Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye 2024

Har blogger or website owner chahata hai ki wo AdSense se adhik se adhik income kar sake. But aysa karna bahut mushkil hai. Iske liye aapko AdSense ki policy or terms ko ache se samajhna hoga. Agar aapke blog par daily 3000 pageviews hai to ye post aapke bahut kaam ki hai. Kyuki is article me mai aapko bta raha hu ki sirf 3ooo PVs se per day 10 dollar kaise kama sakte hai.

Adsense Se $10 Daily Kaise Kamaye

Google AdSense se 10 dollar per day earn karna har ek new blogger ka sapna hota hai. But AdSense se achi income karne ke liye aapko AdSense ke bare me puri jankari honi chahiye. Mai aapko suggest karna chahunga ki AdSense se income karne ke liye aap AdSense policy ko ache se padh or samajh le.

Adsense Ki Terms Ko Samjhe:

Google AdSense CTR (Click Through Rate), RPM (Revenue per Thousand impressions), CPC (Cost Per Click). In sabki jankari honi chahiye. Agar aapki AdSense ki achi CPC or CTR hogi to RPM bhi good hogi. Or agar aapki CPC high hai or CTR bahut low hai to RPM bhi bahut kam ho sakti hai. RPM ka matlab hota hai ki aapka blog kaha par good hai or kaha par bad hai. Yani aapki kis page se kitni income hoti hai.

So, Adsense CTR, CPC or RPM kya hai. iske bare me mai abhi aapko short me bta raha hu. Aane wale time me AdSense terms ke bare me details se bat karenge.

Agar aap 3000 pageveiws se roj $10 earn karte ho to aapki RPM hogi (10 / 1000) * 1000 = $10.  Ise hum is example se samajh sakte hai.

Ad RPM = (Estimated earnings / Ad impressions) * 1000

Ab imse important ye hai ki aapki impressions kitni hai. Adsense se daily 10 dollar kamane ke liye aapki RPM kam se kam $3 honi chahiye.

Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye

Option 1: Adsense RPM

Mai man leta hu ki aapki AdSense RPM $3.5 hai. Jiska matlab hai ki aap 1000 pageviews se 3.5 dollar earn kar rahe ho. 3000 pageviews per day hone par aapki income $10.5 hogi. Jo ki 1o dollar se $0.50 jyada hi hai. So aapko pata chal hi gaya hoga ki AdSense se daily $10 income karne ke liye aapki AdSense RPM $3 se jyada honi chahiye to ab sawal ye hai ki apne AdSense ki RPM $3.5 kaise ho sakti hai.

Hum har us blog se $10 earn nahi kar sakte jis par 3000 pageviews bahut sari post hone ke bad hote hai. Iske liye aapka blog Micro- Niche blog hona chahiye. Adsense RPM increase karne ke liye aapke blog par niche btayi bate honi jaruri hai. Tabhi aapki AdSense RPM 3 dollar se adhik ho sakti hai.

  1. Aapke blog par 30 posts aysi ho jin par per day 100 pageviews hote ho.
  2. Aapke blog par 60 posts aysi ho jin par per day 50 pageviews hote ho.
  3. Aapke blog par 120 posts aysi ho jin par per day 30 pageviews hote ho.
  4. Aapke blog par 15 posts aysi ho jin par per day 200 pageviews hote ho.
  5. Aapke blog par 3 posts aysi ho jin par per day 1000 pageviews hote ho.

Agar aapka blog inme se koi bhi topic ko follow karta hai to aapki 3000 per day PVs se daily $10 se jyada income hogi. Ab aapko jarurat hai apne blog par 3000 pageviews recieve karne ki uske liye aapko apne blog par Top list high ranking article likhne honge. Jo internet par pahle se na ho. Agar aap aysi 20-30 post bhi likh sakte ho to aane wale time me aap monthy $300 to $500 earn karne lag jaoge. Examply mai yahi trick se supportmeindia se achi income kar raha hu. Iske liye aap meri income report bhi check kar sakte ho.

Option 2: Organic Search Traffic

Adsense se $10 kamane ka ek or bih tarika hai. Agar aapke blog par per day 2000 pageviews search engine se hote hai to bih aap AdSense se achi income karte ho. Kyuki search engine se 70% visitors new hote hai jinko AdSense ads ke bare me kuch bhi pata nahi hota hai. Ayse me aapko jyada ads click mil sakte hai. Or sabse achi bat AdSense organic traffic ko jyada pasand karta hai. Jisse aapko  per click kyada paise mil sakte hai.

Simple basha me kahu to AdSense se paise kamane ke liye search engine yani organic traffic bahut important hai. Agar aapko search engine se 2000 pageviews bhi mil jate hai to aap AdSense se $10 to $30 per day kama sakte ho. Search engine se adhik traffic pane ke liye aako Blogging SEO ki achi jankari honi chahiye. Blogging SEO ke jankari ke liye aap supportmeindia ki SEO se related post padh sakte ho.

Option 3: Ads Placement

Adsense se achi income karne ke liye AdSense ke ads sahi jagah par use karna bahut important hota hai. Hum apni marzi se post me kahi bhi ads nahi laga sakte. Isse humari AdSense CPC low ho jati hai. Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte post me maine iske bare me details se btaya hai.

MUjhe blogging me aaye kafi waqt ho gaya hai or starting se hi mai AdSense use kar raha hu. Mere exprience se blog post content se pahle ads lagane se hum jyada earning kar sakte hai. Kyuki maine isi place par ads laga kar only 5 click se $16 earn kiye hai. Isliye mai aapko suggest karunga ki aap bhi ise ek bar try kar sakte ho.

Option 3: Target Country

Maine Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips post me btaya hai ki AdSense india me bahut kam $0.10 to $0.20 pay karta hai. But USA or UK jaise country me AdSense per click $5 to $20 tak pay karta hai. Ye jan kar aapko wishwas nahi hoga. But ye 100% sach hai. Maine khud USA se achi income ki hai. So agar aapko USA se daily 5 to 10 click bhi mil jaye to aap aasani se saily $10 se bhi jyada earn kar sakte ho. So kuch post USA ko bhi target kar ke bhi likhe. Hindi blog par USA ko target karna mushkil hai but aapke pas english blog hai to aap aasani se USA ke liye article likh sakte ho.

Ummid karta hu aapko is post me btayi bate samajh aayegi. Or aap AdSense ke bare me kuch behtar sikhoge. Maine is post me aapko 4 tarike btaye hai aapki kisi bhi ek tarike ko follow kar ke AdSense se daily 10 dollar kama sakte ho.

Agar aapko ye article helpful lagta hai to ise apne friends ke sath share jarur kare. or post ke bare me comment me apne thoughts jarur share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 62 )

  1. rojgar bharat

    Thank u sir ..
    aaj mai bahut hi inspire hua hun.

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...