Aapko blogging se related har blog or website par Google AMP yani Accelerated Mobile Pages (AMP) ki jankari mil jayegi or bahut se log iske liye suggest bhi karte hai. Kya wakai ye aapki site ke liye better hai or kya sach me aapko AMP istemal karne se fayda hoga. Is post me main aapko Google AMP use karne se hone wale fayde or nuksan ke bare me btaunga taki aap iske bare me achhe se jaan sako. Google AMP pors and cons ke bare me janne ke bad apa khud decide kar sakte ho ki ye aapke liye behtar hai ya nahi. Google AMP Ke Fayde or Nuksan ki jankari.
Hum sab jate hai ki Google AMP use karne se site ki mobile device me speed boost hoti hai or site ke speed up hone se site ki search rank increase hoti hai. But iske fayde hone ke sath sath nuksan bhi hai. Main yaha AMP usek arne se hone wale kuch important pros and cons ke bare me bta raha hu.
- Google 0 Position Kya Hai -; Google Me 0 Position Kaise Paye
- Search Engine Me Site Ki Top Ranking Banaye Rakhne Ki 100 Tips
Agar aap apni site par Google AMP use karne ke bare me soch rahe hai ya fir karne wale hai to ek bar is post ko achhe se pash le. Main AMP ke bare me already article likh chuka hu. Agar aapko google AMP ke bare me jyada jankari nahi hai to aap humari Google AMP Kya Hai Accelerated Mobile Pages Kaam Kaise Karta Hai or Ise Kyu Use Kare wali post read kare.
Table of Contents
Google AMP Istemal Karne Ke Fayde or Nuksan
Google AMP use karne ke jitne advantage hai utne hi disadvantage bih hai. Aapko AMP use karne se jitna fayda hoga utna hi nuksan bhi hoga. AMP use karne ke ye 15 Fayde or 15 Nuksan aapko is bare me sabkuch samajha denge.
Yaha main aapko Google AMP use karne ke kuch important Advantage or Disadvantage ke bare me bta raha hu. Aap inhe padh kar khud decide kar le ki ye aapki site ke liye faydemand hai ya nushandayak. Google AMP Ke 15 Fayde or 15 Nuksan 15 Pros and 15 Cons.
Google AMP Pros and Cons:
Pros: AMP Use Karne Ke Fayde
Google AMP use karne ke bahut sare fayde hai. Aapko ek hi project se ek se jyada benefits mil rahe hai jo ki bahut achhi bat hai.
- Make Fast Loading Site: Google Accelerated Mobile Pages project aapki site ko fast load banata hai. Jisse mobile device me aapki site tej ise open hoti hai.
- Boost Search Rank: Site ki speed fast hone se site ki search ranki increase hoti hai or aapki post top me show hoti hai.
- Minify HTML, CSS and JavaScript: Site par without coding knowledge ke HTML, CSS, JavaScript ko minify karne ke aasan tarika.
- Analytics Support: Google AMP analytics ko support karta hai.
- Enable Ads: AMP pages me aap Adsense ads, Flipkart, Amazon, Media.net etc. advertising add kar sakte ho.
- Free CDN: AMP use karne se aapki site ke page google cache store me save ho jate hai. Isse aapko Free CDN service bhi mil jati hai.
- Easy to Setup: Google AMP ko site par setting up karna bahut aasan hai. WordPress par aap kuch plugins ke istemal karne se ise enable kar sakte ho.
- Avoid Extra Content: Computer dekstop me site ka full version show hota hai or achha bhi lagta hai magar mobile me sidebar and other widgets ki wajah se user ko scroll karne me problem hoti hai.
- Improve User Experience: AMP use karne se site ka sirf jaruri content hi load hota hai or har user sirf apni kaam ki jankari dekhna pasand karta hai.
- Solve Slow Internet Problem: AMP slow internet connection ke sath bhi web pages ko fast load karta hai.
- Improve Server Performance: Agar aapki site ka server ka responsive time slow hai or aapk isite par bahut jyada traffic hai to AMP server time ko improve karne me help karta hai.
- No Need Any Customizing: AMP pages very fast load hote hai aapko mobile users ke liye site ko customize karne ki koi jarurat nahi hai.
- Increase CTR: AMP pages ko google top me sho karta hai so aapko jayda click milenge or aapki site ki CTR increase hogi.
- Reader Love Your Site: AMP page very fast load hote hai so aapke readers aapki site ko kahi jyada like karenge.
Cons - AMP Use Karne Ke Nuksan
- Ad Revenue is Reduced: Google AMP use karne ka ye sabse bada nuksan hai. AMP web page ke mobile version se sidebar ad other widgets ko hide kar deta hai jisse aapke sidebar and header ads mobile me show nahi honge. AMP pages me aap limit me ad add kar sakte ho wo bhi user ke ads par scroll karne se load honge. Jisske aapki ad earning kafi had tak kam ho jati hai.
