Video Vs Text Content – भविष्य के लिए क्या बेहतर है

Aaj hum bat karenge Video Vs Text content marketing ke bare me dono me kya better hai aur kiska future best hai aur aane wale time me inme se kaun top me hoga. Ye tutorial un logo ko sahi decision lene me help karega jo YouTube and Blogging me se kisi ek platform ko choose nahi kar pa rahe hai.

Video vs Text Content

Blogging and YouTube online earning karne ke 2 top & best way hai. In dono tariko se aap internet par achhe paise kama sakte ho lekin jab dono me se kisi ek ko select karne ki bat hoti hai to beginner ko sahi faisla karne me problem hoti hai.

Wo janna chahata hai ki video content vs text content dono me better kaun hai. Isiliye aaj main is topic par likh raha hu taki aap aasani se apne liye best platform choose kar apna career bana sakte.

Video sharing and text content writing dono hi online earning ke top sourse hai aur bahut se log present time me dono se good income earn kar rahe hai. Agar aap bhi dono me se kisi ek ko select nahi kar pa rahe ho to is post ko complete and carefully read kare.

Aap kya karna chahate ho ya aapka interest kisme hai isse jyada important hai ki log aapse kya chahate hai aur aap unke liye kya kar sakte ho.

Video Vs Text Content – Dono Me Se Kya Better Hai

Pichle kai sallo se hu mdekh rahe hai ki video ki popularity badhti hi ja rahi hai. 2024 se ab tak video ne kafi jyada progressing kar li hai.

Main pichle kai month se dekh raha hu jaha youtube channel teji se grow kar rahe hai wohi website aur blogs ki grow speed bahut slow hai.

Television, Social media, Text messages, Advertisements, Events, Promotion Videos etc. har jagah video hi top me hai lekin main yaha kisi ek ko best btan wala nahi hu. Hum dono me serious study karenge.

Video Content – Video Sharing Kyu Better Hai?

Ek time tha jab hum radio sunne ke bahut shaukeen the par aaj hume radio sune kai saal ho gaye hai. Main humesha apne PC ya smartphone par video dekhna pasand karta hu.

Sabse bada reason hai young people ka multitask hona. Aap kisi ko bhi dekh lo har koi ek sath kai kaamo me busy rahta hai. Jaise TV dekhte time mobile phone use karna, Book read karte time musinc sunna …

Sirf itna hi nahi aaj aap kisi news website ko open karke dekh lijiye aapko auto play videos mil jayenge. Chalo is bare me kuch important thing jan lete hai.

  • Agar aap ek sath kai kaam kar rahe ho to bhi aap video ke through jankari le sakte hai jabki aap text content ke sath aesa nahi kar sakte.
  • Video ko aap chalte firte ya koi work karte time dekh aur sun sakte ho jabki text content read karne ke liye aapko ek jagah rukna hoga.
  • Text content ki tulna me video ki jankari jyada aasani se samajh aa jati hai. Hum post padhne ki tulna me video par jyada foucs karte hai.
  • Funny: Video dekhna jitna majedar hota hai text content read karna utna hi boring hota hai.
  • Text content ki tulna me video SEO karna jyada aasna hai.
  • Text content ki tulna me ab log video jyada dekhte hai. Google bhi search results me video ko top m show karne laga hai.
  • Video ko search result me top me lana text content ki tulna me aasan hai kyuki text content me competition bahut jyada hai jabki videos me competition kam hai.

In simple words, Multi-task, Comfortable, Simple, Full Attention, Funny, SEO, Competition, Traffic etc. sab me video text content se aage hai.

Final words:- Text content ki tulna me video content ka future better hai aur aane wale time me video dekhne walo ki sankhya jyada hogi.

Text Content – Text Content Kyu Better Hai?

I know ki video text content se jyada popular ho raha hai par sabhi log sirf video dekhna pasand nahi kar sakte. Humesha kuch log aese honge jo video ki jagah text content read karna pasand karenge.

Agar aap SEO expert hai aur aapke liye google me top rank pana aasan hai to aapke liye video ki tulna me website run karna best hai.

Chaliye main aapko text content ke kuch fayde bta deta hu.

