Amazon Prime क्या है और Prime Member कैसे बने?

What is Amazon Prime Kya Hai? Amazon Prime Member Kaise Bane or Iske Kya Fayde Hai? Aaj hum isi ke bare me bat karenge. Amazon ne india me Amazon Prime Service launch ki hai. Pahle ye USA me available thi magar ab ye india me 100 cities se bhi jyada jagah par service me hai. Amazon ek E-commerce company hai aur world me lakho croro people amazon se online shopping karte hai. Amazon Prime  membership pahle se United State of America me popular hai ab ye india me bhi famous ho raha hai. Aapko iski jankari nahi hai to ye post carefully padhe iski puri information milegi.

Amazon Prime Kya Hai Amazon Prime Member Kaise Bane

Amazon duniya me sabse badi E-commerce company hai or puri duniya ke log amazon par online product buy karte hai. Internet par amazon.com, amazon.in, Flipkart, Snapdeal etc. bahut sari E-commerce websites hai. Inka main work online product sell karna hota hai. Aap aasani se ghar baithe in sites se online product manga sakte ho.

Amazon is bare me all word me no.1 hai. Ye ek American International Company hai  or india me bhi ye amazon.in ke name se mashoor hai. Iski india ke online marketplace me apni alag hi jagah or alag pahchan hai. Iski Amazon Prime service world me popular hai khas karke USA me.

Iski wajah hai amazon prime feature ke fayde. Agar aap bih online shopping karte hai to ye post aapke liye faydemand sabit hogi. Yaha hum amazon prime kya hai iske kya fayde hai  or amazon prime membership kaise le ke bare me janenge. Amazon Prime Kya Hai – Amazon Prime Membership Kaise Le?

Amazon Prime Kya Hai?

What is Amazon Prime? india me is bare shayad bahut kam log hi jante hai or bahut logo ko pata hai ki amazon prime membership kaise lete hai or iske kya kya benefits hai. Amazon.in amazon ki indian company ka part hai jo indian customers ko Amazon Prime servic offer karta hai.

Jab aap apmazon se online product buy karoge to aapko uske price ke sath delivery chrage bhi dena padega. Magar aap amazon prime ke under product purchase karoge to aapko ye extra delivery charge or other charge nahi dena padega.

Is service ke anusar aapke amazon prime membership join karne ke bad aap koi bhi product buy karoge to aapke home address par aapko free delivery milegi. Aapko sirf product ki keemat chukani hogi.

In short, Amazon prime amazon company ki aesi service hai jise join karne par aapko product buy karne ke extra charges n ahi dene padenge.

Ye amazon ki premium service hai or isme sign up, subscription lene ke liye pay karna hota hai. But amazon ne amazon prime membership india me first 60 days yani 2 months tak free trial ka offer diya hua hai jo ki abhi bhi 30 days yani 1 month ka available hai. Uske bad aapko Amazon prime member banne ke liye pay karna hoga.

Amazon Prime Membership Lene Se Kya Fayda (Benefits) Hai?

Agar aap amazon prime membership lena chahate hai to aapke dimag me ye sawal jarur aayega ki ise join karne se mujhe kya kya fayde honge. Ye amazon ki bahut hi achhi servie hai jo USA me bahut famous hai or ab india me bhi ise log khub pasand kar rahe hai. Amazon prime se kya fayde hai ise aap is screenshot se clearly samajh sakte hai.

Amazon Prime Benefits

Iska sabse achha fayda ye hai ki aapke amazon prime meber banne ke bad aapko product price ke alawa koi extra charge like delivery charge nahi dena padega. Pahle aapko fast delivery lene ke liye jyada pay karna hota tha magar ab aesa nahi hoga. Aapko amazon prime ke taht fast and FREE delivery milegi.

  1. Free One Day Delivery: Pahle one-day delivery ke 100 rupees extra charge lagta tha magar mazon prime membership ke bad aapko ye delivery free milegi magar sirf eligible address par hi free delivery di jayegi.
  2. Free Two Day Delivery: Pahle aapko one day delivery and two day delivery ke lyie extra 100 to 500 extra charge dena hota tha. Magar mazon prime membership ke bad aapko two-day delivery bhi free milegi. Same one day ki tarah eligible address par.
  3. Discount Same-Day Delivery: Same-Day Delivery par Rs.50 ka discount milega.
  4. Discounted Morning Delivery: Morning Delivery par Rs. 50 ka discount milega.
  5. Discounted Scheduled Delivery: Scheduled Delivery par Rs.50 ka discount milega.
  6. No Minimum Order Value Required for FREE Standard Delivery: Pahle free delivery pane ki minimum value ki requirement thi or aapko free delivery lene ke liye kam se kam 499 ka product buy karna hota tha. Agar aap isse kam price ka product buy karte ho to aapko RS 40 to 50 ka extra charge dena padta tha or 499 se jyada ke product par free delivery milti thi. Agar aap amazon prime member hai to aapko ko iextra xharge nahi dena padega fir chahe aap 50 rupees ka hi product kharide.
  7. Prime Early Access: Amazon prime me aapko amazon.in par early access or lightning deals milegi. Iska matlab aapko non amazon prime member se 30 minute pahle hi access mil jata hai or aap unse 30 minute pahle hi product choose kar buy kar sakte ho. Isme aapko limited discount bhi milega.
  8. Prime Exclusive Deals: Iske taht amazon prime member ko lightning deals ke sath offer bhi milega.
  9. Prime Video: Aapko unlimited latest movies video streaming, India or all word se Award wining amazon originals and TV shows milenge.
  10. Amazon Family Offer: Aapko amazon prime subscribe and diaper subscription par 15% offer milega.

