Adsense Matched Content Kya Hai Aur Iska Use Kaise Kare?

Adsense Matched Content ads google ka new product hai. Jise google ne april 2024 ko AdSense me add kiya hai. Adsense Matched Content humari do tarah se help karta hai. First matched content me humare hi articles show hote hai jisse hume jyada pageviews milte hai, Second jab koi in matched content par click karta hai to AdSense impressions badhti hai or humari CPC increase hoti hai. Is post me mai aapko AdSense matched content ke bare me details se bta raha hu ki ye kya hai, ISsser kya fayda hai or ye aapke liye kab available hoga.

Adsense Matched Content Kya Hai

In my case mai last 2-3 wiik se AdSense matched content use kar raha hu or aaj mujhe iske bare me ache se pata chal gaya hai so aapko iske bare me jankari de raha hu. Adsesne matched content ads se aapki site ka promotion hota hai.

Adsense aapki site ko scan karta hai or fir aapki hi sitew ke recommendations content ads bana kar aapke visitors ko post content se related aapki site ke dusre content show karta hai.

Ek matched content me lagbhag 20 matched content show hote hai. Jo ki hum related post me show nahi kar sakte. In 20 posts me se visitors kisi na kisi par to click karte hi hai. Jisse aapki site par pagveiws bhi badhte hai or aapki income bhi badhti hai.

Man lijiye aapko 1 click se $0.20 paise mile hai to AdSense matched content ki help se ye income $0.30 bhi ho sakti hai. Mera matlab AdSense matched content se aapki AdSense CPC high hoti hai.

Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai

Jaisa ki maine upar btaya hai, Mtched content ads AdSense ka AdSense user ke liye free offer hai. Isse aap apni site par apne articles ka promotion kar sakte ho. Adsense matched content se humari site ke pageviews badhte hai or humari income bhi hoti hai. Adsense ne ise specialy site promoting ke liye banaya hai.

Or sabse achi bat ise humari imperssions bhi badhti hai jo aane wale time me humare Premium Adsense Publisher banne me help karti hai. Maine AdSense matched content se jo kuch sikha hai. Usse mai aapko ache se samajhane ki koshish karunga. Ummid karta hu is post me aapke AdSense matched content ke bare me sare sawalo ke jawab aapko mil jayenge.

Adsense Matched Content Ads

Mai Adsense Matched Content Ads Kab Use Kar Sakta Hu?

Matched content ads har AdSense user ke liye available nahi hai. Jab aapki site matched content ads ke liye eligible ( योग्य ) hogi to google aapki site ke eligible to participate hone par matched content ke liye invite notification send karega. Jo aapke AdSense accont ke homepage par show hogi.

Google aapkko matched conten ads ka offer tabhi offer karega. Jab aapki site par kuch high quality articls honge or aapki site par acha traffic hoga. Site par minimum kitna traffic hona chahiye, Adsense ne iska fix traffic nahi btaya hai. But google ke anusar jab aapki site great exprience pervide kar leti hai to google aapko ye offer deta hai.

Aapki Site Par Matched Content Available Hai Ya Nahi, Kiase Pata Kare?

Eligible योग्य hone ke bad hi matched content available hota hai. Ye bat aap samajh gaye hone so jab aapke AdSense account par ye service availabel ho to kaise pata kare. Jab aapki sitye par AdSense ki limit ke jitna traffic or pages honge to aapka AdSense account automaticly matched content ke liye Approved ho jayega.

Aapka AdSense account approved huya hai ya nahi iska tarika mai aapko bta raha hu.

  1. Adsense.com site par jaye or log in kar ke right site me gear icon par click kare.
  2. Ab settings par click kare.
  3. Left side sidebar me My Sites par click kare.
  4. Matched content par select kare.
  5. Ab jis site ke liye matched content approved hoga uska samne  icon show hoga.

AdSense matched content ads setting

Agar aapki site par ye option available hai to iska matlab hai ki aap apni site par matched content ads use kar sakte ho. Ab aap New Ads create kar ke Ad type me Matched content select kar ke Matched content use kar sakte ho.

Chaliye mai aapko iska bhi tarika bta deta hu. But usse pahle mai aapko kuch or bat bta deta hu jaise hum kitne matched content ads use kar sakte hai.

Hum Kitne Adsense Matched Content Use Kar Sakte Hai

Aap AdSense user ho to aapko pata hi hoga ki hum ek page par sirf 3 links ads, 3 display ads or 2 search ads use kar sakte hai. Agar nahi to Blog ke 1 Page Me Adsense Ke Kitne Ads Laga Sakte Hai post padhie. Bilkul wese hi hum 1 page par 3 matched content ads use kar sakte hai.

Congratulations, Achi bat ye hai ki hum 3 matched ads dusre ads ke alawa use kar sakte hai. Yani ab aap 3 links ads, 3 display ads, 2 search ads or 3 matched content ads use kar sakte ho.

Aap sidebar me 300*600 or post ke last me last me apne hisab se matched ads use kar sakte ho. In my case mai post content ke last me 700*300 size ka matched content ads use karta hu.

Adsense Par Matched  Content Ads Kaise Create Kare?

Matched content banane ke liye aap same wese hi ads create karna hai. Jiase aap dusre ads banate ho. Bas ads banate time Ad Type me Matched Content select karna hai.

Create Matched Content Ads

Kya Matched Content Ads Adsense Earning Increase Karte Hai?

Mai janta hu ki matched content ke bare me ye sabse bada sawal hai jiska jawab har koi janna chahata hai. Ye sach hai ki hume matched ads par click karne se income nahi hoti hai. But ye aapke visitors ko aapki site ke other page par le ja kar aapki site ki bounce rate increase karte hai.

Bounce rate ki jankari ke liye aap Website Me Bounce Rate Kya Hai or Iska Kya Matlab Hota Hai post padhiye. Iske alawa matched content humari CPC increase karne me bhi help karte hai. Jisse humari jyada income hoti hai. So ab aap samajh hi gaye honge ki matched content aapki earning increase karte hai ya nahi. Baki aap matched content use karne ke bad samajh jaoge.

Mere exprience ke isab se matched content ads se aapki earning ko minimum 15% increase hoti hai ya fir isse adhik bhi ho sakti hai. Ye aapko matched content par mile clicks par depend karta hai.

Finaly agar aapki site par AdSense matched content approved nahi hai to ye waqt hai ise approved karane ka or AdSense se jyada paise kamane ka, Iske liye aap abhi se apni site par high quality content publish karna shuru kar dijiye. Apni site ki traffic badhaiye jisse aapko AdSense ke matched content or other features ka labh mil sake.

I hope aapko ye article pasand aayega. Maine is post me AdSense matched content ke bare me ache se samajhane ki koshish ki hai fir bhi agar aapko meri koi bat samajh na aaye to aap commnet me mujhse puch sakte ho.

Or ha aapko post real me achi lage to is post ko social media par share jaru kare, Thanks.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 78 )

  1. Aqsa Ansari

    Nice post sir. Bhut hi achchi jankari share Kari hai apne.

    Reply
  2. Arif Ansari

    bahut he badhiya jankari di hai sir apne.you are great.

    Reply
  3. Sultan singh

    Sir aap apne site par matched content ads kyo use nhi karte hai.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      I think mujhe iski jarurat nahi hai mail already related post use karta hu.

      Reply
  4. sonam singh

    bhut hi aachi jaankaari thanks sir

    Reply
  5. Ajinkya

    hello sir mera adsense account me top bar me ye notification aa raha he,
    “In the past 7 days, your ad code has appeared a significant number of times on sites you don’t own. To avoid lost revenue, make sure to add these sites to your verified sites list in Site Management.”
    ise kaise solve karu sir please bataiye,aur kya isse kuch nuksan ho raha he please bataiye.

    Reply
  6. Chandu

    Hello bhai aj mera match content approve hua hai aur mera ek doubt hai ki match content ke beech me jo ads show hote hai unse earning hoti hai kya. Aur isse place karne ka best location kya hai blog post ke niche ya sidebar me

    Reply
  7. nareshdetruja

    Bahot hi accha jankari share kiya hai aapne nice post bro

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...