  • Jo log video dekhna pasand nahi karte unke liye text content article best hai.
  • Jo person apne aapko show nahi karna chahate wo text content me apna talent dikha sakte hai.
  • Text content format video ki tulna me fast load hota hai.
  • Website ke aap owner hote hai aur aapke pas uska full control hota hai jabki youtube par aap sirf ek partner honge.
  • Aapki ek galti se aapka channel remove ho sakta hai jabki content writer ke sath aesa nahi hoga.
  • Video content ki tulna me text content par adsense se jyada CPC milti hai aur jyada earning ki ja sakti hai.
  • Video ko publish karne ke bad use edit karna mushkil hai jabki aap text ko jab chahe edit kar sakte ho.
  • Blog post me sub heading ki wajah se read karna aasan ho jata hai jabki video me important information pane ke liye pura video check karna padta hai.

Mere pas koi proof to nahi hai par ye sach hai ki video marketing kitni bhi increase ho jaye text content read karne wale log bhi humesha honge. Video content text content ko 100% kill nahi kar sakta.

Lekin ye bhi sach hai ki 90% log text content read karne ki tulna me video dekhna pasand karte hai. Day by day hum tarakki kar rahe hai. Ek din hoga jab google puri tarah se voice search support karega tab log voice search karke video dekhna pasand karenge.

Final Words:- Jis tarah se video content ki popularity badh rahi hai use dekh kar kaha ja sakta hai ki aane wale time me text content ki marketing down hi hogi aur video top me hoga.

Conclusion,

Internet ke according, Agar aap ek achhe artist hai aur video banana aapke liye aasan hai to main aapko video content share karna suggest karunga aur aap khud ki website bana kar content share karna chahate hai to aapke liye text content best hai.

Future ke according, video best hai ab log text content ki tulna me video dekhna pasand karte hai. I know kuch blogger aur content writers ko ye bat hazam nahi hogi par yahi sach hai.

Agar aapke andar talent hai to ye matter nahi karta ki aap video, text content ya koi aur sourse se jankari dete hai log aapko har platform par support karenge.

Is bare me aapke kya vichar hai hume comment me jarur btaye aur ye bhi btaye ki aane wale time me kya better hoga video content vs text content.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (33)

  1. Avatar for Sandeep jainSandeep jain

    Nyc Artical Bhaijaan….

    Bahut Achhe achhe Articles hai Aapke blog mein…..

    Bhaaijaan mera Aapse ek question hai ki kya Aap btaa skte hai ki ye Jo Aapne Updated post ka widget ya Gadget apnw blog mein use kar rkha hai ye kaise lgaayaa hai please Help me……

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      iske liye aap plugin use kar sakte ho, mere blog ki theme me iska option pahle se hai.

  2. Avatar for Ajay kumar guptaAjay kumar gupta

    Aaj ke is post me aapne video aur text ke beech antar bataya ki kon sa best hai . So aaj ki yah articles bahut hi useful raha …
    Is best post ke liye thanks .

  3. Avatar for Nikesh KumarNikesh Kumar

    Sahi jankari di bhai..

  4. Avatar for sameer maliksameer malik

    hye sir mene blogspot par free site banayi hai kya usme robots setting krne ki jrurt hai kuch or free blogspot ka sitemap banane ki jrurt h google mai submit krane ko … plzz sir tell me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Agar aap kisi page ko google se hide karna chahate ho to jarurat hai. Bas aapko sitemap google me submit karna hoga.

      • Avatar for sameer maliksameer malik

        but apne toh kaha tha blogger par free website par sitemap ki jrurt nhi hoti hoti vo blogger mai already bna hota hai bs site ka url submit krna hota hai

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Main robots.txt ki bat kar raha hu. Sitemap blogger par already hota hai aapko bas GWT me submit karna hai.

  5. Avatar for KamalKamal

    Generally Jyada der koi bhi videos nahi dekh skta. But text me jyada time spend kar sakte h
    I think u r not right, jinke pas television & news paper dona available h. Wo akhir kyu TV k sath sath news paper Ko bhi pura time dete h, kyu ??
    1- hm jitane time me news paper se apne jarurat / pasnd ki cheje find kar sakte h. Kya Videos me impossible h ??
    2- har koi test change karna chahta h. Generally 4g data & smart phone wale phi only video par depend nahi rahte. Ha ye jarur h ki koe video Ko to koi text Ko jyada time deta h.
    But video dekhne ki ek sema h.