- No Sidebar Widgets: AMP pages me header, sidebar, and footer widgets show anhi hote.
- No Facebook Like Box: AMP pages me facebook like box add nahi kiya ja sakta.
- No Email Popups: AMP page me aap email subscribe popups istemal nahi kar sakte.
- Only Support Analytics: Google AMP analytics support karta hai bahut achhi bat hai. Buri bate ye analytics ke alawa performance tool and analytics plugins use nahi kar sakte.
- Google Cache: Google specially page ko fast load banane ki koi bhi technology offer nahi karta. Aese me kya wakai google cache system aapki site ke liye good work karega.
- Amazing Speed, Really?: Google dawa karta hai ki AMP use karne se site ki speed 85% faster ho jati hai. Kya wakai ye sahi hai ya fir nahi.
- Are You Need it: Aapki site already fast loading or mobile optimized hai to kya fir bhi aapko iski jarurat hai.
- You Depend On Google: Aap self-created site run karte hai magar AMP use karne ke bad aapki site google par depend ho jati hai ki uska cache system kaise kaam karta hai. Agar AMP issue hota hai to aapki site ko problem hogi.
- No Control: Google AMP use karne ke bad apaki site google cache par work karegi or aap ise control nahi kar sakte. Matlab aap apne server ko control nahi kar sakte.
- Bad Future: AMP use karne ke bas wapis back karna bahut mushkil kaam hai.
- No Customizing: Aap google amp pages ko customize nahi kar sakte. Google ka default format hi show hoga.
- Not Every Content Work on AMP: Google aapki site ke text content ko proper load karta hai but videos ko nahi.
- No Ads: Aap AMP pages me apna favorite ads istemal nahi kar sakte so less earning issue.
- No Navigation: AMP pages par aapki site ka navigation nahi hoga.
Google Accelerated Mobile Page AMP istemal karne ka sabse bada fayda hai site ka speed up hona or search rank boost hona dusri taraf iska sabse bada nuksan hai AMP use karne se Ads revenue kam ho jati hai. Agar aap adsense istemal karte hai to ye aapke liye better nahi hai.
- Google Me Achi Ranking Pane Ke Top 15 SEO Factors 2023
- Website Ko Sabhi Search Engines Me Ek Sath Submit Kaise Kare
Ye thi Google AMP ke fayde or nuksan ki jankari jise padhne ke bad aapko Google accelerated Mobile Pages (AMP) Pros or Cons ke bare me sabkuch pata chal jayega. Main aapko google AMP use karne ke liye suggest nahi karunga. Agar aapko lagta hai ki ye apake liye beneficially hai to aap is project ko use kar sakte ho.
Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par dusre bloggers or websitse owners ke sath share jarur kare.
Aap amp use karte ho ya nhi?
Nahi.
Aap wordpress user ho to yoast sitemap use karo or agar error aaye to sitemap wala option disable kar fir se enable karo.
Blogger user ho to aapko sitemap banane ki jarurat nahi hai blogger par already sitemap hota hai. You can check here example.blogspot.com/sitemap.xml or example.com/sitemap.xml
Ad injection plugin use karo.
Sir ap ny apne sare articles roman me likhe hai kya google roman language approve karta hai jo ap ko adsense b mil gaya plz answer zaroor dena
Yes karta hai but officially nahi.
sir aapne jo number diya tha mujhe wo switch off aa raha hai..aur aap mail zaldi check nahi karte ho. so yaha par comment karna pad raha. plz sir help kar dijiye meri.
Main aapko fir se mail kiya hu check kar lo.
Aapki Website per social ke icon kese set ki ye,jha per join also likha hua hai vo,
Iski jankari yaha hai No.1 Fast Loading SMI Sidebar Social Media Follow Buttons
Bro Bohat achi jankari di apne. Bhai infolinks to hindi sites ko approve nahi deti siraf english ko deti he to apki site kaise approve hogaye ? Or Rohit Bro ki bhi ?
Kyuki ye hinglish site hai.
Meri bhi hinglish he but wo kehte siraf english or turkesh me he approve hota he fr kaise
Aap language me neglish select kar. By the way infolinks ise allow nahi karta ho jaye to aapki kismat.
Yeah you are right, I am used AMP on my website for last 6 months but 15 days before am remove amp on my website.
Hello Bhai.
Agar mere kisi post me 740 words hai Aur mai us post me 10 words ki link add kar deta hu. To kya vo link bhi word me hi count kiya jaata hai.
Yes link k words bhi count honge.
Bahut kam ki jankari di hai
Mere blog pr visitors nhi aa rhe hain kya aap mujhe blog dekhkr sujhav dijiye
Custom domain use karo or achhi post likho.
Very Superb Article.
Thanks a lot for sharing this information