Blog Post Me High Quality Keywords Kaise Aur Kaha Use Kare

Agar aapki site par original or SEO friendly content hai to is bat me koi shak nahi hai ki aapko search engines se high traffic milta hoga or aapki search ranking high hogi. But blog article ko seo friendly banana aasan nahi hai. Iske liye aapko blog post me keywords kaha kaha use karna chahiye ki puri information honi chahiye.

How To Add High Quality Keywords in Blog's Post

SEO friendly post likhne ke liye hume ye pata hona chahiye ki post me kaise or kaha keyword use karke post ko search engines optimization ready bana sakte hai.

Search engines usi article ko jyada like karta hai. Jis article me keywordfs ka sahi istemal kiya gaya ho. Hum apni post me keywords isliye use karte hai taki search engines se high traffic recieve kar sake or apne visitors ke liye humari post badiya information sabit ho sake.

SEO friendly post likhne ke bahut se tarike hai. But yaha mai aapko unhi tariko ke bare me btaunga jinke bare me mai janta hu or jinhe use karke maine search engine se better traffic paya hai.

Blog Ki Post Me High Quality Keywords Kaise or Kaha Add Kare

Is article ke topic par bat karne se pahle mai aap se kahna chahunga ki bina wajah post me extra keywords use karne se aapko koi fayda nahi hoga. Ulta aapka nukshan hi hoga. So post me only jaruri keywords hi use kare. Ye ek important seo optimization tips hai.

1. First and Last Paragraph

Jab aap apne blog par new post likho to post content me first paragraph (Starting post 4-5 lines) me apna main keyword add kare. Uske bad post complete likhne ke bad last paragraph me bhi wohi keywords use kare.

Post se pahle or post ke bad me keywords use karna seo me sabse jyada important hai. In do jagah par high quality keywords use kar hum post ko search engine friendly bana sakte hai.

Post starting and post end ke alawa bhi aap main keywords ko post content me jaha jarurat ho jarur use kare.

Ek hi keywords ko bar bar repeat mat kare. Aap ek keywords ko 100 words ki post me 5-10 bar hi use kar sakte ho. Agar aapko post me kahi main keywords ki jarurat bhi pade to aap main keywords se related keywords use kar sakte ho.

Agar aap jarurat se jyada bar kisi word ko dohraoge to aapko google ki terms na manne ki penalaty bhugtni padegi. Jisse aapki site ki search ranking down ho sakti hai.

2. Post Title and Heading

Blog par post likhte time post title or headlines me main keywords jarur use kare. Search engine sabse jyada humari post ke title or heading par focus karta hai. Ayse mai aapka main keywords search engine ko sahi target ki janakri pata karne me help karta hai.

Sath hi aap post title or heading me high ranking keywords use karke apne reader ko attract kar sakte ho. Aapki post ka title or heading jitna chaha hoga. Reader utna hi jyada aapki post padna pasand karenge.

Ek acha title wali post na sirf aapke readers ko pasand aati hai. Balki ache title ki post ko socail media sites or search engine se high traffic milne lagta hai.

3. Post Image, Alt Tag and Title Tag

Images post content ko explaination karne me major role ka kaam karti hai. Jisse reader ko post me di gayi information aasani se samjh aa jati hai. Isliye hume apne blog ki har post me kam se kam ek photo jarur use karna chahiye.

Ek image 2000 words ke barabar hoti hai. Or mai is bat ko 100% sahi manta hu. Agar aap ach image create karne me mahir ho to aap apne reader ko ek image se wo samajha sakte ho jo 2000 words ke content sae nahi samajha sakte.

But post me image ke throw main kewords ko target karne ke liye  aapko post image ko seo friendly banane ke liye image title, image alt tag add karna hoga. Iski jankari ke liye aap Blogspot Blog Ki Images Ko SEO Friendly Kaise Banaye post padhiye. Isme aapko blog post ko seo ready banane ki puri jankari milegi.

4. Post Permalinks

Permalinks aapke blog ki post ka URL (Link) hota hai. Jo bhi search result me show hota hai. So aap permalinks me bhi top level keywords use kar post ko seo friendly bana sakte ho.

Post title ki tarah hi post permalinks me keywords use karna search ranking increase karne ki killer trick hai.

Default permalink ki jagah agar aap post links me se extra words (का, की, कैसे कहा, उसको, इसको ) ko remove kar de to aapko search engine se or jyada traffic milne ke changes badh jate hai.