    • Avatar for Anand KumarAnand Kumar

      Aapne sahi kaha hai Kamal ji aur abhi hum bloggers ke bich yahi to confusion hai. Jume Deen bhai ne isiliye to hum sabhi ko comment karke apna sujhaw dene ke liye kahe hain taki baki ke sabhi negative aur positive point bhi khulkar samne aa jaye.

      Aur aap Jume Deen bhai ko galat na samjhein, inhone jo bhi likha hai ye inka apna vichar aur anubhaw hai, lekin hum sabhi ka kya vichar hai yahi to hamein comment karke batana hai. Aur yadi ye kisi sambhavit khatre ke bare mein pahle se explain kar rahe hain to ye to aur bhi achchhi baat hai taki hum aisi situation ke liye pahle se taiyar rah sakein.

  6. Avatar for rajraj

    bhai jio ke baad bloogger kafi nirash ho chuke hai , nami blogger ke kei post se esa lag raha hai aur vo youtube ki taraf ja rahe hain. jio ke aane ke baad traffic kam hua hai ki nahi aap batayen . hum jese naye blogger bhi duvidha mein hain ??????

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Yes, Traffic loss hua hai 2016 ki tulna me 2017 ki progress better nahi hai.

  7. Avatar for Sahadev ChaudharySahadev Chaudhary

    Bhai Mai Jab Mera Blog
    Naam Google Mai
    search Karta Hu To
    Blog Ke Sath Mere
    YouTube channel Ke
    video Search Mai Aata
    Blog 2. 4 hi post Dikhata
    Hai Baki Sab Mera channel
    Ke video Ye Kya Hai Muje
    Samaj me Nahi Aata

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Google video ko top me jyada dikhane laga hai khair jab aapke blog par jyada traffic hoga to aapka blog tom me hoga.

  8. Avatar for Vishnu SinghVishnu Singh

    Jb tk internet ssta hai tabhi tk. Bad me video content me km se km 40% traffic km ho jayega. Sirf unlimited wifi wale bande reh jayenge. Or wifi to unhi ke paas hota hai jo online work krte hai.

    Internet mehenga hone se text contant me traffic to nhi badhegi. Pr video content me traffic jrur km ho jayegi.

  9. Avatar for Avinash ChauhanAvinash Chauhan

    Reality based information, very nice post….

  10. Avatar for vikas sainivikas saini

    mera adsense account fully approval h but jab m mere new blog pr ad lagata hu to blank space show hota h…maine kisi dusre ke adsense account ke ad laga kr check kiya fir b vahi prb aa rahi h pls help me sir

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Dear aapke blog me ad lagane ke bad google uska review karega uske bad ad show honge.

  11. Avatar for Dipanjal BhattaraiDipanjal Bhattarai

    Sir ji blog ke liye Koun sa thems us karu Pliz answer me

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      genesis.

  12. Avatar for PushpendraPushpendra

    Bhai ek dam dhakad knowledge

  13. Avatar for Sonu RajputSonu Rajput

    Jio Ki Vajah Se Aaj india Me Video content Bahut Teji Se Grow Kar Raha hai isliye Feature Bhi Video Content ka Hi Hai , Waise Aapne Bilkul Sach Kaha hai Video Ko dekhne wale 90 % hai Or Text content ko 10% present

  14. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    Sir aapne sahi point bataye, but aapne jo Text ke favour me points diye hai, vo ek blogger ki taraf se hai, na ki ek reader ya user.

    Main to saf taur par video ko text par puri tarah se dominate karte hue dekh raha hun.
    Ise Amazon, Facebook, Netflix jaise companies jan chuki hai. Isliye ve ab video business ki taiyari kar rahi hai ya business kar rahi hai.

    Vaise 2022 tak 5G aa jayegi, abhi America me testing chal raha hai. Tab net ki speed 10 guna fast ho jayegi.

    Tab log smoothly video ko dekh sakenge.

    Kya vakai future me Video Text Ko Kill Kar Degi?
    Yadi aap ek technology love person hai to aap achchi tarah se janate honge ki koi technology abhi present time useful hai, but usse better technology aate hi old technology log khud hi use karana chhod dete hai ya kam kar dete hai.

