Google ne chrome browser ke liye 2012 me extension release ki thi jiska name tha “Google AdSense Publisher Toolbar”. Jo bina adsense.com ko open kare and same page par hi AdSense revenue report show karti hai. Aaj is post me mai aapko iske ke bare me details se bta raha hu ki chrome browser me google publisher extension kaise or kyo install kare.
Chrome Me Google AdSense Publisher Toolbar Kaise Install Kare
Chrome browser me google AdSense publisher extension install karne ke liye aap Google Adsense Publisher Toolbar par jaye. Yaha aap google chrome web store se ise aasani se install kar sakte hai.
- Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye & Secret Tips
- Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense & Adwords Advertising
Chrome Me Google AdSense Publisher Toolbar Kyo Install Kare or Iske Kya Fayde Hai
Sabse important bat google AdSense publisher toolbar use karne se aapko bar bar adsense.com site ko open nahi karna padega or na hi aapko AdSense android apps ki jarurat padegi. Kyuki AdSense toolbar in dono ki kamiyo ko dur kar deta hai. Iske bare me aap in point se samajh jaoge.
- Adsense earning Summary: Google AdSense toolbar me aap AdSense apps ki tarah adsens earning ki summary report dekh sakte hai. Jisme today, previous day, current month, previous month and total earning report show hoti hai. Isme daily earning data bhi details me show hoti hai jisme aap top channel bhi dekh sakte ho. Isme interesting feature hai lifetime earning show karna yani ki AdSense ke approved hone se ab tak aapki total kitni earning huyi hai wo bhi show hoti hai.
- Current Page Ads Unit: Jab aap apni site ko open karte ho or usi page par AdSense toolbar par click karke report check karte ho to AdSense toolbar aapki site ke current page par lage ads ki information btata hai.
- Ads URL: Bahut bar jab hum low CPC wale ads ko block karte hai to un ads ka url pata karne me problem hoti hai. Google AdSense publisher toolbar aapki ye problem dur kar sakta hai. Aap apni site ke page ko open kijiye or AdSense extension par click kar ke aapko jis ads ka link pata karna hai us par mouse le jaye. Ads ke first me uski links details pata chal jayegi.
- Multiple Google Account: Security ke liye hum ek se jyada google account bana lete hai or jab hume AdSense earning performance check karni hoti hai to hume us google ID se log out karna hota hai or primary google ID se sign in karne par hi hum AdSense par earning report dekh sakte hai. But AdSense publisher toolbar par aap bina sign out kiye bhi AdSense earning report dekh sakte ho.
- Show Hourly Adsense Earning: Bahut se user bar bar AdSense income check karte rakhte hai. Ayse me unhe bar bar AdSense site ya AdSense application ko open karne ki jarurat nahi hai. Wo direct current browser me hi AdSense toolbar par AdSense earning report check kar sakte ahi.
- Analytics for this page: Adsense toolbar ko aap analytics se connect kar today, yesterday, last 7 day, this month, last month ki visitors or pageveiws report dekh sakte hai. Isme aapko analytics account open karne ki jarurat nahi hoti hai. Aap yaha par easily pata kar sakte hai ki aapki site par kitne users ads dekhte hai. I mean ayse users jinke browser me ads show hote hai.
- Ad Details: Aap chaho to apni site par lage kisi bhi ads ki details check kar sakte ho. Iske liye aapko us ad wala page open karna hoga or uske bad AdSense toolbar par click karke us ads unit ke samne “identify ad and load ad etails” par click karna hai. Ab ek pop-up windows open hogi. Usme aap is ad ki puri earning detail dekh sakte hai. Aap chahe to yaha se is ads ko block bhi kar sakte hai.
Inke alawa bhi google AdSense toolbar me bahut sare feature hai jo aapke liye helpful and useful sabit ho sakte hai. Unke bare me janne ke liye aap ek bar AdSense extension ko chrome browser me install kar active karke dekh sakte hai.
- Hindi Blog Par Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tips
- Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
I hope is google AdSense publisher toolbar ko use karke aapko AdSense ke bare me new information milegi. Now, share this post on social media with your friends.
bahut hi useful jankari diya jumedin sir kya me apne blog ko WordPress par sift kar sakta hu
kya WordPress par acount banane ke paise bhi lagte hain
Yes kar sakte ho ha aapko hosting leni hogi.
Kafi important jankari he AdSense users ke liye .
Adsense me non hosted account kya hai yah alg se banana padta he kya.
Nahi jab hum sirf YouTube ya blogger ke liye account banate hai to wo none hosted account hota hai. Iska matlab aap sirf YouTube or blogger blog par hi ad laga sakte ho.
I always thankful to you jume deen bhai for genuine information. Ab agar mein chahu to kya AdSense ko 1 he website ki sbhi sub-domain ma add kr skta hu jaise xyz.stylecaster.com or abc.stylecaster.com
Ha kar sakte ho.
aapne comment box kaise add kia hai .ise main kaise add kar sakta hun.
Ye WordPress ka comment box hai jise aap blogger par use nahi kar sakte. Iske liye aapko WordPress par blog swift karna padega.
Thanks for the info, i have installed useful tool hai.
Bro number page navigation kaise set karu blog me kya apki site pe iski post he kya bro mane dunda per mili nhi muje ager he to please link btaiye bro
Aap aysi template use karo jisme pahle se navigation feature ho ya fir aap google me search karo kisi site par aapko iski coding mil jayegi.
Sir focus key kaise choose karate hai…yoast SEO me…..aapke is article ka focus keyboard kya hai…sir ji…details me batayen…plzz..??
Yoast seo plguin me focus keyword choose karne me point show hote hai unhe padh kar kar sakte ho. Agar english kam aati hai to unka google hindi tranlater me tranlate kar liya karo. Mai yaha aapko sirf itna bta sakta hu ki aap jo bhi focus keyword use karo wo aapki post title, url, heading, first paragraph, last paragraph and post content me 2% hona chahiye.
sir 4 mahine se sirf blogging ke bare me padg rha hu. kuch samajh me nhi aaya to aapse help magi. ab aap hi help kro.
Abhi aapko blogging ke bare me or sikhne ki jarurat hai. Bro samajhna to aapko hi padega.
Sir thodi se help chaiye mere blog mey backlinks bhut kam hey kuch essa tarika batay jissey mere backlinks bhadey aur useful backlinks badey.
Other site par comment karna chodo or blogging par dhyan do. Jab aap acha work karoge to log kuch aapki site ka link apni post me add karenge. Tab aapko quality backloinks milenge.
Bhai maine chitika ke ads lagaye apne blog par lekin wo ek post mai he show hota hai mai un ko ek sath sub post mai lagana cahta hu or 2) or kitani income huvi hai wo mai kaise dekh sakta hu chitika ke website k bina koi tool se 3) or chitika ke ads mai dusre blog mai laga sakta hu jin mai domin add nahi kiya hai
Maine kabhi chikita use nahi kiya hai isliye iske bare me aapko guide nahi kar sakta hai ho sakta hai mai aapko galat tarika bta du. So aap kisi ayse blogger se bat karo jise chitika ki jankari ho.