Permalink edit karne ke liye aap post editer > permalink par jaye or custom permalink par click kar post ka link edit kar sakte hai. Blogspot blog me permalink use karne ki details me janakri ke liye aap humari Blogspot Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare post padh padhe.

Mai aapse kahna chahunga ki post permalinks me aap only target keywords hi use kare or extra words ko remove kar de.

5. Post Category and Tag or Labels

Blog post me category, tag or label sirf blog par related post dikhan ke liye nahi hai. Agar hum category or tags me bhi high quality keyword use kare to hume isse bhi search engines se benefit mil sakta hai. Kyuki search robots post categories ko bh index karta hai. Iske liye aapko ye tips follow karni chahiye.

  1. Blog par category, tag me none keywords use nahi kare.
  2. Jitna ho sake top level keywords ki hi category banaye. Jaise maine apne blog par blogging, make money top keywords ki category banayi huyi hai. Make money online keyword ki february 2025 me rs.300 se jyada CPC thi.
  3. Blog par jarurat se jyada category or tag na banaye. Mere hisab se 20 category bahut hai. But fir bhi aap 30 tak bana sakte ho. Isse jyada category banane se aapka nukshan hi hoga.

Agar aapne galti se apne blog par galat category ya tag add kiye huye hai to don’t worry, Aap category edit karke use keyword me badal sakte hai.

6. Post Comments

Post ko first search ranking me lane ke liye comment bhi help karti hai. So aap commets me bhi high keywords use karke apni post ki search rank increase kar sakte hai. Iske liye aap apne readers ke liye comment policy bana sakte hai. Or aap bhi jab kisi user ko reply kare to aap comment me top keywords use kar sakte hai.

Yeh bat meri personal soch hai. But ye galat nahi ho sakti. Kyuki search engine me comments keywords se bhi post search me aa jati hai. Ye mera confirm kiya hua hai.

So, Mai aapko suggest karna chahunga ki aap commnets me keywords use karke bih apni post ki ranking badha sakte hai.

To friends, Ye meri ek or secrert tricks wali post thi. Jise mai apne blog par use karta hu. Agar aapko mera tarika pasand aaye to ab aap bhi iske bare me keywords ke sath commentt kar sakte hai. Iske liye bas aapko apne sawal me ek do keyword use karne honge.

Agar aapko is post me btayi jankari helpful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur akre.

Reader Interactions

Comments (125)

  1. Sir mera blog ki post chek kar bataye ki mein usme sahi seo use kar raha hun. kyonki mujhe lagta hai ki kuch kami ho sakti hai. plz sir meri 1 – 2 post dekhkar bataye ki mein usme kya improvement karun.

    • Good but on page S E O follow karo. heading sahi se use karo. Aapne jarurat se jyada heading use ki hai.

  2. NYC post bro.

  3. Jumedeen je mera site supportindiame.com par dekye na mera AdSense kiyu apply nahi ho raha baar baar disprve ho jaa raha hah and traffic nahi mill rahe hai

    • Google ke mail me aapke AdSense disapproved hone ka reason likha hota hai wo check karo.

  4. ple sir muje AdSense ho nahi raha, click bhi bahut cum ho rahi, CPC bhi low he ,,eske liae kya krna padega plase muje help kijeae

    • Adsense ke bare me kei post likh chuka hu wo achhe se padho.

  5. Actually, rupee ki value dollar ki tulna me bahut kam hai. 1 dollar me 67 rupees hote hai. aese me google aapko $0.10 per click deta hai to bhi aapko ek click se 6 rupees mil rahe hai same wese hi usa me ek click se 2-5 dollar deta hai to wo un logo ke liye utne hi hote hai.

    • Thank you sir very impressive Answer.

  6. sir mai ek jankari aapse lena chahta hu ki blogger me jis gmail id se sing up karke blog banate hai to yadi hame AdSense me sign up karna hai to dusra gmail id nahi chal sakta hai kya

    • Chal sakta hai but iske liye aapko domain buy karna hoga. Example.blogspot.com domain hai to usi id se karna padega.

  7. hello jume deen bhai

    apka blog bahut badiya hai aur isme kafi jankari hai jo me nahi janta

    thanks for such nice info… wese mebhi ek blog banara hu hindi me…

    aur apka content batane ka tarika gajab ka hai …

  8. sir kya post ke end me tags me keywords use karne se traffic increase hota hai.
    or sir mai apne blog me deals and loot tricks shares karta hu.but sir un par mujhe koi traffic nahi milta hai.baki posts par hi traffic aata hai.