    Main to abhi se fill kar rahu hun log text kam padh rahe hai.

    -Iske alava aap companies ke future business se achchi tarah se samjh sakte hai.
    -Iske alava Google SERP FAQ Feature to pahle hi Blog ki traffic down kar chuki hai.
    Pahle Google behad time ke liye stable karta tha, par ab Google chahta hai kisi blog ki tarah user use bhi read kare.

    Bhai Mano yaa na mano, Video ne dastak de hai aur jald hi text ko kill kar sakta hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sahi bat hai. Maine face kiya hai ab log text content se jyada video dekhna pasand karte hai.

  15. Avatar for Anand KumarAnand Kumar

    Yadi youtube channel ko delete hone ki baat aur baaki other baat ko side mein rakhar sirf traffic ki baat ki jaye to ismein kahin koi shak nahin ki youtube par career banana hi best hai.

    Lekin yadi present mein aapka blog no 1 par ho to aapko blogging par hi focus karna chahiye kyonki yadi aap youtube par channel banate hain to kab aapka channel hit hoga is baat ki koi guaranty nahin hai. Ho sakta hai ki saal bhi lag jaye aapko success hone mein.

    Like SupportMeIndia, jab tak Jume Deen bhai post likhte rahenge tab tak yahan visitor aate rahenge lekin yadi youtube par video banane lagenge to is baat ki koi guaranty nahin ki channel banate hi wo hit ho jayega. Aise mein Jume Deen bhai ko bhi youtube par hit hone mein utna hi mehnat aur wait karna hoga jitna ki other people karte hain. Haan yadi aap chahein to blogging ke saath-saath side se aap youtube mein bhi try kar sakte hain. Lekin yadi aap successful blogger hon to aapka lakshya blogging hi hona chahiye.

    Dusri baat, yadi aap apni voice ke saath video banayenge to iske liye aapke voice mein mithas honi bhi jaruri hogi aur aapka gala fresh hona bhi jaruri hoga. Main khud apni baat karta hoon, mera gala kharab hai aur mera aawaj sahi nahin hai, isliye main recording hi nahin kar pata hoon jis wajah se main video bhi nahin bana pata. Haan aap kisi aur se recording karwa sakte hain. Lekin itna karne se behtar to mujhe blogging karna hi laga hai.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Sahi kaha bro.

  16. Avatar for shabnam khanshabnam khan

    Dono best hai aur me dono use karti hu for earning

  17. Avatar for Ravi KumarRavi Kumar

    dono best hai , agar iska nuksan hai to uska bhi but yaha hum contant ke sath hai kyuki ek to video platform abhi jo no 1 hai , uske anusar chalna hota hai blog ko jaha taha kar sakte ek galati ke karan channel gaya to sabdin ki mehnat gayab but blog me aisa nahi hai

    2nd bat ye ki video dekhne me time ka waste jayada hota hai, aap jo janna chahte hai puri video dkhenge tabhi janenge but blog ke subheading me aisa nahi hota hai iss tutorial ka kiss topic ki jankari chahiye wahi hame milti hai ,

  18. Avatar for Kunj BihariKunj Bihari

    समय के हिसाब से टेक्स्ट ही सही हैं क्योंकि किसी वीडियो के बारे में जानने के लिए पूरी वीडियोस देखना होगा जिसमें आपको वीडियो के टाइमिंग के हिसाब से टाइम का ख़पत होगा जबकि टेक्स्ट को रीड करने के लिए आपका समझने और पढ़ने का स्पीड जायद है तो आप किसी भी लांग पोस्ट को कम समय मे पढ़ और समझ सकते हैं ।

    • Avatar for sachin pandeysachin pandey

      ekdum bilkul sahi kaha aapne

  19. Avatar for bheshpratap sahubheshpratap sahu

    bahut achhi jankari hai bro isse kai logo ko aur himmat aayegi ki blogging bhi sahi hai. blogging bhi hamesha rahegi. jisme ham apna career bana sakte hain. thanks bhai

  20. Avatar for Prasiddh yadavPrasiddh yadav

    yes bhai future me log video dekhna like karenge

    1. Lekin iska matlab ab blogging se income nahi kar sakte ya fir youtube banana hoga .

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Maine aesa to nahi kaha but video ka futrue jyada achha hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...