Bahut se website owner and blogger google me 1 position pane ki SEO process btate hai magar aaj main aapko google me 0 position pane ke bare me jankari dunga. Yes, google me first, second hi nahi 0 position bhi hoti hai. Is position me show hone wale page ko 1 and 2 position me show hone wale page se 70% Organic Traffic milta hai. Main google search ads ki bat nahi kar raha hu isme aapko koi investment karne ki jarurat nahi hai. Bas aapko kuch SEO techniques follow karni hai or aapki blog post google me 0 rank par honge. So chaliye jante hai Google 0 Position Kya Hai or Google 0 Position Pe Apni Website Ko Kaise Show Kare?
Iski sabse achhi bat ye hai ki agar aapki post google me 5 position par bh ishow ho rahi hai to bhi aapko o position mi lsakti hai. Aapki post 2 jagah show hogi ek google ke top 10 results me or ek google 0 position me jise Feature Snippet kahte hai. Yah main aapko is feature ke bare me bta raha hu google me ye kaise show hota hai or or apni site ke pages ko is position me show karane ke liye hume kya karna hoga.
- 2024 SEO Prepare: Search Engine Optimization Trends
- Search Engine Me Site Ki Top Ranking Banaye Rakhne Ki 100 Tips
Mostly, google me top position me aane ke liye long contentm multiple URLs and backlinks ki jarurat hoti hai magar google me 0 position pane ke liye aesa bilkul nahi hai. Iske liye aapko long content ya multiple URLs ki jarurat nahi padti hai. Bas aapki post me unique content hona chahiye or aapka explain karne ka tarika featured snippet rules ko follow kanra chahiye.
Google 0 Position Kya Hai Isme Website Ko Kaise Rank Kare
Google top 10 search results me se kisi ek post ko 0 position deta hai. Ye post bahut short bhi ho sakti hai. Agar aapki page ki search rank position top 10 me shamil hai to bhi aapko google me 0 position mil skati hai or aap apni site ki google me visibility or organic traffic badha sakte ho.
Google 0 position me show hone wale content me baki search results ki tulna me 70% clicks milte hai. Sath hi is type ke search results se visitors ka site par truest bhi badhta hai. Hum sab jante hai ki ji site ki google me achi rank ho use readers sabse jyada pasand karte hai or baki sites ki tulna me sabse jyada usi par visit karte hai.
Google 0 position results e tarah se VIP results ki tarah hai isme aapki post sabse alag type se show hoti hai. Isme aapki post ke title and desctiption ke alawa kuch or jaruri keywords and lines or short paragraph bhi add kiya jata hai.
Iski sabse achhi bat ye bih hai ki aapko bahut jyada SEO terms follow karne ki jarurar bhi nahi hai. Aapko ba unique content or featured snippet rankranger ke rules follow karne hai.
Google 0 Position Kya Hai?
RankRanger ke anusar ye google me top me show hone wala wo result hai jo google ke bak isabhi search results se alag hota hai. Jisme post URLs, tittle and meta description ke alawa “Snippet” bhi show kiya jata hai. Ise “Featured snippet” search result kahte hai. Isi ko Google 0 Position rankings kahte hai.
Google Programmatically user question ke anusar search results me jaruri answers ke sath aapki post ko show akrta hai. Ise user attention ke liye dusre search results se bilkul alag tarike se design kiya jata hai. Jiski CTR (Click through Rate) sabse jyada hoti hai.
For example, aap ye screenshot dekh sakte ho.
Yaha aap clear dekh sakte ho ki page google me 0 position ke sath sath top me no.1 position par bhi show ho raha hahi. Hanlanki pahle aesa nahi tha. Pahle aapki post featured snippet me show hoti thi to search result me anhi hoti thi magar ab google 0 position me sath top 10 results me bhi usi post ki real search position show karta hai.
Featured snippet feature inta attractive hota hai ki jis keywords par ye show hota hai user baki sabi search results ko chord kar isi par click karta hai. Ye bilkul google search ads jaisa hai magar real me ye bilkul free hai.
Google 0 Position Me Apni Site Page Ko Kaise Show Kare
Google featured snippet search results me kai tarah se search results show karta hai. Main aapko sabhi ko alag alag tarike se screenshot ke sath samajha raha hu. Yaha main aapko 5 tips bta raha hu halanki google or bhi kai type se featured snippet results show karta hai.
Google Me 0 Position Pane Ke 5 Tarike:
1. Featured Snippet with Paragraph:
Google kuch posts ko paqragraph ke sath 0 position me show karta hai.
is type ki position pane ke liye aapko apni post me best se best ot clear paragraph add karne honge. Google aapki post me ad kisi bhi paragraph ko le kar visitors ko show kar deta hai. Isme wohi post show hoti hai. Jinme kam short pargraph me clear and achhe se explain kiya gaya ho.
2. Featured Snippet with Process Steps:
Is featured snippet me google user ke dwara search kiye gaye keyword ke anusar search result me 5-10 prcoess steps bhi show karta hai. Ye result mostyl “How to..?” keyword me show hota hai. Jaise “How to become a publisher”, “how to become a yotuber” etc.
