Google Ke Bare Me 6 Buri Baate Jaan Kar Nafrat Karenge Aap

Google duniya ka number one search engine hai. Or is bat me koi shaq nahi hai ki sabhi google ko pasand karte hai. But kahte hai ki har kisi me achai ke sath burai bhi hoti hai. Theek wese hi google me bhi kuch aysi burai hai. Jinke bare me jan kar aap google se real me nafrat karne lag jaoge. Google ke bare me ye bate btate huye mujhe bhi bura lag raha hai.

Google Ke Bare Me 6 Buri Baate

Internet ne aaj duniya ke bahut se kaamo ko aasan bana diya hai. Jisme sabse jyada google kaam aata hai. Har ek internet user google ko jarur use karta hai. Har koi chahata hai ki kash wo bhi google ke barabar fomus hota.

Google me job milna bahut mushkil hai. Or ye kaam bilkul wesa hi hai jaise 7ve aasman par pahuchna. Kyuki ye duniya me har jagah no.1 hai. Ab shayad hi koi hoga jo world number one ke sath work karna pasand na kare.

Agar aap soch rahe ho ki google me work karne ki sellary kitni hogi to hum india ke Sundar Pichai ke bare me hi jan lete hai. Google ne unhe 2024 me 100 million dollar ka package diya tha. Yani lagbhag (6,600,000,000 indian rupees) 660 करोड़ रुपये banate hai.

Yani hakikat me google ka member banna sapno me raja banna jaisa hai. But google ke bare me aysi kuch bate hai jinke bare me sun kar aapka dimag chakra jayega. Google ke senior member junior member ko chota or apne aapko bada samajhte hai.

Google Ke Bare Me 6 Buri Baat Sun Kar Nafrat Karenge Aap

To chaliye aaj mai aapko bta raha hu google ke bare me 6 secret bate jo wastav me google ka raj hai or google unhe kisi ke sath bhi share karna nahi chahata hai.

  1. Overqualified: Google ke ek member ke anusar google company me “Overqualified” yani bahut adhik padhe likhe or kabil logo ko bhi chote kaam ke liye rakh liya jata hai. Ayse chote work karte huye ek jarurat se jyada kabil or intelligent aadmi ko sharm jarur mahssos hoti hogi.
  2. Office Politics: Ji ha dosto google company me rajneeti bhi chalti hai. Agar aap sahi boss ke under work karoge to aapka promotion tay hai. Or agar aap aysa nahi karte ho to aapke sath sahi व्यव्हार nahi kiya jayega. Or ho sakta hai aapko tang aa kar google hi chodni pad jaye.
  3. Recalcitrant engineer: Recalcitrant ka matlab hota hai अड़ियलऔर घमंडी yani google me ayse engineer bhi hai to bahut jyada adiyal hai or apni bat par ad jate hai. Unhe apne aap par bahut ghamand hai. Wo sochte hai ki wo duniya me sabse jyada hoshiyar hai. Unhe lagta hai ki wo baki logo se kahi jyada behtar hai. Socho ayse logo ke sath work karna kitna mushkil hoga.
  4. Non-Existent: Aap google company ke liye kitna bhi bada or kitna bhi important work karo. But usme aapka koi fayda nahi hai. I mean aapka or aapki mehanat ka koi vajud nahi hai. Aapke kaam or invention se sirf google ka name hoga aapka nahi. Aapko koi prashidhi nahi milegi. Isi wajah se google ke kei karmchari google company ko chod chuke hai.
  5. Middle Management Problems: google me Middle Management Problems problem bhi bahut jyada hai. Yaha par seniors log apne under kaam karne walo ke sath acha bartav nahi karte hai. Unke liye har kaam me unke name or unki reputation jaruri hoti hai. Wo log worker ko inspire karne ki jagah unhe choti choti galti par saja dete hai.
  6. Engineering Degree Important: Google me product engineering degree par bahut dhyan diya jata hai. Fir chahe kisi engineer ko designing nahi aati ho. Isi wajah se google designing me dusro se piche hai or isi ki wajah se bahut se product jaise Wave, Orkut, Knol Friend connect, Google video, Buzz and Dodgeball band kar diye gaye.

To friends ab aap hi btaye ki kaisa laga aapko google ke bare me ye bate sun kar. Kya wakai me aapko bhi google se nafrat ho rahi hai. Agar ha to comment me apne vichar jarur share kare ki aap is waqt google ke bare me kya soch rahe ho.

