Lifi Kya Hai Aur Ye Kaam Kaise Karta Hai? (Hindi)

WiFi ke bare me to aapne jarur suna hoga lekin kya aap LiFi ke bare me jante hai? Agar nahi to is post me aapko iski puri jankari milegi, yaha hum Li Fi kya hai? Li-Fi kaam kaise karta hai? What is LiFi in Hindi?

LiFi Kya Hai

Lifi ka full form kya hai yeh bhi ham apko is post me batanewale hai. Yeh sabhi ham apko asan shabdo me samzayenge. Ham asha karte hai ki, apko hamari sabhi post pasand aarahi hogi.

Lifi Kya Hai?

Iska avishkar professor herald haas ne 2011 me kiya tha. Yeh bhi ek wireless suvidha hai. Lifi ek high speed network technology hai. Yeh wifi ki tarha istemal kiya jata hai.

Lekin yeh wifi se kai guna tej hota hai. Isme visible light communication (vlc) ka prayog hota hai. Lifi ki madat se data transfer karne ke liye network ke bich me led light ka prayog kiya jata hai. Lifi ka full form – light fidelity hai.

Lifi Kaam Kaise Karta Hai?

Yeh bhi sare internet device ki tarha kaam karta hai. Isme mukhya roop se in 3 components ka upyog kiya gaya hai.

  • Lamp driver
  • Led lamp
  • Photo detector

Internet source lamp driver se juda rahta hai. Lamp driver internet cables se jo information aati hai usko led bulb ke andar transmit karta hai. Uske baad led bulb me jo light aati hai, wah photo detector se takrate hi photo detector me jo badlav ho jate hai use asani se pehchan jata hai.

Ab photo detector lights signals ko binary data me convert kardeta hai. Phir computer aur smart phone par process hone ke liye bhej deta hai. Jis tarha se lamp driver se hote huye led lamp aur uske baad photo detector se data mobile ke pass ata hai.

Usi tarha uske viparit mibile se wapas data led lamp se hote huye reciever ke pass ja sakta hai. Agar aap light source ke niche khade hai aur agar aap move bhi kar rahe hai to apka connection nahi katega. Aap ek light spot se nikal kar dusri light spot me jate hai to wah automatically dusri light spot me switch ho jayega.

Lifi Aur Wifi Me Antar Kya Hai?

Lifi aur wifi me apne karyo aur kshamta ke adhaar par vibhinna antar paye jate hai. Jisme bare me ham apko age bata rahe hai.

Lifi me lights ke dwara data transmission kiya jata hai aur wifi me radio transmission ki madat se data transfer kiya jata hai.

Lifi me lights dusri taraf na jane ke karan yeh network secure rahta hai. Wifi ka network open rahne ke karan yeh secure nahi hota.

Lifi ek led bulb device hota hai tatha wifi wireless router hota hai.

Lifi ki data transfer speed 1gbps hoti hai aur wifi ki data transfer spees 150mbs hoti hai.

Lifi 10 meter tak ki distance coverage kar sakta hai. Wifi 32 meter (wlan 802.11b/11g) tatha transmission power aur antena par nirbhar hota hai.

Lifi Ke Fayde

Agar ham is network ka istemal karte hai to hame vibhinna prakar ke fayde ho sakte hai. Isse honewale fayde ke bare ma hamne apko age bataya hai.

Iska sabse pehla fayda yeh hota hai ki isme light diwar ke dusri taraf nahi ja sakti. Jisse bahar ka koi bhi user apak network access nahi kar sakta aur apka network secure rahega.

Kam samay me ham adhik data transfer kar sakte hai. Yeh wifi se 100 guna tej hota hai.

Jab ham apne kai device me laptop, mobile, tablet me ek sath wifi ka istemal karte hai to speed me kami aajati hai. Lifi me apko multiple device connect karne se speed me koi fark nahi padta.

Hello dosto apko hamari post kaisi lagi yeh hame comment me jarur bataye. Agar apko is post ke bare me hamse koi shikayat hai to aap hame comment me bataye.

Agar yeh post apko helpfull lagi ho to ise apne dosto ke sath share kare aur hamari post ki letest updates pane ke liye hame follow kare.

Avatar for Sahil Jadhav

by: Sahil Jadhav

Mera naam sahil jadhav hai. Muze blogging karna bahut pasand hai. Mein HindiPexel se logo ki online karna chahta hu.

Comments ( 12 )

  1. Nice.. article keep it up sahil…

    Reply

Leave a Comment