Is position ko pane kel iye apako pani post me kisi bhi process ke steps clearly btane hote hai. Jaise apa kisi account banane, kisi forum ko fill karne ki process btate ho or koi us type ke keywords search kare to google ko apaki post me uske liye jaruri process sterps milne chahiye.
3. Featured Snippet with Tables:
Google kuch results ko mark up ke sath table wale meta data ke sath show karta hai. Ye search results hotel details, travel detals etc. kisi bhi type ki details search karne par show hota hai. For example, aap IPL seaons search karoge to google aapko ek hi results me IP seasons ke kuch example ke sath search result show karega.
Is type ka search results show karne ke liye aapko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai. Apa bas apni post me table yani <table> to </table> content ka isemal kare. Aap table m achhe clearly points ko explain karoge to aapki post google me 0 position me show hogi.
4. Featured Snippet with Featured Image or Screenshots:
Is type ke search results me google keywords se related jaruri steps ke alawa featured thumbnail bhi show karta hai. Jisse users ko search reuslt or bhi jyada attract karta hai.
Is tarah ki position pane ke liye aapki website featured thumbnail ready honi chahiye taki google jarurat padne apr aapki post ki thumbnails ko 0 position wale result me show kar sake. Isme aapki post me add ki gayi images depend karti hai. Aap jitni jyada post ocntent realted or important image add karoge aapki post utni hi jyada featured snippet me show hogi.
Ab aapko achhe se samajh aa gaya hoga ki google post ko 0 position me kaise show karta hai or iske liye hume kya karna padta hai. Aesi rank pane kel iye hume konse steps follow arne honge. Maine aapko upar sabhi ke bare me short me btabhi diya hai.
But itna kafi nahi hai, Google me 0 position pane ke liye aapko inhe achhe se samajhna hoga. Ye market me apni company, website me dhak jamane ka sabse aasan or free tarika hai. Aapko is par work karna shuru kar dena chahiye.
Conclusion,
I hope in tariko e aap apni site ko google 0 position me la sakte ho. Google me 0 position pane ka ye sabse aasan or free tarika hai. Iski click through rate bahut high hoti hai. Jaisa ki main upar bta chuka hu bak isearcxh postion ke mukable is type ki search queries par 70% jyada click milte hai.
Google featured snippet mostly sabse jyada search kiye jane wale keywords, great keywords par hi show karta hai. So is type ka search position pane ke liye aapko top and most popular keywords par content likhna hoga.
- Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2024
- SEO Ki 10 Myths Jin Par Work Karne Se Sirf Time West Hota Hai
Finally, ab aap google me no.1 and no.2 position ko bhool jayiye or google me 0 position pane ki tayari shuru kar deni chahiye. Yaad rahe ye koi 1-2 din ki process nahi hai ki google aapki koi bhi post ko 0 position me show kar dega. Iske liye aapka content baki top 10 search results me show hone wale content se behtar hona bhi jaruri hai.
Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par other bloggers and apne dosto ke sath jarur share kare.
Lekin Sir RichCard kaise use karenge blog me. Pls reply
Iske liye aap plugin use karo aur iski guideline follow karo.
Thanks Sir, Kafi acche se detail me bataya hai apne 0 position ke bare me. isse new blogger ko visitors badane me kafi help milegi. or me bhi ise apne blog me use karunga.
bilkul achhi jankari hai sir google 0 position ke baare me. sir mera ek swal hai aur mai ummid karta hu ki aap jarur btayenge,,, kuchh din pahle aapne SMI pe anti adblocker use kiya tha, jisse jab koi SMI open karta tha to open hi nahi hota tha… wo aapne kaise kiya tha? kya aap wo script denge? mai jo script aur plugins use kar rha hu wo UC browser me work nahi kar rha hai…
Why not wo script yaha hai Website Me Ad Blocker Disable Message Kaise Add Kare
Sir every single article Mai kitne labels ka use karna chaiye … mene suna hai seo me kafi effect padta hai label ka… Mene bahut se se articles google per search karke dekhe kuch articles ke permalink Mai Label show horaha tha ….to hum maximum kitne label ka use kar sakte hai 1 article me…???
1 se 5 isse jyada nahi. Normally 1,2 ya fir 3 hi use karte hai.
Sir blog ko 1 article ke sath publish karna sahi hai ya. Maximum 10 ya 20 ho
Jaise apa chaho kar sakte ho no problem. 1 article ke sath bhi kar sakte ho o 10-15 k3 sath bhi.
Seo per kya effect padega sare ek saath publish karne per….?
dDono tariko se same kyuki content wohi hoga.
Hello sir mujhe aap yh btao ki Godaddy pr yh rs99 wala plan 1 month ke liye hain ya 1 year ke liye , or sir yh btao blogger pr hosting ki jarurat padti hain kya.
1 year ke liye nahi blogger par hosting ki jarurat nahi hai.
Hello brother!
Bro analytics website par meri website ka bounce rate 3.30% rehta hai to kya yeh bounce rate website ke liye batter hai ya nahi ?
Very good. Bounce rate jitni kam hogi utni achi hai.
0 position pe apni site show karane ke liye, site kitni purani honi chahiye?
No required, Aapki site kabhi bhi ban ho isse koi fark nahi padta.