    • Nitin tags or category me keywords use nahi karte. Aap SEO ke bare me humari or bhi post padho or ise achhe se samajho.

  9. par keyword kaha se use kare wo hame kaha se milegi.

  10. Maine keywords ke baare mein itna padha lekin phir bhi samaj ke bahar… Plz aisa koi article hai jisse jyada examples ke saath likha gaya ho.

  11. thanks sir, mera site ka rank bahut kharab tha,, or keyword use karne nahi aa raha tha, shayad es se koi fiada ho,.. sir kor or tips ho to pls mail kare?. seo ke liye

    • aap bas seo ko follow karo. blogging ke sath sath seo ke bare me bhi sijhte rakho. ek din me kuch nahi hota. dheere dheere sab sikh jaoge.

  12. आपने जैसे गेट wp अपडेट का बैनर लगा है क्या हम भी ऐसा लगा सकते है !
    दूसरी बात बिना www जब अपने ब्लॉग को सर्च करता हूँ तो यह सर्च मेंही आता है
    पोस्ट को सर्च करने किस शब्दों का उसे किया जाता है टाइटल शब्द , पर्म्लिंक वाले शब्द या सर्च डिस्क्रिप्शन वाले शब्द ! मुझे मेरा टेम्पलेट सही नही लग रहा है क्या मुझ को तेम्पलेट चंगे करना चाहिए

    • Satyam aap jo chaho banner lga sakte ho. keywords search karne par or aap apne blog ko www ke bina set karo.

      • bainer lagane ka tarika to bato . maine bina www satting kar di thi parntu search me nhi aa raha hai

        • Aapka blog abhi bina www ke set nahi hua hai. Second blogger dashboard > layout > header par ja kar upload karo.

  13. Mai do mobile me gmail account se sign in Kar rakha hun to donors me direct mail Aata hai mai ek mobile ka gmail band karna chahta hun isle lite kya karna hoga please replay me

    • gmail setting me ja kar Notification disable kar do.

  14. Sir Koi Theme Batao Free Wali WordPress Ke Liye . Simple And Clean Free

    • Aap google me search karo.

  15. Bahut hi badhiya tips hain, Comments bhi kai baar Keywords ka kaam karte hain, Seo tips acchi honi chahiye, Maine yeh realize kiya hain ki Agar aapka Blog Top Listed Rank ka hoga toh aapke Banaye gye Keywords bahut hi acchi tarah se google allow karta hain. Aur naye blog ko utna important nahi deta hain. Mera dusre blog mein yahi problem aa rahi hain. Abhi tak 23 Post likhe aur kareeb 2 Weeks ho gye, Lekin google Webmaster Tools ne sirf 4 Post hi indexed kiye hain. Jabki Mera purane blog par main koi bhi nayi post likhta hoon toh har 2-3 din mein hi google ise index kar deta hain. Yani ki Google Old Blogs aur acchi Alexa ranking ko bahut like karta hain. Kyonki Mera Old blog par nayi post 2-3 din mein yaha tak ki kai baar 1 din mein hi index ho jati hain. Aur mera naye blog ko 2 weeks ho gye, Lekin Indexing abhi tak nahi huyi hain.

    • Agar aapko post jaldi index karani hai to regular post share kiya karo.

  16. Bahut achi baat kahi likhi hai, Helpful article

  17. haan lekin yeh post unke liye jayada useful hai jo blogger platform use karte hai .

    kyu ki WordPress par toh yoast seo hamko alert karta hai ki hamari post me kha par kami hai

  18. Bahut hi badhiya jaankari di sir aapne
    Isi tarah ham logo ki help karte raho
    Thank you

    Sir ek baat puchhni h
    Aapki teeno website ek hi gmail Ki Id par h ya alag alag !

    • Sorry bro ye nahi bta sakta.

      • It’s Okay
        no problem
        Waise maine isliye puchha tha ki jisse mujhe ye jaanne me aasani ho ki main jab apna next banaunga to isi Id par banaubn ya Dusri Id par
        Mera puchhne ke peeche yahi maksad tha

        • Bro mai aapki bat samajh raha hu. Or mujhe aapke sawal se koi problem nahi hai. But maine aapko sahi hi reply kiya hai. Iske bare me nahi bta sakta. Wese mai ek hi id se blog banane ka samarthan karta hu.

  19. mene apne blog me http enable kr liya h iska kya use h

  20. Yeh blog ki earning ka andaaza laga sakte hai. Please tell me

    • Bro smi par aapki blogging me help ki jati hai. kisi ki earning par andaja nahi.