mila hai jise copy krke widget me paste krna aur hamari site par abhi jyada traffic bhi nahi rhta hai please guide
aap custom domain use karo or traffic badhao uske bad adsense jodna.
nice post bhai… thanku
Bhai meri pichli incom thi 97$ jo ki 30 tarkh tak ho pai ab is mahine 100$ cross kr li hai pr view payment me green color ki payment wali line poori nahi bhari hai us me abhi tak is mahine ki payment add nahi hui hai jo ki sayad agle mahine hoti hai ab is mahine 21 ko payment send hoga ya nahi ya next mahine ki 21 ko hogi
Is mahine aapki earning add hogi or next month payment milega.
Sir maine adsense ke liye apply kia to ye message aaya please sir reply zaroor kariye
Ab aa pad code bana kar blog me add karo uske bad adsense team aapki site ka review karegi or ad show hone lag jayenge.