Ye 10 amazon prime ke main benefits hai iske alawa bhi bahut se fayde hai jinke bare me janne ke liye aap About Amazon.in Prime page par visit kare.

Amazon Prime Member Kaise Bane?

Amazon ne jab india me prime membership service start ki thi to pane customers ko first 60 days ka free trial offer kiya tha jo ki abhi 30 days ka available hai. Iska matlab aap bina invest kiye 30 days tak free me amazon prime ka labh utha sakte ho.

30 days ke bad agar aap amazon prime ke member bane rahna chaahte hai to aapko Rs 499 ka payment karna hoga. Iski validity 1 year ki hogi uske bad aapko fir se ek saal ke liye pay karna hoga. Pahle aapko har product ki delivery ka charge dena padta tha magar ab aapko pure saal ke liye only 499 charge dena hai. yani aap 1 saal me kitne bhi product buy karo koi extra charge nahi lagega.

How to Become a Amazon Prime Member:

Amazon prime member banne ke liye aap Amazon.in site par visit kare. Yaha aapko amazon site ke logo ke pas Try Prime ka option dikhayi dega is par click kare. Ab yaha aapko “Grab the best deals and get FREE fast delivery” and Start Your 30-Day Free Trial ka banner dikhayi dega. Is par click kare.

Step 1:

Sabse pahle aap apne PC me amazon asite oprn kare or agar aap mobile user hai to amazon ko android app ya iOS app open kare.

  1. Amazon logo ke niche Try Prime par click kare.
  2. Start your 30-day free trial button par click kare.

Start amazon prime free trial

Step 2:

Ab login karne ka page khulega. Aapko new account banana hai to “Create Your Amazon Account” par click kare or agar aap pahle se amazon use karte ho to sign in kare.

  1. Your Name: Apnaname add kare.
  2. Mobile Number: Apna mobile number add kare.
  3. Email Address: Agar aapke pas email ID hai wo add kare warna ye option optional hai chord bhi sakte ho.
  4. Password: Apne amazon account ke liye password choose kare.
  5. Continue: Continue par click kare.

sign up for amazon prime membership

Continue par click karte hai hi phone number verify karne ke liye kaha jayega aap OTP ke through mobile number verify kar sakte ho. Bas ab aap amzon prime meber ban chuke ho or ab aap amazon free delivery or prime membership ke baki features ka benefits utha sakte ho.

ye ek mahine ke liye free hai so aapko tab tak yaha koi bhi payment information like credit card ya debit card ki information enter karne ki koi jarurat nahi hai. 1 month ke bad agar aapko amazon prime membership leni hai to aap apna shopping card yaha add kar sakte ho.

Agar aapko ye jankari achi lage to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 27 )

  1. sarfraaz

    bahut hi acchi article . but i want to know why are stop income report

    Reply
  2. kavish

    bhut hi acchi post h sir amazon prime ke bare me…

    Reply
  3. raju singh

    Sir apne bahut acchi knowledge share ki uske liye thnk u main apse ek sawal poochna chahta hu.

    1- sir mera ek blog hai blogger par aur mujhe blogging ke bare me jyada knowledge nhi hai. Isliye mujhe lagta hai mujhse ek galti ho gayi hai. Galti ye hai ki maine abhin Google AdWords ka name suna lekin mujhe google adword ke barey me kuch bhi pata nhi hai. Aur mujhe apne blog par AdSense use karna hai . Adwords use nhi karna hai lekin maine galti se google AdWords par apni usi gmail is se login karke account bana diya jisse mera blog bana hai. Ab aap ye bataiye kya me gopgle AdSense aur google AdWords dono usekar sakta hu. Lekin mujhe AdWords use nhi karna hai to kya me AdWords ko apni gmail account se hata sakta hu ya phir account bana rehne du isse koi problem to nhi hohi apni site par google AdSense use karne me.

    2- kya aap bhi google AdSense aur google AdWords dono use karte hai.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      1. Yes kar sakte ho no problem. Aap is blog par kuch or post padho sabki jankari mil jayegi.
      2. yes karta hu.

      Reply
  4. Deepak Vaishnav

    sir क्या हम अमेज़ॉन पर 30 दिन की लिमिट को नही बड़ा सकते है क्या

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi

      Reply
  5. Jitender Singh

    An unexpected error occurred. Something may be wrong with WordPress.org or this server’s configuration. mere blog par yeh aa Raha hai Aur koi Bhi themes ya plugin install nhi ho raha hai isko kasie hataye kiya aap bata saktey hai

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Contact your hosting support.

      Reply
  6. Abhinav Ranjan Jha

    Very useful article

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...