In bato ko sun kar mai to kabhi bhi google company ke sath work karna nahi chahunga. Kyuki jaha humari kabilat ki izzat na ho or acha kaam karne par name na ho wo kaam mere liye bekar hai. Kyuki mujhe paiso se nahi logo ki duao se pyar hai.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath shatre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 56 )

  1. I hate google company

    बेईजती से अच्छा है कि बेरोजगार रहलो इससे अच्छा मेरा देश है प्रधानमंत्री जैसे बड़े व्यक्ति अपने छोटे से छोटे सहयोगी को पूछते है

    Reply
  2. Ap Ne Sahi Kaha Magar Choti Choti Companiyon Me Hi Aysa Hota Hai To Ye 1 Naminet Company Hai Is Me To Kafi Lafra Hoga Mgar Hamein Kya Hain..
    Ham Paid Q Gine Hamey To Aam Khane Hain..
    Matlab..
    Wo log Lar Jhagar K kam kre ya Pyar Se..
    Hame To GOOGLE Sab Kuch Saport Krta Hai Na..
    No Tenson.. N0 Problem..

    Reply
  3. Me google se ghar baithe paise kamana chahta hu per kaise kmau

    Reply
  4. Jumedeen Bhai Ji main idea main hammer VPN she free net chalane ki koshish karta hoon to vah chalta hi nahi please help me bro

    Reply
    • Ye proxy trick hoti hai ye 100% work nahi karti hai. Agar kaam kare to acha warna avoid karo.

      Reply
  5. Sir meri website par jakar dekhe mene
    mene WordPress site bnai hai use sb search ingine me add kar diya par jab me post ke same word copy kar ke google search me paste karta hoon to post ka titel ane ki jagah esse ah jata hai internet archive-myhindiblog me kya kru ki post ka sahi titel show ho google me or meri site par visit kare plzz or comment kre 1 post par plzz koi v galti ho to btana comment karke

    Reply
    • Love jeet aapki post me koi kami nahi hai bas aap ye step follow karo.
      1. aap on page seo par dhyan do.
      2. abhi aap new blogger ho traffic badhane me time lagta hai.
      3. SEO firendly post likhoge or jab aapki site par traffic badhega to post jaldi search me aa jayegi.

      Reply
  6. Sir mere bhaiya ne mujhe apna wifi paswd diya hai mere phone me wo acha nahi chal raha yu samaj le aap ki chal hi nahi raha pls.help
    aur maine wo paswd apne lappi me lagaya to chal gya but ek din kyuky uske baad to wo wifi nahi aa raha bahut dhunda maine to

    Reply
  7. Assalamo Alaikum:
    Jume Deen Bhai, Bata Sakte Hain Aap Mywapblog.com pe jo site hum banaye hain us me mau sdsense add karna chahta hun aur us me jo email hai blogger wali site already bata rahi hai AdSense to kaise ab add hoga ye web?

    Reply
    • Aap direct apne domain se AdSense account banao.

      Reply
  8. thanks u so much sir, mojhe apki post bhout atcha lagti hai . Sir, ak question apse hai ..

    Q) app kab se yah kam kor rahe hu i mean blog kabse kar rahe hu.??

    thanks..

    Reply
    • It’s my pleasure July 2015 se

      Reply
  9. hii ,jumedden bhai ,aapne sahi kaha hai ap din raat ya koi or blogger bhi kitani saari mehnat karta hai apna blog website banane me or article likh kar logo ki help hoti hai.or suchha dost to vahi hota hai jo apne dosto me kya kami hai or use aapka dost sudar le .mager aapke relation vale ko bhi samjana chaiye ki such me hume koi na koi kami jaroor hai .usse sudarne ki koshish jaroor karna chaiye.

    mera ek sawal; hai ki mai jab bhi meta tag apne blog me jaker add karna chahta hu to add nahi hota ,plese entr 150 character description aisa show hota hai ,mai 150 shabdo me hi description lihk raha hu firbhi save nahi ho pa raha hai kya problems ho sakti hai bhai.

    Reply
    • Aap ek bar 100 words se bhi kam words add karo uske bad baki bad meadd kar lena.

      Reply
  10. Maine 1 YouTube channel banaya hai..aur usme views v hai..pahle mera income analytics me show karte tha..magar aab your estimated revenue me red sign show kar raha hai..aur $0.00 show kr rha…please meri help kare

    Reply
    • Wait some day, Ye analyics ki problem hai apne aap solve ho jayegi. aap YouTube.com/analytics par bhi YouTubeearning check kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment