Google search console ke bare me aap sabhi jante hai or use bhi karte hai. Lagbhag har blogger ko iske bare me pata hota hai. But humari bahut sari website hone par google webmaster tool me performance report check karne me problem hoti hai. Aaj mai aapko aysi trick bta raha hu jisse aap sabhi sites ka GWT me ek group bana kar report check kar sakte ho.
Google webmaster tool me bahut sare features hai jo humari site ki SEO ranking increase karne me madad karte hai. Jaise hum google search console me Crawl errors and URL parameters ko fix kar ke site ki search rank badha sakte hai.
Iske liye aapko search console me sabhi blog ko alag-alag open karna padta hai. Magar ab google ne search console me property sets ka ek new feature add kiya hai. Jisme aap search console me sabhi site ke liye ek group bana sakte ho or usme apni sabhi sites ko set kar sakte ho. Uske bad aap all website ki search analytics report ek jagah par dekh sakte ho.
- 50 Reason Jinse Aapki Site Ko Google Se Penalty Mil Sakti Hai
- Google Webmaster Guidelines Kya Hai or SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hai
Google ne is feature ko isliye launch kiya hai kyuki pahle google search console me site ki impressions, clicks and CTR report property by property show hoti thi. Magar google ke is new set me aap all data add karke sabhi search analytics report ko ek sath dekh sakte ho.
Google Search Console Me All Sites Ko Ek Group Me Kaise Set Kare
Google ke is new feature me aap multiple properties ka ek group bana sakte ho or sabhi site data ki ek jagah search report dekh sakte ho.
Step 1:
- Iske liye sabse pahle aap Google search console par jaye.
- Ab right side me add a property ke samne Create a set par click kare.
- Yaha par aap apne group set ka name type kare.
- Select a member to add par click karke aapko jo bhi site add karni hai wo select kare.
- Ab save changes par click kare.
Step 2:
Ab aap google search console ke homepage par jaye. Yaha par aapko sabhi website ke alawa ek alag property dikhayi degi jo kuch is tarah hogi.
Ab yaha par aap sabhi website blog ki search analytics report check kar sakte ho. Iski sabse achi bat ye hai ki isse aapka time west nahi hoga or aapko bar bar all site ko open nahi karna padega. Is feature me aap ek jagah par sabhi site ki report check kar sakte ho. But abhi aapko isme sabhi options nahi milenge. Ho sakta hai google aane wale time me isme baki feature bhi add kare.
- Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer List
- Google Search Engine Per Year Kitne Searches Handle Karta Hai
I hope aapko is post me ek bar fir google ke bare me news information milegi. So plz is post ko share jarur kare taki hum aapke liye aysi hi latest post likhte rahe.